Sirat-e-Mustaqeem – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Tue, 21 Jun 2022 20:12:54 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Sirat-e-Mustaqeem – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Ummat me Ikhtelaf Ka Anjaam – Junge Ohad Ki Ek Misaal https://ummat-e-nabi.com/ummat-me-ikhtelaaf-ka-anjaam-junge-ohad-ki-ek-misaal/ https://ummat-e-nabi.com/ummat-me-ikhtelaaf-ka-anjaam-junge-ohad-ki-ek-misaal/#respond Thu, 03 Mar 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ummat-me-ikhtelaaf-ka-anjaam-junge-ohad-ki-ek-misaal/ Ummat me ikhtelaf ka anjaamJunge-Ohad Me Sahaba Ne Ek Nafarmani Ki Thi Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki, Allah Rabbul Izzat Ne Uska Kya Natija Kiya Hum Sab Jantey Hai, Lekin Afsos Ke Hum Uss […]

The post Ummat me Ikhtelaf Ka Anjaam – Junge Ohad Ki Ek Misaal appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Junge-Ohad Me Sahaba Ne Ek Nafarmani Ki Thi Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki, Allah Rabbul Izzat Ne Uska Kya Natija Kiya Hum Sab Jantey Hai, Lekin Afsos Ke Hum Uss Wakiye Se Ibrat Hasil Nahi Karte ,..

*Junge Ohad Me Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne 50 Sahaba Ko Pahad Ke Dusri Taraf Khada Kiya , Ke Jung Ek Taraf Chal Rahi Hai , Lekin Agar Kahi Dushman Dusri Taraf Se Aakar Pichey Se Waar Karne Lag Jaye Tou Musalmaano Ka Bachna Mushkil Hai ,..
– Lihaja Rasool’Allah Ne Pahad Ke Dusri Tarah 50 Teerandaz Sahaba Ko Tainaat Rakha ,.. Taaki Agar Dushman Waha Se Aaye Tou Unhe Rok Sakey,..

*Fir Jab Allah Rabbul Izzat Ne Musalmaano Ko Pehli-Pehli Fatah Dena Shuru Kar Di Aur Dushman Bhagney Lagey Tou Wo Sahaba Jo 50 Khadey They Unhone Ikhtelaaf Shuru Kar Diya Ke –
– Ab Hum Yaha Se Nichey Utar Jaye Taaki Maal-e-Ganimat (Dushmano Ka Chuta Hua Maal) Jama Kar Sakey.. 40 Sahaba Pahad Se Utar Gaye Aur 10 Sahaba Rasool’Allah Ki Ita’at Kartey Hue Apni Jagah Par Tainaat Rahe ,..

– Natijatan Jis Baat Ka Darr Tha Wohi Hua Aur Pahad Ke Pichey Ke Rastey Se Khalid-Bin-Walid (Jo Abhi Iman Nahi Laye They) Unhone Musalmano Par Hamla Kiya ,.. Wo 10 Sahaba Unpar Kamjor Pad Gaye Aur Shahid Kar Diye Gaye ,..

# Isi Baat Ko Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Youn Dohraya Aur Kaha:
Bilashuba Allah Ne Jo Tumko Fateh Ka Wada Kiya Tha Usko Pura Kar Chuka Tha ,..
Jabki Dushmano Ko Allah Ke Hukm Se Tum Khub Shikast De Rahe They,.
Lekin Tumne Buzdili Dikhayi , Nabi Ke Hukm Se Jhagdne Lagey,
Aur Apni Pasandida Cheez (Maal-e-Ganimat) Ke Liye Tum Nikal Gaye ,..
Tum Me Se Kuch Wo They Jo Duniya Chahtey They,
Aur Kuch Wo They Jo Aakhirat Chahtey They,.”

– (Al-Quran 3:152) – @[156344474474186:]

… Tou Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Sirf Ek Hukm Ki Mukhalifat se Kitna Bada Nuqsaan Uthaya Sahaba Ne,.. Hum Sab Jante Hai Ke Isme Rasool’Allah Par Janlewaa Humala Bhi Hua Tha …

*Aaj Hume Bhi Gour Karna Chahiye Ke
– Humare Aapsi Ikhtelaf Ki Vajah Se Baaz Shirr-Pasand Log Kis Zaat-e-Mukaddas Ki Shan Me Gustakhi Kar Rahe Hai ,…

*Mere Azeez Dosto!!!
– Bhaley Hum’me Laakh Fikri Ikhtelaaf Ho ,
– Lekin Hume Koi Bhi Harkat Karne Se Pehle Sochna Chahiye Ke
– Kahi Humari Ye Bewakufi Humare Nabi Ki Shaan Me Gustakhi Ki VajahTou Na Ban Jaye ,..

