Izzat – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Tue, 17 Oct 2023 16:36:30 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Izzat – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Jo Koi Allah aur Aakhirat ke Din par Imaan Rakhta hai wo … https://ummat-e-nabi.com/jo-koi-allah-aur-aakhirat-ke-din-par-imaan-rakhta-hai-wo/ https://ummat-e-nabi.com/jo-koi-allah-aur-aakhirat-ke-din-par-imaan-rakhta-hai-wo/#respond Thu, 15 Jun 2023 21:44:31 +0000 https://ummat-e-nabi.com/jo-koi-allah-aur-aakhirat-ke-din-par-imaan-rakhta-hai-wo/ Jo Koi Allah Aur Aakhirat Ke Din Par Imaan Rakhta Hai WoHadees e Nabwi ﷺ Padosi ko Takleef na Pahuchaye: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai kiRasoolAllah (ﷺ) ne farmaya – “Aur Jo Koi Allah Aur Aakhirat ke Din par Imaan […]

The post Jo Koi Allah aur Aakhirat ke Din par Imaan Rakhta hai wo … appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees e Nabwi ﷺ

Padosi ko Takleef na Pahuchaye:

Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –

“Aur Jo Koi Allah Aur Aakhirat ke Din par Imaan rakhta hai Wo Apne Padosi (Neighbour) ko takleef Na pahunchaye.

Aur Jo koi Allah aur Aakhirat ke Din par Yakeen Rakhta ho Wo Apney Mehmaan ki Izzat karey.

Jo Koi Allah Aur Aakhirat ke Din par Imaan rakhta hai Usey chahiye Ki Acchi Baat kahey warna Khamosh rahey.

📕 Bukhari; Hadees 6018

Maloom Hua ki Iman ka Takaza hai ki Padosi Ko Dukh Na Diya Jaye ! Mehman Ki Ijjat Ki Jaye , Zuban Ko Kabu Me Rakha Jaye, Warna Iman ki Khair manani chahiye !


Hadees e Nabwi ﷺ

Mehman Nawazi kare:

Abu Shuraih Adavi (R.A) ne bayan kiya, Unhone Kaha Ki mere Kano ne Suna aur meri Aankho ne dekha Jab RasoolAllah ﷺ Baatchit farma rahe they !

Aahajarat ﷺ ne farmaya ki –

“Jo Shakhs Allah aur Akhirat ke din par Iman Rakhta ho tou wo apne Padosi ka Ikram kare, aur Jo Shakhs Allah aur Akhirat ke din par Iman rakhta ho tou apne Mehman ki Dastoor ke Muwafik har tarah se Ijjat kare.

Puchha “Ya RasoolAllah ﷺ ! Dastoor ke mutabik kab tak hai ?”

Aap ﷺ ne farmaya:

“Ek Din aur Ek raat aur Mezbaani Teen din ki hai aur Jo Uske Baad ho wo Uske liye Sadqa hai aur Jo Allah aur aakhirat ke din par Iman rakhta ho tou wo behtar baat kahe ya khamosh rahe.”

📕 Bukhari; Hadees 6019

The post Jo Koi Allah aur Aakhirat ke Din par Imaan Rakhta hai wo … appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/jo-koi-allah-aur-aakhirat-ke-din-par-imaan-rakhta-hai-wo/feed/ 0 15960
Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain … https://ummat-e-nabi.com/halal-aur-haraam-ke-darmiyan-shuba-wali-cheeze-hain/ https://ummat-e-nabi.com/halal-aur-haraam-ke-darmiyan-shuba-wali-cheeze-hain/#respond Tue, 13 Dec 2022 03:57:43 +0000 https://ummat-e-nabi.com/halal-aur-haraam-ke-darmiyan-shuba-wali-cheeze-hain/ Halaal Aur Haraam Sahih Bukhari, Iman Ka Bayan, Hadees 52Hadees of the Day Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain Numan Bin Bashir (R.A) se riwayat hai ki,Mai ne Rasool’Allah (ﷺ) se suna ki – “Halaal aur […]

The post Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain … appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain

Numan Bin Bashir (R.A) se riwayat hai ki,
Mai ne Rasool’Allah (ﷺ) se suna ki –

“Halaal aur Haraam Khula hua hai aur Inn Dono ke Darmiyan kuch Cheezein Shuba (Doubtful) waali hain Jinko bahut se Log nahi jantey.”

