Takleef – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Wed, 18 Oct 2023 12:18:27 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Takleef – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Raston par Baithne ka Haq Ada karo https://ummat-e-nabi.com/raston-par-baitne-se/ https://ummat-e-nabi.com/raston-par-baitne-se/#comments Sat, 14 Oct 2023 03:20:16 +0000 https://ummat-e-nabi.com/raston-par-baitne-se/ Raston par Baithne ka Haq Ada karo HadeesHadees of the Day Raaston par Baithne ka Haq Ada karo Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Sadko (Rasto) par baithane se bacho.” Sahaba ne kaha ki “hum log wahi […]

The post Raston par Baithne ka Haq Ada karo appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Raaston par Baithne ka Haq Ada karo

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Sadko (Rasto) par baithane se bacho.”

Sahaba ne kaha ki “hum log wahi baithne ko majaboor hain. yeh wah jagah hai jahaa hum baithate hain aur jahaa hum baat karate hain.” is par, Nabi (ﷺ) ne kaha –

“Yadi tum wahaa baithane ke lie majaboor ho, to Raaste ka Haq ada karo.”

Sahaba ne poochha aur Raste ka Haq kya hai? Nabi (ﷺ) ne kaha,

“Apni Nigaahein nichee rakho, kisi ko chot pahunchaane se bacho, Salaam ka jawaab do, logon ko achchhe kaam karne ka hukm do aur unhen bure kaam karne se roko.”

📕 Sahih al-Bukhari 2465

The post Raston par Baithne ka Haq Ada karo appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/raston-par-baitne-se/feed/ 1 15438
Bimari Momeen ko Gunaaho se paak kar deta hai… https://ummat-e-nabi.com/beemari-bukhaar-ek-neymat/ https://ummat-e-nabi.com/beemari-bukhaar-ek-neymat/#respond Wed, 05 Jul 2023 12:52:10 +0000 https://ummat-e-nabi.com/beemari-bukhaar-ek-neymat/ Bimari Momeen ko Gunaaho se paak kar deta haiBimari, Takleef aur Pareshani se Gunah Maaf ho Jate hai ✦ Bukhaar Momin ko Gunaaho se paak kara deta hai: Abu Huraira (R.A) ne farmaya ki, Rasool-e-kareem (ﷺ) ke paas […]

The post Bimari Momeen ko Gunaaho se paak kar deta hai… appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Bimari, Takleef aur Pareshani se Gunah Maaf ho Jate hai

✦ Bukhaar Momin ko Gunaaho se paak kara deta hai:

Abu Huraira (R.A) ne farmaya ki, Rasool-e-kareem (ﷺ) ke paas bukhar ka charcha kiya gaya, tou ek shakhs ne bukhar ko bura kaha.

Aap (ﷺ) ne farmaya: “Bukhaar ko bura na kaho !, iss liye ki wo (Momin ko) Gunaaho se iss tarah paak kar deta hai, jaise Aag lohe ki mail ko saaf kar deta hai.”

📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 3598


✦ Bimar ki Ayadat ka Sawab:

1). Abbas (RaziAllahu anhu) se bayan farmate hai ke,

RasoolAllah (ﷺ) jab kisi Bimaar ki Ayadat ke liye tashrif le jaate tou farmate, “koi darr nahi! bimaari gunaahon se paak karne waali hai.”

📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 7470

2. Abdullah (RaziAllahu anhu) bayan karte hai ki, Mai Nabi (ﷺ) ke paas unki Bimaari me gaya tou Aap ko Tez Bukhar tha. Maine arz kiya, ‘Huzoor! Aapko tez bukhar hai, iss liye aapko dohara sawaab milega? .’ Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya “Haa koi Musalman aisa nahi hai jo kisi pareshani me ho tou Allah uske Gunaaho ko aise door kar deta hai, jaise paidh (tree) se pattey jharh jate hai.”

📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 5661


✦ Gunaho ka Kaffara hai Bimaari, Takleef aur Marz:

Har Bimaari Allah ki taraf se hoti hai aur Momin ke liye Gunaaho ka Kaffara ban jati hai.

1). Abdullah ibne Masud (R.A) ne kaha ki, Rasool-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ki: “Nahi pahuchti Musalmaan ko koi takleef, marz ya uske siwa kuch aur! lekin Allah Ta’ala uss ke chote Gunaaho ko jhaad deta hai, jaise darkht (tree) se patte jhadte hai.”

📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 5660

2). Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Allah jis Bande ke sath bhalai karna chahta hai tou isey apni taraf se Bimaari(Aazmaisho) me mubtila kar deta hai.”

📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 5645

3). Abu Said Al-Khudri aur Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Musalmaan ko Ranz, Dukh, Fikr aur Gham pahunchta hai yahan tak ki agar usey kaanta bhi lagta hai tou wo taklif uske Gunhaon ka Kaffara ban jati hai.”

📕 Sahih al-Bukhari 5641, 5642

Wajahat:

Lihaja hume Bimari aur Sehat dono surate haal me Allah Ta’ala ka Shukr ada karna chahiye. Bimari Aazmaish bhi hai aur Gunaaho ka kaffara bhi. hume har haal me Sabr-o-Shukar ada karna chahiye. in 2 kamo se Allah Ta’ala humare Gunaah bhi mita deta hai aur Aakhirat me Azar-e-azeem bhi ata farmata hai.

♥ in sha Allah ul Azeez ! Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki toufik de. Ameen.

The post Bimari Momeen ko Gunaaho se paak kar deta hai… appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/beemari-bukhaar-ek-neymat/feed/ 0 16078
Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou 2 shakhs Kaanafusi na kare https://ummat-e-nabi.com/jab-3-shakhs-saath-bethe-ho/ https://ummat-e-nabi.com/jab-3-shakhs-saath-bethe-ho/#respond Wed, 13 Jul 2022 09:59:55 +0000 https://ummat-e-nabi.com/jab-3-shakhs-saath-bethe-ho/ Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou 2 shakhs Kaanafusi na kareHadees of the Day Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou Abdullah (R.A) se riwayat hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “jab Teen shaksh saath ho to teesre […]

The post Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou 2 shakhs Kaanafusi na kare appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou

Abdullah (R.A) se riwayat hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“jab Teen shaksh saath ho to teesre Shakhs ko chor kar Do log aapas me Kaanafusi (chupke se baat) na karey.”

📕 Sahih al-Bukhari 6288


✦ हदिस : जब ३ लोग साथ बैठे हो तो २ लोग कानाफूसी न करे।

अल्लाह के अंतिम पैगम्बर मुहम्मद साहब (ﷺ) कहते है के,

“जब तीन व्यक्ति एक साथ हो तो उन में से तीसरे व्यक्ति को छोड़कर दो लोग कानाफूसी(चुपके से बात) न करे।”

📕 सहिह अल बुखारी 6290


✦ Hadith : No two persons should talk secretly excluding a third person.

The Prophet (ﷺ) said,

“When three persons are together, then no two of them should hold secret counsel excluding the third person.”

📕 Sahih al-Bukhari 6290

The post Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou 2 shakhs Kaanafusi na kare appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/jab-3-shakhs-saath-bethe-ho/feed/ 0 15425
Taweez ki Haqeeqat – Qurano Sunnat ki roshni me https://ummat-e-nabi.com/taweez/ https://ummat-e-nabi.com/taweez/#respond Tue, 06 Jul 2021 20:02:59 +0000 https://ummat-e-nabi.com/taweez/ Taweez ShirkTaweez ki Haqeeqat ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Taweez ka mas’ala thik waisa hai jaisa ke, kisi doctor ne kisi ko uske bimaari ki ilaz ke liye prescription par kuchh dawayi ka […]

The post Taweez ki Haqeeqat – Qurano Sunnat ki roshni me appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Taweez ki Haqeeqat

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Taweez ka mas’ala thik waisa hai jaisa ke, kisi doctor ne kisi ko uske bimaari ki ilaz ke liye prescription par kuchh dawayi ka naam aur usko lene ka tareeka likh diya, aur woh uss tareeke ko chhor kar uss prescription ko hi gale me latka liya, aur ye samajh baitha ke aise hi Main sifa paa sakta hoo.

