Itteba – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Mon, 02 Oct 2023 08:35:55 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Itteba – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Kya Shariyat ne Hume Firqo me Batney ka Hukm diya ? https://ummat-e-nabi.com/kya-shariyat-ne-firqo-me-batney-ka-hukm-diya/ https://ummat-e-nabi.com/kya-shariyat-ne-firqo-me-batney-ka-hukm-diya/#respond Fri, 15 Jul 2022 09:57:51 +0000 https://ummat-e-nabi.com/kya-shariyat-ne-firqo-me-batney-ka-hukm-diya/ Kya Shariyat ne Hume Firqo me Batney ka Hukm diya ?Kya Shariyat ne Hume Firqo me Batney ka Hukm diya ? ۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ke –“Meri Ummat 73 Firqon me Bategi, Sab Jahannumi Honge, Sirf 1 Firqa […]

The post Kya Shariyat ne Hume Firqo me Batney ka Hukm diya ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Kya Shariyat ne Hume Firqo me Batney ka Hukm diya ?

۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ke –
Meri Ummat 73 Firqon me Bategi, Sab Jahannumi Honge, Sirf 1 Firqa Jannati Hoga Jo Mere aur Mere Sahaba ke Aqeede par hoga.”

📕 Tirmizi Sharif, Jild:2 Safa:255

Aksar Humare Nadaan Musalman Iss Hadeese Mubarak ke Talluk se Galatfehmi me Pad jatey hai aur Jiska Fayda kayi Mafadparast Log Uthatey rehte hai aurur Naa Jaane Shariyat par Kya-Kya Tohmat Lagatey rehte hai ke –
“Dekho Allah ke Rasool ne Khud farmaya ke 73 Firqe hone wale hai, lihaja Firqe bana Lo.” (Maaz’Allah)

*Aise Logon se Humara bhi Ek Sawaal hai ke –
Rabbul Izzat ne Quraan me Jab Bayan kar diya ke –

“Har Nafs Ko Mout ka Maza Chakhna Hai.”

📕 Al-Quran 3:185

Tou phir paida Hotey hi kyu Na Hum Apni Qabr khod ley?

Kyu Na Hum Abhi se Apni Qabro me ja kar let jaye?

Zindagi Jiney ki Itni Saari Mashaqqat karne ki Jarurat hi kya hai Jab Mout tou Aani hi hai ?

Thoda tou Gouro Fiqr karo mere Azeezo!

Yeh 73 Firqo Waali Hadees Bilashuba haq hai, Lekin agar Hiqmat se kaam ley tou Aap bhi Samajh Jaoge ke Wo 72 Firqe Log Jahalat, Gaflat aur Taqabbur me bana lenge.

Is Hadeese Mubarak me Rasool’Allah (ﷺ) ne tou Muslamno ke Jahalat ki taraf Nishandehi ki hai ke –
“Log Kitabo Sunnat se Bebaaq ho Jayenge aur Natijatan Firqo me batt Jayenge.”

Lihaja aise Fitno se bachne ke liye Rab ke Nazdik haq par kehlane ke liye Rab ki Kitab (Quraan) aur Meri Sunnat ko thaam lo, Yahi Mafhoom hai Iss Hadeese Mubarak ka! Kyunki Shariyat har haal me Ittehad chahti hai.

*Aur Uskey Taklluk se Allah Rabbul Izzat ne Aayat bhi Nazil kar di ke –

“Sab Milkar Allah ki Rassi (Hidayat) ko Mazbuti se Thaam lo,
aur Aapas me Phoot naa dalo.”

📕 Aal-e-Imran 3:103

*Lihaja Jaisa ke har Nafs ko Mout ka Maza Chakhna hai Lekin phir bhi Hum Mout se pahle Apni Aakhirat ki tayyari kar rahe hai.

