Parhezgar – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Mon, 18 Sep 2023 10:17:15 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Parhezgar – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Islam kya hai ? | What is Islam ? | 5 Pillars of Islam https://ummat-e-nabi.com/islam-kya-hai/ https://ummat-e-nabi.com/islam-kya-hai/#respond Mon, 18 Sep 2023 10:17:09 +0000 https://ummat-e-nabi.com/islam-kya-hai/ Islam kya hai What is Islam 5 Pillars of IslamIslam kya hai ? ۞ Hadees-e-Nabawi: Islaam ye hai ki tum Shahadat(Gawahi) do ki Allah ke Siwa koi Ibaadat ke Laaiq nahi aur Muhammad (ﷺ) Uss (Allah) ke Rasool hain, […]

The post Islam kya hai ? | What is Islam ? | 5 Pillars of Islam appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Islam kya hai ?

۞ Hadees-e-Nabawi: Islaam ye hai ki tum Shahadat(Gawahi) do ki Allah ke Siwa koi Ibaadat ke Laaiq nahi aur Muhammad (ﷺ) Uss (Allah) ke Rasool hain, “Namaaz Qaaim Karo, Zakaat Ada karo, Ramazaan ke Roze rakho aur agar Hajje Baitullah Jaane ka Maal paas me hai tou Hajj karo.”

📕 Muslim, Jild -1, Safa-27


Islam ke Farz Arqan 5 Hain: (5 Pillars of Islam)

(1) Kalma Padhna. (Shart) – (Must for Everyone)
(2) Namaaz Padhna. (Farze Ain. Muqarrar Waqt par Din me 5 baar.) (For Everyone)
(3) Roze Rakhna. (Farze Ain. Maahe Ramazaan me.) – (For Everyone)
(4) Zakaat Dena. (Saahibe Nisaab par. Maahe Ramzan me.) – (Only for Capable People)
(5) Hajj Karna. (Saahibe Isteta’at par. Maahe Zil Hijja me.) – (Only for Capable People)

**************

(1) Kalma :

Ye Shahaadat (Gawahi) Dena ke Allah Ta’ala ke Siwa koi Ibaadat ke Laaiq nahi aur Muhammad (ﷺ) Allah ke Rasool hain.

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Pas Jaan lijiye ke Allah ke siwa koi Ma’abood nahi.

Surah Al-Muhammad 47:19

Muhammad (ﷺ) Allah ke Rasool Hain.

Surah Al-Fath 48:29

(2) Salaat (Namaaz) :

Ba-Wuzu Qibla Roo Hokar Niyyat Karke Takbeere Tehrima Ke Baad Tarteeb Se Qayaam, Sana, Tilawate Surah Al-Faatiha Aur Qir’at, Rooku’, Qauma, Sujood, Jalsa, Qa’ada Aur Tashh-Hud Duroode Ibraheem Aur Dua-e-Mashura Ke Baad Salaam Karna.

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Beshak Namaz Mo’mino par Muqarrar Waqt ke Hisaab se Farz hai.

Surah An-Nisa 4:103

(3) Sawm (Roza) :

Allah Ta’ala Ki Ibadat Ke Liye Niyat Ke Saath Khud Ko Sub-H Saadiq Se Lekar Guroobe Aaftab Tak Khaane Peene Aur Jima’a (Sohbat) Se Roke Rakhna.

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Aye emaan walo! Tum par Roze Farz kiye gaye, Jaise Aglo par Farz hue they ke kahin tumhe parhezgari mile. Ginti ke Din.

Al-Baqarah 183, 184

(4) Zakaat :

Allah ke liye Apne Maal ka Utna Hissa Jo Shara’a me Muqarrar kiya gaya hai Musalman faqeer (Haajatmand) ko de kar Usey uss Maal ka Maalik bana dena.

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Aye Emaan Walo! Jo Kuchh Hum(Allah) ne Tumhe ata kiya hai Uss me se (Allah Ki Raah me Nek Kaam me) Kharch Karo

Al-Baqrah 2:254

(5) Hajj :

Allah Ta’ala ki Ibadat ke Liye Ehram ke Saath Niyat Karke Zil Hijja ke 5 Din me Ya’ni 8we Chand se 12we Din Tak Mina Me Qayaam Karke Musalsal Muqarrar Din Ko Muqarrar Waqt Par Muqarrar Maqaam Par Tarteeb Ke Saath Muqarrar Arqan Ya’ni Wuqoofe Arafa, Wuqoofe Muzdalifa, Rami-e-Jimaar, Qurbani, Halaq Ya Takseer, Tawaafe Ziyarat aur Mabeet (Wuqoofe Mina) Ada Karna.

