Ita’at – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Mon, 02 Oct 2023 09:08:31 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Ita’at – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 9. जिल हिज्जा | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा https://ummat-e-nabi.com/9-zil-hajj/ https://ummat-e-nabi.com/9-zil-hajj/#respond Tue, 27 Jun 2023 10:55:58 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=33815 9 Zil Hijjah जिल हिज्जाच्यूँटी अल्लाह की कुदरत का नमूना है, एक फर्ज: नमाज के लिये मस्जिद जाना, हर नमाज के बाद तस्बीह फातिमी अदा करना,
औरतों का खुशबु लगाकर बाहर निकलने का गुनाह, तिब्बे नबवी से इलाज: नजर लगने से हिफाजत, नबी (ﷺ) की इताअत की अहमियत …

The post 9. जिल हिज्जा | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

9. जिल हिज्जा | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा
9. Zil Hijjah | Sirf Paanch Minute ka Madarsa

1. इस्लामी तारीख

हज्जतुल विदाअ में आखरी खुतबा

९ जिल हज्जा १० हिजरी में हुजूर (ﷺ) ने मैदाने अरफ़ात में एक लाख से ज़ियादा सहाब-ए-किराम के सामने आखरी खुतबा दिया, जो इल्म व हिकमत से भरा हुआ था और पूरी इन्सानियत का जामे दस्तूर था।

इसमें आप (ﷺ) ने फर्माया : ऐ लोगो! मेरी बातें गौर से सुनो ! शायद आइन्दा साल मेरी तुमसे मुलाक़ात न हो सके। लोगो ! तुम्हारी जानें, इज्जत व आबरू और माल आपस में एक दूसरे पर हराम है, मैंने जमान-ए-जाहिलियत की तमाम रस्मों को अपने पैरों तले रौंद दिया है, देखो ! मेरे बाद गुमराह न हो जाना के एक दूसरे को क़त्ल करने लगो, मैं तुम्हारे लिये अल्लाह की किताब छोड़कर जा रहा हूँ, अगर तुम इस को मजबूती से पकड़े रहोगे, तो कभी गुमराह नहीं होंगे, तुम्हारा औरतों पर और औरतों का तुम पर हक है, किसी औरत को अपने शौहर के माल में से उसकी इजाजत के बगैर कुछ देना जाइज नहीं है, और क़र्ज़ वाजिबुल अदा है जो चीज़ माँग कर ली जाए उस को लौटाना जरूरी है और जामिन तावान का जिम्मेदार है,

लोगो! क्या मैं ने अल्लाह का पैगाम तुम तक पहुँचा दिया? सब ने जवाब दिया बिलाशुबा आपने अमानत का हक़ अदा कर दिया और उम्मत को खैर ख्वाही की नसीहत फ़रमाई, फिर आपने आसमान की तरफ उंगली उठा कर तीन मर्तबा अल्लाह तआला को गवाह बनाया और कहा: ऐ अल्लाह! तू गवाह रहना, ऐ अल्लाह! तू गवाह रहना, ऐ अल्लाह ! तु गवाह रहना।

📕 इस्लामी तारीख


2. अल्लाह की कुदरत

च्यूँटी अल्लाह की कुदरत का नमूना है

च्यूटी भी अल्लाह की अजीब मखलूक है। इतने छोटे से जान्वर में अल्लाह तआला ने आँख नाक कान दिल व दिमाग हाथ पैर कितनी कारीगरी से बनाए। फिर इन को सोचने, समझने और सूंघने की बेपनाह सलाहियतों से नवाज़ा। वह एक मील की दूरी से मीठी चीज़ों का सूंघ कर पता लगा लेती है। च्यंटियों की सरदार को जब कोई चीज़ मिलती है, तो वह अपने मातहत तमाम च्यंटियो को बुलाती है।।और वह उस चीज़ को उठा कर अपने बिलों में ले जाती हैं।