*Phir Jisney Apne Aapko Inn Shuba ki Cheezon se bacha liya Usney Apney Deen aur Izzat ko bacha liya.

Aur jo koi In Shuba ki Cheezon me parh gaya uski missal Uss Charwahey ki hai Jo kisi ki Charagah ke Aas-Paas apney Janwaron ko charaye aur Kareeb hai ki Uskey Jaanwar Usmein chale jaye,

*Sun Lo! har Baadshah ki Ek Charagah hoti hai, Allah ki Chaaragah Uski Zameen par Haraam Cheezain hain.

Sun Lo! Badan me Ek Ghosht ka tukda hai Jab Wo Durast Hoga tou Sara Badan Durast Hoga
Aur Agar wo Bigad haya tou Sara Badan bigad gaya aur Wo Tumhara Dil hai.”

📕 Sahih Bukhari, Iman Ka Bayan, Hadees: 52

The post Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain … appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/halal-aur-haraam-ke-darmiyan-shuba-wali-cheeze-hain/feed/ 0 16507
Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai https://ummat-e-nabi.com/muaf-karne-se-allah-taala-bande-ki-izzat-me-ijafa-karta-hai/ https://ummat-e-nabi.com/muaf-karne-se-allah-taala-bande-ki-izzat-me-ijafa-karta-hai/#respond Thu, 07 Jul 2022 07:45:34 +0000 https://ummat-e-nabi.com/muaf-karne-se-allah-taala-bande-ki-izzat-me-ijafa-karta-hai/ Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta haiHadees of the Day Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai ۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : […]

The post Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai

۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :

“Sadqe ne maal me kabhi koi kami nahi ki aur Muaf Karne se Allah Subhanahu Bande ko Izzat hi me badhata hai aur jo shakhs sirf Allah Subhanahu ki khatir Aajizi ikhtiyar karta hai to Allah Subhanahu uska Maqam buland Kar deta hai.”

📕 Sahih Muslim, Jild 6, 6592


رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم نے فرمایا صدقے نے مال میں کبھی کوئی کمی نہیں کی اور معاف کرنے سے اللہ تعالیٰ بندے کو عزت ہی میں بڑھاتا ہے اور کوئی شخص صرف اللہ کی خاطر تواضع ( عاجزی ) اختیار کرتا ہے تو اللہ تعالیٰ اس کا مقام بلند کر دیتا ہے ۔

📕صحیح مسلم جلد ٦ ، ٦٥٩٢


✦ अबू हरैराह (र.अ.) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (ﷺ) ने फरमाया :
“सदक़े ने माल में कभी कोई कमी नही की और माफ़ करने से अल्लाह सुबहानहु बंदे को ईज्ज़त ही मैं बढ़ाता है और जो शख्स सिर्फ़ अल्लाह सुबहानहु की खातिर आजिज़ी इख्तियार करता है तो अल्लाह सुबहानहु उसका मक़ाम बुलंद कर देता है।”

📕 सही मुस्लिम जिल्द 6, 6592


✦ Abu Huraira reported Allah’s Messenger (ﷺ) as saying:
“Charity does not in any way decrease the wealth and the servant who forgives Allah adds to his respect, and the one who shows humility Allah elevates him in the estimation (of the people).”