Usi Tarha 73 Firqo Me Ummat Batney waali hai, Unme Se 72 Jahannumi Firqo me wo log Batney wale hai Jo –
*Kitabo Sunnat ke Barkhilaf Apne Nafs ki Tabedari karenge,
*Qurano Hadees ke Bajaye Apne Ulemao ke Fatawe ke Mohtaz ho jayenge,
*Jinki Aql Mar Jayegi aur har Dar Par Jhuk Jayenge,
*Aur Mafadparast Log Ummat ke Inhi Nadan Musalmano ke Lailmi
Aur Jahalat ka fayda Uthakar Inhe Batil Parasti ka jarya bana lenge ,…

Tou Aise Fitno se Bachney ka Rasta bhi Allah aur Uskey Rasool (ﷺ) ne Hume bata diya ke –

“Allah Ki Kitab Aur Rasool’Allah(ﷺ) ki Sunnat ko Thamey Rahoge tou Rab ke Nazdiq Haq par Kehlaoge aur Fitnagaro ke Fitno se bach paoge.”


Lihaja Hume har Haal me Kitabo Sunnat ka hi Mukkallaf hona chahiye –
Ek Rab, Ek Kitab, Ek Nabi,.. tou iska tarjey Amal bhi Ek ho aur purey Dil se bhi Hum sab Ek ho.

Aur jo Log Jahilo ke Fatwo par Chalkar Ummat me Ikhtelaf karna chahtey hai! Wo kartey rahe Allah aur Uskey Rasool ki mukhalifat.

Aur jo Haqeeqat me Allah aur Uskey Rasool ke farmabardar hai Wo In’sha’Allah-Ul-Azeez aise Jahilo ke fareb se Aagah ho Jayenge.

♥ Aakhir me Allah Rabbul Izzat Se Dua hai ke

Allah Taala Hume Haq Kehne, Sun’ne Aur Samajh Ke Saath Amal ki taufik ata farmaye,
Hum Tamam ko Ek aur Nek banaye ,…
Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
Khatma Humara Imaan Par Ho …

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Keyword: 72 फिर्के ईस्लाम मे

The post Kya Shariyat ne Hume Firqo me Batney ka Hukm diya ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kya-shariyat-ne-firqo-me-batney-ka-hukm-diya/feed/ 0 17086
Sunnat ki Ahmiyat : Part 15 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-15/ https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-15/#respond Wed, 15 Apr 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-15/ Sunnat Ki Ahmiyat : Part 15Beharhaal Jo Baatey Hum Aapke Samne Sunnat ki Ahmiyat ke Taaluk se Rakh Rahe hai Usey Pura Karenge Ek Wakiye Se,.. Jo Rasool’Allah (ﷺ) Ka Ek Mash’hoor aur Maruf Wakiya […]

The post Sunnat ki Ahmiyat : Part 15 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Beharhaal Jo Baatey Hum Aapke Samne Sunnat ki Ahmiyat ke Taaluk se Rakh Rahe hai Usey Pura Karenge Ek Wakiye Se,.. Jo Rasool’Allah (ﷺ) Ka Ek Mash’hoor aur Maruf Wakiya hai aur Ismey Bhi Ita-ate Rasool (ﷺ) Ke Talluk Se Baat Wajeh Hoti Hai…

♥ Mafhoom-e-Hadees: Aap (ﷺ) Ek Roz Sahaba-e-Kiram Ko Waaz Aur Nasihat Farma Rahe They Aur Umar Ibne Khattab (RaziAllahu Anhu) Ek Taraf Khadey Hokar Tauraat Ka Nuskha Lekar Usmey Se Kuch Padh Rahey They.

Yeh Dekh Kar RasoolAllah (ﷺ) Ka Chehra-e-Mubarak Laal Ho Gaya.
Abu Baqar Siddhiq (RaziAllahu Anhu) Ne Yeh Dekha Aur Kaha – ‘Aye Umar Kya Tum Dekh Nahi Rahe Ke RasoolAllah (ﷺ) Ka Chehra-e-Mubarak Kaisa Ho Gaya Hai Tumhare Iss Amal Par’ ..

