Rehmat – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Thu, 01 Feb 2024 06:19:21 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Rehmat – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Azan ke baad ki Dua | अज़ान के बाद की दुआ https://ummat-e-nabi.com/azan-ke-baad-ki-dua/ https://ummat-e-nabi.com/azan-ke-baad-ki-dua/#respond Sun, 28 Jan 2024 08:40:59 +0000 https://ummat-e-nabi.com/azan-ke-baad-ki-dua/ अज़ान के बाद की दुआ | Azan ke baad ki DuaAzaan ke baad ki Dua | अज़ान के बाद की दुआ | बिस्मिल्लाह-हिर्रहमान-निर्रहीम | अल्लाहुम्मा रबी हाजिहिद दवातीत ताम मह वस सलातील काइमाह आति मुहम्म्दानिल वसीलता वल फ़ज़ीलता वब अस हु मकामम महमूदा अल्लाजी व अत्तह।

The post Azan ke baad ki Dua | अज़ान के बाद की दुआ appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

अज़ान के बाद की दुआ:
Azan ke baad ki Dua in Hindi
March 19, 2024

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

वज़ाहत : अज़ान के बाद पहले दरूद शरीफ पढ़ना चाहिए।

देखे: दरुदे इब्राहीमी

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

اللهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَّ عَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَ عَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَّجِيدٌ اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ وَّ عَلَى آلِ مُحَمَّدٍ ، كَمَا بَارَكْتَ
عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ

अल्लाहुम्म सल्लि अला मुहम्मदिंव व अला आलि मुहम्मदिन कमा सल्लय्-त अला इब्राहीम व अला आलि इब्राहीम इन-क हमीदुम मजीद,

अल्लाहुम्म बारिक अला मुहम्मदिव व अला आलि मुहम्मदिन कमा बारक-त अला इब्राही म व अला आलि इब्राहीम इन्न-क हमीदुम मजीद।

तर्जुमा : ऐ अल्लाह ! रहमत फरमा मुहम्मद (ﷺ) पर और मुहम्मद (ﷺ) की आल (घरवालों) पर जैसा के तूने रहमत फरमाई इब्राहीम अलैहिस्सलाम पर और इब्राहीम अलैहिस्सलाम की आल पर बेशक तू तारीफ के लाइक बुजुर्गीवाला है।

ऐ अल्लाह ! बरकत नाज़िल फरमा ( उतार) मुहम्मद (ﷺ) पर और मुहम्मद (ﷺ) की आल पर जैसा के तूने बरकत नाज़िल फरमाई इब्राहीम अलैहिस्सलाम पर और इब्राहीम अलैहिस्सलाम की आल पर बेशक तू तारीफ के लाइक बुजुर्गीवाला है। 

📕 सहीह बुख़ारी : किताबु बदइल खल्क (2 / 314 )

दुरूद शरीफ के बाद अज़ान की यह दुआ पढ़े :

اللهُم رَبِّ هَذِهِ الدَّعُوَةِ التَّامَّةِ، وَالصَّلوةِ الْقَائِمَةِ ،اتِ مُحَمَّدًا
الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ ، وَابْعَثْهُ مَقَامًا مَّحْمُودَا إِلَّذِي وَعَدْتَهُ

अल्लाहुम्मा रबी हाजिहिद दवातीत ताम मह वस सलातील काइमाह आति मुहम्म्दानिल वसीलता वल फ़ज़ीलता वब अस हु मकामम महमूदा अल्लाजी व अत्तह।

तर्जुमा : ऐ अल्लाह ! इस पूरी अज़ान और काइम होने वाली नमाज़ के रब ! मुहम्मद ﷺ को वसीलह ( जन्नत का दर्जह) और फज़ीलत अता फरमा और उन्हें मक़ामे महमूद भेज जिस का तूने उनसे वादा किया है । [सहीह बुखारी : किताबुल अज़ान ( 1/328)]

फजीलत : रसूलुल्लाह ﷺ ने फरमाया के जो अज़ान के बाद यह दुआ पढ़ेगा उसको क़ियामत के दिन मेरी शफाअत ज़रुर मिलेगी । 


इस के बाद यह दुआ पढ़े :

اَشْهَدُ اَنْ لا إِلَهَ إِلَّا اللهُ ، وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ ، وَأَنَّ مُحَمَّداً عَبْدُهُ وَ رَسُولُهُ، رَضِيتُ بِاللهِ رَبِّاً و بِمُحَمَّدٍ رَّسُولًا وَبِالْإِسْلَامِ دِيناً

अश्हदु अल्ला इला-ह इल्लल्लाहु वह्दहू ला शरी-क लहू व अन्न मुहम्मदन अब्दुहू वरसूलुह, रजीतु बिल्लाहि रब्बंव वबि मुहम्मदिर रसूलंव वबिल इस्लामि दीना ।

तर्जुमा : मैं गवाही देता हूँ के अल्लाह के सिवा कोई माबूदे बरहक (सच्चा परस्तिश के लाइक) नहीं और वह अकेला है उसका कोई शरीक नहीं और बेशक मुहम्मद ﷺ उसके बंदे और उसके रसूल हैं, मैं राज़ी हूँ अल्लाह के रब होने पर इस्लाम के दीन होने पर और मुहम्मद ﷺ के रसूल होने पर और। [सहीह मुस्लिम : किताबुस्सलात ( 2 / 15 )]

फज़ीलत : रसूलुल्लाह ﷺ ने फरमाया जो अज़ान के बाद यह दुआ पढ़ेगा उसके गुनाह माफ होंगे ।


अल्लाह ताला हमे कहने सुनने से ज्यादा अमल की तोफीक दे, अमीन या रब्बुल आलमीन।

और देखे:

The post Azan ke baad ki Dua | अज़ान के बाद की दुआ appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/azan-ke-baad-ki-dua/feed/ 0 16030
हवा को बुरा ना कहो, वो अल्लाह की रेहमत है | Hawa Allah ki Rehmat hai: Hadees https://ummat-e-nabi.com/hawa-bhi-allah-ki-rehmat-hai-usey-bura-na-kaho/ https://ummat-e-nabi.com/hawa-bhi-allah-ki-rehmat-hai-usey-bura-na-kaho/#respond Sun, 12 Nov 2023 05:58:47 +0000 https://ummat-e-nabi.com/hawa-bhi-allah-ki-rehmat-hai-usey-bura-na-kaho/ Hawa Allah ki Rehmat hai: Hadeesहवा को बुरा ना कहो, वो अल्लाह की रेहमत है “मत बुरा कहो हवा को! क्यूंकि वो अल्लाह की रेहमत में से है, जो रहमत या तबाही लेकर आती है, […]

The post हवा को बुरा ना कहो, वो अल्लाह की रेहमत है | Hawa Allah ki Rehmat hai: Hadees appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

