Fitra / Sadqa-e-Fitr / Zakaat al Fitr Kya hai aur kyun dete hai : Mukammil Jankari

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

1. SADQA-e-FITR / ZAKAT AL-FITR Kya Hai?

Sadqa-e-Fitr ya Zakat al-Fitr, jise hum aam taur par ‘Fitra’ ke naam se jaante hai, yeh ek aisa Sadqa hai jo aap ke tamaam Rozo ko Paak karta hai. yeh ek khane pine ki cheez ki Shakal me di jaati hai un logo ko jo Faqeer ya Misqeen (Zaroorat mand) hai.


2. KYU DENA HAI?

✦ Hadees: Ibn Abbas (R.A.) Farmate hai ke: “RasoolAllah (Sallallaahu Alayhi Wasallam) ne Rozdaro ko lagu aur behuda baaton se paak karne ke liye aur Miskeen ko khilane ke liye Sadqa-e-Fitr mukarrar farmaya. lehaza jo Namaz-e-Eid se pehle ada kare uska Sadqa maqbool hua, aur jo namaz ke baad ada kare to aam Sadqe mein se ek Sadqa hai.

[Sunan Ibn Majah, Jild 3, Kitaab az Zakaat, Hadith no. 1827]

A. Sadqa-e-Fitr is liye Diya jata hai ke jo Galtiya humne Roze ki haalat me ki thi, jaise, lagu aur behuda baate, Joothi baatein, tou yeh Sadqa in cheezo se hume paak kar deta hai.

B. Yeh isliye bhi diya jaata hai ke jo bahut Gareeb Musalman hai, unhe Eid ul Fitr ke din khane ko kuch mile.


3. KAUN DEGA?

Yeh har Musalman par Farz hai, Mard, Aurat, Ladka, Ladki, Bacche, Buzurg, Azad ho ya Ghulam ho, sab par Farz hai.

✦ Hadees: Hazrat Ibn Umar (RaziAllahu anhu) ne bayaan kiya ke RasoolAllah (Sallallaahu Alayhi Wasallam) ne Fitre ki Zakaat (Sadqa-e-Fitr) ek Saa Khajoor, Ek Saa Jaw farz karaar di thi. Ghulam, Azad, Mard, Aurat, Chote aur Badhe, tamaam Musalmano par. Aap (Sallallaahu Alayhi Wasallam) ka hukm yeh tha ke Namaz (Namaz-e-Eid) ke liye jane se pehle yeh Sadqa ada kar diya jaye.

[Sahih al Bukhari, jild. 2, Kitaab az Zakaat, Hadith no. 1503]


✦ Hadees: RasoolAllah (Sallallaahu Alayhi Wasallam) ne yeh bhi farmaya ke Zakaat-ul-Fitr un logo ke liye bhi ada ki jaaye jo aap ki nigrani me hai, Jawan ya Bujurg, Ghulam ya Azaad.

[Sunan al Bayhaqi jild. 4, Kitaab az Zakaat, Hadith no. 7683]

Note: Zakaat-ul-Fitr har musalaman par farz hai siway unke jo bahut hi jyada Gareeb hai aur Zakaat-ul-Fitr dene ki Istataat nahi rakhte hai. bahut sare musalmano ko yeh Ghalat fehmi hai ke Zakaat al Fitr unhi logo par farz hai jo Zakaat nikalte hai.


4. KISE DENA HAI ?

✦ Hadees: Hazrat Ibn Abbas (RaziAllahu Anhu) farmate hai ke: RasoolAllah (Sallallaahu Alayhi Wasallam) ne Rozdaro ko lagu aur behuda baaton se Paak karne ke liye aur Miskeen ko khilane ke liye Sadqa-e-Fitr mukarrar farmaya.

[Sunan Ibn Majah, jild 3, Kitaab az Zakaat, Hadith no. 1827]

Note: Sadqa-e-Fitr sirf Faqeer/Gareeb musalmano ko hi diya jaye.


5. KITNA DENA HAI?

✦ Hadees: Hazrat Abu Said Al-Khudri (RaziAllahu Anhu) bayaan karte hai ke, Hum Nabi-e-Kareem (Sallallaahu Alayhi Wasallam) ke Zamaane mein Eid-ul-Fitr ke din Ek Saa khane ki cheez (Sadaqat-ul-Fitr ke taur par nikalte the Gareebo ke liye). Humara Khana (Un Dino), Jaw, Kishmish, Paneer aur Khajoor tha.

[Sahih al Bukhari, jild 2, Kitaab az Zakaat, Hadith 1510]

Ek Saa Takreeban 3 Kilo hota hai.


6. KAB DENA HAI?

1. Sadqa-e-Fitr Eid ke Din, Eid ki Namaz ada karne se pehle dena mustahab hai.

✦ Hadees: Hazrate ibn Umar bayan karte hai ke, Nabi-e-Kareem (Sallallaahu Alayhi Wasallam) ne Sadqa-e-Fitr Namaz (Namaz-e-Eid) ke liye jaane se pehle pehle nikalne ka hukm diya tha.

[Sahih Al Bukhari, jild 2, Kitaab az Zakaat, Hadith 1509]


2. Eid ke Ek ya Do din pehle bhi diya ja sakta hai.

✦ Hadees: Hazrate Nafi (R.A.) ne bayan kiya ke: “Log Sadaqat-ul-Fitr, (Eid ke) Ek ya Do din pehle bhi de diya karte the.”

[Saheeh Al Bukhari, Jild 2, Kitaab az Zakaat, Hadith 1511]

Note: Yaad rahe ke RasoolAllah (Sallallaahu Alayhi Wasallam) ne farmaya “Eid ki Namaz ke pehle pehle Sadqa-e-Fitr ada karle, agar koi Eid ki Namaz ke baad deta hai to yeh aam Sadqe me shumar hoga.”

[Sunan abu Dawood, Kitaab az Zakaat, Hadith no.1609]

┅┅┅━━═۞═━━┅┅┅

♥ In’ sha’ Allah ul Azeez! Allah taala Hume Kehne Sun’ne se jyada amal ki taufiq de. Ameen!

Jazaakumullahu khair’an Wa-Ahsanul Jazaa.

[vc_wp_custommenu nav_menu=”30670″ el_class=”clean_m also_2clm”]

Leave a Reply