Jab Aap Umar (RaziAllahu Anhu) Ne Dekha Tou Fauran Kaha –
“Radheetu Billahi Rabba, Wa Bilislami Deena, Wa Bi Muhammadin Nabiya”
(Tarjuma: Mai Raazi Hu Ke Allah Mera Rabb Hai, Deen Mera Islam Hai aur Mohammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Mere Nabi Hai.)

Aur fir Rasool’Allah (ﷺ) Ne Umar Ibne Khattab Ki Taraf Dekha Aur Kaha –
Aye Umar! Agar Mere Hotey Hue, Musaa (Alaihay Salam) Bhi Aa Jaye, Tou Unko Meri Itteba Ke Siwa Aur Koi Chara Na Hoga! Aur Agar Mere Hotey Hue Tum Unki Baat Maano Tou Tum Gumraah Ho Jaoge” [Bukhari Sharif]

* Andaza Lagaiye, Musaa (Alaihay Salam) Ke Talluk se Baat Ho rahihai, Jinke Talluk Se Khud Rasool’Allah (ﷺ) Farmatey hai ke –
“Mere Aur Musaa Ke Bich Me Mu’azna(Comparison) Na Kiya Karo! Kyun Ke Qayamat Ke Roz! Jab Mai Behoshi Se Uthkar Khada Rahunga Tou Kya Dekhta Hu Ke Musaa Allah Ke Arsh Se Lag Kar Pahle Hi Khadey Hue Hai. Mai Nahi Janta Ke Wo Behosh Hue Ya Na Hue, Ya Mujhse Pahle Uthkar Khadey Ho Gaye”.

Yeh Hai Musaa (Alaihay Salam)! Aur Aap 5 Ulool Azm Paigmabro se Ek hai.

Aur Inhi Ke Talluk Se RasoolAllah Farmatey Hai Ke – Meri Moujudgi Me Musaa Bhi Aa Jaye Tou Meri Itteba Ke Siwa Aur Koi Chara Na Hoga, Aur Tum Unki Itteba Karo Tou Tum Gumraah Ho Jaoge., .

*Tou Jab Musaa (Alaihay Salam) Ki Itteba Rasool’Allah (ﷺ) Ki Moujudi Me Karne Se Gumraahi aati hai.

Tou Andaza Lagayiye, Rasool’Allah Ko Chorrkar Jin Logon Ne Inko Aur Unko, Falah Aur Falah Ko Itteba Ke Layak Bana Liya Hai Unka Kya Hoga Sirf Tasawwur Hi Kiya Ja Sakta Hai..

Aur Fir Iske Baad Humara Ye Kehna Ke –
*Inki Aur Unki Baat, *Aisi Aur Waisi Baat,
* Bado Ki Aur Choto Ki Baat, * Ilaqe Aur Rangat Ki Baat

Yaad Rakhiye Ye Tou Bohot Hi Ghatiya Baat Hai !
Yakinan Musaa (Alaihay Salam) Jaisa Muqaam Iss Ummat Ke Kisi Bhi Shaksh Ka Nahi Ho Sakta..
*Puri Insaniyat Bhi Jama Ho Jaye, Tou Ek Nabi Ke Muqaam Tak Nahi Pohoch Sakti..

*Tou Andaza Lagayiye Humne Tou Rasool’Allah (ﷺ) Ko Chorrkar Pata Nahi Kin-Kin Ko Apna Sahara Bana Liya.. Kin-Kin Ke Tareeko Par Hum Chaltey Hai Aur Kya-Kya Amaal Humne Apni Zindagi Me Ijad Kar Liye Hai..

# SABAQ: Iss Aahdees-e-Mubarak Se Maloom Hua Ke Allah Ke Nazdeeq Kisi Shakhs Ka Imaan Kabile Kabool Nahi Jab Tak Ke Wo Rasool’Allah (ﷺ) Ki Iteeba Na Karey..

