Mafadparast – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Sun, 13 Aug 2023 18:42:57 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Mafadparast – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Kya Quran Gumaarahi Lata Hai ? https://ummat-e-nabi.com/kya-quran-gumaarahi-lata-hai/ https://ummat-e-nabi.com/kya-quran-gumaarahi-lata-hai/#respond Sun, 13 Aug 2023 18:42:54 +0000 https://ummat-e-nabi.com/kya-quran-gumaarahi-lata-hai/ Kya Quran Gumaarahi Lata Hai ?Kya Quran Gumaarahi Lata Hai ? Aaj Humare Quraan se Doori ki Sabse Ghatiya aur Intehahyi Baqwas Vajah ye hai ke “Quraan Padhey tou Gumraah ho Jatey. Subhan’Allah !!! *Jo […]

The post Kya Quran Gumaarahi Lata Hai ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Kya Quran Gumaarahi Lata Hai ?

Aaj Humare Quraan se Doori ki Sabse Ghatiya aur Intehahyi Baqwas Vajah ye hai ke “Quraan Padhey tou Gumraah ho Jatey. Subhan’Allah !!!

*Jo Quraan Insaniyat ke liye Kitab-e-Hidayat hai Agar wo Musalmano Ko hi Gumrah kar Dey tou kya Dawat Denge Hum Gairmuslimo ko ?

*Darhakikat Wo Log Khud Gumrah Ho Chukey Hai Iss Kitab Ko Chodkar Jo Kahtey Hai Ye Kitab Gumrahi Deti Hai ,..

*Allah Rabbul Izzat Ek Aayat Me Fermata Hai Ke –

Jo Meri Hidayat ki Pairwi Karega wo kabhi Gumraah nahi hoga.”

Surah Taha 20:123

… Lihaja Allah Ki Kitab Hidayat Ki hi hai Wo kabhi Gumraahi nahi deti,
Siway Iske – ke Kafir agar Isey Gumrahi ki Niyat se Padhey tou Wo Gumrah Ho jayega,
Lekin Jo Hidayat Ki Niyat se Padhta hai Wo Sirf aur Sirf Hidayat Hi Pata hai.

*Gour Karne Wali Baat hai Mere Azizo! koi Aam Baat Nahi, Ek Badey Mansubo ke tehat Musalmano ko Apne Hi Rab ke Qalaam se Door Karne Ki Sajish Ki Ja rahi hai, taaki Ummat Ki La-Ilmi ka fayda Uthakar ye Log Apni Dukaney chala Sakey.

*Aur Na Jaane Kaise-Kaise Bahano se Ummat Ko Allah Ki Kitab Se Door Rakha Gaya ,..
Jabki Ye Kitab Agar Sabke Liye Hai Tou Ye Mushkil Kaise Ho Sakti Hai ?
– Ha Ye Baat Alag Hai Ke Uski Gehrayi Tak Sab Nahi Ja Sakte, Ulema Aur Mufakkir Hi Jayenge,..
– Lekin In Mafadparsto Ne Ulemao Ki Tafseer Bhi Nahi Padhni Di Logon Ko ,.. Taaki Kahi Inki Poley Na Khul Jaye ,…

Yaad Rahe Agar Quraan Ek Samndar hai tou Isme Sab Tair sakte hai,
Lekin Gota Sirf Makhsus Log Hi laga Saktey hai.

*Kyunki Ke Quraan Sabke liye aaya hai,
– Allah Janta tha Ke Ye Quraan Qayamat Tak ke liye Hidayat hai , Isme Yahudi Honge , Isayi honge, Majushi Honge , Tamam Kism ke Mushrik aur kafir honge.

Tou Sabke Hisab se Quraan Design kiya Hoga Na Allah ne! Ke Sab Samjh Sakey, Yakinan Sabke liye Hidayat hai Isme.

*Aur Wakiyat bhi Suntey hai Hum ke
“Falah Yahudi Quraan Padha Tou Imaan laya, Falah Isayi Quraan Padha aur Imaan Laya.”

Kaise Iman Laya? Humare Over-Smart Hazraat tou Kehte hai ke Ye Kitaab tou Gumrahi Laati hai … Subhan’Allah !!!!

*Aakhirat me Aise Logon ki sakht Pakad hone Wali hai Jo Allah Ke Hidayat ke sath Aisa Sulooq karte hai, Allah Hume Bachaye Inke Fitno se.