अगर किसी दाने के जमने का खतरा महसूस करती हैं, तो उस के टुकड़े कर देती हैं और गर्मी के मौसम में सर्दी के लिए और इसी तरह बरसात का मौसम आने से पहले ही ज़खीरा जमा कर लेती हैं, बगैर किसी मशीन व आला के गर्मी और बरसात के मौसम की खबर उन्हें किस ने दी? इतनी छोटी सी मखलूक को ऐसे ऐसे हनर सिखा देना अल्लाह की कुदरत का करिश्मा है।

📕 अल्लाह की कुदरत


3. एक फर्ज के बारे में

नमाज के लिये मस्जिद जाना

रसूलुल्लाह (ﷺ) ने फ़रमाया :

“तुम में से जो शख्स अच्छी तरह मुकम्मल तौर पर वजू करता है, फिर सिर्फ नमाज़ ही के इरादे से मस्जिद में आता है, तो अल्लाह तआला उस बन्दे से ऐसे खुश होता हैं जैसे के किसी दूर गए हए रिश्तेदार के अचानक आने से उसके घर वाले खुश होते हैं।”

📕 इब्ने खुजैमा : १४११. अबू हरैराह (र.अ)


4. एक सुन्नत के बारे में

कुर्ते का इस्तेमाल करना

रसूलुल्लाह (ﷺ) को कपड़ों में कमिस बहुत पसंद थी।

📕 अबू दाऊद : ४०२६


5. एक अहेम अमल की फजीलत

हर नमाज के बाद तस्बीह फातिमी अदा करना

रसूलल्लाह (ﷺ) ने फ़र्माया :

“जो हर फ़र्ज नमाज़ के बाद ३३ मर्तबा “सुभानअल्लाह” ३३ मर्तबा “अलहम्दुलिल्लाह” और ३४ मर्तबा “अल्लाहु अकबर” कहता है, वह कभी नुकसान में नहीं रहता।”

📕 मुस्लिम : १३४९


6. एक गुनाह के बारे में

औरतों का खुशबु लगाकर बाहर निकलने का गुनाह

रसुलअल्लाह (ﷺ) ने फ़र्माया :

“जो औरत इत्र लगा कर लोगों के पास से गुजरे, ताके लोग उस की खुश्बू महसूस करें, तो वह ज़ानिया है और हर (देखने वाली) आँख जिनाकार होगी।”

📕 तिर्मिज़ी : २७८६, अबी मूसा (र.अ)


7. दुनिया के बारे में

दुनिया में खुद को मशगूल न करो

रसुलअल्लाह (ﷺ) ने फ़र्माया :

“तुम में से कयामत के दिन मुझ से ज़ियादा करीब वह शख्स होगा, जो दुनिया से उसी तरह निकल आए, जिस तरह में छोड़ कर जा रहा हूँ; अल्लाह की कसम ! मेरे सिवा तुम में से हर एक दुनिया की किसी न किसी चीज़ में फंसा हुआ है।”

📕 मुस्नदे अहमद ; २०९४७


8. आख़िरत के बारे में

जन्नत का मौसम

कुरआन में अल्लाह तआला फ़र्माता है :

“उन (अहले ईमान) के सब्र के बदले में (उन्हें) जन्नत और रेशमी लिबास अता किया जाएगा, उन की यह हालत होगी के जन्नत में मसेहरियों पर तकिये लगाए बैठे होंगे, वहाँ उन्हें न गर्मी का एहसास होगा और न वह सर्दी महसूस करेंगे।”

📕 सूरह दहर : १२ ता १३


9. तिब्बे नबवी से इलाज:

नजर लगने से हिफाजत

रसूलुल्लाह (ﷺ) ने फ़र्माया :

“जिस शख्स ने कोई ऐसी चीज़ देखी जो उसे पसंद आ गई, फ़िर उस ने (माशा अल्लाह ! व लाहौल वला क़ूवता इल्लाह बिल्लाही) कह लिया, तो उस की नज़र से कोई नुक्सान नहीं पहुंचेगा।”