Aaiye ab dekhte hai iske talluk se Shariyat kya kehti hai

“(Aye Rasool!) Aap keh do ke mere liye Allah hi kafi hai, aur bharosa rakhne wale usi (Allah) par bharosa rakhte hai.” [Surah Az-Zumar 39:38]

“(Aye logon!) agar Allah tumhare upar koyi takleef dena chahe, tou usko koyi hata nahi sakta, aur agar wo tumpar khair karna chahe, tou koi bhi usko radd nahi kar sakta. [Surah Yunus 10:107]

✦ Hadees: Hazrate Abdullah-bin-Aakim (R.A) farmate hain ke Rasool’allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:

“Man Alaqtan Tammimatan Faqad Ashrak” jisne “Taweez” latkai usne shirk kiya.

– Musnad Ahmad (4/156) no. 17458
– Mustadrak al-haakim (4/243) no. 7513


✦ Hadees: Hazrate Imran-bin-Hasen (R.A) se riwayat hai, ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne ek aadmi ke hanth me pital ka bana hua “Kadaa” dekha tou daryaft kiya: ye kya hai?

isne jawab diya ke ‘ye kamzori se bachne ke liye hai’ tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: ‘isey utaar kar phek do! isliye ke ye kamzori hi me ezafa karega aur is se pahne hue teri “wafat (death)” ho gai tou tu kabhi kamiyab nahi ho sakta.”

– Musnad-e-Ahmad


✦ Hadees: Hazarte Huzaifa (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai, ek shakhs ke hath par ek dhaga dekha jo wo Bukhaar ki wazah se pehna tha. tou usey kaat kar fenk diya aur Quraan ki yeh Aayat tilawat farmayi,

“Aksar log Allah ke upar emaan laney ke bawazood Mushrik hai” [Surah Yusuf 12:106]

Ibne Abu Hatim, Kitabut Tawheed, Safa 38

✦ Hadees: Abdullah Ibne Mas’ud (RaziAllahu anhu) ne farmaya ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Taweez, jhar-foonk sab hi Shirk hai”.

Yeh sun kar Zainab (RaziAllahu anha) (Abdullah ki Biwi) ne kaha, ‘Aap ye kya keh rahe ho?’ Allah ki Qasam! mere Aankh ki beemari ke waqt, main ek yahudi ke paas jati thi aur wo mujhe Taweez deti thi aur uss se meri beemari door ho jati thi.

Tab Abdullah (RaziAllahu anhu) ne bataya ‘Wo tou Shaitani Amal tha. Dar’asal Shaitan apne hath se tumhare aankh ko daba ke rakhta tha. jab yahudi tumhe Taweez pahenne ko detey, tab Shaitan wo kaam chhor deta.’ Beshaq tum wohi bayan karo jo RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Allahumma Rabbin nas azabal ba’asa asfi anta shafi la shafi illa anta shafi la-yugadiru sakma”

Tarjuma: “Ya Allah sarey Aalam ka Rab, taqleef door karne wala, Shifa ata farma, sirf tu hi Shifa deney wala hai, tere bagair koyi Shifa dene wala nahi hai, aisi shifa ata kar takey beemari ek dum hi na rahe.

