Tehqeeq – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Tue, 21 Jun 2022 20:12:53 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Tehqeeq – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Kyu Deen Me Masumiyat Ikhtiyar Ki Humne ? https://ummat-e-nabi.com/kyu-deen-me-masumiyat-ikhtiyar-ki-humne/ https://ummat-e-nabi.com/kyu-deen-me-masumiyat-ikhtiyar-ki-humne/#respond Thu, 16 Jul 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/kyu-deen-me-masumiyat-ikhtiyar-ki-humne/ *Ek Android Cellphone Lena Hai Mujhe,.. *Kaha Se Lu ? *Mall Se Lu Ya Shop Se Lu ? *Waha Tou Itna Daam Hai Uska,.. *Tum Kitne Me Dogey ? *Battery […]

The post Kyu Deen Me Masumiyat Ikhtiyar Ki Humne ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
*Ek Android Cellphone Lena Hai Mujhe,..
*Kaha Se Lu ?
*Mall Se Lu Ya Shop Se Lu ?
*Waha Tou Itna Daam Hai Uska,..
*Tum Kitne Me Dogey ?
*Battery Aur Storage Space Kaisi Hai Iski ?
*Jaldi Kharab Tou Nahi Hoga?
*Falah Aur Falah ,…
Itni Saari Tehqeeq Kyu Karte Hai Hum Mujhe Bataye ?

#Duniya Ke Muamlo Me Badi Baariki Se Tehkik Karte Hai ,..
Lekin Jab ‪#‎Deen‬ Ka Muamla Aata Hai Tou Usmey Khamoshi Ikhteyar Kar Lete Hai …
.. Ke Deen Ke Mu’amle Me Sawal Mat Karo.. Bus Jo ‪#‎Akida‬ Wirasat Me Milta Hai Wo Le Lo ,.. Subhan’Allah!!!

… Yaad Rakhe Ye Masumiyat Aakhirat Me Kaam Nahi Aaney Wali..
* Kya Yahi Jawab Denge Hum Apne Rab Ko: “Aye Allah! Bado Ne Jo Diya Wo Le Liya Humne ,..”

* Allah Kahega – “Wahi Badey Jab Tujhse Keh Rahe They Ke – Falah Ladki Se Shadi Kar, ..
Tou Tuney Kaha Ke – Nahi Kar Sakta ! ‪#‎Zindagi‬ Ka Sawal Hai …”
Tou Tuney ‪#‎Aakhirat‬ Ka Sawal Karte Hue Kyu Nahi Kaha Ke –
“Ke Mai Aap Logon Ki Baat Kyu Maanu Agar ‪#‎Kitabo_Sunnat‬ Se Sabit Na Ho ,…”

* Sidha Sa Usool Hai ! Jab Duniya Me Aqal Lada Rahe Hai Hum,
Pata Hai Ke Ladki Acchi Na Ho Aur Mujhe Pakda Di Jaye Tou Mai Fass Jaunga Zindagi Bhar!

* Tou Fir Ye Kyu Nahi Sochtey Ke: “‪#Sunnat-e-Rasool‬ Se Hatkar Jis Kisi Bhi Aqidey Par Mai Rahunga,
Tou Qayamat Ke Deen Kya Jawaab Dunga Apne Rab Ko?”

*Tou Yaha Jawabdehi Ka Madda Hai,..
*Waha Ki Jawabdehi Bhul Gaye Hum?

… Allah Ke Liye Jab Koi Kitabo Sunnat Ki Baat Kare ,,..
Tou Bagour Suney,.. *Tehqeeq Kare – Ke Usne Kaha Se Ye Baat Ki Hai ..

*Kahi Aisa Na Ho Ke Mai Khamoshi Se Aankh Band Kar Kisi Ke Pichey Lag Gaya
Aur Usney Le Jakar Gaddhe Me Mujhe Gira Diya …

*Tou Duniya Me Jaisi Tehkik Karte Hai Waisi Tehkik Deen Me Bhi Kijiye ,..
.. Ab Hum Yeh Nahi Keh Rahey: “Ke Har Ek Ko Bohot Bada Allama Ban’ne Ki Jarurat Hai,.”
*Lekin Aap Unn Baato Par Tou Gour Kar Saktey Ho Jismey Ummat Me Aksar Ikhtelaaf Paya Jaata Ho ..