📕 Sahih Muslim Book 32, Hadith 6264

The post Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/muaf-karne-se-allah-taala-bande-ki-izzat-me-ijafa-karta-hai/feed/ 0 18993
Hadees: Allah ke Nazdeek Izzat wala banda https://ummat-e-nabi.com/allah-ke-nazdeek-sabse-jyada-izzat-wala-banda-koun/ https://ummat-e-nabi.com/allah-ke-nazdeek-sabse-jyada-izzat-wala-banda-koun/#respond Thu, 07 Jul 2022 06:23:55 +0000 https://ummat-e-nabi.com/izzat-wala-koun/ Hadees: Allah ke Nazdeek Izzat wala banda wo hai jo badla lene ki Quwwat ke bawajud Muaf kar deHadees of the Day Allah ke Nazdeek Izzat wala banda Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Hazrat Musaa (Alaihi Salam) ne Allah Taala […]

The post Hadees: Allah ke Nazdeek Izzat wala banda appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Allah ke Nazdeek Izzat wala banda

Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Hazrat Musaa (Alaihi Salam) ne Allah Taala se daryaft kiya ke Aap ke nazdik sabse jyada Izzat wala banda koun hai?

Allah Taala ne farmaya ke:
“Jo badla lene ki Quwwat ke bawajud bhi muaf kar de.”

📕 Sho’abul Iman 8327

The post Hadees: Allah ke Nazdeek Izzat wala banda appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/allah-ke-nazdeek-sabse-jyada-izzat-wala-banda-koun/feed/ 0 19291
Sabse bada sood https://ummat-e-nabi.com/sabse-bada-sood/ https://ummat-e-nabi.com/sabse-bada-sood/#respond Wed, 22 Jun 2022 00:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sabse-bada-sood/ Hadees : Sab se bada SoodAaj ki Hadees | Hadees of the Day Sabse bada sood ✦ Said ibn Zayd (R.A) se rivayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Sab se bada sood ye […]

The post Sabse bada sood appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Aaj ki Hadees | Hadees of the Day

Sabse bada sood

✦ Said ibn Zayd (R.A) se rivayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :

“Sab se bada sood ye hai ke Aadmi Nahaq kisi musalman ki Beizzati kare.”

📕 Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1448-Sahih

The post Sabse bada sood appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sabse-bada-sood/feed/ 0 27411
Momin tou Aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr Aata hai tou Unke Dil Hil Jaate hai https://ummat-e-nabi.com/momino-ki-pehchan/ https://ummat-e-nabi.com/momino-ki-pehchan/#respond Mon, 27 Sep 2021 00:52:25 +0000 https://ummat-e-nabi.com/momino-ki-pehchan/ Aaj ki Aayat | Verse of the day | 27 September۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Sacche Momin ki Pahchan Allah Taala Quran-e-Majid me farmata hai: “Momin tou aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr Aata hai tou Unke Dil Hil jaate hai, […]

The post Momin tou Aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr Aata hai tou Unke Dil Hil Jaate hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Sacche Momin ki Pahchan

Allah Taala Quran-e-Majid me farmata hai:

“Momin tou aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr Aata hai tou Unke Dil Hil jaate hai, aur Jab Allah ki Aayat Unke Saamne Padkar Sunaayi jaati hai tou Wo Aayat Unke Imaan ko aur Zyaada kar Deti hai, aur Wo Allah par Poora Bharosa karte hai. Jo Namaz Ki Paabandi karte hai, aur Jo Kuch Hamne(Allah) Unko Diya Hai Uss me se Kharch Karte hai, Pas yeh Sacche Momin hai Unke Liye Allah ke Yahan Bade Darjaat hai aur Magfirat hai aur Izzat ki Rozi hai.”

Surah Al-Anfal 8:2-4

✦ Hadith: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, RasoollAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Saat tarah ke log hain jinhe Allah Subhanahu Ta’ala Apne (Arsh ke) Saaye mein Panaah dega Unmey se ek wo bhi hai jisne tanhaii mein Allah Subhanahu Ta’ala ko yaad kiya to uski Aankhon se Aansoo jari ho gaye”

– (Sahih Bukhari, Vol 7, 6479)