♥ Allah Rabbul Izzat Se Aakhir Me Dua Hai Ke
# Allah Hume Kahne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufik Dey ,
# Hum Tamam Ke Liye Quraane Majid Ko Padhna , Samjhna Aur Uspar Amal Karna Aasan farmaye ,
# Hume Mafadparsto Ke Fitno Se Bachaye ,
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan Par Zinda Rakhey.
# Khatma Humara Imaan par Ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Kya Quran Gumaarahi Lata Hai ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kya-quran-gumaarahi-lata-hai/feed/ 0 17463
Aye Kash! Maine Rasool Ka Rasta Apnaya Hota https://ummat-e-nabi.com/rasool-ka-rasta/ https://ummat-e-nabi.com/rasool-ka-rasta/#respond Sun, 31 Jul 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/rasool-ka-rasta/ Al Quran 25 271♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! Uss Roz Zalim (Afsos Aur Nadamt Se) Apne Hath Kaat Kar Khayega Aur Kahega “Aye Kash! Mai Ne Rasool Ka Rasta Apnaya Hota! Haye Meri Bad-Bakhti […]

The post Aye Kash! Maine Rasool Ka Rasta Apnaya Hota appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
Uss Roz Zalim (Afsos Aur Nadamt Se) Apne Hath Kaat Kar Khayega Aur Kahega “Aye Kash! Mai Ne Rasool Ka Rasta Apnaya Hota! Haye Meri Bad-Bakhti Ke Kaash Mai Falaa (Gumrah Shaks) Ko Apna Dost Na Banaya Hota…”
– [Surah:Furqan (25) Aayat No:27-28]

*Mere Azeezo ! Iss Ayate Mubarak Me Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Rastey Se Muraad “Kitabo Sunnat” Ki Pakiza Rehnumayi Hai,..
– Na Ki Kisi Mafadparasto Ka Tareeka Jo Kitabo Sunnat Se Takrata Ho ,..

*Iski Misaale Tou Anginat Hai Lekin Bus 1 Hi Misaal Dene Ki Koshish Karenge Aapko ,..
#‎ Qabrparsti‬ : Allah Ke Nek Bando Ki Qabro Ko Mazaro Me Tabdil Karna Aur Uspar Taraha-Tarha Ki Khurafatey Karna Ye Baaz Moulviyo Ne Deen-e-Islam Se Jod Diya Hai Jiska Qurano Sunnat Me Kahi Bhi Tazkira Nahi Milta, Aur Naa Hi Sahaba Ne Kabhi Kisi Qabr Ko Mazar Me Tabdil Kiya ,.. (Ilaah Ke Baad Ke Zamane me logon Ne Chand Sahaba Ki Qabr par Mazare Banayi) ,.

– Tou Jo Cheez Allah Aur Uske Rasool Ke Farman Me Nahi Milti, Jo Akida Sahaba Ke Aasar Me Kahi Bhi Nazar Nahi Aata Usey Islam Se Jod Kar Aakhir Kya Sabit Karna Chahte Hai Ye Baaz Mafadparast Hazraat ? ..
– Inhi ki Jahalat aur Baddakhlakhi Dekhkar Humare Nadan Gairmuslim Bhai Deen-e-Islam Ki Pakiza Shariyat par, Allah Aur Uske Rasool Ki Taalimat Par Tanz Karte Rehte Hai ,.. “ke Miya tum’me aur hum’me fark hi kya ? tum lete ko pujte ho aur hum khadey ko..” Astagfirullah !

– Aur Jab Koi Aise Mafadparast Moulviyo Se Sawal Karey Tou Munafiko Ki Sifat Apna Kar Gaaliyo Ki Bouchaar Karne Se Bhi Baaz Nahi Aatey Ye Log ,.. Aur Kehte Hai Ke Hum Tou Islam Ka Difa Kar Rahe Hai ,.. (Subhan’Allah!!!)

*Yakinan Difa Tou Kar Rahe Hai! Lekin Islam Ka Nahi, Apne Chando Ke Dhando Ka, Chillam aur Hukka Center ka yaani Dargaaho ki Aad me Hukka Center ka marqaz jo inhone bana rakaha hai ,..
– Aur Ye Baaz Jahil Moulvi Jantey Hai Ke Logo Tak Qurano-Hadees Ki Batey Pohochegi Tou Logon me Shaoor Aajayega Aur Fir Humare Chande Band Ho Jayegene ,.. Lihaja Jitna Ho Sakey Qurano Hadees Ki Baate Karne Walo Se Aam Muslamano Ko Door Hi Rakho, Unhe Apne Masjido Me Bhi Na Aane Do, Hatta Ke Unhe Gustakh-e-Rasool Ka Label Tak Chipka Do ,..
– Ab Jab Koi Gustakhe-Rasool Ke Naam Se Mashhoor Ho Jayega Tou Kya Koi Khakh Uski Baat Sunega ? …

*Samjhdaro Ke Liye Is Post Me Bohot Aham Nasihat Hai Mere Azeezo!!! ..
*Lihaja Humari Aap Tamam Se Darkhwast Hai Ke –
– Nafsparsto Ke Fareb Ko Samjhne Ki Koshish Karey ,..
– Aur Jitna Ho Sakey Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Rasta Yaani Quraan Aur Hadees Ki Taraf Ruju Karey ,..
– Sahih Ulemaye Deen Se Rafta Qayam karey unki Sohbat iktiyar karey,..
– Apne Aamal Aur Ikhtelaaf Me Allah Aur Uskey Rasool Ko Haakim Banaye ,..
– Zindagi Ke Tamam Shobo Me Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Tareeka Apnaye ,..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!!
*Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufik Dey ,..
(Ameen! Allahuma Ameen !!!)