*Aur Ab Jab Rasool’Allah (ﷺ) Ki Shariyat Allah Ne Tamam Aulaade Adam Par Farz Ki Hui Hai Tou Rasool’Allah Ko Chorrkar Kisi Aur Ke Tareeko Ko Tasleem Karna Bhi Gumraahi Hogi..

– Lihaja Humey Chahiye Ke Shariyat ka Sahi Ilm Hasil Kare, Uss Par Khud bhi Amal Karey aur Auro ko bhi Zamane Jahiliyat Ke Fitno Se Aagah Karne Ki Koshish Karey..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!

Allah ta’ala humey RasoolAllah (ﷺ) ki sunnato ka muttabe banaye,
RasoolAllah (ﷺ) ki sacchi Mohabbat hum me daaley,

Unki sunnato ko samjhna aur uspar chalna humare liye aasan karey,
Aur humari naslo me rasool’allah ki sunnat ko baaki rakhey.

Jab tak hume zinda rakhey islam aur imaan par zinda rakhy,
Khatma humara imaan par ho.

!!! Wa akhiru dawana anilhamdulillahe rabbil a’lameen !!!

The post Sunnat ki Ahmiyat : Part 15 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-15/feed/ 0 17006
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 7 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-7/ https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-7/#respond Tue, 10 Mar 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-7/ Sunnat Ki Ahmiyat : Part 7Beharhaal Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Mukhatalif Muqamat Par RasoolAllah (ﷺ) Ki Itteba Ka Hume Hukm Diya,.. Youn Tou Aayate Kayi Hai, Chand Misaaley Sirf Quraan Ke Rakhtey Hue […]

The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 7 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Beharhaal Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Mukhatalif Muqamat Par RasoolAllah (ﷺ) Ki Itteba Ka Hume Hukm Diya,.. Youn Tou Aayate Kayi Hai, Chand Misaaley Sirf Quraan Ke Rakhtey Hue Baat Ko Wajeh Karne Ki Koshish Hum Karte Hai.

Allah Raabul Izzat Surah Huzrat Ki Ayat Number 1 Aur 2 Me Farmata Hai Ke:

Aye Wo Logon Jo Imaan Laye Ho! Apne Kadam Na Badhao Allah Ke Rasool (ﷺ) Se Aagey Aur Allah Se Darte Raho ..

Surah Huzrat 49:1,2

Tou Iss Ayat me Allah Rabbul Izzat Ne Hukm Diya Ke Allah Aur Uske Rasool Ke Hukm Se Aagey Nahi Jana Hai.

Iski Aagey Ki Ayat (2) Me Allah Ne Farmaya:

“Wo Log Jo Allah Ke Rasool (ﷺ) Ke Moujudgi Me Apni Awazo Ko Buland Karte Hai Unhey Khouf Aur Darrna Chahiye Ke Kahi Allah Unkey Tamam Aamal Ko Barbad Na Kardey.”

*Iss Ayat ke Taaluk se riwayato me aata Hai Ke:
Ek Sahaabi They! Wo Rasool’Allah (ﷺ) Ko 2 Din Dikhayi Na Diye,

RasoolAllah ﷺ Ne Kaha – ‘Ke Uski Khabar Laao! Wo Kaha Hai?’
Ek Shakhs Nikley Aur Unke Ghar Gaye Aur Pucha Ke – ‘Wo Kaha Hai ?.’

Tou Unki Biwi ne kaha ke “Wo 2 Din Se Ghodo Ke Astabal Me Rotey Hue Baithey Hai! Aap Jakar Samjhaiye Unhe”

Jab Unke Paas Pohchey Aur Pucha Ke – ‘Tumahara Kya Mu’amla Hai ? Kyu Ro Rahe Ho ?’