📕 कंजुल उम्मुल : १७६६६, अनस (र.अ)


10. कुरआन की नसीहत

नबी (ﷺ) की इताअत की अहमियत

कुरआन में अल्लाह तआला फर्माता है :

“(ऐ नबी (ﷺ) ) आप कह दीजिए के अगर तुम अल्लाह तआला से मोहब्बत रखते हो, तो तुम लोग मेरी पैरवी करो, अल्लाह भी तुम से मुहब्बत करेगा और तुम्हारे गुनाहों को बख्श देगा।”

📕 सूरह आले इमरान; ३१

to be continued …

The post 9. जिल हिज्जा | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/9-zil-hajj/feed/ 0 33815
3. जिल हिज्जा | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा https://ummat-e-nabi.com/3-zil-hajj/ https://ummat-e-nabi.com/3-zil-hajj/#respond Wed, 21 Jun 2023 05:16:44 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=33562 3 Zil Hijjah जिल हिज्जासीरत - इमाम बुखारी (रहमतुल्लाहि अलैहि), अल्लाह की कुदरत - हीरा और कोयला, एक फर्ज - शौहर के भाइयों से पर्दा करना, जमीन नाहक लेने का अज़ाब, सब से ज़ियादा खौफ़ की चीज़ …

The post 3. जिल हिज्जा | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

3. जिल हिज्जा | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा
3. Zil Hijjah | Sirf Paanch Minute ka Madarsa

1. इस्लामी तारीख

इमाम बुखारी (रहमतुल्लाहि अलैहि)

आप का नाम मुहम्मद और वालिद का नाम इस्माईल, आप बुखारा के रहने वाले थे, आप की पैदाइश इसी शहर में १३ शाबान सन १९४ हिजरी में हुई।

बचपन ही में आप के वालिदे मोहतरम का साया सरसे उठ गया और तालीम व तरबियत के लिये सिर्फ़ वालिदा का सहारा रह गया, बचपन ही में उनकी बीनाई चली गई थी, वालिदा को बहुत सदमा था और बारगाहे इलाही में आह व जारी करती थीं, एक रात हज़रत इब्राहीम को ख्वाब में देखा, फरमा रहे थे के तेरी दुआ कबूल हुई, सुबह देखा तो बेटे की आँखों में रोश्नी लौट आई थी, आप बड़े जहीन व फ़तीन थे, बचपन ही से हदीस सुनने का बेइन्तेहा शौक था।

इस के लिये बहुत सारे ममालिक का सफ़र किया, कोई हदीस सुनते तो फ़ौरन याद कर लेते। चुनान्चे खुद फ़र्माते थे के मुझे एक लाख सही अहादीस और दो लाख इसके अलावा याद हैं। इसी शौक व जज्बे की बिना पर अल्लाह तआला ने आपको वह दिन दिखाया के लोग आपको अमीरुल मोमिनीन फ़िलहदीस के लकब से याद करने लगे।

आपने तकरीबन २३ किताबें लिखीं हैं, जिनमें सबसे बुलन्द पाया तसनीफ़ “सही बुखारी” है। आप ने इस किताब को लिखने में तकवा व तहारत का बेइन्तेहा एहतमाम किया के जब एक हदीस लिखने का इरादा फरमाते तो पहले गुस्ल करते, दो रकात नमाज पढ़ते फिर उसके बाद एक हदीस तहरीर फ़र्माते, इसी तरह सोला साल की मुदत में यह किताब मुकम्मल हुई, जिसको असहहुल कुतुब बाद किताबिल्लाह का दर्जा हासिल हुआ, और यह अहादीस के जखीरों में सब से ज़ियादा सही तरीन किताब मानी गई है।