The post Momin tou Aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr Aata hai tou Unke Dil Hil Jaate hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/momino-ki-pehchan/feed/ 0 15854
Sabse Zyada Izzat Wala woh hai jo … https://ummat-e-nabi.com/sabse-zyada-izzat-wala-woh-hai-jo/ https://ummat-e-nabi.com/sabse-zyada-izzat-wala-woh-hai-jo/#respond Sun, 29 Aug 2021 23:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=30041 Sabse Zyada Izzat wala [ Quran, 49:13 ]Aaj ki Aayat | Verse Of The Day Sabse Zyada Izzat Wala woh hai jo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ” Allah ke Nazdeek Sabse Zyada Izzat wala Woh hai Jo Sabse […]

The post Sabse Zyada Izzat Wala woh hai jo … appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Aaj ki Aayat | Verse Of The Day

Sabse Zyada Izzat Wala woh hai jo

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

” Allah ke Nazdeek Sabse Zyada Izzat wala Woh hai Jo Sabse Zyada (Allah se) Darne wala hai.”

📕 Quran, 49:13

The post Sabse Zyada Izzat Wala woh hai jo … appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sabse-zyada-izzat-wala-woh-hai-jo/feed/ 0 30041
۞ Hadees: Buzurg Musalman ki Izzat karna Allah subhanhu ki tazeem ka ek hissa hai https://ummat-e-nabi.com/hadees-buzurg-musalman-ki-izzat-karna-allah-subhanhu-ki-tazeem-ka-ek-hissa-hai/ https://ummat-e-nabi.com/hadees-buzurg-musalman-ki-izzat-karna-allah-subhanhu-ki-tazeem-ka-ek-hissa-hai/#respond Thu, 06 Feb 2020 19:25:12 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=24749 Hadees: Buzurg Musalman ki Izzat karna Allah subhanhu ki tazeem ka ek hissa hai۞ Hadees: Hazrat Abu Musa Ashari (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah )SallAllahu Alaihi wasallam) ne farmaya: “Allah Subhanahu ki tazeem ka hissa ye bhi hai ki Safaid baalo […]

The post ۞ Hadees: Buzurg Musalman ki Izzat karna Allah subhanhu ki tazeem ka ek hissa hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

۞ Hadees: Hazrat Abu Musa Ashari (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah )SallAllahu Alaihi wasallam) ne farmaya:

“Allah Subhanahu ki tazeem ka hissa ye bhi hai ki Safaid baalo wale Musalman (yaani Buzurg) ki Izzat ki jaye aur Quran kareem ke haamil yaani (Hafiz, Qari ya Aalim) ki bhi Izzat ki jaye siwaye usmein gulu aur kami karne walo ke aur Aadil Baadshah ki bhi Izzat ki jaye.”

📕 Sunan Abu Dawood, Jild 3,1415-Sahih

✦ Aadil Baadshah yaani Insaf pasand Badshah.

The post ۞ Hadees: Buzurg Musalman ki Izzat karna Allah subhanhu ki tazeem ka ek hissa hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/hadees-buzurg-musalman-ki-izzat-karna-allah-subhanhu-ki-tazeem-ka-ek-hissa-hai/feed/ 0 24749
Shohrat Ke Waste Ilm Haasil Karne Wala Dozakhi Hai …. https://ummat-e-nabi.com/shohrat-ke-waste-ilm-haasil-karne-wala-dozakhi-hai/ https://ummat-e-nabi.com/shohrat-ke-waste-ilm-haasil-karne-wala-dozakhi-hai/#respond Mon, 05 Sep 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/shohrat-ke-waste-ilm-haasil-karne-wala-dozakhi-hai/ ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Jo Insan Deen-e-Islam Ka Ilm Sirf Isliye Sikhna Chahta Ho Ke Uss Ilm Ke Jarye Wo Kum Ilm Walo(Jaahilo) Par Fakr […]

The post Shohrat Ke Waste Ilm Haasil Karne Wala Dozakhi Hai …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Jo Insan Deen-e-Islam Ka Ilm Sirf Isliye Sikhna Chahta Ho Ke
Uss Ilm Ke Jarye Wo Kum Ilm Walo(Jaahilo) Par Fakr (Ghamand) Kare,
Ulema (Scholar) Se Jhagda Kare, Logon Me Aalim Ke Taur Par Mash’hoor (Famous) Ho Jaaye
Aur Log Uski Izzat Kare Tou Aesa Insan Dozakh Me Jaaega ,..”
(Tirmizi #2654, Ibne Majah #253 : @[156344474474186:])