हवा को बुरा ना कहो, वो अल्लाह की रेहमत है

“मत बुरा कहो हवा को! क्यूंकि वो अल्लाह की रेहमत में से है, जो रहमत या तबाही लेकर आती है, पर अल्लाह से उसकी भलाई मांगो और उसकी बुराई (तबाही) से पनाह चाहो।”

📕 सुनन इब्ने माजाह, हदीस3727 

The post हवा को बुरा ना कहो, वो अल्लाह की रेहमत है | Hawa Allah ki Rehmat hai: Hadees appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/hawa-bhi-allah-ki-rehmat-hai-usey-bura-na-kaho/feed/ 0 18006
सुभानअल्लाह और ला इलाहा इलल्लाह की फ़ज़ीलत | तस्बीह, तहलील और तक्दिस https://ummat-e-nabi.com/subhanallah-aur-la-ilaha-illallah-ki-fazilat/ https://ummat-e-nabi.com/subhanallah-aur-la-ilaha-illallah-ki-fazilat/#respond Thu, 02 Nov 2023 01:17:54 +0000 https://ummat-e-nabi.com/subhanallah-aur-la-ilaha-illallah-ki-fazilat/ Tasbih ko Ungliyon ke Poron Finger Tips par Shumar karo✦ मफ़हूम-ऐ-हदिस ✦ युसरा रजीअल्लाहु अन्हा फरमाती है के, नबी-ऐ-करीम (ﷺ) ने हम से फ़रमाया: “तुम लोग तस्बीह (सुभानअल्लाह) , तहलील (ला इलाहा इलल्लाह) और तक्दिस (सुभानल मलिकिल कुद्दुस या […]

The post सुभानअल्लाह और ला इलाहा इलल्लाह की फ़ज़ीलत | तस्बीह, तहलील और तक्दिस appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

✦ मफ़हूम-ऐ-हदिस ✦

युसरा रजीअल्लाहु अन्हा फरमाती है के, नबी-ऐ-करीम (ﷺ) ने हम से फ़रमाया:

“तुम लोग तस्बीह (सुभानअल्लाह) , तहलील (ला इलाहा इलल्लाह) और तक्दिस (सुभानल मलिकिल कुद्दुस या सुबहू कुद्दुस, रब्बना व ल मलाईकतु वा रुहु ) पढ़ते रहा करो।”

और इनको उंगलियों के पोरों (Finger Tips) पर शुमार करो।

इस लिए की क़यामत के दिन इस (उंगलियों) से सवाल किया जायेगा और वो बोलेगी, फिर गाफिल न हो जाना क्यूंकि इस से तुम असबाब-ऐ-रहमत भूल जाओगे।”

📕 जामिया तिरमिज़ी , 1506-हसन

Subhan’Allah aur La ilaha illallah Ki Fazilat – Tasbeeh, Tahleel aur Taqdis Padhte Raha karo.

The post सुभानअल्लाह और ला इलाहा इलल्लाह की फ़ज़ीलत | तस्बीह, तहलील और तक्दिस appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/subhanallah-aur-la-ilaha-illallah-ki-fazilat/feed/ 0 18068
Har Nasha Waali Cheez Haraam hai https://ummat-e-nabi.com/har-nasha-waali-cheez-haraam-hai/ https://ummat-e-nabi.com/har-nasha-waali-cheez-haraam-hai/#respond Wed, 14 Dec 2022 03:26:15 +0000 https://ummat-e-nabi.com/har-nasha-waali-cheez-haraam-hai/ Hadees: Har Nasha Waali Cheez Haraam haiHadees of the Day Har Nasha Waali Cheez Haraam hai ۞ Hadees: Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta’ala Tinatah-al-khabaal peelayega Jabir (R.A.) se riwayat hai ke, Jaishaan […]

The post Har Nasha Waali Cheez Haraam hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Har Nasha Waali Cheez Haraam hai

۞ Hadees: Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta’ala Tinatah-al-khabaal peelayega

Jabir (R.A.) se riwayat hai ke,

Jaishaan se ek Aadmi Aaya aur Jaishaan Ek Shahar (Town) hai Yeman me, Uss Aadmi ne RasoolAllah (ﷺ) se Uss Sharaab ke Baarey me Puchha ke Jo Unn Elaqon me Pee jati hai aur wo Sharaab jo Taiyaar hoti hai Uss Sharaab ko Mizr kaha jata tha.

Tou RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya “Wo Sharaab Nasha (Intoxicating) waali hai?”

Uss ne Arz Kiya, “Ji Haan!”

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :

“Har Nasha Wali Cheez Haraam hai, Kyon ke Allah Ta’ala ka uss Aadmi ke liye Waada hai ke Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta’ala Tinatah-al-khabaal peelayega.”

Sahaba ne arz kiya: “Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Tinatah-al-Khabaal kya cheez hai ?

Tou Aap (ﷺ) ne farmaya: “Dozakhiyon ka Pasina hai.”

📕 Sahih Muslim, Hadees no. 5217

• Note: Jo Cheez Ya Aamal Insan ko Madhosh kar de aur wo Apne Rab ke Zikr-Wa-Rehmato se thodi der ke liye bhi Gafeel ho jaye aisi har Cheeze Haraam hai, fir chahe woh Sharaab ho Tambakhu, Guthka ho ya Gaana-Bajana.


Jo bhi Peene waali Cheez Nasha Laaye wo Haraam hai

Hazrate Aayesha (R.A.) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –

“Jo bhi Peene Waali Cheez Nasha Laaaye wo haram hai.”

📕 Sahih Bukhari, Vol 1, Hadees: 242


Sharaab Peena aur Juwa Khelna Kaisa hai?

Allah Ta’ala Quran-e-Kareem me farmata hai:

۞  Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“(Aye Rasool!) Aap se log Sharaab aur Juye (Gambling) ke baare me puchte hai tou Aap Unsey keh Dijiye ke in me badaa Gunaah hai aur Logon ke liye kuch faydey bhi hai aur unka Gunaah unke Nafaa se bahut bada hai.”

📕 Al-Baqara 2:219

Related Post

The post Har Nasha Waali Cheez Haraam hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/har-nasha-waali-cheez-haraam-hai/feed/ 0 16376
Hasad kya hai aur Hasad se Bachne ki Dua https://ummat-e-nabi.com/hasad-se-panaah/ https://ummat-e-nabi.com/hasad-se-panaah/#respond Sat, 23 Jul 2022 17:27:36 +0000 https://ummat-e-nabi.com/hasad-se-panaah/ Hasad kya hai aur Hasad se Bachne ki Dua۞ Hasad ka Taruf | Hasad kise Kehte hai ? “Kisi Ko Khaata-Peeta Ya Falta-Foolta dekh kar Dil me Jalna aur Uski Neymato ke Zawaal (Khatam Hone) ki Tamanna Karna […]

The post Hasad kya hai aur Hasad se Bachne ki Dua appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

۞ Hasad ka Taruf | Hasad kise Kehte hai ?