The post Aye Kash! Maine Rasool Ka Rasta Apnaya Hota appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/rasool-ka-rasta/feed/ 0 17612
Kya Quraan Mushkil Kitab Hai ? https://ummat-e-nabi.com/kya-quraan-mushkil-kitab-hai/ https://ummat-e-nabi.com/kya-quraan-mushkil-kitab-hai/#respond Fri, 05 Feb 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/kya-quraan-mushkil-kitab-hai/ Al Quran 54 17» JAWAAB: Log Allah Ki Hidayat Se Door Rahe Isliye Mafadparsto ne Shariyate Islamiya me Beshumar Tawhaam Gadhey , in me se Ek Ye Bhi hai Ke Quraan Bohot Mushkil […]

The post Kya Quraan Mushkil Kitab Hai ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

» JAWAAB: Log Allah Ki Hidayat Se Door Rahe Isliye Mafadparsto ne Shariyate Islamiya me Beshumar Tawhaam Gadhey , in me se Ek Ye Bhi hai Ke Quraan Bohot Mushkil Kitab hai, Lihaja Aam Log Isey Samjh nahi Saktey ,..
Tou Aayiye Dekhte Hai Ke Allah Rabbul Izzat Is Talluk Se Kya Wajahat Farma Raha hai ,..

# Ek Misaal Deta Hu ke
– Aapka Ek Bacha Hai Jo Har Roz School Se Fatkey Kha Kar Aata Hai,.. Aap Jakar School Ke Teachers Se Vajah Puchtey Ho Ke – “Kyu Marte Ho Mere Bacche Ko Har Roz..”
*Tou Wo Teacher Kehta Hai Ke – “Ye Bacha Padhke Hi Nahi Aata Kuch,. Kal Humne Physics Padhaya, Chemistry Padhaya, Botany Padhaya Fir Bhi Isey Kuch Nahi Samjhta ,..”

*Aap Kahoge – “Ye Tou K.G. Me Admission Dilaya Maine Isey Teacher! … Aur Aap Tou College Ke Subjects Padha Rahe Usko ,..”
Aap Uss Bewakuf Teacher Ko Fatkey Dekar Aaoge,.. Ke Wo Log Baccho Ko Aisa Syllabus Padhatey Hai Jo Unki Umr Ke Liye Hai Hi Nahi ,..

*Ab Mera Ek Buniyadi Sawal Hai Ke
“Allah Rabbul Izzat Apne Bando Ke Liye Ek Kitab Bana Raha Hai ,..
Agar Wo Kitab Bando Ko Hi Samajh Na Aaye Tou Koun Bewakuf Hua Usme ,.. ? ”

♥ Subhan’Allah !!! Allah Rabbul Izzat Tou Hikmat Wala Hai,.. Wo Ye Kaam Nahi Kar Sakta Ke Aisi Kitab De Dey Uske Bando Ko,.. Jisko Wo Padhna Farz Karey , Jispe Amal Ko Farz Karey Aur Ye Kahe Ke Tumko Samjh Me Nahi Aayegi ..

*Jabki Ye Samhjh Aati Hai Siway Iske Ke Humne Isey Samjhna Na Chaha Aur Kuch Mafadparsto Ne Hume Samjhne Na Diya,..
*Aur Jaahir Si Baat Hai Ke – Jab Sabke Liye Qalam Hai Tou Kaise Hum Nahi Samajh Saktey Isey ?

*Allah Rabbul Izzat Quraan Me Farmata Hai – [Surah (54) Qamar] me Aayat 17, 22, 32, 40 Aisi 4 Baar Ye Aayat Repeat Hoti Hai –
Ke Humne Iss Quraan Ko Nasihat Ke Liye Aasan Kar Diya Hai! Tou Hai Koi Padhney Wala Aur Is Se Nasihat Hasil Karnewala ,…” – (Al-Quran: 54:17) – @[156344474474186:]

… Allah Keh Raha Hai Aasan Hai Aur Baaz Log Keh Rahe Hai Mushkil Hai ,.. Subhan’Allah!!