Tou Unohne Kaha Ke – ‘Rabbul Izzat Ne Quraan Ki Aayat Nazil Kar Di Ke “Jo Log Rasool’Allah Ki Moujudgi Me Apni Aawazo Ko Buland Karte Hai, Unhe Darna Chahiye Ke Kahi Unke Amaal Gaarat Na Ho Jaye!”  [Surah Huzraat: 49:1-2]

Aur Meri Aawaz Tou Bohot Unchi Hua Karti Thi, Aur Maine Tou Rasool’Allah Se Aisi Tez Awaaz Me Kayi Baar Baat Ki. Lihaja Mere Amal Tou Gaarat Ho Gaye! Ab Tum Chaley Jao! Mai Tou Halaaq Aur Barbaad Ho Gaya, Mujhe Chorr Do Isi Haal Me!

*Yeh Darr Rakhte They Sahaba –
“Ke RasoolAllah Ki Moujudgi Me Awaaz Bhi Buland Ho Jaye Tou Wo Yeh Tasawwur Karte Ke Amaal Gaarat Ho Gaye.”

Haala Ki Yeh Aayat Baad Me Nazil Hui, Lekin Uskey Baad Kabhi Unhone Tez Awaaz Me Baat Na Ki.

Yeh Hai Rasool’Allah (ﷺ) Ka Adab!
– Ke Aapki Aawaz Se Unchi Awaz Nahi Karna Hai,
– Aapke Kadam Se Kadam Aagey Na Badhana Hai,

Lekin Humara Mu’mla Tou Yeh Hai Ke –
– Zindagi Ke Tamam Shobey, Kadam Aur Aawaz Tou Door,
– Har Mua’mle Me Barkhilaf Jaa Kar Usko Apna Aizaaz, Apna Shi’ar, Aur Apna Alam Samjhtey Hai Ke Haa! Yeh Sunnat Ke Khilaaf Amal Karke Hum Sahi Musalman Ho Gaye.

Zindagi Ke Kayi Shobey, Subha Se Lekar Shaam Tak, Shaadi Se Lekar Mout Tak Sab Me Khilafwarji Aur Fir Hum Musalman Ke Musalman Rahey.. Subhaan Allah.

*Lihaja Hume Chahiye Ke Zindagi Ke Tamaam Shobo Me RasoolAllah (ﷺ) Ko Apna Usma-Tul-Hasna (Ideal Aur Role Model) Maaney Aur Aap (ﷺ) Ki Sunnato Par Amal Ko Lazim Aur Farz Jaaney.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!

– Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey …

To be Continued …


The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 7 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-7/feed/ 0 16988
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 6 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-6/ https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-6/#respond Sun, 08 Mar 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-6/ Sunnat Ki Ahmiyat : Part 6Mohabbat Kisko Kahte hai ? Aayiye Ek Misal De Du Mohabbat Ki… Ke Mohabbat Kisi Cheez Ka Sirf Naam Nahi Mohabbat. Balki Mohabbat Ka Matlab Hota Hai Ita’at. Agar Mai […]

The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 6 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Mohabbat Kisko Kahte hai ?

Aayiye Ek Misal De Du Mohabbat Ki… Ke Mohabbat Kisi Cheez Ka Sirf Naam Nahi Mohabbat. Balki Mohabbat Ka Matlab Hota Hai Ita’at.

Agar Mai Ye Kahu Aapse Ke Mai Apne Walidain Se Mohabbat Karta Hu! Tou Kya Tasawwur Karoge Aap Mere Baare Me ?

– Shayad Unki Khidmat Karta Ho, Raato Me Uthkar Pair Dabata Ho, Kabhi Arey-Turey Na Kahta Ho, Uff Bhi Na Karta Ho.

Yahi Saari Baate Khayal Karoge Na Aap Mere Baare Me ?
– Matlab Meri Mohabbat Ko Ita’at Me Aap Tasawwur Karoge.