Kisi Ko Khaata-Peeta Ya Falta-Foolta dekh kar Dil me Jalna aur Uski Neymato ke Zawaal (Khatam Hone) ki Tamanna Karna iss Kharab Aadat ka naam Hasad hai.

Hasad Bahut hi kharab aadat aur Nihaayat hi buri bala hai, Gunaah-e-Azeem hai. Hasad karne waale Ki saari zindagi Jalan aur Ghutan ki Aag me jalti rehti hai aur Ussey Chain wa Sukoon kabhi Naseeb nahi hota.

📕 Ahyaaul Uloom Jild-3, Safa-187

✦ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:

Kisi Insan ke Dil me Emaan aur Hasad ikhatte nahi reh sakte.

📕 Sahih Bukhari Sharif

Yaani ke Imanwala Hasad nahi kar sakta. Ya fir jo Hasad karey wo Emaanwala nahi.

Ek Riwayat me Aap (ﷺ) farmatey hai:

Apne Aapko Hasad (Jalan) se Bachao! Beshaq Hasad Nekiyon ko iss tarah kha jata hai, Jaise Aag Sookhi Lakdi ko kha jaati hai.

📕 Abu Dawood

Hasad Aisi Buri Cheez hai jo Emaan ko Khokla aur Allah ki Rehmat se Mehroom kar deti hai.

📕 Shaykh Abdul Qadir Jilani (R.A)

۞ Hasad Kaha Jayaz Hai ?

Hadees: Abdullah bin Mas’ud (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool’Aallah (ﷺ) ne farmaya: “Hasad Sirf 2 Baato me jayaz hai! (Ek) tou uss Shakhs ke baare me jisey Allah Ta’ala ne doulat di ho aur wo uss doulat ko Raah-e-Haq me kharch kare aur (Dusra) uss Shakhs ke baare me jise Allah Ta’ala ne Hiqmat di ho aur wo Uskey Jariye faisley karta ho aur logo ko uski taalim deta ho.” [Sahih Bukhari, Ilm Ka Bayan, 73]


۞ Hasido ke Hasad se Panah ke liye Dua:

Jis Tarha se Hume Hasad Karne se Bachne ka Hukm diya gaya hai, Ussi Tarha se Haasid ke Sharr se Panaah maangne ki Dua ke liye bhi kaha gaya hai. Quraan-e-Majid me iss tarha se Dua karne ko kaha gaya hai:

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Allah Ki Panaah Maangta Hoon, Haasid Ke Sharr Se Jab Wo Hasad Kare. (Ameen)

📕 Sureh Al-Falaq, Aayat 5

The post Hasad kya hai aur Hasad se Bachne ki Dua appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/hasad-se-panaah/feed/ 0 16134
Allah ki Rehmat se Kabhi Mayoos na ho! Mayusi Kufr hai https://ummat-e-nabi.com/mayusi-kufr-hai/ https://ummat-e-nabi.com/mayusi-kufr-hai/#respond Wed, 05 Aug 2020 05:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/mayusi-kufr-hai/ Mayusi Kufr hai Quotes1 Mayoosi Kufr hai “Aur Allah Ki Rehmat se Kabhi Mayus na ho! Beshaq Allah ki Rehmat se wo hi log Mayus hotey hai jo kafir hai.” [ Surah Yusuf […]

The post Allah ki Rehmat se Kabhi Mayoos na ho! Mayusi Kufr hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
1

Mayoosi Kufr hai

“Aur Allah Ki Rehmat se Kabhi Mayus na ho! Beshaq Allah ki Rehmat se wo hi log
Mayus hotey hai jo kafir hai.”

[ Surah Yusuf 12:87 ]

PREV ≡ LIST NEXT

2

मायूसी कुफ्र है।

और अल्लाह की रेहमत से कभी मायूस न हो, बेशक अल्लाह अल्लाह की रहमत से वही मायूस होते है जो काफिर है।

[ सूरह युसूफ १२ :८७ ]

PREV ≡ LIST NEXT

3

Despair is Kufr

“and do not despair of the mercy of Allah. Only they despair of Allah’s mercy who do not believe.”

[ सूरह तहा १३२ ]

PREV ≡ LIST NEXT

The post Allah ki Rehmat se Kabhi Mayoos na ho! Mayusi Kufr hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/mayusi-kufr-hai/feed/ 0 18099
Zikr Azkar ki Fazilat https://ummat-e-nabi.com/zikr-azkar-ki-fazilat/ https://ummat-e-nabi.com/zikr-azkar-ki-fazilat/#respond Sun, 15 Sep 2019 05:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/allah-ka-zikr-karnewalo-ki-fazilat/ Zikr Azkar ki fazilatZikr ki Fazilat Quran me Allah Ta’ala Quran-e-Majid me farmata hai: Isliye tum mera zikr karo main bhi tumhe yaad karunga, meri Shukr Guzari karo aur Nashukri se bacho.❞ [Al-Baqra:2:152] […]

The post Zikr Azkar ki Fazilat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Zikr ki Fazilat Quran me

Allah Ta’ala Quran-e-Majid me farmata hai:

  1. Isliye tum mera zikr karo main bhi tumhe yaad karunga, meri Shukr Guzari karo aur Nashukri se bacho.[Al-Baqra:2:152]

  2. Aye emaan waalo! Allah Ta’ala ka bahut ziyada zikr karo. [Al-Ahzaab: 22:41]

  3. Aur Allah Ta’ala ko ziyada yaad karne wale mard aur bahut ziyada yaad karne wali aurtain, Allah Ta’ala ne un ke liye maghfirat aur ajr-e-azeem tayyaar kar rakkha hai. [Al-Ahzaab 22:35]

  4. Aye insaan! Apne Rab ko apne dil mein aajzi aur khauf ke saath aur buland aawaaz ki nisbat past (dhimi) aawaaz ke sath subh-o-shaam yaad kar aur ghaafilon mein se na ho jana. [AI-A’raaf 7:205]


Zikr ki Fazilat Aahadees ki roshni me

۞ Hadees:Us shakhs ki misaal jo apne Rab ko yaad karta hai aur us shakhs ki misaal jo apne Rab ko yaad nahin karta, zinda aur murda ki tarah hai.

📕 Bukhari: 6407, Sahih Muslim:779

۞ Hadees: Aap (ﷺ)ne farmaya: “kya main tumhen tumhare aamaal mein se behtareen (amal) ke baare mein na bataoun, jo tumhare maalik ke nazdeek pakeezah tareen, tumhare darjaat me buland tareen, tumhare liye sona chandi kharch karne se achchha aur tumhare liye iss baat se bhi behtar ki tum apne dushman se aamna saamna karo to tum un logon ki gardanein maaro aur woh tumhaari gardanein maar le. Sahaaba (R.A) ne kaha: “Kyun nahin!” Aap (ﷺ) ne farmaya “Allah Ta’ala ka zikr.

