♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Irshad-e-Mubarak Hai:
“Mere Jaanshino Par Allah Ki Rehmat Ho!”
Arz Kiya Gaya “Ya RasoolAllah Aapke Jaanshin Kon Hain?”
Farmaya “Jo Meri Sunnat Se Mohobbat Rakhte Hain Aur Usey Allah Ke Bando Ko Sikhate Hai.”
– (Tafsir-e-Kabir)
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Ilm Ki Talab Me Jis Ke Kadam Khak Aalud Ho. Allah Uske Jism Ko Jahannam Par Haraam Kar Dega Aur Allah Ke Farishte Uske Liye Dua-e-Magfirat Karenge.”
– (Tafsir-e-Kabir)
» Sayyadna Anas (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai –
“Baroze Qayamat Subse Jyada Hasrat Uss Shakhs Ko Hogi Jise Duniya Me Ilm-e-Deen Hasil Karne Ka Mauka Mila Magar Usne Haasil Na Kiya.”
– (Ibne Isakar)
» Abdullah Ibne Umar (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai –
“Jo Shakhs Ilm Ki Talaash Me Hoga, Jannat Uske Talaash Me Hogi. Aur Jo Shakhs Gunaah Ki Talaash Me Hoga, Jahannum Uske Talaash Me Hogi.”
– (Kanzul Umal)