Lekin Agar Mai Aapse Kahu Ke Mai Apne Walidain Se Mohabbat Karta Hu ! Aur Unko Marta Hu! Tou Kya Aap Isko Mohabbat Kahoge ? Nahi ! Bilkul Bhi Nahi.

Tou Agar Mai Kehta Hu Ke RasoolAllah (ﷺ) se Mujhe Mohabbat Hai Tou Ita-at Lazim Hai Uske Sath, Ita-at Ke Bagair Mohabbat Bekaar Hai.

Lekin Jis tarha se Aaj Mohabbat ke Naare Lagtey Hai. (Subhan’Allah!)
– Ita-at Kaha Hai mere Bhayiyo? Waha tou Sab Manmani chal rahi hai …
– Fir RasoolAllah ﷺ Se Mohabbat Ke Dawey Hai ,..

Jabki Mohabbat Ka Lazmi Zuz Ita-at hai, Farmabardari hai, Itteba hai.
Uss Tareeke Par Chalna Hai, Uske Pasand Ko Pasand Karna Hai,

Uski Napasand Ko Napasand Karna Hai,
Uski Acchayi Ko Acchayi Samjhna Hai,

Usney Jisko Bura Samjah Usko Bura Samjhna Hai,
Usney Jo Kiya Wo Karna Hai,

Usney Jo Na Kiya Wo Nahi Karna Hai,
Ye Hai Mohabbat, Aur Yahi Hai Ita-at.

Tou Beharhaal! Humare Liye Ye Jaruri Hai ke RasoolAllah (ﷺ) Ko Har Mu’amlo Me Ideal Aur Role Model Banaye Jaisa Ke Quraan Ne Hume Hukm Diya.

Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Mukhtalif Muqamat Par, Itney Muqamat Hai Ke Humare Liye Ginana Mushkil Hai Jaha RasoolAllah (ﷺ) Ki Itteba Ka Hukm Diya Hume.. Itne Muqamat Jiski Koi Inteha Nahi.

Lekin Iske Bawajud Aaj Ita-at aur farmabardari Ke Muamle Me Kya Humara Haal Hai ?
– Ke Aaj Humari Zindagi Ka Koi Bhi Shoba Utha Lijiye Wo Sunnat Se Khaali Hai,
– Agar Sahaba Iss Dour Me Aa Jatey Tou Shayad Wo Humko Musalman Bhi Na Mantey !!
– Ke Kaisa Aajka Musalman Hai Ye: Ke Rasool Ki Sunnato Par Unhoney Jaan Di Aur Ye Aaj Ka Musalman Rasool Ko Rasool Maankar Jaan Dena Tou Door Sunnat Par Amal Bhi Nahi Karta ,..

Sahaba ki Mohabbat Kaisi thi Rasool’Allah se ?

Rasool’Allah (ﷺ) Ki Sunnat Aur Aapki Ita-at Aur Aapki Itteba Aur Mohabbat Sahaba Ke Zindagi Me Kaisi Thi Aayiye Ek Hi Wakiye Ke Jarye Bataney Ki Koshish Karte Hai Hum,

Ye Wakiya Aapne Sirat Me Padha Hai:
Ek Sahabi Ko Mushrikaan-e-Makka ne Giraftaar Kiya aur Faansi Deney Ka Irada Kiya!!

Kaha Ke: “Imaan Chorr Do Warna Faansi De Di Jayegi!!”

Uss Sahabi Ne Kaha: “Imaan Tou Nahi Chorr Sakta! Faansi Chaho Tou De Do!”
Wo Kahne Lage Ke: “Accha Chalo Tumko Muaf Kar Dete Hai, Sirf Tum Apne Rasool Ko Gaali De Do…”

Tou Uss Sahabi Ne Jawaab Diya Ke: “Mere RasoolAllah (ﷺ) Ko Bura Bhala Kehna Tou Door, RasoolAllah Ko Kaanta bhi Chubh Jaye Wo Tasawwur bhi Nahi Kar Sakta Mai, Tumko Jo Chahey Mere Sath Karna Hai Karo..” Aur Unko Faansi De Di Gayi Aur Shaheed Kar Diya Gaya.