📕 Tirmizi : 2377, Ibne Majah: 7390

۞ Hadees: Aap (ﷺ) ne farmaya: Allah Ta’ala farmata hain: “Main apne baare mein apne bande ke gumaan ke mutaabiq hoon, jab woh mujhe yaad karta hai tou main us ke saath hota hoon. agar woh mujhe apne dil mein yaad karta hai tou main use apne dil mein yaad karta hoon, agar mujhe kisi jama’at mein yaad karta hai tou main usey us’se behtareen jama’at me yaad karta hoon, agar woh baalisht bhar mere qareeb aaye tou main ek haath uske qareeb aata hoon. agar woh ek haath (ke faasle baraabar) mere qareeb aaye tou main do haath (phailane ke faasle ke baraabar) uske qareeb aata hun, agar woh chlata huwa mere paas aaye tou main daudta huwa uske paas aata hoon.

📕 Sahih Bukhari: 7405, Sahih Muslim: 2675

۞ Hadees: Abdullah bin Busr se marvi hai ke ek aadmi ne kahaa: “Aye Allah ke Rasool(ﷺ)! mujh par islaam ke ahkamaat bahut ziyaadah ho chuke hain, Aap mujhe kisi aise amal ke baare mein bataiye jis par main mazbooti se (mustaqil mizaaji ke saath) amal kar sakun. Aap(ﷺ) ne farmaaya: “tumhaari zabaan hamesha Allah ke zikr se tar rahe.

📕 Sunan Tirmizi:3375, Ibne Majah:3793

۞ Hadees: Aap (ﷺ) ne farmaaya:
“Jis shakhs ne kitabullah se ek harf padha, uske liye uske badle mein ek neki hai, aur ek apne jaise dus nekiyon ke baraabar hai (ya’ni dus guna ajar milega) Main nahin kahta ki Alif ek harf hai lekin alif ek harf hai laam ek harf hai aur meem ek harf hai.

📕 Sunan Tirmizi: 2910

۞ Hadees: Uqbah bin Aamir (R.A) se marvi hai unhon ne kaha ki hum safar mein the, Rasool (ﷺ) baahar aaye aur farmaya:
“tum mein se kaun hai jise pasand ho ki woh bathaan ya Aqeeq (do wadiyon ke naam) ki taraf savere jaye aur bade bade kuhaanon wali do ountniyan baghair gunah kiye aur baghair qata’ rahmi ke liye aaye. hum ne kaha aye Allah ke Rasool (ﷺ)! hum sab yeh baat pasand karte hain. Aap (ﷺ) ne farmaya: “kya tum mein se koyi shakhs aisa nahin jo subah savere masjid ki taraf aaye aur Allah azzawajal ki kitab ki do aayaat seekhe ya padhe yeh uske liye do ountniyon se behtar hai aur teen aayaat teen ountniyon se behtar hain aur chaar aayaat chaar ountniyon se behtar hain,aur jitni hi aayaat hongi utni hi ountniyon se behtar hain.

📕 Sahih Muslim 803

۞ Hadees: Jo shakhs kisi jagah baithha aur wahan usne Allah ka zikr nahin kiya to woh jagah Allah ki taraf se uske liye ba’yise nuqsaan (ghabrahat wa parishani) hogi aur jo shakhs kisi jagah leta jahan usne Allah ka zikr nahin kiya to woh jagah us ke liye Allah ki taraf se uske liye ba’yise nuqsaanfghabrahat wa parishani) hogi.

📕 Sunan Abu Dowood:4856

۞ Hadees: Jo qaum kisi aisi majlis se uthhti hai jis men unhon ne Allah ka zikr nahin kiya hota to gadhe ki sadi huyi laash jaisi cheez se uthhti hai aur yeh majlis unke liye ba’yise hasrat hogi.

📕 Sahih Abu Dawood:4855, Musnad Ahmed: 2/224


۞ Dua list ۞

Wazu se pahle aur baad ke azkaar


Namaz ki Duaien

  • Dua-e-lstaftaah
  • Qunoot-e-witr ki duayein
  • Namaaz-e-witr se salaam pherne ke baad azkaar
  • Qunoot-e-Naazilah
  • Suratul Faatiha
  • Ruku1 ki duayein
  • Ruku1 se uthhne ki dua
  • Ruku1 ke baad qiyaam ke azkaar
  • Sajdah ki Fazeelat
  • Sajde ki duayein
  • Jalsaye istarahat (do sajdon ke darmiyaan) ki duayen
  • Tashahhud
  • Nabi kareem par darood padhna
  • Durood Shareef padhne ki fazeelat
  • Salaam pherne se pahle Aakhir Tashahud ke baad ki Dua
  • Salaam pherne ke baad ke Azkaar
  • Fajr aur Maghrib ki namaaz ke baad ki duayein


  • Shaam ke Azkaar
  • Sote waqt ke Azkaar
  • Raat pahlu badalte waqt ki dua
  • Bura khwab dekhne wala kya kahe?


Khane peene ke waqt ki Duayein

  • Khana khate waqt ki dua
  • Khana khane se faarigh hone ki duayein
  • Khaaa khilaane wale ke liye dua
  • Jo shakhs kuchh khilaye pilaye uske liye dua


Safar ki duayein


Masaayib-o-Mushkilaat se Najaat Paane ke Azkaar

  • Namaze-lstekharah
  • Jise Museebat pahunche uski dua
  • Jis par koi mushkil aan pade uske liye dua
  • Kasrat-e-Durood ki Barkat-o-taaseer
  • Shaitani yalghar se bachne ke Azkaar
  • Qalbi wasawis ke tod ki dua
  • Dushman se bachao aur Dauran-e-Jung ke Azkar
  • Dushman ke liye bad dua
  • Dushman par ghalbah pane bughz-o-keenah se bachne ki dua


Qarz ke talluk se Dua



Munasibat par Masnoon duayein


Mutafarriq Duayein


Qur’ani duayein

  • Aadam (A.S) ki dua
  • Ibraheem (A.S.) ki duayein
  • Sulaimaan (A.S.) ka Izhaar-e-Tashakkur
  • Yunus (A.S.) ki dua
  • Ayyub (A.S.) ki dua
  • Yaqoob (A.S.) ki dua
  • Yusuf (A.S.) ki dua
  • Moosa (A.S.) ki dua
  • Ashab-e-kahf ki dua
  • Nabi Kareem(ﷺ) ki Zubaan-e-aqdas par kasrat se rahne wali dua
  • Surah Baqrah ki aakhri ayat ki duayein
  • Eman par sabit qadam rahne ki dua
  • Ibaadur Rehmaan ki duayein
  • Guzishta Musalmano ke liye momineen ki dua
  • Ahl-e-Taqwa ki dua
  • Ahl-e-Emaan ki dua
  • Istaghfaar ki fazeelat

The post Zikr Azkar ki Fazilat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/zikr-azkar-ki-fazilat/feed/ 0 16216
Fazail-e-Quran: Part 8 https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-8/ https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-8/#respond Mon, 08 Jun 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-8/ Fazaile Quran 8✦ Fazail 2: Quran Shifa hai Ruhani aur Jismani Nafsiyati Bimari ka Ilaj : ♥ Allah Rabbul Izzat farmata hai – Aye Logo! Tumhare pass Tumhare Rab ki taraf se […]

The post Fazail-e-Quran: Part 8 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Fazail 2: Quran Shifa hai Ruhani aur Jismani

Nafsiyati Bimari ka Ilaj :

♥ Allah Rabbul Izzat farmata hai –

Aye Logo! Tumhare pass Tumhare Rab ki taraf se Ek Aisi Cheez aayi hai jo Naseehat hai aur Dilo me jo Rog hai Unn ke liye Shifa hai aur Rehnumaee kerney waali hai aur Rehmat hai Eman Walon ke liye.