– (Abu Dawood, vol 3, Hadees 485)

✦ Naseehat:

Lihaza Imaanwalo ko chahiye ki unpar aanewali musibato ko Allah ki masliyat jaane aur Sabr wa Shukr ada karte rahe aur apne Rab se Sirate Mustakim par chalne ki Dua karte rahe. aur jo kuch bhi sunnat se sabit wajife unhi par amal kare.

Allah hume Haq kehne, Sun’ne aur samajh ke saath amal ki taufik ata farmaye.

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Taweez ki Haqeeqat – Qurano Sunnat ki roshni me appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/taweez/feed/ 0 16770
Zamane ko Bura Na Kaho, Zamana Allah Hai https://ummat-e-nabi.com/zamane-ko-bura-na-kaho/ https://ummat-e-nabi.com/zamane-ko-bura-na-kaho/#respond Tue, 09 Jul 2019 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/zamane-ko-bura-na-kaho/ Zamane Ko Bura Na Kaho Zamana Allah Hai✦ Hadees: Zamana Allah hai. Bohot Saare log Kehte Hain ke Bura Zamaana Agaya hai , Jabki har Zamana toh Allah hi ka Zamana hai. Tou kya Zamane ko bura […]

The post Zamane ko Bura Na Kaho, Zamana Allah Hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

✦ Hadees: Zamana Allah hai.

Bohot Saare log Kehte Hain ke Bura Zamaana Agaya hai , Jabki har Zamana toh Allah hi ka Zamana hai. Tou kya Zamane ko bura kehna durust hai ? Aayein Qurano Sunnat ki Roshni se Wazahat karte hai.

Zamane Jaheliyat me Jab Mushreekeen Arab ko koi Dukh , Ghum , Shidat Wa Bala pohnchti toh Woh kehte (Haye Zamane ki Barbadi) Woh in Afaal ko Zamane ki taraf Mansoob karte aur Zamane ko bura bhala kehte aur Gaaliyan dete haalan ke in Afaak ka khaaliq toh Allah hi hai , toh Goyaa Naoozbillah wo Allah ko Gaali diya karte they.

✦ Hazrat Abu Hurera (R.A) se marwi hai ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya ke: Allah Taa’lah farmata hai:  Ibn-e-Adam Mujhe Aziyat deta hai , Zamane ko Gaaliyan Deta hai aur Mai (Sahib) Zamana Hun. Mere Hath me Muamlaat Hain, Mai hi Din aur raat ko Badalata Hun.

📕 Bukhari > Kitab Al Tafseer > Surah Jasiya (4826) ,
📕 Muslim (2246) Baab Al Nahi An Sabul Dahar,
📕 Musnad-e-Humaidi 468/2 (1096) ,
📕 Musnad Ahmed 1238 /2 ,
📕 Abu Dawood > Kitab ul Adab 5274)

✦ Abu Hurera (R.A) se marwi hai ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya ke: Haaye Zamanay ki Barbadi ‘ Hargiz Koi na kahe ‘ Beshak Allah he Zamanay wala hai.

📕 Musnad Abu Yaala 452 /10 (6066)

Lihaza Zamane ko bura kehna jaisa ke Awam Al Naas me Raayej hai ke “Zamana bura Aagaya hai, kya bura waqt aagaya hai , Waqt ka Satyanaas wagera…”

Darasal aisa kehna Naoozbillah Allah ko bura kehna hai, kyun ke Saara Nizaam Aalim Allah Wahdahu La Shareek ke Qabze Qudrat me hai , Wohi paida karne wala aur wahi maarne wala hai, wohi Mudbar Al Amoor hai.

Wohi Muntazim aur sab ki Bigdi banane wala Ganj Bakhsh, Gous-e-Azam, Daata , Faiz Bakhsh aur Dastageer hai. yeh Sab Allah ke Naamo Sifaat hai, in Naamon ko kisi insan ki taraf mansub karna gumarhi hai. lihaja Awam ko chahiye ke suni sunayi bato par yakin karne se behtar hai Qurano Sunnat se ilm hasil kare. aur Ulema-e-Haq ki sohbat ikhteyar kare.