♥ Allahu Akbar !!!
– Allah Rabbul Izzat Humey Ikhlas Ke Sath Sahih Ilmo-Amal Ki Taufik dey,.
– Hume Kitabo Sunnat Ki Dawat Mukhlisana Koshisho Ke Saath Aam Karne Wala banaye ,..
– Jab Tak Hum Zinda Rakhe Islam Aur Iman Zinda Rakhey.
– Khatma Humara Imaan Par Ho ..
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
… Ameen Allahumma Ameen ,..

The post Shohrat Ke Waste Ilm Haasil Karne Wala Dozakhi Hai …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/shohrat-ke-waste-ilm-haasil-karne-wala-dozakhi-hai/feed/ 0 16597
Fazail-e-Quran: Part 10 https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-10/ https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-10/#respond Mon, 03 Aug 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-10/ Fazaile Quran 102) Quraan me BARZAQ ki (Qabr ke Zindagi ki) Rehmat – – Aayiye Dusri Reham par Gour Karte Hai Jab Insan Mar Jaata hai aur Qabr me Pohoch jata hai. […]

The post Fazail-e-Quran: Part 10 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

2) Quraan me BARZAQ ki (Qabr ke Zindagi ki) Rehmat –

– Aayiye Dusri Reham par Gour Karte Hai Jab Insan Mar Jaata hai aur Qabr me Pohoch jata hai.

Hadees: “Insan Jab Mar Jata hai tou Munkeer Nakeer 3 Sawaal kartey hai. Man Rabbuka (Tera Rab Koun), Man Nabiyuka (Tera Nabi Koun Hai), Maa Dinuka (Tera Deen Kya Hai)

Jab Nek Insan Sahih Jawaab de dega tou Chautha (4th) Sawaal farishtey Karenge. Jo Sawaal ki Shakl me nahi hoga. Balki wo Puchenge aur Kahenge ‘Wama Yudreek ?’ (Kaise Miley Tujhe Inn Sawalo ke Jawabat ?)

…Tou wo Shakhs Jawab Dega aur Kahega: “Qaraatu Kitab Allahi Fa Amantubihi Wa Saddaqatuhu
(Maine Allah ki Kitaab ko Padha tha, Ispar Imaan laya, Iski Tasdeek ki aur Apni Zindagi Uskey Mutabik Gujaari”

– (Sahi Bukhari & Musnade Ahmed)

… Tou Pata Chala Qabr ki Guidebook bhi Quraan Hi Hai Yaad Rakhiye.

Jisney Isko Padha, Ispar Imaan Laya, Iske Mutabik Amal Kiya wo Tino Sawalo ke Sahih Jawabat de payega aur Jisne Isko padha nahi, Ispar Imaan nahi laya, Ispar Amal nahi kiya, Naahi Iski tasdeeq ki wo tino sawal me Fail ho jayega aur aakhirat me barabar fatkey padenge.

Tou Dekha Aap ne ! Barzaq Ki Zindagi me bhi Quraan ko Padhne Waale, Iske Mutabik Zindagi Gujarney Wale hi Kamiyabi Hone Waale hai aur Baaki log Naqaam ho Jayenge.


3) Quraan me Aakhirat ki Rehmat –

A) 1st Fayda Aakhirat me: Magfirat ke liye Quraan Sifarish Karega

Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) farmatey hai:

Quraan-e-Paak Padha Karo! ye Qayamat ke Roz Apne Padhnewalo ke liye Sifarishi ban kar aayega.”