– Surah Yunus 10:57

… Yaha Dilo Ke Bimariyon Se Muraad Hai – Qina, Hasad , Bugz, Takabbur, Dikhawa, Jhuth Ye Sab Jo Nafs Ke Shar Hotey Hai Iss Kitaab Ke Andar Inn Tamam Shar Ka Ilaaj Hai ,….

Jismani Bimari ka Ilaj :

♥ Aagey Allah Rabbul Izzat farmata hai –

Quran ko Humne Nazil Kiya aur Iske Andar aisi Aayate hai Jo Insan ke liye (Jismani) Shifa hai aur Rehmat hai Mominin ke liye lekin ye Kitaab Zalimo ke liye Khassare ke Siwa aur kuch nahi hai.”

Surah Bani Israyeel 17:82

Yaani Jo Apne Nafs pe Zulm kare Uske liye you Isme Khassara hi hai tou Iss Kitab me Jismani Shifa bhi hai aur Ruhani Shifa bhi hai.

*Isi Tarha Aayiye Gour karte hai ke Isme Kya-Kya Cheezo ki Shifa hai.

1). Ye Dilo ke Amraz ka Ilaj hai –

Har Kism ki Nafsani Bimaari ka Ilaaj Quran me hai aur na Sirf Balki Jismani Sukun aur Itminan bhi Quraan me Milta hai aur Jiske Talluk se Allah Rabbul Izzat ne farmaya –

Allah ke Zikr me hi Insan ke Dil Itmninan paatey hai.

Surah Radd 13:28

… Tou Agar koi Shakhs Quraan ki tilawat karey tou Uska dil Itminan me hota hai aur har kism ke Bimari se bach jata hai.

Aur Isi baat ko Rasool’Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya aur kaha:

Quran padhne walo par Allah Sakinat Naazil karta hai”

Sahih Muslim

*Aaj Takriban Insan ko jo Bimari hoti hai Uski asal Vajah Besukuni aur Beitminani hi hoti hai aur Quran ki Khususiyat ye hai ke ye Sukun deta hai, dilo ko Sukun deta hai. Jehan ko Sukun deta hai, Balki Mominin jab Quraan padhtey hai tou Sakinat nazil hoti hai.

2). Junoon aur Mirgi ke Marz Ilaaj hai Quraan me –

Hadees: Aap (ﷺ) farmatey hai ke –

“Junoon aur Mirgi ke Bimari me Rozana Subha aur Shaam 3-3 Martba Surah Fatiha Padhkar Insaan apne Nafs par Damm karey.”

– Sunan Abu Dawood

3). Duao Ko Qabuliyat tak Pohchata hai ye Qalaam:

Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) farmatey hai ke –
Surah Fatiha Padhkar jo Cheez Allah se talab ki Jaaye Allah Ta’ala ata farmata hai.”

– Sahih Muslim

♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek aur riwayat me Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya –
Surah Baqrah ki Aakhri 2 Aayate Jo Shakhs Padh ley aur padhkar Allah se kuch talab karey tou Allah Rabbul Izzat Usko ata farma deta hai.”

– Sahih Muslim

• Ab Bohot Se Martba Ek Sawal Mere Aur Aapke Jehan Me Aata Hai Ke –
“Kya Wakay Me Aisa Karne Se Hume Fayda Hoga ?”
– Jis Wakt Humne Ye Socha Uss Wakt Humko Fayda Nahi Dega Ye Qalaam ,..
– Yahi Tou Khususiyat Hai Iss Qalaam Ki ,.. Ke Ispar Imaan Ho Tab Ye Apna Asar Dikhata Hai,…”

4). Nazar-e-Badd (Buri Nazar) Se Bachne Ka Ilaaj Bhi Hai Iske Andar –

Hadees: Abu Sayeed (Razi’allahu Anhu) Iss Hadees ke raawi hai. Aap farmatey hai ke –
Rasool’Allah (ﷺ) baaz Dua ke Jarye Jinnaat aur Shayateen ke Shar se aur Nazare-Badd se Allah ki Panaah Maang liya karte they, Lekin Jab Allah ne Mauzatain (Surah Falaq & Surah Naas) Naazil Kar Di Tou Rasool’Allah ne Wo Tamam Dua’ye Chorr di aur Aap ye 2 Duaye Hi padha karte they.

– Jamey Tirimizi

Tou pata chala ke ye Nazare-Badd ka Ilaaj hai. Jinnaat aur Shayateen ke fitno se bachne ka bhi Ilaaj hai. Goya Insaan isko padh le tou wo Allah ki Hifazat me chala jata hai.

Hadees: Isi Tarha ek aur riwayat me aata hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ke –
Allah ki panaah Mangney ki Dua’o me sabse behtar Dua Mauzatain (Surah Falaq & Surah Naas) hai”

– Sunnan Abu Dawood

… Tou Andaza lagaiye Jis Kitaab ki Pahli Surat aur Aakhri ki 2 Surat ke hi Itney fazail hai tou Mai Samjhta hu Bich ka tou pura baaki hai abhi !..

*Tou ye Agar Inn Pehli aur Aakhri Surato Ki ye Fazilat hai tou Andaza Lagayiye ke jab ye Khulega aur Shuru Hoga Surah Baqrah se Aagey tou kya-kya Faydey Jo ho sakta hai ke Hum Kabhi Jaaney aur Kabhi na bhi Jaane ke kya hotey honge.

*Aaj Iski Doori Ka Natija: Jehni Mariz, Jismani Mariz, Pareshaniya Aur Hamaaqsaam Ki Musibato Me Hum Mulawwis Hai Kyunki Humne Iss Kitab Ko Chorr Diya… Aur Ispe Wo Imaan Nahi Rakha Jaisa Iska Haq Hai..

5). Shaitaani Waswaso ka bhi Ismey Ilaj hai –

Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Jisko Shaitani Wasaawis Aatey hai wo Aayatul Khursi tilawat kar ley.”