Yeh bhi Dekhe:

99 Names Of Allah (Subhanahu Wa Ta’ala) With English Meanings

Allah Rabbul Izzat hume kehne sunne se Jyada Amal ki Taufiq de.. Ameen

The post Zamane ko Bura Na Kaho, Zamana Allah Hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/zamane-ko-bura-na-kaho/feed/ 0 15734
Momino ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti rakhne aur Shafqat karne me ek Jism ki tarah hai https://ummat-e-nabi.com/momino-ki-misaal-ek-dusrey-par-reham-karne-dosti-rakhne-aur-shafqat-karne-me-ek-jism-ki-tarah-hai/ https://ummat-e-nabi.com/momino-ki-misaal-ek-dusrey-par-reham-karne-dosti-rakhne-aur-shafqat-karne-me-ek-jism-ki-tarah-hai/#respond Wed, 13 Mar 2019 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/momino-ki-misaal-ek-dusrey-par-reham-karne-dosti-rakhne-aur-shafqat-karne-me-ek-jism-ki-tarah-hai/ the muslim ummah is like one bodyHadees of the Day Momino ki Misaal ek dusrey par Reham wali hoti hai No’man bin Bashir (R.A) riwayat karte hai ki,Huzoor Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: “Momineen ki Misaal ek […]

The post Momino ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti rakhne aur Shafqat karne me ek Jism ki tarah hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Momino ki Misaal ek dusrey par Reham wali hoti hai

No’man bin Bashir (R.A) riwayat karte hai ki,
Huzoor Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya:

“Momineen ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti rakhne aur Shafqat ka mujahira karne me ek Jism ki tarah hai, chunanche jab Jism ke kisi bhi hisse ko takleef pahunchti hai tou saara jism bekhwaabi wa bukhaar me us ka shareeq hota hai.”

Muttafaque Alayh –

The post Momino ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti rakhne aur Shafqat karne me ek Jism ki tarah hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/momino-ki-misaal-ek-dusrey-par-reham-karne-dosti-rakhne-aur-shafqat-karne-me-ek-jism-ki-tarah-hai/feed/ 0 16862
Na Kisi Ko Nuqsaan Pahunchhao, Na Nuqsaan Pahunchane Ka Zariyah Bano https://ummat-e-nabi.com/kisi-ko-nuqsaan-na-pahunchhao/ https://ummat-e-nabi.com/kisi-ko-nuqsaan-na-pahunchhao/#respond Tue, 05 Sep 2017 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/kisi-ko-nuqsaan-na-pahunchhao/ Na Kisi Ko Nuqsaan Pahunchhao Na Nuqsaan Pahunchane Ka Zariyah Bano♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasoo (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya; ” Na Kisi Ko Nuqsaan Pahunchhao, Na Nuqsaan Pahunchane Ka Zariyah Bano.” – (Musnad Ahmad, 2865) ♥ हदीस-ऐ-नबवी ﷺ: अल्लाह […]

The post Na Kisi Ko Nuqsaan Pahunchhao, Na Nuqsaan Pahunchane Ka Zariyah Bano appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasoo (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya;

” Na Kisi Ko Nuqsaan Pahunchhao, Na Nuqsaan Pahunchane Ka Zariyah Bano.”