Tou RasoolAllah (ﷺ) Ki Itteba Aur Mohabbat Kaisi Thi Sahaba Ke Zindagi Me! Ke Rasool’Allah Ko Kaanta Bhi Chubh Jana Mohal Tha Unke Liye.

– Lekin Aaj Itteba-e-Rasool, Kalma-e-Rasool Padhkar Aaj Tamam Zindagi Ke Shobey Hum Uske Bar Khilaaf Jaatey hai. (Allah Khair Karey)

Aur Sahaba Ka Wo Jasba Tha Ke Unki Jindagi Ka Koi Shoba Sunnat Se Khaali Na Tha,
– Haa! Agar Koi Baat Maloom Na Thi Tou Wo Tehqeek Kar Letey, Dusro Se Puch Letey Aur Apni Islah Kar Letey …

Lihaja Hume bhi Chahiye ke Apne Zindagi ke Tamam Shobo me RasoolAllah (ﷺ) Ki Itteba, farmabardari ko Lazim aur Farz Jaaney.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!

– Allah Ta’ala hume Kehne Sun ne se Jyada Amal Ki Taufiq Dey.

To be continued …


The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 6 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-6/feed/ 0 16986
Rasool’Allah Ki Itteba Ke Bagair Ab Imaan Kabile Kabool Na Hoga https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-ki-itteba-ke-bagair-ab-imaan-kabile-kabool-nahi/ https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-ki-itteba-ke-bagair-ab-imaan-kabile-kabool-nahi/#respond Tue, 11 Nov 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-ki-itteba-ke-bagair-ab-imaan-kabile-kabool-nahi/ Radheetu Billahi Rabba♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Bada Mash’hur Aur Maruf Wakiya Hai, Bukhari Ki Riwayat Me Aata Hai Ke – Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ek Roz Sahaba-e-Kiram Ko Waaz […]

The post Rasool’Allah Ki Itteba Ke Bagair Ab Imaan Kabile Kabool Na Hoga appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Bada Mash’hur Aur Maruf Wakiya Hai, Bukhari Ki Riwayat Me Aata Hai Ke –

Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ek Roz Sahaba-e-Kiram Ko Waaz aur Nasihat aur Khutba Dey Rahe They aur Umar bin Khattab (RaziAllahu Anhu) Ek Taraf Khadey Hokar Tauraat Ka Nuskha Lekar Usmey Se Kuch Padh Rahey They.

Yeh Dekh Kar Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Chehra Mubarak Laal Ho Gaya.

Abu Baqar Siddhiq (RaziAllahu Anhu) ne Yeh Dekha tou Kaha – “Aye Umar Kya Tum Dekh Nahi Rahe Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Chehra Mubarak Kaisa Ho Gaya Hai Tumhare Iss Amal Par”

Jab Aap Umar (RaziAllahu Anhu) Ne Dekha Tou Fauran Kaha – “Radheetu Billahi Rabba, Wa Bilislami Deena, Wa Bi Muhammadin Nabiya”
(Tarjuma: Mai Raazi Hu Ke Allah Mera Rabb Hai, Deen Mera Islam Hai Aur Mohammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Mere Nabi Hai.)