– Sahih Bukhari

Hadees: Ek aur riwayat me Aap (ﷺ) farmatey hai –
Moajatain Padhkar apne Nafs par Dam Karo! Iss se Shaitan se Hifazat hoti hai.”

– Jamey Tirimizi

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
– Allah Ta’ala Hume Quraan-e-Kareem ko Padhne, Samjhne aur Uspar Amal ki taufiq dey!!

To Be Continue ….

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12

The post Fazail-e-Quran: Part 8 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-8/feed/ 0 17043
Sunnat ki Ahmiyat: Part 4 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-4/ https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-4/#respond Sat, 28 Feb 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-4/ Sunnat ki Ahmiyat: Part 4۞ Mafhoom-e-Hadees ۞ RasoolAllah (ﷺ) ne ek roz farmaya ke “Mere Jaanshino par Allah ki Rehmat ho!”Arz Kiya Gaya: “Ya Rasool’Allah! Aapke Jaanashin Koun Hain?”Farmaya: “Jo Meri Sunnat se Mohobbat […]

The post Sunnat ki Ahmiyat: Part 4 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

۞ Mafhoom-e-Hadees ۞

RasoolAllah (ﷺ) ne ek roz farmaya ke Mere Jaanshino par Allah ki Rehmat ho!”
Arz Kiya Gaya: “Ya Rasool’Allah! Aapke Jaanashin Koun Hain?”
Farmaya: “Jo Meri Sunnat se Mohobbat Rakhte Hain aur Usey Allah ke Bando ko Sikhate hai.
[Tafsir-e-Kabir]

Afsos Ki Baat Hai Ke: Aaj Humne Khud RasoolAllah (ﷺ) Ki Sunnat Ko Samjhne Se Airaz Kiya aur Badley me Jo Bhi Wirasat Se Hume Akide Miley Bus Uspar Aankh Bandh Karke Amal Karne Lag Gaye.

Phir Chahe Wo Amal RasoolAllah Ki Sunnat Ke Kitne Hi Khilaf Kyu Na Ho Uski Tehkik Karna Jaruri Nahi Samjha Aur Humne Deen Me Masumiyat Ikhtiyar Kar Li.

Kyu Deen Me Masumiyat Ikhtiyar Ki Humne ?

Aaj Jab Sunnat Ki Baat Hoti Hai .. Sunnat Par Amal Ke Liye Bulaya Jata Hai Tou Pahle Tou Sunnate Manmani Ijad Ki Gayi.. Aur Agar Koi Sawaal Kare Ke Bhai Ye Kaha Se Laye Ho ?
Tou Kahte Hai Ke “Tum Tou Mereko Bhatke Hue Dikh Rahe!!!”

Kyunki Ke Tumne Sawal Kiya,.. Aur Humne Tou Apne Baap-Dada Se Sawaal Nahi Kiya Aajtak. (Subhan’Allah)!!

*Tou Jo Logo Ko Deen Ke Mu’amlo Me Sawal Karne Se Rokte Hai
– Unsey Mai Puchna Chahunga Ke: “Kya Aisi Masumiyat Humne Duniya Me Bhi Ikhteyar Ki ?”

*Jab Duniya Me Aqal Lada Rahe Hai Hum,
– Pata Hai Ke Ladki Acchi Na Ho Aur Mujhe Pakda Di Jaye Tou Mai Fass Jaunga Zindagi Bhar!

*Tou Fir Ye Kyu Nahi Sochtey Hum Ke:
“Sunnat-e-Rasool Se Hatkar Jis Kisi Bhi Akide Par Mai Rahunga,
Tou Mai Qayamat Ke Deen Kya Jawaab Dunga Apne Rab Ko ?”

*Tou Yaha Jawabdehi Ka Madda Hai,.. Waha Ki Jawabdehi Bhul Gaye Hum?
– Isliye Ke Yaha Cash Dikh Raha Hai ,.. Aur Wo Tou Udhar Ka Muamla Hai Na ,..
– Qayamat Dikhi Nahi Hai Abhi.. Aur Aakhirat Aayi Nahi ,..

*Lekin Yaad Rakhiye Yeh Bohot Jyada Nazdik Hai Humse,.. Kab Mout Aajayegi Hume Pata Nahi ,..
*Pata Nahi Pichley Ramzan Kitne Log Humare Contact Me They,
Aaj Nahi Hai Aur Agle Ramzan Tak Ho Sakta Hai Bohot Se Hum’me Se Naa Ho ,..

*Tou Iss Se Pahle Ke Koi Bhi Kaam Karu Duniya Me Jo Tehkik Ka Madda Hai Deen Me Bhi Usko Istemaal Karu,
Jaanchu Aur Parkhu ,.. Kahi Aisa Tou Nahi Ke Mai Khamoshi Se Aankh Band Kar Kisi Ke Pichey Lag Gaya Aur Usney Le Jakar Gaddhe Me Mujhe Gira Diya …

*Tou Duniya Me Jaisi Tehkik Karte Hai Waisi Tehkik Deen Me Bhi Kijiye ,..
Ab Hum Yeh Nahi Keh Rahe: Ke Har Ek Ko Bohot Bada Allama Ban’ne Ki Jarurat Hai !
Lekin Aap Choti-Moti Baatey Tou Jaan Sakte Hai ,.. Jo Kum Se Kum Faraiz Se Tou Muttalik Ho ,.

#Misaal Ke Tour Par:
Aajka Mu’amla Tou Yeh Hai Ke, Agar Koi Shakhs Kahe Ke – “Safbandi Ke Aadab Yeh Hai, Safey Aisi Ho”
Jabki Ulemao Ki Baatey Hazaar Baar Sunn Rahe Hai Hum, Safbandi Ke Aadab Bataye Ja Rahe Hai ,
“Ke Saff Aisi Ho, Saffo Me Jagah Na Ho ,.. Kaandhe Se Kaandha Lagey, Kadam Se Kadam Milakar Rakho,.. Shaitan Ko Bich Me Aane Na Do, Sino Ko Bahar Na Nikalo!!!”

RasoolAllah (ﷺ) Ke Talluk Se Riwayato me Aata Hai Ke RasoolAllah Neza Letey aur Saffo Ko Durust Karte Imamat Se Pahle, Fir Ja Kar Khadey Hotey aur Farmatey Ke: “Saffo Ko Durust Karna Namaz Ke Qayam Karne Me Hai”

Lekin Agar Aaj Koi Boley ke Saffo Ko Durust Karo!
– Fouran Usey Logon Se Jawab Milta Hai: “Tum Tou Falah Jamat Se Lag Rahe Hume!!!” (Subhan’Allah)
– Jab Ki Yeh Tou Sunnat Hai RasoolAllah (ﷺ) Ki,

Kyu Humne Sunnato Ko bhi Baat Diya Alag-Alag Aitbar Se?
– Jamati, Ilaqayi, Rangat Ke Aur Mulko Ke Aitbaar Se?
– Ye Humari Aaj Halat Ho Gayi Sunnat Ke Muamlo Me,..

