Aaj ki Hadees | Hadees in Roman Urdu

19 April 2024

Hadees : Allah Ta'ala Zalim ko Chand Roz ki Mohlat deta rehta hai

Hadees of the Day

Allah Ta’ala Zaalim ko Chand Roz ki Mohlat deta rehta hai

✦ Hadees: Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

Allah Ta’ala Zaalim ko chand roz duniya me muhlat deta rehta hai lekin jab pakadta hai toh phir nahi chodta. Rawi ne bayan kiya ke phir Aap (ﷺ) ne is aayat ki tilawat ki:

‏{‏ وَكَذَلِكَ أَخْذُ رَبِّكَ إِذَا أَخَذَ الْقُرَى وَهْىَ ظَالِمَةٌ إِنَّ أَخْذَهُ أَلِيمٌ شَدِيدٌ‏ }‏

“Aur tere Parwardigar ki pakad issi tarha hai, jab wo basti walo ko pakadta hai Jo zulm karte rehte hain, beshak iski pakad badi takleef dene waali aur badi hi sakht hai.” (Surah Hud 11:102)

📕 Sahih al-Bukhari;  © www.ummat-e-nabi.com/home | Arabic ref: Book 65, Hadith 4686

Aaj ki Hadees section me ab Rozana Hadees jaane Sahih Dalaeel ke Sath Roman Urdu mein, Aaj ki Hadees | Hadees of the Day in Roman Urdu, Get Daily Hadees of the Day updates in Roman Urdu, Daily Beautiful Hadees of the day in the light of Authentic Sources | Daily Hadees notification, Hadees of the Day

और देखे :