Aur Fir Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Umar bin Khattab Ki Taraf Dekha Aur Kaha –

“Aye Umar! Agar Mere Hotey Hue, Musaa (Alaihay Salam) Bhi Aa Jaye, Tou Unko Meri Itteba Ke Siwa Aur Koi Chara Na Hoga! Aur Agar Mere Hotey Hue Tum Unki Baat Maano Tou Tum Gumraah Ho Jaoge”

– (Bukhari Sharif)

Andaza Lagaiye, Musaa (Alaihay Salam) Ke Talluk Se Baat Ho Rahi Hai, Jinke Talluk Se Khud Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke –
“Mere Aur Musaa Ke Bich Me Mu’azna(Comparison) Na Kiya Karo! Isliye Ke Qayamat Ke Roz! Jab Mai Behoshi Se Uthunga Aur Mai Sabse Pahla Rahunga, Jab Mai Behoshi Se Uthkar Khada Rahunga Tou Kya Dekhta Hu Ke Musaa Allah Ke Arsh Se Lag Kar Pahle Hi Khadey Hue Hai. Mai Nahi Janta Ke Wo Behosh Hue Ya Na Hue, Ya Mujhse Pahle Uthkar Khadey Ho Gaye.”

Yeh Hai Musaa (Alaihay Salam) Ka Martba ! Aur Aap 5 Ulool Azm Paigmabro Se Ek Hai.
Aur Inhi Ke Talluk Se Rasool’Allah Farmatey Hai Ke – Meri Moujudgi Me Musaa Bhi Aa Jaye Tou Meri Itteba Ke Siwa Aur Koi Chara Na Hoga, Aur Tum Unki Itteba Karo Tou Tum Gumraah Ho Jaoge., .

Tou Jab Musaa (Alaihay Salam) Ki Itteba Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Moujudi Me Karne Se Gumraah Ho Jaoge,. Tou Andaza Lagayiye, Rasool’Allah Ko Chorrkar Jin Logon Ne Inko Aur Unko, Falah Aur Falah Ko Itteba Ke Layak Bana Liya Unka Kya Hoga Sirf Tasawwur Hi Kiya Ja Sakta Hai..

Aur Fir Iske Baad Humara Ye Kehna –
Inki Aur Unki Baat, Aisi Aur Waisi Baat,
Bado Ki Aur Choto Ki Baat, Ilaqe Aur Rangat Ki Baat,..
Yaad Rakhiye Ye Tou Bohot Hi Ghatiya Baat Hai !

Yakinan Musaa (Alaihay Salam) Jaisa Muqaam Iss Ummat Ke Kisi Bhi Shaksh Ka Nahi Ho Sakta..
Puri Insaniyat Bhi Jama Ho Jaye, Tou Ek Nabi Ke Muqaam Tak Nahi Pohoch Sakti..

Tou Andaza Lagayiye Humne Tou Jahalat me aakar Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Chorrkar Pata Nahi Kin-Kin Ko Apna Sahara Bana Liya.. Kin-Kin Ke Tareeko Par Hum Chaltey Hai aur Kya-Kya Amaal Humne Apni Zindagi Me Ijad Kar Liye Hai.. Allah hume In sabse bachaye,.

# Sabaq:

Iss Aahdees-e-Mubarak Se Maloom Hua Ke Allah Ke Nazdeeq Kisi Shakhs Ka Imaan Kabile Kabool Nahi Jab Tak Ke Wo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki Iteeba Na Karey.. Aur Ab Jab RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Shariyat Allah Ne Tamam Aulaade Adam Par Farz Ki Hui Hai Tou Rasool’Allah Ko Chorrkar Kisi Aur Ke Tareeko Ko Tasleem Karna Bhi Gumraahi Hogi..

Lihaja Humey Chahiye Ke Shariyat Ka Sahi Ilm Hasil Kare, Uss Par Khud Bhi Amal Karey Aur Auro Ko Bhi Zamane Jahiliyat Ke Fitno Se Aagah Karne Ki Koshish Karey..

# In’sha’Allah Ul Azeez !!!
# Allah Ta’ala HumeParhne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Rasool’Allah Ki Itteba Ke Bagair Ab Imaan Kabile Kabool Na Hoga appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-ki-itteba-ke-bagair-ab-imaan-kabile-kabool-nahi/feed/ 0 16900