*Lihaja Hume Chahiye Ke Mafadparsto Ke Behkaawe Se Bahar Nikley Aur Allah Ki Kitaab Par Gour Kare,. Uska Muta’ala Karey Aur Uspar Amal Ki Koshish Karey ,..
* * * * *

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ,..

The post Kya Quraan Mushkil Kitab Hai ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kya-quraan-mushkil-kitab-hai/feed/ 0 17461
Musalman Aapas Me Bhai-Bhai Hai ,… https://ummat-e-nabi.com/musalman-aapas-me-bhai-bhai-hai/ https://ummat-e-nabi.com/musalman-aapas-me-bhai-bhai-hai/#respond Mon, 28 Sep 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/musalman-aapas-me-bhai-bhai-hai/ mirrorAllah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me Farmata Hai: ♥ Al-Quraan: “Beshaq Momin Aapas Me Bhai-Bhai Hai” – [Surah(49) Hujrat; Ayat-10] – Ek Riwayat Me Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai – […]

The post Musalman Aapas Me Bhai-Bhai Hai ,… appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me Farmata Hai:
♥ Al-Quraan: “Beshaq Momin Aapas Me Bhai-Bhai Hai”
– [Surah(49) Hujrat; Ayat-10]

– Ek Riwayat Me Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Momin Dusre Momin Ka Aaeena (Mirror) Hai,
Aur Momin Dusre Momin Ka Bhai Hai. Jo Nuksaan Ko Uss Se Door Karta Hai
Aur Uski Gair-Moujudgi Me Uski Hifazat Karta Hai”.
– (Sunan Abu Dawud, Vol-3, Hadith no. 1486)

# Subhan’Allah!!
– Kya Wakay me Aaj Hum Me Aisa Bhaichara Hai ?
– Kya Wakay me Aaj Hum Ek-Dusre Ki Aibposhi Karte Hai?
Aur Ek-Dusre Ki Islah Ki Niyat Rakhte Hai ?

*Allah Reham Karey!! Aaj Hum Choti-Choti Fiqri Ikhtelaaf Ki Buniyad Par
Ek Dusre Par Kufr Ke Fatwe Lagaane Se Bhi Baaz Nahi Aatey ,..

*Chand Mafadparast Logon Ke Behqaawe Me Aakar Hum Apne Hi Bhaiyo Ko Zaleel Aur Ruswa Karne Lag Gaye ,..
*Angrezo Ki Policy Divide & Rule Ka Istmal Kar Rasool’Allah Ki Ummat Ko Firqo Me Banta Ja Raha Hai
Aur Hum Unkey Fareb Ko Samjh Bhi Nahi Pa Rahe ,..
*Pahle Angrezo Aur Unke Mukhbiro Ne Ummat Me Inteshar Failaye ,..
Ab Chand Imani Kamzori Ke Log Is Kaam Ko Apne Chando Ke Dhando Ke Lalach Me Sir-Anjam De Rahe Hai ,..

# Tajjub ki Baat Hai !!! Log Kitabo-Sunnat ke Barkhilaf Falah aur Falah ki Tabedari ko Haq Taslim Kar Letey Hai ,…
– Aur Kitabo-Sunnat Par Chalne Walo ko Gumraah Kehte hai ,…
– Na Janey Kaisi Kaisi Badd’Qalami Karte Hai,..
– Hatta ki Gaaliyo Ki Bouchhar Tak Karte hai ,… (Subhan’Allah!!)

*Aur Fir Jab Allah Ka Gazab Nazil Hota Hai Tou Uss Sey Reham Ki Ummid Karte Hai –
“Ke Qoume Humpar Kyu Tasslud Kar Rahi Hai ?”

# Yaad Rakhiye !!! Humara Dushmanane Deen Ke Hatho Shikahat Hona Ye Allah Ki Taraf Se Hume Nashisth Hai Ke –
“Ek Ho Jao, Allah Aur Uskey Rasool Ke Farmabardar Ho Jao! Ya Pichli Ummato Ki Tarha Halaaq Ho Jao ..”
Aur Iske Beshumar Hawale Hume Qurane Kareem Se Aur Qoumo Ki Tareek Se Miltey Hai ,..

*Tou Beharhaal Hume Chahiye Ke Qoum Ke Shar-Pasando Ko Pehchaney ,..
*Unkey Fareb Ko Janey Aur Ummat Me Inteshar Failane Walo Se Doori Ikhtiyar Karey ,..
* * * * * *

# Allah Rabbul Izzat Hum Tamam Ko Ek Aur Nek Banaye ..
# Mafadparasto Ke Fitno Se Humare Imaan Ki Salamti Ata Farmaye…
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

• ummat-e-nabi.com/home | • Fb.com/HadiseNabwi

The post Musalman Aapas Me Bhai-Bhai Hai ,… appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/musalman-aapas-me-bhai-bhai-hai/feed/ 0 17146
Fazail-e-Quraan: Part 11 https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-11/ https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-11/#respond Fri, 28 Aug 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-11/ Fazail-e-Quraan: Part 11Quraan se Doori ki Wajuhaat: Fazail ki La-Ilmi, Walidain ki Laparwahi Aulad ki Tarbiyat me, Ummul Fitan (T.V.) ...