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Aur Allah Ta’ala ka Haq hai Insaan Par Ke Baitullah ka Hajj kare Jo Waha Pahunchne ki Haisiyat Rakhta ho.

Surah Aale Imraan 3:97

**************

Islam ke Farz Arqan Khaime ke Sutoono ki tarah hain. Kalma-e-Shahadat padhna ye bich wala Sutoon hai aur baaqi 4 Arqaan 4 Koney ke Sutoon hain.

Agar kisi Khaime ka bich wala Sutoon sahi na ho tou wo Qaaim nahi reh sakta aur Kone ka koi Sutoon sahi na ho tou khaima Uss taraf se Jhuk jaayega. aur agar kone ke chaaro Sutoon sahi nahi tou khaima khada tou hoga magar Chaaro taraf se Jhuka hua.

Esi tarah bagair Kalma-e-Shahadat padhe koi Shakhs Musalman ho hi nahi sakta aur Baaqi 4 me se koi sahi nahi hoga tou Uss ka Deen uss taraf se sahi nahi hai. Yaani agar Namaaz Ada nahi karta tou uske Deen ka Khaima uss taraf se Khaami wala hai aur esi tarah Roza, Zakaat aur Hajj ka bhi hai. Agar Chaaro Farz Arqan ada nahi karta tou wo (Kalma Padhne se) Musalman tou hoga magar uske Deen ka Khaima Mukammal na hoga aur Khaami wala hoga.

**************

# Allah Rabbul Izzat Hum Tamam Ko Deen-e-Haq par chalne ki taufikq ata farmaye,
# Hume Iske Arqano par Ikhlas ke saath Amal ki taufiq ata farmaye,
# Jab tak Hume zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhey.
# Khatma Humara Imaan par ho.

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Islam kya hai ? | What is Islam ? | 5 Pillars of Islam appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/islam-kya-hai/feed/ 0 16637
Sood Na Khao Aur Allah Ta’ala Se Daro https://ummat-e-nabi.com/sood-na-khao-aur-allah-taalaa-se-daro/ https://ummat-e-nabi.com/sood-na-khao-aur-allah-taalaa-se-daro/#respond Tue, 31 Aug 2021 07:29:54 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sood-na-khao-aur-allah-taalaa-se-daro/ Apne Rab ki Jannat ki taraf daudoBismillah-Hirrahman-Nirrahim “Momino! Badha Chadha kar Sood naa Khao aur Allah Ta’ala se Daro Taake Tumhe Nijaat Miley.aur Uss Aag se daro jo Kafiron ke liye Tayyar ki Gaee hai. Aur […]

The post Sood Na Khao Aur Allah Ta’ala Se Daro appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

“Momino! Badha Chadha kar Sood naa Khao aur Allah Ta’ala se Daro
Taake Tumhe Nijaat Miley.
aur Uss Aag se daro jo Kafiron ke liye Tayyar ki Gaee hai.

Aur Allah aur Uske Rasool ki Farmabardaari karo taake Tum per Reham kiya jaaye,

Aur Apne Rab ki Bakshish ki taraf aur Uss Jannat ki taraf Daudo
jisska Araz Aasamano aur Zameen ke Baraabar hai
jo Parhezgar ke kiye Tayyar ki gaee hai”.

[ Surah Al-Imran, 3:130-133 ]

The post Sood Na Khao Aur Allah Ta’ala Se Daro appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sood-na-khao-aur-allah-taalaa-se-daro/feed/ 0 16083
Takkabur kya hai aur takabbur karna kisko zeba deta hai ? https://ummat-e-nabi.com/takkabur-kya-hai/ https://ummat-e-nabi.com/takkabur-kya-hai/#respond Fri, 03 May 2019 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/takkabur-kya-hai/ Takabbur kya hai in roman urdu by Ummat e NabiTakkabur kise kehte hai ? Jawaab: khud ko Afzal aur dusron ko Haqeer samjhne ka naam Takabbur hai. ✦ Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmatey hai ki “Takabbur haq ki Mukhalifat […]

The post Takkabur kya hai aur takabbur karna kisko zeba deta hai ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Takkabur kise kehte hai ?