#‎Insha’Allah‬-Ul-Azeez!! Allah Ta’ala Hume Kehney Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ..
• ummat-e-nabi.com/home
• Fb.Com/Hadisenabwi

The post Kyu Deen Me Masumiyat Ikhtiyar Ki Humne ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kyu-deen-me-masumiyat-ikhtiyar-ki-humne/feed/ 0 17074
Afwah Ka Kya Kare (What about Rumours) ? https://ummat-e-nabi.com/afwah-rumour-ka-kya-kare/ https://ummat-e-nabi.com/afwah-rumour-ka-kya-kare/#respond Tue, 31 Mar 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/afwah-rumour-ka-kya-kare/ Al Quran 49 61Aksar Dekha Jata Hai Ke Log Choti-Choti Baato Ki Badi Afwaye(Rumour) Failaney Lag Jaatey Hai,.. Jo Ki Bohot Hi Galat Baat Hai. Chotey-Chotey Wakiyat, Chotey-Chotey Halaat Ko Lekar Itni Afwaye […]

The post Afwah Ka Kya Kare (What about Rumours) ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Aksar Dekha Jata Hai Ke Log Choti-Choti Baato Ki Badi Afwaye(Rumour) Failaney Lag Jaatey Hai,.. Jo Ki Bohot Hi Galat Baat Hai. Chotey-Chotey Wakiyat, Chotey-Chotey Halaat Ko Lekar Itni Afwaye Failayi Jaati Hai Ke Uski Koi Inteha Nahi …
Aur Tamam Mu’ashre Me Bus Wahi Aag Failti Jaati Hai.
♥ Aur Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Iss Se Manaa Kiya – “Jab Koi Fasiq (Untrusted Person) Koi Khabar Lekar Aaye Tou Khoob Tehqeeq Kar Liya Karo Ke Khabar Kitni Sacchi Hai..”(Surah 49 Al-Hujraat: Aayat-6) – @[156344474474186:]

– Aur Baaz Logon Ko Dekha Gaya Ke Thodi Koi Baat Untak Pohoch Jaye Tou Bina Sochey Samjhey Muashre Me Faila Dete Hai, Aur Khabre Aisi Hi Failti Hai, Shaitan Ke Kamo Me Se Ek Kaam Hai – “Afwaho Ko Failana”

• Jaise Ke Misaal Ke Taor Pe
Ek School Ke Class Room Me Jaha 100-200 Tak Bacche Padh Rahe Ho ,.. Aur Ustaad(Teacher) Ke Table Ke Nichey Se Koi Sanp Ka Baccha Nikal Aaye ,..
Tou Wo Pehle (Bencher’s) Se Aakhri Bencher’s Tak Baat Pohchtey Pohctey Wo Na Jaane Kitne Kissey Bantey Rehte Hai …
* Pahle Bencher’s (Saff) Ki Line Tak Baat Pohchi – “Saanp Ka Baccha Nikla Teacher Ke Table Ke Niche Se ..”
* Wo Baat Uske Piche Waley Benchers Tak Pohchti Hai – “Ek Bohot Bada Saanp Nikla Teacher Ke Table Ke Niche Se …”
* Aakhri Benchers Tak Baat Pohchte Pohochety – “Bohot Bada Ajdaha Nikla, Aagaya Tha Teacher Ke Table Ke Nichey Se,.. Teacher Ko Nigaleny Hi Wala Tha..”
Bus Kissey Ban Rahe Hai Ek Se Dusrey Tak, Dusrey Se Tisrey Tak …
* Baat School Ke Bahar Tak Jati Hai – “Bohot Bada Ajdaha Nikla, Pet Me Se Bakri Nikli, Toley 70 Kilo Ka Vajan Bhara Uska …”
Subhan’Allah …..
* Aur Jab Koi Uss Teachers Se Jakar Puchey Tou Pata Chala “Ek Mamuli Chotasa Saanp Ka Baccha Nikla” …

– Tou Aisa Hi Hota Hai, Afwah Kabhi Rukti Nahi, Wo Sanp Ki Misaal Ki Tarha Badhti Hi Jaati Hai …
Lihaja Meharbaani Karke Aisi Afwahe Na Failaye, Iss Se Mahoul Kharaab Hota Hai ,
Aur Ismey Kabhi Kabaar Youn Hota Hai Ke Kisi Shakhs Ki Badd’naami, Beizzati Ya Uspar Tohmat Lagti Hai,

Aur Agar Ismey Jhut Raha Tou Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
“Agar Koi Shakhs Kisi Par Ilzam Lagaye, Tou Roze Qayamat Usko Allah Aag Ke Pinjrey Me Band Karega, Jab Tak Ke Ilzam Sabit Nahi Karega Usey Waha Se Nikala Nahi Jayega,..” – (Mafhoom-e-Hadees: Riwayat: Musnade Ahmad)

» Sabaq: Lihaja Hume Chahiye Ke Kisi Bhi Khabar Par Aitbaar Karne Se Pahle Usey Thik Se Jaanch Liya Kare, Aur Bina Tehkik Kisi Baat Ko Aagey Pohchaney Se Pahle Soch Liya Karey Ke Ismey Kita Shar Hai Aur Kitna Khair ..
Haa! Koi Baat Tasdik Shuda Lagey Usey Man’ne Me Koi Harz Nahi Lekin Fir Bhi Hum Yahi Kahenge Bila Tahkik Kisi Fasiq Ki Baat Par Aitbaar Na Karey ,…

♥ Aakhir Me Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke –
# Allah Ta’ala Hume Tamam Kism Ke Shaitani Fitno Se Bachney Ki Taufiq Dey,
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Afwah Ka Kya Kare (What about Rumours) ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/afwah-rumour-ka-kya-kare/feed/ 0 16931