इमाम बुखारी ने १० शव्वाल सन २५६ हिजरी में बाद नमाजे इशा इन्तेकाल फर्माया।


2. अल्लाह की कुदरत

हीरा और कोयला

अल्लाह तआला की कुदरत देखिए उसने ज़मीन के अंदर बहुत सी धातू पैदा कर दी है, उनमें से पत्थर की शक्ल में हीरा और कोयला भी निकलता है।

साइंसदानों का कहना है के हीरा और कोयला एक ही जिन्स की दो अलग अलग शक्लें हैं, मगर वह हकीकत में कार्बन हैं।

सुभानअल्लाह ! वह कौनसी ज़ात है जो कार्बन जैसी चीज़ को कभी हीरे की शक्ल दे कर रौशन और चमकदार बना देती है और कभी कोयला की शक्ल दे कर उसे सियाह और बदसूरत बना देती है।

यकीनन वह अल्लाह ही की जात है जो एक जिन्स की चीज़ों को मुख्तलिफ़ शक्लों में तब्दील कर देती है।

📕 इब्ने हिबान : १४९०, अन नौफल बिन मुआविया (र.अ)


3. एक फर्ज के बारे में

शौहर के भाइयों से पर्दा करना

रसूलुल्लाह (ﷺ) ने फ़रमाया :

ना महरम” औरतों के पास आने जाने से बचो ! एक अन्सारी सहाबी ने अर्ज़ किया : देवर के बारे में आप क्या फ़र्माते हैं? तो आप (ﷺ) ने फ़रमाया : “देवर तो (तुम्हारे लिए) मौत है” (यानी जिस तरह मौत से डरा जाता है, उसी तरह शौहर के भाइयों से डरना चाहिए और पर्दे का एहतमाम करना चाहिए)।

📕 बूखारी : ५२३२


4. एक सुन्नत के बारे में

रुकू में हाथों को गुठनों पर रखना

रसूलुल्लाह (ﷺ) रूकू फ़र्माते, तो अपने हाथों को घुठनों पर रखते ऐसा लगता था जैसे उन को पकड़ा रखा हो और दोनों हाथों को मोड़ कर पहलुओं से अलग रखते थे।

📕  तिर्मिजी: १६०


5. एक अहेम अमल की फजीलत

खाना-ए-काबा को देख कर दुआ मांगना

रसूलुल्लाह (ﷺ) ने फ़र्माया :

“चार मौकों पर आसमान के दरवाज़े खोल दिए जाते हैं और दुआ कबूल होती है, उनमें से एक काबा शरीफ़ पर नजर पड़ते वक्त (दुआ करना) है।”

📕 बैहक़ी फिस्सुननिल कुबरा : ३/३६०

फायदा : सबसे पहले काबा पर जहां से नज़र पड़ जाए, हाथ उठाए फ़िर दुआ मांगे, क्यों कि यह दुआ की कबूलियत का खास वक्त है।


6. एक गुनाह के बारे में

जमीन नाहक लेने का अज़ाब

रसूलुल्लाह (ﷺ) ने फ़रमाया :

“जिस ने किसी दूसरे की ज़रा सी ज़मीन भी नाहक लेली, उस को कयामत के रोज सातवीं जमीन तक धंसा दिया जाएगा।”

📕 बुखारी : २४५४, इब्ने उमर (र.अ)


7. दुनिया के बारे में

सब से ज़ियादा खौफ़ की चीज़

रसूलुल्लाह (ﷺ) ने फ़रमाया :

“मुझे तुम पर सब से ज़ियादा खौफ़ इस बात का है के कहीं अल्लाह तआला तुमपर ज़मीन की बरकात को ज़ाहिर न कर दे”, पूछा गया के जमीन की बरकात से क्या मुराद है? रसूलुल्लाह (ﷺ) ने फ़र्माया: “दुनिया की रंगीनी, इस की खूबसूरती और जेब व ज़ीनत।”

📕 बुखारी : ६४२७, अन अबी सईद अल खुदरी (र.अ)