Jawaab: khud ko Afzal aur dusron ko Haqeer samjhne ka naam Takabbur hai.

✦ Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmatey hai ki “Takabbur haq ki Mukhalifat aur logon ko Haqeer jaan ne ka naam hai.[Sahih Muslim: Hadith 91]

Allah Rabbul Izzat Takabbur ke talluk se Qurane Majid me farmata hai:

1). ❝ Aur yaad karo jab hum (Allah) ne farishton ko hukm diyaa ki Aadam ko sajda karo tou sab ne sajda kiya siwaaye iblis ke jo munkir huwa aur guroor kiya aur kaafir ho gaya.[Surah Baqrah 2:34]

2). ❝ Takkabur se apne Nafs ki pakizagi na jataya karo, jo parhezgar hain usko Allah khoob jaanta hai. ❞ [Surah Najm, 53:32]

✦ Qaul: Hazrate Abu Bakr Siddhiq (RaziAllahu Anhu) farmate hai ke: “Bhala Wo Shakhs kis tarha Takabbur kar sakta hai, Jo Mitti se bana ho, Mitti me milne wala ho aur mitti me Keede-Makore ki gizah ban’ne wala ho.

Tou Malum hua Takabbur karna insan ko zeba nahi deta jabki agar koi takabbur karne ka haq rakhta hai to wo hai sirf Allah subhanhu taala ki jaat, AL–MUTAKABBIR yaani sabse aala, yeh Allah ki sifat hai. kyunki wahi tamam zahano ko banane wala aur palne wala hai.

Allah Ta’ala hum tamam ko Takabbur se bachaye aur aazizi inkesari ikhteyar karne ki taufik ata farmaye. Ameen Allahumma ameen…

The post Takkabur kya hai aur takabbur karna kisko zeba deta hai ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/takkabur-kya-hai/feed/ 0 16185
Roze ka asal Maqsad Taqwa / Parhezgari hai https://ummat-e-nabi.com/roze-ka-asal-maqsad/ https://ummat-e-nabi.com/roze-ka-asal-maqsad/#respond Tue, 08 May 2018 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/roze-ka-asal-maqsad/ Roze ka Asal Maksad Taqwa aur Parhezgari haiAllah Rabbul Izzat ne Surah Baqraah ki Aayat 183 me farmaya aur kaha: “Aye Emaan walo tum par Roze farz kiye gaye, Jaise tumse pichli Ummato par farz kiye they […]

The post Roze ka asal Maqsad Taqwa / Parhezgari hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Allah Rabbul Izzat ne Surah Baqraah ki Aayat 183 me farmaya aur kaha:

“Aye Emaan walo tum par Roze farz kiye gaye, Jaise tumse pichli Ummato par farz kiye they ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.”

[Surah Baqrah 2:183]

Tou Taqwa Roze ka maksad hai, Taqwa Ramzan ka asal maksad hai, Taqwa Roze ka paigaam hai, Taqwa Ramzan ka paigaam hai.

Aur Allah Rabbul Izzat ne baar-baar is paigaam ko dohraya aur kaha: “Aye wo logo jo imaan laye ho Taqwa (Parhezgaari) ikhiyar karo” aur ye aayat Quraan me baar–baar repeat hui hai.

Tou gour karne wali baat hai ke Taqwa yaani Allah ka darr jo ki bohot hi Ahmiyat waali baat hai jiska paigam hume diya gaya.

Isiliye Kyunki: Allah ka darr jab insan me aa jata hai tou Insan Haram aur Halal ki tameez karne lagta hai, Deeno Shariyat aur Duniyawi fizul kaamo me fark karne lagta hai, Duniya par Aakhirat ko tarzi deney lagta hai, dhokeybazi, jhooth, Zina, Sharab, juwa aur tamam buri khaslato se ahtiyat karta hai.

Tafseeli jankari ke liye Ramzan Ki Fazilat ke Baaki Parts ka bhi mutala kare,. jazakAllahu Khairan Kaseera,.