♥ Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke –
# Allah Hum Sabko Ek Aur Nek Banaye ,..
# Hume Sirat-e-Mustaqeem Par Chalaye..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Ummat me Ikhtelaf Ka Anjaam – Junge Ohad Ki Ek Misaal appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ummat-me-ikhtelaaf-ka-anjaam-junge-ohad-ki-ek-misaal/feed/ 0 17558
Fazail-e-Quran: Part 3 https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-3/ https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-3/#respond Tue, 19 May 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-3/ Fazaile Quran 3Iss Unwan me Quran ke Fazail ke taaluk se Hum chand Ahem Fazilate aapke samne rakhne ki koshish karenge jo Duniya ki Zindagi, Qabr ki Zindagi aur Aakhirat me Fayde ka […]

The post Fazail-e-Quran: Part 3 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Iss Unwan me Quran ke Fazail ke taaluk se Hum chand Ahem Fazilate aapke samne rakhne ki koshish karenge jo Duniya ki Zindagi, Qabr ki Zindagi aur Aakhirat me Fayde ka bayis hongi.

Aur Isko chorrne se Duniya me, Qabr me aur Aakhirat me kya-kya nuqsaan hoga ? , wo badi-badi Fazail In’sha’Allah-Ul-Azeez!! Allah ki kitab aur Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki Sunnat ke hawale se Aapke samne rakhne ki hum koshish karenge.

✦ FAZAIL 1: Quran Hidayat ki Kitab hai –

Sabse pehli baat ke Quraan kitabe hidayat hai! jo gumraahi se logon ko nikalti hai aur sidhey rastey par le aati hai. kyunki Nabi-e-Karam (Sallallahu Alaihay Wasallam) jab aaye aur apni Qoum ko jo Dawat di sabse pehle unko Gumraahiyo se nikaala aur hidayat ki taraf bulaya.

Tou Quraan Kitabe Hidayat hai , ye Iska buniyadi maqsad hai ke sari Insano ko hidayat ki taraf bulaye, Inhe Sirate Mustaqeem bataye aur uspar chalaye.

» Tou Quran Kitabe Hidayat hai yaad rakhiye aur Iska padhne wala siway Hidayat ke aur kuch nahi haasil karta , Iske Radd (Khilaaf) me baaz log kehte hai ke “Quraan ke padhney se Gumraahi aati hai” In’sha’Allah hum aakhir me iss bewakufana baat ke talluk se wo Shaq-o-Shubhat aapke samne rakhne ki jarur koshish karenge.

✦ Quraan ke Kitab-e-Hidayat hone ke talluk se Allah Rabbul Izzat farmata hai:

“ Aye Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Aapke paas Aapke Rab ki taraf se ek khuli Daleel aur Nishani aa chuki aur Hidayat aa chuki hai aur Rehmat aa chuki hai. ”

– (Surah Al-Anaam: 6:157)

“ Ye Quraan tou Aye Nabi Hidayat hai Momineen ke liye ”

– (Surah An-Nahal: 27:77)

Tou Quraan Insan ko haq ki taraf bulata hai, aur Iski misaale angeenat Aahadees me milti hai ke kis tarha se Sahaba (RaziAllahu Anhu) ne Quraan suna aur mutaseer hue, Imaan laye aur unki zindgiya jo jahalat me thi, Gumraahi me thi wo kaisi tabdil hui aur Iss kitaab ko jab apni zindagi me le liya tou kaise duniya ko in logon ne badal diya, tabdeel kar diya.

Sahaba (RaziAllahu Anhu) jo Registaan me Bakariya aur Unth Charatey they, lekin jab Inhi logon ne Quraan ko thama tou Aaj ye Roshni ke minaar ban gaye, ye Sirat-e-Mustaqeem par meenar jaise kaam karte hai, logon ke liye inki zindagiya hidayat aur namoona ban gayi.

» Warna Pehle inhe koun pehchanta ? Aise Hazaro Qoume aur Nasle aayi aur Naist-o-Nabood bhi ho gayi, Aaj koi Unka Naam bhi nahi leta hai ,..Lekin ye Quran tha Jisne Unn Sahaba ki Zindagi me tabdili laayi aur inhe aisa badla ke rehti Duniya tak inka naam liya jayega, iss kitab me ye taqat hai.