8. आख़िरत के बारे में

अल्लाह और रसूल की इताअत का बदला

कुरआन में अल्लाह तआला फ़र्माता है:

“जो शख्स अल्लाह और उस के रसूल के हुक्म पर चलेगा, तो अल्लाह तआला उस को ऐसे बागों में दाखिल करेगा, जिन के नीचे नहरें बहती होंगी। वह हमेशा उन बागों में रहेंगे और यही बहुत बड़ी कामयाबी है।”

📕 सूरह निसा : १३


9. कुरआन की नसीहत

अल्लाह की जानिब मनसब चीजों की बेहुर्मती न करो

कुरआन में अल्लाह तआला फ़र्माता है:

“ऐ ईमान वालो! अल्लाह की जानिब मनसब चीजों की बेहुर्मती न करो और न अदब वाले महीने की और न उन कुर्बानियों की जिन के गले में कलादा (यानी कुर्बानी की अलामत के पट्टे पडे हों) और उन लोगों की भी बेअदबी न करना जो अल्लाह का फ़ज़्ल और उसकी रज़ामंदी तलब करने बैतुल्लाह जा रहे हों।”

📕 सूरह माइदा: २

to be continued …

The post 3. जिल हिज्जा | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/3-zil-hajj/feed/ 0 33562
Allah ki Nafarmani me kisi ki Itaat nahi karni https://ummat-e-nabi.com/allah-ki-nafarmani-me-kisi-ki-itaat-nahi-karni-chahiye/ https://ummat-e-nabi.com/allah-ki-nafarmani-me-kisi-ki-itaat-nahi-karni-chahiye/#respond Thu, 27 Apr 2023 14:51:51 +0000 https://ummat-e-nabi.com/allah-ki-nafarmani-me-kisi-ki-itaat-nahi-karni-chahiye/ Allah ki Nafarmani me kisi ki Itaat nahi karniHadees of the Day Allah ki Nafarmani me kisi ki Itaat nahi Hazrate Ali (R.A) se riwayat hai ki –RasoolAllah (ﷺ) ne Ek Lashkar Rawana farmaya aur Ek Shakhs ko […]

The post Allah ki Nafarmani me kisi ki Itaat nahi karni appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Allah ki Nafarmani me kisi ki Itaat nahi

Hazrate Ali (R.A) se riwayat hai ki –
RasoolAllah (ﷺ) ne Ek Lashkar Rawana farmaya aur
Ek Shakhs ko Uska Sardar bana diya aur Logo ko Uski Itaat karne ki Taqeed ki.

Uss Shakhs ne Aag Jalayee aur Logo ko kaha ki Aag me Kud Jao.
Kuch Logon ne Uski ye baat Man’ne se Inkar kar diya aur kaha ki –
“Hum Tou Aag se Bhaagkar Islam me Aaye Hain”

Aur Kuch Logo ne Ameer ki Ita’at Samajhkar Aag me dakhil hona chaha.

Ye Khabar Rasool’Allah (ﷺ) ke Pass Pahuchi tou Aap (ﷺ) ne farmaya –
“Agar Wo Log Aag me Kud Jatey tou Hamesha Usee me Rehte.”

Iske Baad Aap (ﷺ) ne farmaya:

“Allah ki Nafarmani me kisi ki Ita’at nahi karni chahiye,
Ita’at tou Sirf Uss me hai Jo Maruf ho (Yaani Neik aur jayaz baat ho).”