The post Fazail-e-Quraan: Part 11 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Quraan se Doori ki Wajuhaat

Quraane Majid ke Beshumar Fazilto ke Ba-Wajud Log Is’sey padhtey nahi tou ab Aayiye Unn Aham 8 Wajuhat par Gour karte hai ke log Quraan kyu nahi padhtey ?

1). Pahli wajah: Fazail ki La-Ilmi

Quraan se Doori ki Sabse Pahli Wajah ye hai ke Hume Quraan ke Fazail hi nahi Maloom! ke Iskey Faydey kya hai tou jab Kisi Cheez ke Fayde hi Maaloom nahi Hotey tou Insan Istemaal hi nahi karta! Seedi si baat hai.

Lihaja Sab se Pehle Fayde Maloom kijiye ke “Quraan ke Fazail kya hai ? …” Kyunki Hum Fazail nahi jantey tou Fayda nahi uthatey.

Khajana Ghar me pada hai, Uski Ahmiyat nahi Maalom Isiliye Usey Istemal bhi nahi kar paatey, Isko koi Johari aa kar parkhta hai Jo Gairmuslim Iman laatey hai wo parkhtey hai Iss Kitab ko aur Wo jab Iman latey hai tou Hum ko Rashk aata hai, Sharm aati hai ke mere Ghar me ye kitab thi, Maine hi Isko di, Iski Zindagi tou badal gayi lekin Mai wahi ka wahi pada raha.

Tou Iske Fazail Janiye, Fazail Jan’ne se Iski Ahmiyat maloom hogi, Ahmiyat Maloom honey se Ispe Amal karna aasan ho jayega aur Datt kar Ek Musalman Ispey amal karega..

Tou sab se pahli wajah Quraan se Door hone ki ye hai ke Iske Fazail. Iski Ahmiyat se Hum Gafil hai. Tou Ummat ke Jimmedaran ki ye Jimmedari hai ke Awam ko Iske Fazail se rubru karwaye.

* * * * *

2). Dusri wajah: Walidain ki Laparwahi Aulad ki Tarbiyat me

Ye Sabse badi Wajah hai Aaj Quraan se Doori ki ke Walidain apni Aulad ko Quraan ki Ahmiyat aur Fazilat ke Talluk se koi dars nahi letey.

*Hala ke Allah Rabbul Izzat ne Quraan me ye Hukm de Chuka hai ke Aye Imanwalo ! Apne Aap ko aur Apne Ahlo Ayyal Ko Jahhannum Ki Aag Se Bachao” -(Al-Quran 66:6)

Ye Aayat Hum Baar-Baar Padhtey hai Lekin phir bhi Walidain ki Koshish Nazar nahi aati Apne Aulad ki Tarbiyat me.. Ellah Masha’Allah jo karte hai wo Iss se bari hai.

*Baccho ko Hum Badey-Badey Schools me daltey hai ! Daliye Acchi baat hai.

Yahi Baccha Doctor, Engineer, Architecture ban Raha hai aur pata nahi Kin-Kin Shobo me Maharat hasil kar raha hai, Lekin kuch nahi aata hai Usko tou wo hai Allah ka Qalaam usey padhna nahi aata. tou Walidain ki sabse badi kotahi hai Iskey andar.

Aur Aayiye ye baat bhi hum rakh detey hai ke Surah Zumar ki Aayat 15 me Allah ne dekhiye kya baat farmayi.

Agar Walidain Samjh Jaye tou bohot Acchi baat hai.

Aye Nabi Sunlo ! Roze Qayamat Jo sabse badey khasara Uthaney waley log wo hongey Jisne Apne Nafs ko Aur apne Ahlo Ayyal ko Khasare me daal diya.”

Al-Quran 39:15

Lihaja sabse khassara Uthaney wale Log wo honge Jisne Apne Nafs ko bhi Allah ki Hidayat se door rakha aur Apni Ahlo Ayal ki bhi Tarbiyat na ki.

Tou Allah ke Qalam se Doori ki Dusri sabse badi Wajah ye hai ke Walidain ki kotahi Aulad ki Tarbiyat me tou Soch lijiye Apne Rab ko hum kya Jawab denge gour karne waali baat hai mere azeezo !! …

* * * * *

3). Tisri Sabse badi wajah: Ummul Fitan (T.V.)