• In’sha’Allah ! Agley part me Hum unn chand Sahaba ka zikr karenge jinke Quran se Mutasir ho kar Imaan laaney ki dastaan aaj bhi Qabile Gour hai tamam puri Insaniyat ke liye.

To be Continue …

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12

The post Fazail-e-Quran: Part 3 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-3/feed/ 0 17033
Sirat-e-Mustaqeem par Shaitan jyada behkata hai https://ummat-e-nabi.com/sirat-e-mustaqeem-par-shaitan-jyada-behkata-hai/ https://ummat-e-nabi.com/sirat-e-mustaqeem-par-shaitan-jyada-behkata-hai/#respond Sat, 06 Sep 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sirat-e-mustaqeem-par-shaitan-jyada-behkata-hai/ Quran 6 153 Sirate Mustakim the right path❖ Mafhoom-e-Hadees ﷺ : Ek Sahabi ka inteqal hota hai, Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) uss Inteqal me jaate hai, aur abhi Qabr khud rahi thi ke RasoolAllah (ﷺ) uss mitty […]

The post Sirat-e-Mustaqeem par Shaitan jyada behkata hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

❖ Mafhoom-e-Hadees ﷺ :

Ek Sahabi ka inteqal hota hai, Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) uss Inteqal me jaate hai, aur abhi Qabr khud rahi thi ke RasoolAllah (ﷺ) uss mitty par baith jate hai, Aapke hath me ek tehni thi, aap uss tehni ke jarye Zameen par uss mitty par kuch banane lagey,

Sahaba gour se dekhne lage ke RasoolAllah (ﷺ) kya kar rahe hai. Sahaba ne dekha ke Aap (ﷺ) ne ek sidhi lakeer banayi, aur daaye aur baaye janib aur chand lakeere banayi aur farmaya ke –

[bs-quote quote=”❛ Ye sidhi lakeer jo maine banayai hai ye mera rasta hai, yaani Sirat-e-Mustaqeem hai, aur daaye aur baaye janib jo lakeere banayi hai ye lakeere Jahannum me jaati hai aur iskey har lakeer par ek Shaitan baitha hai jo insan ko Sirat-e-Mustaqeem se behkata hai.❜” style=”style-19″ align=”center”][/bs-quote]

Sahaba ne kaha – ‘Ya RasoolAllah (ﷺ) hum tou yeh samjhte they ke Islam kabool kar leney ke baad Banda-e-Momin Shaitan ke behkawe se Aazad aur mehfuz ho jata hai, Ya RasoolAllah ! bohot Sangeen Mu’amla hai wajahat farmaiye. Fir Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne tafseeli bayan ke liye Surah Anaam ki Ayat 153 ki tilawat farmayi aur kehne lage.

[bs-quote quote=”❝ Ye sidhi lakeer mera rasta (Sirat-e-Mustaqeem) hai tou Aye Imanwalo iski itteba karna, iske alawa kisi ki itteba na karna warna sidhi raah se bhatak jaoge. ❞” style=”style-15″ align=”center” author_name=”Al-Quran” author_job=”Surah Al-Anam 6:153″][/bs-quote]

(Musnade Ahmad, Nadayii, Ibn Majah, Daremi, Tafseere-e-Ibne Kaseer vol#2, page 256 by www.ummat-e-nabi.com/home)

✦ SABAQ :

Tou RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne wajahat kar di ke Sirat-e-Mustaqeem par aaney ke baad Shaitan Momin ko jyada behkata hai. Aur Jin Qoumo ko imaan hee nahi mila wo tou waise hi Mulawwis hai Gumraahi me, lekin jinhe Imaan ki doulat mili unka Shaitan ke jarye behaqna jyada mumkin hai.

Lihaza hum sab par lazim hai ke haq ko janey, Allah aur uske Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke Qalam ki pairwi karey, Qurano Sunnat se apni aur auro ki islaah karte rahe. Quraan aur Sahih Hadees ke jarye, Sahib-e-Ilm ke jarye, Sahih Ilm-e-Deen hasil karey taaki har kism ki Gumrahi se khud bhi bach sakey aur auro ko bhi bachaney ki koshish karey.

!!! Wa akhiru dawana anilhamdulillahe rabbil a’lameen !!!

Allah Ta’ala hume tamam kism ke Shirk aur Gumrahi se bachney aur bachaaney ki toufiq ata farmaye!!!
firqa

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

The post Sirat-e-Mustaqeem par Shaitan jyada behkata hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sirat-e-mustaqeem-par-shaitan-jyada-behkata-hai/feed/ 0 16840