📕 Sunan Abu Dawud, Hadees#853 (Sahih)

The post Allah ki Nafarmani me kisi ki Itaat nahi karni appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/allah-ki-nafarmani-me-kisi-ki-itaat-nahi-karni-chahiye/feed/ 0 16826
Hadees ke muamle me chaan-bin aur Ahtiyaat https://ummat-e-nabi.com/hadees-ke-maamle-me-chaan-been-aur-ehtiyaat/ https://ummat-e-nabi.com/hadees-ke-maamle-me-chaan-been-aur-ehtiyaat/#respond Wed, 16 Nov 2022 11:07:21 +0000 https://ummat-e-nabi.com/hadees-ke-maamle-me-chaan-been-aur-ehtiyaat/ Hadees ke muamle me chaan-bin aur AhtiyaatHadees ke muamle me chaan-bin aur Ahtiyaat Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me fermata hai: Aur humne Aap(ﷺ) ki taraf Zikr naazil kiya hai taake Aap logon par in taleemaat ko […]

The post Hadees ke muamle me chaan-bin aur Ahtiyaat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees ke muamle me chaan-bin aur Ahtiyaat

Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me fermata hai:

Aur humne Aap(ﷺ) ki taraf Zikr naazil kiya hai taake Aap logon par in taleemaat ko waazeh kare jo inki taraf naazil ki gayi hain taake wo Gour-o-fikr karen.

📕 Al-Quran; Surah Nahal 44

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

Yaad rakho! mujhe Quran-e-Majeed aur iske saath is jaisi ek aur cheez (Sunnat) di gai hai).

📕 Abu Dawood: as Sunnah, Baab Fee luzoomus Sunnah 4604) Imam Ibne Hibban ne Saheeh kaha

Aur Jis tarha Allah Ta’ala ne apni Itaa‐at ko farz kiya hai isi tarha apne Rasool (ﷺ) ki Ita‐at ko bhi apne bando par laazim qarar diya aur Quran me farmaya:

Aye Imaanwalo! Allah ki Ita’at karo aur (is ke) Rasool ki Itaa‐at karo aur (is Ita’at se hat kar) apne Amaal ko baatil na karo.

📕 Surah Muhammad 33

Maloom hua ke Quran-e-Majeed ki tarha Sunnat-e-Nabwi bhi Sharayi Daleel aur hujjat hai magar Sunnat se daleel lene se pehle is baat ka ilm hona zaroori hai ke Kya wo Sunnat Rasool’Allah (ﷺ) se saabit bhi hai ya nahi?

Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:

Aaqhri Zamana me Dajjal (Anti Christ) aur kazzab (Liers) honge wo tumhe aisi aisi ahadees sunaenge jinhe tumne aur tumhare abaa-o-ajdaad ne nahi suna hoga. Lihaza inse apne aapko bachana. Kahi aisa na ho ke wo tumhe Gumrah karde aur fitne me daal de.

📕 Muslim: al Muqaddama, Baab an Nahi anir Riwaayah anil Zo’afa wal Ehtiyaat fee Tahmilha 7

Ek Riwayat me Aap (ﷺ) ne farmaya:

Jo Shakhs mujh par Amadan Jhoot boley isey Chahiye ke wo apna thikana Aag(Jahannum) me Bana ley.

📕 Bukhari: al Ilm, Baab Ism min Kazb aalaa Nabi 108 – Muslim 2

Imam Daarequtni farmate hain: Rasool’Allah (ﷺ) ne apni taraf se (baat) poh’ncha dene ka huqm dene ke baad apni Zaat Paak par jhuth bolne wale ko Aag ki Waeed (Warning) sunayi hai, lihaza isme is baat ki Saleel hai ke Aap ne apni taraf se Zaeef ki bajae Saheeh aur Baatil ki bajaae Haq ke poh’ncha dene ka hukam diya hai Na ke har is cheez ke poh’ncha dene ka jis ki nisbat Aap(ﷺ) ki taraf kardi gai.

© www.ummat-e-nabi.com/home

Nabi-e-Akram(ﷺ) ne farmaya:

Aadmi ke jhoota hone ki liye yehi kaafi hai ke wo har suni sunaai baat bayan karde.

📕 Muslim: al Muqaddama, Baab an Nahi anil Hadees bikul Maa samaa

✦ SABAQ:

Lihaja Hume Chahiye ke jo bhi baat aagey pohchaye wo sahi daleel se sabit ho. Afwa na ho. Warna Afwah se kis hadd tak fitne fasad hotey hai beharhaal hum pichli post me uska Zikr kar chukey hai.