*Lihaja Allah Ke Liye! Baat ko Samjhey, Halaat Ko Samjhey aur Jitna Ho Sakey RasoolAllah (ﷺ) Ki Sunnato Par Khud Bhi Amal Karey aur Logon ko bhi Uski Dawat dey.

♥ In’sha’Allah-ul-Azeez!

Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey !!!

To be Continued …


The post Sunnat ki Ahmiyat: Part 4 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-4/feed/ 0 16980
Rasool’Allah (ﷺ) Tamam Aalam Ke Nabi …. https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-tamam-aalam-ke-nabi-hai/ https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-tamam-aalam-ke-nabi-hai/#respond Wed, 04 Feb 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-tamam-aalam-ke-nabi-hai/ Quran 21 107*Deegar Ambiya Aur Rasool Jo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Pahle Mabus Hue Pahle Aaye, Yeh Khusus Hotey, Makhsus Hotey Kisi Qoum Ki Taraf, Inka Paigaam Ek Wakt Tak Hota, […]

The post Rasool’Allah (ﷺ) Tamam Aalam Ke Nabi …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

*Deegar Ambiya Aur Rasool Jo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Pahle Mabus Hue Pahle Aaye, Yeh Khusus Hotey, Makhsus Hotey Kisi Qoum Ki Taraf, Inka Paigaam Ek Wakt Tak Hota, Aur Ye Nabi Ek Makhsus Hissey Ke Liye Aatey Ek Mehdud(Limited) Waqt Ke Liye ..

*Lekin Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Muamla Dusrey Ambiyao Se Mukhtalif Hai..

Aur Yeh Baat Aap Aur Hum Jantey Hai Ke Allah Rabbul Izzat Ne Faramaya –
♥ Al-Quran: “Wama Arsalnaka Illa Rahmatan Lil Aalameen”
(Trajuma: Aye Nabi! Humne Aapko Tamam Insaniyat Ke Liye Rehmat Banakar Bheja)
– (Surah-21: Aayat-107)
Ek Aur Aayat me Allah Rabbul Izzat Faramata Hai –
♥ Al-Quran: Aye Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Insaniyat Se Kehdo Ke Mai Tum Sabki Taraf Allah Ka Rasool Banakar Bheja Gaya Hu ,..”
– (Surah Al-Araf (7), Ayat-158)

… Tou Lihaja Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)
• Insano Ke Liye Bhi Nabi-e-Rehmat Hai,
• Rasool’Allah Jinno Ke Bhi Nabi Hai ,…
• Rasool’Allah Charind Aur Parindo Ke Bhi Nabi Hai ,…
• Rasool’Allah Tamam Makhlukat Jo Bhi Aalam Me Hai Unn Tamam Ke Nabi Hai …

*Aur Iski Wajahat AaHadeese Sharifa Se Bhi Hoti Hai Ke –
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Kayi Aahadees Hum Suntey Hai Ke –
# Wakiya: 1
Ek Mimber Tha, Jo Ek Khajur Ki Darakht Par Banaya Gaya Tha, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Uspar Khadey Hokar Khutba Diya Karte, Aur Ek Baar Yun Hua Ke Rasool’Allah Ne Apne Mimber Ki Jagah Badal Di, Tou Umar Bin Khattab Aur Abu Baqar Siddhiq (RaziAllahu Anhu) Farmatey Hai Ke Wo Jhaad Roney Laga Aur Uski Siskiya Hum Sunn Rahey They…
Fir Rasool’Allah Ne Hukm Diya Ke Isey Wapas Yaha Lakar Laga Do.,…
Tou Goya Aap Ek Jhaad Ke Bhi Nabi Hai..

# Wakiya: 2
Yeh Wakiya Bhi Humne Suna Ke Muslim Ki Riwayat Me Aata Hai Ke – Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Paas Ek Shakhs Ne Aakar Kaha Ke – ‘Ya Rasool’Allah ! Mera Ye Uoonth Baat Nahi Manta Meri, Nafarman Hai Yeh! ‘..
*Rasool’Allah Uskey Paas Gaye, Aur Uss Uoonth Ne Rasool’Allah Ke Kaan-e-Mubarak Tak Apna Muuh Laya Aur Kuch Baat Kahi,.
*Rasool’Allah Ne Uss Shakhs Se Kaha – ‘Ke Isney Mujhse Tumhari Ek Shikayat Ki Hai Ke Tum Fazar Ki Namaz Me Kotahi Kartey Ho Isiliye Ye Tumhari Baat Nahi Manta.. Lihaja Tum Wo Chorr Do Kotahi Yeh Tumhari Baat Manega..’

* Tou Goya Rasool’Allah Janwaro Ke Bhi Nabi Hai, Charind Aur Parind Ke Bhi Nabi Hai ,..
Aur Jhaad Aur Pahaad Jo Kuch Moujud Hai “Wama Arsalnaka Illa Rahmatan Lil Aalameen” Aalam Me Jo Kuch Moujud Hai, Rasool’Allah Unn Tamam Ke Nabi Hai.. Aur Tamam Ko Aapki Ita-At Farz Aur Wajib Hai ,..

* Aur Iski Wajahat Allah Rabbul Izzat Ne Surah Araf Ki Ayat 158 Me Farmaya –
Aye Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Insaniyat Se Kehdo Ke Mai Tum Sabki Taraf Allah Ka Rasool Banakar Bheja Gaya Hu,.”

Tou Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Insaniyat Ki Taraf Mabus Kiye Gaye, Aur Insaniyat Ka Kaam Hai Ke Wo Rasool’Allah Ki Itteba Karey, Farmabardari Karey Aur Aap Par Imaan Laye ,..

* Lihaja Hum Tamam Ko Chahiye Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Ko Apni Zindagi Me Lazim Aur Farz Jaaney.. Aur Ispar Khud Bhi Amal Karey Aur Dusro Ko Bhi Amal Ki Dawat Dey..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Ta’ala Humey Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Ka Muttabe Banaye,
# Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sacchi Mohabbat Hum’me Daaley…
# Unki Sunnato Ko Samjhna Aur Uspar Chalna Humare Liye Aasan Karey..
# Aur Humari Naslo Me Rasool’Allah Ki Sunnat Ko Baaki Rakhey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Rasool’Allah (ﷺ) Tamam Aalam Ke Nabi …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-tamam-aalam-ke-nabi-hai/feed/ 0 16918
Rasool’Allah Se Mohabbat Dono Jahaa Me Azmat …. https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-se-mohabbat-dono-jahaa-me-azmat/ https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-se-mohabbat-dono-jahaa-me-azmat/#respond Sat, 02 Aug 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-se-mohabbat-dono-jahaa-me-azmat/ ♥ Al-Quraan: Tumharey Pass Tum Hi Me Se Ek Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Aaye Hai Tumhari Takleef Unko Gira’ah (Apni Takleef) Maloom Hoti Hai, Aur Tumhari Bhalayi Ke KhwahishMand Hai […]