– (Sahih Muslim: Hadees-1874)

Hadees: Surat-Ul-Mulk Apne Padhney wale ke Liye Shifarish karega”

– (Sunan Nisayi)

Hadees: Surah Baqrah aur Surah Aale-Imran Aayenge aur Allah Rabbul Izzat ke Samne Sifarish Karenge jo Unko Padhkar Amal karte they Unke haq me, Hatta ke Allah Unhe Ijajat dega tou Wo Mujadila bhi Karenge Uss Shakhs ke Haq me Jo Inki Tilawat Karta Tha, Padhta tha aur Allah ke Hukm Ke Mutabik Amal Karta Tha..”

– (Sahih Muslim)

… Yaad Rakhiye Surah Baqrah, Surah Aale Imran aur Ibtidayi Jo 4-5 Badi-Badi Suratey Hai Ismey Aksar Ahqamat Hai Shariyat Ke,…

Tou Ye Quraan Hi Dekhiye Magfirat Ka Jarya Ban’ne Wala Hai ,..

B) 2nd Fayda Aakhirat me: Qari ke liye Qurane Majid ki Mutalibat

*Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai:
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Jo Shakhs Quraan Padhta Tha Aur Uspar Amal Karta Tha, Quraan 3 Mutalibaat Allah Ke Samne Rakhega, Yaani 3 Shartey Rakhega ..
Pehli Shart Hongi Ke “Aye Allah ! Jo Shakhs Mujhey Padhta Tha, Mujhpe Amal Karta Tha Isye Izzat Ka Libas Pahanaya Jaaye,..”
Allah Kahega – “Isey Pehna Do,..” Uss Shakhs Ko Izzat Ka Libas Pahanaya Jayega Aur Keemti Taaz Uskey Sir Par Rakh Diya Jayega,..
Dusri Shart – “Aye Allah Isko Firsey Izzat ka Libas Pehnaya Jaye”
Allah Fir Huqm Dega,.. Usey Ek aur Izzat Ka Libas Pehnaya Jayega Aue Keemti Taaz Uskey Sir Par Rakh Diya Jayega,..
Fir Teesra Mutaliba Karega Quraan Aur Kahega – “Aye Allah Iss Se Tu Raazi ho Ja”..
Allah Teeno Mutalibat Ko Kabool Karega Aur Uss Shakhs Se Raazi Ho Jayega ,… – (Jame Tirimizi)

C) 3rd Fayda Aakhirat me: Muqarrab Farishto me Khada hoga

Rasool’Allah (ﷺ) farmatey hai:

Hadees: Qurane Majid Ki Tilawat Karnewala, aur Uss Tilawat me Maharat Rakhne wale, Uss Qari ko Allah Rabbul Izzat Apne Nazdiki Farishto me Shumar karega.”

– (Sahih Muslim)

… Tou Goya Wo Insano Ke Giroh se Nikal Kar Allah Ke Muqarrab Farishto Ke Giroh Me Ja Kar Shumar Hoga,…

D) 4th Fayda Aakhirat me: Qari-e-Quraan ko Buland Darjat Milenge

Rasool’Allah (ﷺ) farmatey hai:

Hadees: “Ke Allah Rabbul Izzat Qari-e-Quraan se Kahega Ke Quraan Padhta Ja Aur Terey Darjaat Mai Buland Karta Jaunga.. Jaha Tu Rukega Bus Wohi Tera Aakhri Darja Hoga !!!
Aur Qari-e-Quraan Padhta Jayega Aur Apne Darjaat Buland Karta Jayega,. Har Aayat Par Uska Darja Buland Hota Jayega,.. Hatta Ke Jitna Usey Yaad Hoga Wo Padhkar Suna Dega ,.. Wohi Uska Aakhri Darja Hoga. ”

– (Jame Tirmizi)

…. Tou Andaza Lagaiye Kya Fayda Hai Iss Kitab Ke Padhne Aur Ispe Amal Ke ,….