[vc_wp_custommenu nav_menu=”30670″ el_class=”clean_m also_2clm”]

The post Roze ka asal Maqsad Taqwa / Parhezgari hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/roze-ka-asal-maqsad/feed/ 0 18769
Taqwa aur iski Ahmiyat https://ummat-e-nabi.com/taqwa-aur-iski-ahmiyat/ https://ummat-e-nabi.com/taqwa-aur-iski-ahmiyat/#respond Sun, 17 Jan 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/taqwa-aur-iski-ahmiyat/ Taqwa♥ Bismillah Hirrahman Nirrahim ♥ “Inna Akramakum ‘IndAllahi Atqakum” “Beshaq Allah ke Nazdik ikram wala wohi hai jo Allah ka Darr(Taqwa) rakhta ho” (Al Quran, Surah Huzrat 49:13) Allah Rabbul […]

The post Taqwa aur iski Ahmiyat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Bismillah Hirrahman Nirrahim ♥

“Inna Akramakum ‘IndAllahi Atqakum”

“Beshaq Allah ke Nazdik ikram wala wohi hai jo Allah ka Darr(Taqwa) rakhta ho”

(Al Quran, Surah Huzrat 49:13)

Allah Rabbul Izzat ne Baar-Baar is Paigaam ko Dohraaya: “Aye wo logo jo Imaan laye ho Taqwa ikhiyar karo” aur ye Aayat Quraan me baar–baar repeat hui hai.

Tou gour karne wali baat hai ke Taqwa yaani “Allah ka Darr” jo ki bohot hi ahmiyat wali baat hai jiska paigam hume diya gaya.

Kyunki Allah ka Darr jab insan me aa jata hai tou Insan Haram aur Halal ki tamiz karne lagta hai, Deeno Shariyat aur Duniyawi fizul kaamo me fark karne lagta hai. Duniya par Aakhirat ko tarji deney lagta hai. Dhokeybazi , Jhuth aur tamam burai khaslato se ahtiyat karta hai.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah Taala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal ki Taufiq Dey ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Taqwa aur iski Ahmiyat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/taqwa-aur-iski-ahmiyat/feed/ 0 17174
Neki Aur Parhezgari Me Ek-Dusre Ki Madad Karo …. https://ummat-e-nabi.com/neki-aur-parhezgari-me-ek-dusre-ki-madad-karo/ https://ummat-e-nabi.com/neki-aur-parhezgari-me-ek-dusre-ki-madad-karo/#respond Fri, 10 Oct 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/neki-aur-parhezgari-me-ek-dusre-ki-madad-karo/ !!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! “Neki Aur Parhezgari Me Ek Dusrey Ki Madad Karo, Aur Gunaah Wa Zulm Par Madad Na Karo!, Aur Allah Se Daro Beshaq Allah Ka Azaab Sakht Hai..” […]

The post Neki Aur Parhezgari Me Ek-Dusre Ki Madad Karo …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
!!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Neki Aur Parhezgari Me Ek Dusrey Ki Madad Karo,
Aur Gunaah Wa Zulm Par Madad Na Karo!,
Aur Allah Se Daro Beshaq Allah Ka Azaab Sakht Hai..”
(Al-Quraan: Surah Al-Ma’ida, A:2)

♥ Mafhoom-e-Hadees:
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
“Allah Uspar Raham Nahi Karta –
Jo Logon Par Raham Nahi Karta!”

Aagey Farmaya:
– Wo Hum’me Se Nahi Jo Humaare Choto Par Reham Na Karey ,..
– Aur Hamarey Bado Ki Izzat Na Kare ,..
– Aur Achchi Baat Ka Huqm Na Kare ,..
– Aur Buri Baat Se Manaa Na Karey!”.
(Kanoon-e-Shariat – Jild 2 – Safa 288)

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
*Allah Rabbul Izzat Hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal Ki Taufik Dey!!