– (Musnad Ahmad, 2865)

♥ हदीस-ऐ-नबवी ﷺ: अल्लाह के रसूल (सलल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया:

“ना किसी को नुकसान पोह्चाओ, न नुकसान पोहचाने का जरिया बनो”

– (मुसनदे अहमद, 2865)

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

The post Na Kisi Ko Nuqsaan Pahunchhao, Na Nuqsaan Pahunchane Ka Zariyah Bano appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kisi-ko-nuqsaan-na-pahunchhao/feed/ 0 18472
Jo Log Rasool’Allah Ki Mukhalifat Karte Hai …. https://ummat-e-nabi.com/jo-log-rasoolallah-ki-mukhalifat-karte-hai/ https://ummat-e-nabi.com/jo-log-rasoolallah-ki-mukhalifat-karte-hai/#respond Sun, 31 Aug 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/jo-log-rasoolallah-ki-mukhalifat-karte-hai/ ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! Allah Ta’ala Apne Bando Se Uske Rasool Ki Tazeem Me Nasihat Farmata Hai Ke – “(Aye EmaanWalo!) Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Bulaney Ko Aisa […]

The post Jo Log Rasool’Allah Ki Mukhalifat Karte Hai …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
Allah Ta’ala Apne Bando Se Uske Rasool Ki Tazeem Me Nasihat Farmata Hai Ke –
“(Aye EmaanWalo!) Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Bulaney Ko Aisa Khayal Na Karna Jaisa Ki Tum Aapas Me Ek Dusrey Ko Bulatey Ho. Beshaq Allah Ko Ye Malum Hai Jo Tum Me Se Aankh Bacha Kar Chal Detey Hai”..

Isi Ayat Me Allah Ta’ala Aagey Farmata Hai –
“Tou Jo Log Unke(RasoolAllah Ke) Hukm Ki Mukhalifat Karte Hai Unko Darna Chahiye Ki Unpar Koi Aafat Parh Jaye Ya Takleef Dene Wala Azab Nazil Ho”.
[Surah(24) An-Noor: Aayat-63] – @[156344474474186:]

» Sabak: Afsos Ki Baat Hai Ke Aaj Humari Zindagi Ke Tamam Shobey Kitabo Sunnat Se Khaali Hai,
Aur Fir Hum Khud Ko Aashike Rasool Hone Ka Dawa Karte Hai, Khudko Jannat Ka Mustahik Samjhte Hai,
Unn Saari Biddato Ko Sunnat Samajhkar Karte Hai Jiski Na Shairiat Me Koi Asal Hai Aur Naa Hi RasoolAllah Ki Sunnat Se Saabit Ho, Aur Tou Aur Hum Unn Khurafato Ko Tou Badi Shouk Se Karte Hai Jisey RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Khuley Taur Se Shirk Aur Biddat Kaha…

Afsos Hai Humari La-ilmi Par, Afsos Hai Humari Jahalat Par …
Allah Ta’ala Hume Tamam Kism Ki Gumrahi Se Bachney Ki Taufiq Ata Farmaye..
Tamam Kism Ke Shirk Aur Biddato Se Humare Imaan Ki Salamti Ata Farmaye…
Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Firqa

The post Jo Log Rasool’Allah Ki Mukhalifat Karte Hai …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/jo-log-rasoolallah-ki-mukhalifat-karte-hai/feed/ 0 16618
Padosiyon Ko Takleef Dene Se Baaz Aaya Karo …. https://ummat-e-nabi.com/padosiyon-ko-takleef-dene-se-baaz-aaya-karo/ https://ummat-e-nabi.com/padosiyon-ko-takleef-dene-se-baaz-aaya-karo/#respond Sat, 15 Feb 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/padosiyon-ko-takleef-dene-se-baaz-aaya-karo/ ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ahmad Wa Baiheqi Ne Shoaib-Ul-Imaan Me Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Ki, *Ek Shakhs Ne Arz Kiya – “Ya Rasool’Allah ! Falani Aurat Ke Mutallik Zikr Kiya […]

The post Padosiyon Ko Takleef Dene Se Baaz Aaya Karo …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Mafhoom-e-Hadees: Ahmad Wa Baiheqi Ne Shoaib-Ul-Imaan Me Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Ki,
*Ek Shakhs Ne Arz Kiya – “Ya Rasool’Allah ! Falani Aurat Ke Mutallik Zikr Kiya Jaata Hai Ki Namaz-Wa-Roza Wa Sadka Kasrat Se Karti Hai Magar Ye Baat Bhi Hai Ki Wah Apne Padosiyon Ko Zubaan Se Takleef Pahunchati Hai…”
*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Wah Jahannam Me Hai…”