Allah ke Qalaam se Humari Doori ki Tisri Wajah Television hai, ye bohot badi Fitne ki Jadd hai, Ye Fasion parasti, ye Burayi, Behayai , Besharmi, Zina, Bepardagi, Nowjawano ki Berahravi ye tamam Cheezo ki wajah hai TV. Isiliye Ummul Fitan yaani fitno ki Maa Naam diya humne isey.

Ye Satellite Chanel ne Ummat ka beda gark kar diya, kyunki ke Jab 4 Ghantey, 10 Ghantey Tv Dekhenge tou Allah ka Qalaam kab padhenge? kab mouka milega?

Isiliye Hum Baar-Baar kehtey hai ke Jo log Apni Gharo ki islah chahtey hai wo T.V. ko Uthakar Phenk dey ghar se, tab hi Aapke Gharo ki islah ho sakti hai warna Ummid hi mat kijiye ke Aap ki Naslo ko acchi tarbiyat de paoge.

Kyunki Jabtak Ganda Paani aata rahega , Acha Paani Uss Hauz me nahi bhara ja sakta, ye T.V. gandgi lata hai, aur Aap Kahoge ke ab Deen Sikhaunga, Shariyat Sikhaunga, Kitabo Sunnat ki taleem deta rahunga.

Hume Bataye kya Sikhenge wo Bacche?

Deeno-Shariyat tou Aadhey Ghaney ka hoga, baaki 10 ghantey T.V. dekhete rahenge aur Usi se sikhtey hai ke kya karna hai aur kya nahi karna.

* * * * *

4). Chauthi wajah: Badi Umar ki wajah se Zizak

Ab mai budha ho gaya, Ab Mai bada ho Gaya, 30 Saal ka ho gaya, 50 Saal ka ho gaya, Quran ab kaise Sikhu?

Aksar ye wajah bhi hoti hai Logon ki Quraan se doori ki tou Yaad rahe Quraan ki Taleem hasil karne ki koi makhsoos Umr nahi hai. koi Sharm ki baat nahi hai.

Sahaba par jab Quraan Nazil hua tou koi 60 Saal ka hai, tou koi 70, 80 tou koi 90 Saal ka hai aur sab Dilchaspi se sikh bhi rahe they, kyunki jab Fayda Maloom ho gaya tou kisi bhi Umar me sikha ja sakta hai.

* * * * *

5). Paanchvi wajah: Deegar Qutub aur Wajaeef ki Bharmar

Deegar Qutub aur Wajaif ko Logon ne itni Ahmiyat de di ke Quraan ke Bil muqabeel Logone doosri kitabe Ijaad ki.

Ya kuch Logno ne Quraan ko hata hi diya aur kaha ke iski tou Jarurat hi nahi hai Insaniyat ki hidayat ke liye. Iske liye tou falah kitab hi hidayat ke liye hai. Aur Uss Kitab se aisi Mohabbat karte hai jaisa Allah ki Kitab se honi chahiye, Uss Kitab par wo tawajjo detey jo Allah ki Kitab ka Haq hai.

Tou Deegar Qutub aur Wajaeef ne Is Quraan ki Ahmiyat ko kum kar diya. Allah Hume bachaye aise fitno se.

* * * * *

6). Chati wajah: Bohot Mushkil Kitab hai (Maaz’Allah)

Aapko Ek Misaal dete hai, Aapka ek Bacha hai jo har Roz School se phatke kha kar Aata hai, Aap Ja kar School ke Teachers se wajah puchtey ho ke “Kyu Marte ho Mere Bacche ko har Roz..?”

Tou wo Teacher kehta hai ke “Ye Bacha padhke hi nahi aata kuch, Kal humne isey Physics padhaya, Chemistry padhaya, Botany padhaya phir bhi Isey kuch nahi samjhta…”

Aap kahenge “Ye tou K.G. me Admission dilaya maine Isey Teacher! … aur Aap tou College ke Subject padha rahe usko…”

Lihaja Aap Uss Bewakuf Teacher ko phatkey de kar Aaoge, ke wo log Baccho ko aisa Syllabus padhatey hai Jo Unki Umr ke liye hai hi nahi.

Ab Humara Ek buniyadi sawal hai ke “Allah Rabbul Izzat apne Bando ke liye ek Kitab bana raha hai, Agar Wo Kitab Bando ko hi Samajh na aaye tou koun Bewakuf hua usme ?”

Subhan’Allah !!! Allah Rabbul Izzat tou Hiqmat wala hai. Wo ye kaam nahi kar sakta ke aisi kitab de dey uske bando ko, jisko wo padhna farz karey , Jispe Amal ko farz karey aur ye kahe ke tumko samjh me nahi aayegi.