E) 5th Fayda Aakhirat me: Quran Par Amal Karne wale ke Walidain ka bhi Ikram hoga

Rasool’Allah (ﷺ) farmatey hai:

Hadees: Quraan Ke Padhne aur Amal Karnewale Ke Magfirat, Takreem Aur Izzat Karne Ke Baad Uskey Waliden Ko 2 Keemti Libaas Pehnaye Jayenge.
*Wo Walidain Puchenge Ke – “Aye Allah Kis Wajah se Hume Pehanaya Gaya Itna Keemti Libas ?”
Tou Allah Unsey Farmayega Ke – “Apne Betey Ko Tumne Quraan Padhna Sikhaya Tha,. ye Uska Badla Hai Aaj,..”

Tou Andaza Lagaiye !! Qari-e-Quraan Ka Hi Nahi Balki Uskey Walidain Ka Bhi Ikram Hoga Roz-e-Qayamat ,…
Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jayada Amal Ki Taufiq Dey ,…

To Be Continue ….

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12

The post Fazail-e-Quran: Part 10 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-10/feed/ 0 17078
Neki Aur Parhezgari Me Ek-Dusre Ki Madad Karo …. https://ummat-e-nabi.com/neki-aur-parhezgari-me-ek-dusre-ki-madad-karo/ https://ummat-e-nabi.com/neki-aur-parhezgari-me-ek-dusre-ki-madad-karo/#respond Fri, 10 Oct 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/neki-aur-parhezgari-me-ek-dusre-ki-madad-karo/ !!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! “Neki Aur Parhezgari Me Ek Dusrey Ki Madad Karo, Aur Gunaah Wa Zulm Par Madad Na Karo!, Aur Allah Se Daro Beshaq Allah Ka Azaab Sakht Hai..” […]

The post Neki Aur Parhezgari Me Ek-Dusre Ki Madad Karo …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
!!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Neki Aur Parhezgari Me Ek Dusrey Ki Madad Karo,
Aur Gunaah Wa Zulm Par Madad Na Karo!,
Aur Allah Se Daro Beshaq Allah Ka Azaab Sakht Hai..”
(Al-Quraan: Surah Al-Ma’ida, A:2)

♥ Mafhoom-e-Hadees:
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
“Allah Uspar Raham Nahi Karta –
Jo Logon Par Raham Nahi Karta!”

Aagey Farmaya:
– Wo Hum’me Se Nahi Jo Humaare Choto Par Reham Na Karey ,..
– Aur Hamarey Bado Ki Izzat Na Kare ,..
– Aur Achchi Baat Ka Huqm Na Kare ,..
– Aur Buri Baat Se Manaa Na Karey!”.
(Kanoon-e-Shariat – Jild 2 – Safa 288)

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
*Allah Rabbul Izzat Hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal Ki Taufik Dey!!

The post Neki Aur Parhezgari Me Ek-Dusre Ki Madad Karo …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/neki-aur-parhezgari-me-ek-dusre-ki-madad-karo/feed/ 0 16120
Geebat Karney Walon Ka Azaab …. https://ummat-e-nabi.com/geebat-karney-walon-ka-azaab/ https://ummat-e-nabi.com/geebat-karney-walon-ka-azaab/#respond Tue, 13 May 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/geebat-karney-walon-ka-azaab/ ♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas Bin Malik (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Jab Mujhe Meraj Ata Ki Gayee Tou Uss Raat Mera Guzar Ek […]

The post Geebat Karney Walon Ka Azaab …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas Bin Malik (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Jab Mujhe Meraj Ata Ki Gayee Tou Uss Raat Mera Guzar Ek Qoum Par Se Hua Jinkey Nakhun Taanbey(Copper) Ke They Aur Wo Un Nakhuno Se Apney Chehrey Aur Seeney Ko Khurach Rahey They Tou Mainey Kaha Ye Kaun Log Hain Aye Jibril ?,..
To Unhoney Kaha Ki – Ye Wo Log Hain Jo Logon Ka Gosht Khatey Hain (Yaani Unki Geebat Kartey Hain) Aur Unki Izzat Aur Aabru Ke Peechey Parey Rahtey Hain,..”
(Sunan Abu Dawud , Vol 3, 1449 Sahih)

The post Geebat Karney Walon Ka Azaab …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/geebat-karney-walon-ka-azaab/feed/ 0 16761