*Unhone Kaha – “Ya Rasool’Allah ! Falani Aurat Ki Nisbat Zikr Kiya Jaata Hai Ki, Uske Roza Sadka Wa Namaz Me Kami Hai (Yaani Nawafil) Wah Paneer Ke Tukde Sadka Karti Hai Aur Apni Zubaan Se Padosiyon Ko Iza (Takleef) Nahi Deti…”
*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Wah Jannat Me Hai…”
(Islami Akhlaq-o-Aadab, Page#234, Hadith no. 12 – @[156344474474186:])

• SABAQ: Lihaza Her Haal Me Apne Padosi Se Narmdili Se Pesh Aaya Karo Aur Bacha Karo Unka Dil Dukhane Se, Ke Yeh Zulm Hai Aur Allah Ta’ala Aise Bando Ko Pasand Nahi Karta Jo Apne Padosiyon Ke Pareshaniyon Ki Wajah Ho.
– Fir Chahe Wo Banda Kitna Hi Bada Aabid Wa Parhezgaar Kyu Na Ho, Wo Jahannam Ki Aag Se Bach Nahi Payega Jo Apne Padosiyon Ke Pareshaniyon Ka Jimmewar Ho.

*Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq De …

The post Padosiyon Ko Takleef Dene Se Baaz Aaya Karo …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/padosiyon-ko-takleef-dene-se-baaz-aaya-karo/feed/ 0 16655
Jo Kisi Musalman ke Aib Chupayega https://ummat-e-nabi.com/beshumar-rehmat-e-khudawandi-nek-amal-karne-walo-par/ https://ummat-e-nabi.com/beshumar-rehmat-e-khudawandi-nek-amal-karne-walo-par/#respond Mon, 25 Nov 2013 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/beshumar-rehmat-e-khudawandi-nek-amal-karne-walo-par/ ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – *Jo Kisi Musalman Ki Parda-Poshi Karega (Aib Chupayega) Allah Ta’ala Duniya Aur Aakhirat […]

The post Jo Kisi Musalman ke Aib Chupayega appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
*Jo Kisi Musalman Ki Parda-Poshi Karega (Aib Chupayega) Allah Ta’ala Duniya Aur Aakhirat Me Uski Parda-Poshi Farmayega.
*Allah Subhanahu Ta’ala Uss Bandey Ki Madad Me Rahta Hai Jab Tak Banda Apney Bhai Ki Madad Me Hota Hai.

*Aur Jo Koi Ilm Ki Talab Me Koi Raasta Chaley Tou Allah Subhanahu Ta’ala Uskey Liye Jannat Ka Raasta Aasan Farma Deta Hai.

*Aur Jab Koi Allah Ke Ghar(Masjid) Me Jama Hokar Allah Ki Kitab(Quraan-e-Kareem) Ki Tilawat Karey Aur Aapas Me Allah Ki Kitab Ko Samjhey Aur Samjhaye Tou Farishtey Unko Gher Letey Hain Aur Unn Par Sakinat(Sukun) Nazil Honey Lagta Hai Aur Rahmat Unko Dhaanp Leti Hai Aur Allah Unka Zikr Apney Paas Waley Farishton Me Farmata Hai.
*Aur Jiska Amal Usko Peechey Kar De Uska Nasab (Khandan) Usey Aagey Nahi Kar Sakta..”
(Sunan Ibn Majah, Vol 1, Hadith no.225)

The post Jo Kisi Musalman ke Aib Chupayega appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/beshumar-rehmat-e-khudawandi-nek-amal-karne-walo-par/feed/ 0 16581