Jabki ye samajh aati hai siway Iske ke Humne Isey samjhna na chaha aur kuch Mafadparsto ne hume samjhne na diya.

Aur Jaahir si baat hai ke Jab sab ke liye Qalam hai tou kaise hum nahi samajh saktey isey ?

Allah Rabbul Izzat Quraan me farmata hai Surah Qamar me aayat 17, 22, 32, 40 aisi 4 baar ye Aayat Repeat hoti hai ke

Humne Iss Quraan ko Nasihat ke liye Aasan kar diya hai! tou hai koi padhney wala aur Is se nasihat haasil karne wala.

(Al-Quran: 54:17)

Allah keh raha hai Aasan hai aur baaz log keh rahe hai Mushkil hai. Subhan’Allah!!

Lihaja Hume Chahiye ke Mafadparsto ke behkaawe se bahar nikley aur Allah ki Kitaab par Gour kare, Uska Muta’ala karey aur uspar amal ki koshish karey.

* * * * *

7). Saatvi wajah: Padhey tou Amal karna padta

Quraan se doori ki Ek wajah yeh bhi hai ke Quraan Padhey tou amal karna padta aur Naa padhe tou bach jatey. Subhan’Allah!!

Agar Wakay me “Quran ko Padhey tou Amal karna padta aur nahi padhey tou chal jata” Iss Usool ko Maan ley tou hume Batayiye sabse pahle Jannat ka Mustaheeq koun?

Jaahir si baat hai kaafir hi hotey, wo tou kehety ke “Aye Allah Padhna aur Naa Padhna tou bohot door ki baat ! Humko tou Maloom hi na thi ke ye teri Kitab hai. Lihaja Hum tou tere Azab se bari ho gaye. (Subhan’Allah)

Hume Bataye kya ye log Jannat me jayenge ? Agar Aap na kahte hai tou phir Ummid kaise karte hai ke Hum bhi na padhe tou Jannat ke Mustaheeq ho jayenge?

Darhakikat ye Shaitan ka diya hua Ek bahana hai jo Usney Allah ke Qalaam se Musalmano ko door karne ke liye diya hai. Sharm ki baat hai ye Kitaab tou aayi thi Insaniyat ke Amal ke liye, lekin humne Is se Doori ko apna Shaiwa bana liya hai.

* * * * *

8). Aathnvi wajah: Quraan padhey tou Gumaarah ho jatey (SubhanAllah)

Ek Sabse Ghatiya aur Intehahyi baqwas wajah ye hai Aaj Humare Quraan se doori ke ki Quraan padhey tou Gumraah ho jatey. Subhan’Allah !!!

Jo Quraan Insaniyat ke liye Kitab-e-Hidayat hai agar wo Musalmano ko hi Gumrah kar dey tou kya dawat denge hum aur aap Gairmuslimo ko ?

Darhakikat wo log khud Gumraah ho Chukey hai Iss Kitab ko chodkar jo kahtey hai ye kitab Gumrahi deti hai.

Allah Rabbul Izzat ek Aayat me farmata hai ke –

Jo Meri Hidayat Ki Pairvi Karega Wo Kabhi Gumraah Nahi Hoga.

(Surah Taha Ayat 123)

Lihaja Allah ki Kitab Hidayat ki hi hai Wo kabhi Gumraahi nahi deti siway iske ke Kafir agar isey Gumrahi ki Niyat se Padhey tou wo Gumrah ho jayega.

Lekin Jo Hidayat ki Niyat se padhta hai wo Sirf aur sirf Hidayat hi pata hai.

Gour Karne wali baat hai Mere Azizo! koi Aam baat nahi.

Ek Badey Mansubo ke tehat Musalmano ko apne hi Rab ke Qalaam se door karne ki sajish ki ja rahi hai. Taaki Ummat ki La-Ilmi ka fayda uthakar ye log apni dukaney chala sakey.

Aur na jaane Kaise-Kaise bahano se Ummat ko Allah ki Kitab se door rakha gaya.

Jabki ye Kitab agar Sab ke liye hai tou ye Mushkil kaise ho sakti hai ?

Ha ye baat Alag hai ke Uski Gehrayi tak Sab nahi ja sakte, Ulema aur Mufakkir hi jayenge, Lekin in Mafadparsto ne Ulemao ki Tafseer bhi nahi padhni di logon ko. taaki kahi inki poley na khul jaye.

Yaad Rahe agar Quraan Ek Samndar hai tou Isme Sab Tair Sakte hai,
Lekin Gota sirf Makhsus Log hi laga saktey hai."

Kyunki ke Quraan sabke liye aaya hai. Allah Janta tha ke ye Quraan Qayamat tak ke liye hidayat hai, Isme Yahudi honge, Isayi honge, Majushi honge , Tamam kism ke mushrik aur kafir honge.