The post Neki Aur Parhezgari Me Ek-Dusre Ki Madad Karo …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/neki-aur-parhezgari-me-ek-dusre-ki-madad-karo/feed/ 0 16120
Riyaa ka Adna martaba bhi Shirk hai https://ummat-e-nabi.com/riyaa-ka-adna-martaba-bhi-shirk-hai/ https://ummat-e-nabi.com/riyaa-ka-adna-martaba-bhi-shirk-hai/#respond Thu, 19 Jun 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/riyaa-ka-adna-martaba-bhi-shirk-hai/ Riyaa ka Adna martaba bhi Shirk hai♥ Mafhoom-e-Hadees: Tabrani wa Hakim ne Ibne Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya – “Riyaa ka Adna martaba bhi Shirk hai aur tamam Bando me […]

The post Riyaa ka Adna martaba bhi Shirk hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Mafhoom-e-Hadees: Tabrani wa Hakim ne Ibne Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –

“Riyaa ka Adna martaba bhi Shirk hai aur tamam Bando me Allah ke Nazdik woh zyada Mehboob hai Jo parhezgar hai jo chupey huye hai. Agar wah gayab ho tou Unhey koi talaash na karey aur Gawahii de tou pehchane na jaye wah log hidayat ke imam aur Ilm ke charag hai.”

The post Riyaa ka Adna martaba bhi Shirk hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/riyaa-ka-adna-martaba-bhi-shirk-hai/feed/ 0 16801
Takabbur Se Apne Nafs Ki Pakeezgi Na Jataya Karo ! ….. https://ummat-e-nabi.com/takabur-se-apne-nafs-ki-pakeezgi-na-jataya-karo/ https://ummat-e-nabi.com/takabur-se-apne-nafs-ki-pakeezgi-na-jataya-karo/#respond Fri, 24 May 2013 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/takabur-se-apne-nafs-ki-pakeezgi-na-jataya-karo/ ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! “Jo Log Sagirah Gunaaho Se Aur Behayayi Ki Bato Se Bache Rehte Hai Beshaq Tumhara Parwardigar Badi Bakshish Wala Hai, Wohi Tumko Khub Jaanta Hai […]

The post Takabbur Se Apne Nafs Ki Pakeezgi Na Jataya Karo ! ….. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Jo Log Sagirah Gunaaho Se Aur Behayayi Ki Bato Se Bache Rehte Hai
Beshaq Tumhara Parwardigar Badi Bakshish Wala Hai, Wohi Tumko Khub Jaanta Hai
*Jab Usney Tumko Mitti Se Paida Kiya Aur Jab Tum Apni Maa Ke Pait Me Bacche They
*Tou Takabbur (Pride) Se Apne Nafs Ki Pakeezagi Na Jataya Karo,
Jo Parhezgar Hai Usko Allah Khub Janta Hai”.
(Surah Najm, Ayat 32)

» Tafseer 1: Iss Aayat-e-Kareema Ke Tahat Mufti Ahmed Yar Khan Fermate Hain –
“Ye Aayat Un Logon Ke Muta’liq Nazil Hui Jo Apni Nekiyon Per Fakr Karte The Aur Fakhiriya Kehte They Ke –
“Hamari Namazen Aesi Hain! Hamare Roze Aese Hain! Hum Aese!”
Uss (Yaani Allah Ta’ala) Hi Ka Jaan’na Kafi Hai Aur Tum Apne Taqwa Taharat Ka Logon Me Kyun Aylaan Karte Ho !
Lutf Tou Tab Hai Ke Jab Banda Kahe: “Main Gunaahgar Hun”
Aur Rab Kahe: Ye Parhezgar Hai!”.
(Noor-Ul-Irfan, Page 841-842)

» Tafseer 2: Iss Aayat-e-Kareema Ke Tahat Hazrat Sayyiduna Ibn Jurayj Fermatay Hain Ke –
“Is Ka Mana’a Ye Hai Ke Jab Tum Accha Amaal Karo Tou Ye Na Kaho: “Main Ne Amaal Kiya”.
(Ihya-Ul-Uloom, Jild 3, Page 452) – @[156344474474186:]

♥ In’Sha’Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq De!!
# Humare Tamaam Amaal Ko Riyaakari Ke Fitno Se Paak Rakhe,
# Jab Tak Hume Zinda Rakhe Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhe,
# Khatma Humara Imaan Par Ho ….
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Takabbur Se Apne Nafs Ki Pakeezgi Na Jataya Karo ! ….. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/takabur-se-apne-nafs-ki-pakeezgi-na-jataya-karo/feed/ 0 16331