The post Rasool’Allah Se Mohabbat Dono Jahaa Me Azmat …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Al-Quraan: Tumharey Pass Tum Hi Me Se Ek Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Aaye Hai
Tumhari Takleef Unko Gira’ah (Apni Takleef) Maloom Hoti Hai,
Aur Tumhari Bhalayi Ke KhwahishMand Hai Aur Momeeno Par Nihayat Shafqat Karney Waley (Aur) Meharbaan Hai.
(Surah At-Taubah (9), Aayat-128)

♥ Al-Quraan: Aur Hum(Allah)ne Aap(Sallallahu Alaihay Wasallam)Ko
Tamaam Jahaan Ke Liye Rehmat Banakar Bheja Hai
(Surah Al-Anbiya (21), Aayat-107)

♥ Al-Quraan: Humney Aapko Tamam Insaano Ke Liye Khushkhabri Sunaney Wala
Aur Daraney Wala Banakar Bheja Hai Lekin Aksar Log Nahi Samajhtey.
(Surah Saba (34) , Aayat-28)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allahu (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Tum Me Se Koi Shakhs EmaanWala Nahi Hoga Jab Tak Uskey Walid
Aur Uski Aulaad Aur Tamam Logo Se Jiyada Uskey Dil Me Meri Mohabbat Na Ho Jaye”.
(Sahih Bukhari, Iman Ka Bayan, H-14)

The post Rasool’Allah Se Mohabbat Dono Jahaa Me Azmat …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-se-mohabbat-dono-jahaa-me-azmat/feed/ 0 16827
Uska Sara Waqt Namaz Me Shumar Hoga https://ummat-e-nabi.com/uska-sara-waqt-namaz-me-shumar-hoga/ https://ummat-e-nabi.com/uska-sara-waqt-namaz-me-shumar-hoga/#respond Sat, 14 Jun 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/uska-sara-waqt-namaz-me-shumar-hoga/ ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Koi Shakhs Namaz Ki Wajah Se Jab Tak Kahi Par Ruka Rahega Uska […]

The post Uska Sara Waqt Namaz Me Shumar Hoga appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Koi Shakhs Namaz Ki Wajah Se Jab Tak Kahi Par Ruka Rahega
Uska Ye Sara Waqt Namaz Me Shumar Hoga
Aur Farishte Uske Liye Dua Karte Rahenge Ki –
Aye ALLAH! Iski Magfirat Farma Aur Iss Par Apni Rehmat Nazil Kar
(Farishte Tab Tak Ye Dua Karte Hain) Jab Tak Wo
Namaz Se Farig Hokar Apni Jagah Se Na Uth Jaye”.
(Sahih Bukhari, Vol-4, Hadith no. 3229)

The post Uska Sara Waqt Namaz Me Shumar Hoga appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/uska-sara-waqt-namaz-me-shumar-hoga/feed/ 0 16792
Jo Kisi Musalman ke Aib Chupayega https://ummat-e-nabi.com/beshumar-rehmat-e-khudawandi-nek-amal-karne-walo-par/ https://ummat-e-nabi.com/beshumar-rehmat-e-khudawandi-nek-amal-karne-walo-par/#respond Mon, 25 Nov 2013 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/beshumar-rehmat-e-khudawandi-nek-amal-karne-walo-par/ ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – *Jo Kisi Musalman Ki Parda-Poshi Karega (Aib Chupayega) Allah Ta’ala Duniya Aur Aakhirat […]

The post Jo Kisi Musalman ke Aib Chupayega appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
*Jo Kisi Musalman Ki Parda-Poshi Karega (Aib Chupayega) Allah Ta’ala Duniya Aur Aakhirat Me Uski Parda-Poshi Farmayega.
*Allah Subhanahu Ta’ala Uss Bandey Ki Madad Me Rahta Hai Jab Tak Banda Apney Bhai Ki Madad Me Hota Hai.

*Aur Jo Koi Ilm Ki Talab Me Koi Raasta Chaley Tou Allah Subhanahu Ta’ala Uskey Liye Jannat Ka Raasta Aasan Farma Deta Hai.

*Aur Jab Koi Allah Ke Ghar(Masjid) Me Jama Hokar Allah Ki Kitab(Quraan-e-Kareem) Ki Tilawat Karey Aur Aapas Me Allah Ki Kitab Ko Samjhey Aur Samjhaye Tou Farishtey Unko Gher Letey Hain Aur Unn Par Sakinat(Sukun) Nazil Honey Lagta Hai Aur Rahmat Unko Dhaanp Leti Hai Aur Allah Unka Zikr Apney Paas Waley Farishton Me Farmata Hai.
*Aur Jiska Amal Usko Peechey Kar De Uska Nasab (Khandan) Usey Aagey Nahi Kar Sakta..”
(Sunan Ibn Majah, Vol 1, Hadith no.225)

The post Jo Kisi Musalman ke Aib Chupayega appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/beshumar-rehmat-e-khudawandi-nek-amal-karne-walo-par/feed/ 0 16581
Allah Ke Paas Kitni Rehmat aur Kitna Azaab Hai ? https://ummat-e-nabi.com/allah-ke-paas-kitni-rehmat-aur-kitna-azab-hai/ https://ummat-e-nabi.com/allah-ke-paas-kitni-rehmat-aur-kitna-azab-hai/#respond Sat, 15 Jun 2013 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/allah-ke-paas-kitni-rehmat-aur-kitna-azab-hai/ ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurraia (RaziAllahu Anhu) Ka Bayan Hain Ke, Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Farmatey Huwe Suna – “Jis Roz Allah Ne Rehmat Ko Paida Kiya Tou UsKey […]

The post Allah Ke Paas Kitni Rehmat aur Kitna Azaab Hai ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurraia (RaziAllahu Anhu) Ka Bayan Hain Ke,
Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Farmatey Huwe Suna –
“Jis Roz Allah Ne Rehmat Ko Paida Kiya Tou UsKey 100 Hissay Kiye
Aur 99 Hissay Apne Paas Rakh Kar Ek (1) Hissa Apni Saari Makhlooq Ke Liye Bhej Dia.
*Pas Agar Kafir Bhi Yeh Jaan Le Ke Allah Ke Paas Kitni Rehmat Hai Tou
Woh Bhi Jannat Se Mayoos Na Ho Aur Agar Momin Yeh Jaan Jaye Ke
Uss Ke Paas Kitna Azaab Hai Tou Jahannum Se Woh Bhi Be-Khouf Na Rahey”.
– (Sahih Bukhari 5/2374 Hadith no. 6204)
– (Sahih Muslim 4/2109 Hadith no. 2755)
– (Tirimzi 5/549 Hadith no. 3542)

The post Allah Ke Paas Kitni Rehmat aur Kitna Azaab Hai ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/allah-ke-paas-kitni-rehmat-aur-kitna-azab-hai/feed/ 0 16368