Tou sabke Hisab se Quraan Design kiya hoga na Allah ne! ke sab samajh Sakey, Yakinan sab ke liye Hidayat hai Isme.

Aur Wakiyat bhi suntey hai Hum ke “Falah Yahudi Quraan padha tou Imaan laya, Falah Isayi Quraan Padha aur Imaan Laya.”

Kaise Iman Laya? Humare Over-Smart Hazrat tou kehte hai ke ye Kitaab tou Gumrahi laati hai. Subhan’Allah !!!!

Aakhirat me Aise Logon ki sakht pakad hone waali hai Jo Allah ke Hidayat ke sath aisa Sulooq karte hai, Allah Hume bachaye Inke fitno se.

♥ In’sha’Allah! Agley Part me Quraan ko chorrne ke Anjaam par gour karenge !!

To Be Continue ….

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12

The post Fazail-e-Quraan: Part 11 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-11/feed/ 0 17094
Hum Aisi Harkatey Karte Kyu Hai Pehle ? https://ummat-e-nabi.com/hum-aisi-harkatey-karte-kyu-hai-pehle/ https://ummat-e-nabi.com/hum-aisi-harkatey-karte-kyu-hai-pehle/#respond Wed, 19 Aug 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/hum-aisi-harkatey-karte-kyu-hai-pehle/ Al Quran 8 46♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! *Aye Wo Logon Jo Iman Laye Ho! *Ita’at Karo Allah Ki Aur Ita’at Karo Uskey Rasool Ki ,.. *Aur Aapas Me Ikhtelaf Paida Na Karna ! […]

The post Hum Aisi Harkatey Karte Kyu Hai Pehle ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
*Aye Wo Logon Jo Iman Laye Ho!
*Ita’at Karo Allah Ki Aur Ita’at Karo Uskey Rasool Ki ,..
*Aur Aapas Me Ikhtelaf Paida Na Karna !
*Agar Tum Aisa Karoge, *Tou Tum Buzdil Bana Diye Jaoge,
*Aur Tumhara Iqbaal Jata Rahega ,.. Aur Sabr Se Kaam Lo ,..
Ke Allah Sabr Karne Walo Ke Sath Hai,..
– [Surah (8) Ayat 46] – @[156344474474186:]

*Aaj Ikhtelaaf Me Kis Hadd Tak Hum Log Mulawwis Hai Beharhaal Bataney Ki Jarurt Bhi Nahi ,..
*Ek Musalaman Dusre Muslaman Ke Piche Namaz Bhi Ada Kar Ley –
Tou Nikah Tutney Ke Fatwe Tak Nikal Aatey Hai ..
(Wakiya Moujud Hai Kuch Saal Pahle Ka)
*Subhan’Allah!! Allah Reham Karey,…

*Aur Jab Media Ke Samne Mazak Banta Hai, Aur Koi Gairmuslim Humare Iss Bewakufana Amal Ko Allah Aur Uske Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Taalimat Par Nisbat Karke Tanz Karta Hai , Tab Hume Badi Sharm Aaney Lagti Hai ,.. Masha’Allah !!

‪# Sawaal‬ Tou Ye Hai Ke
Hum Aisi Harkatey Karte Kyu Hai Pehle?

*Behahrhaal Baat Ko Samjhne Ki Koshish Kare Mere Azeezo !!
Aaj Ummat Zaleel Aur Khwar Mehaz Isiliye Ho Rahi Hai ,
Kyunki Humne Allah Aur Uske Rasool Ki Taalimat Ko Chor Diya !

*Jiska Natija Ye Hua Ke –
Chando Ke Dhando Waley Mafadparast Logo Ne Apne Mafad Ke Liye Ummat Me Bohot Inteshar Failaye ,..
Aur Iska Fayda Dushmanane-Deen Ne Bakhubi Utha Liya Aur Utha Bhi Rahe Hai ,..

*Lihaja Hume Jarurat Hai Ke –
Baat Ko Samjhey ,.. Halaat Ko Samjhey ,.. Mouke Ki Nazakat Ko Samjhey ,…
Log Chah Rahe Hai Ke Hum Alag Ho ,.. Aur Hum Wakay Me Harkatey Kar Ke Bata Rahe Hai Ke Hum Alag Hai…
Allah Reham Karey ….
* * * * *

# Allah Ta’ala Hume Haq Sun’ne Samjhne
aur Uspey Amal Ki Taufiq Dey! !!
# Hum Sabko EK Aur Nek Banaye !!!
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

🔖 ummat-e-nabi.com/home
🔖 Fb.com/HadiseNabwi

The post Hum Aisi Harkatey Karte Kyu Hai Pehle ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/hum-aisi-harkatey-karte-kyu-hai-pehle/feed/ 0 17092