✦ Aakhri me Allah Rabbul Izzat se dua hai ke:

Allah Ta’ala hume Haq kehne Sun’ne se Jyada Amal ki tofik dey,.
Jab tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhye…
Khatma Humara Imaan par ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Hadees ke muamle me chaan-bin aur Ahtiyaat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/hadees-ke-maamle-me-chaan-been-aur-ehtiyaat/feed/ 0 17972
12 Rabi-ul-Awwal (Eid Milad Un Nabi) ki Hakikat https://ummat-e-nabi.com/12-rabi-ul-awwal-milad-un-nabi-ki-haqeeqat/ https://ummat-e-nabi.com/12-rabi-ul-awwal-milad-un-nabi-ki-haqeeqat/#comments Wed, 06 Oct 2021 20:51:20 +0000 https://ummat-e-nabi.com/12-rabi-ul-awwal-milad-un-nabi-ki-haqeeqat/ Eid Milad Un Nabi ki HakikatEid Milad Un Nabi ki Hakikat ya 12 Rabi-ul-Awwal ke din ki Ahmiyat wa hakikat Tareekh aur Quran wa Sunnat ki roshni mein...

The post 12 Rabi-ul-Awwal (Eid Milad Un Nabi) ki Hakikat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

۞ Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu ۞

12 rabbi-ul-awwal ko barre sageer me ki jaane wali eid bhi hum musalmano me bade ikhtelaf ka mouju hai, aayiye hum iss din ke pasemanzar par gour karte hai, sahaba-e-kiram ke halat-e-zindagi ke aasar dekhte hai ke unpar ye din kaise gujra.

RasoolAllah (ﷺ) ki Wafat ka Marz:

Riwayto me aata hai ke Qalbe-e-Wafat ke kuch Saal pahle Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko ek Yahudan ne Dawat di. Aap (ﷺ) apne 2 Sahaba ke saath uss Dawat me tashreef leg gaye, uss yahudan ne khane me Zehar milakar Aapke Samne pesh kiya, jise khakar wo 2 Sahabi fouran Inteqal kar gaye aur Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne wo lukma muuh-e-mubarak me lekar chaba hi liya aur Zehar ka andesha hone par thunk diya. Riwayato me aata hai ke Aap(ﷺ) ko aakhri waqt tak hone wale marz ki taqleef ka sabab yahi Zehar tha.

Aap(ﷺ) ke marz me kami beshi hoti rehti thi khaas Wafat ke din (12 Rabbi ul Awwal) ke roz apka Hujra (Ummahatul Momineen Aaysha RaziAllahu Anha ka ghar) Masjid ke samne hi tha, Aapne parda uthakar dekha tou log Namaz-e-Fazr padh rahe they. ye dekhkar khushi se Aap (ﷺ) hans padey, logon ne samjha ke Aap Masjid me aana chahte hai. maare khushi ke tamam Sahaba beqabu ho gaye. magar Aap(ﷺ) ne ishare se roka aur huzre me dakhil ho kar parda daal diya. ye sabse aakhri mouka tha ki Sahaba Keeram ne Jamal-e-Naboowat ki Ziyarat ki.

Iske baad Aap (ﷺ) ko baar-baar Gashi (Behoshi) ka doura padne laga, Aap ki Lakhte Zigar (Beti) Hazrate Fatima Zehra (RaziAllahu Anha) ki Zubaan se Shiddate Gham me ye lafz nikal gaya “Haay re mere Baap ki Baichaini.”

Aap (ﷺ) ne farmaya: “Aye Beti ! tumhara baap aaj ke baad kabhi baichain na hoga!”

📕 Bukhari ; Jild:2, Safa:241, Baab: Marzunabbi Sallallahu Alaihay Wasallam


✦ RasoolAllah (ﷺ) ke Zubaan-e-Mubarak ke Aakhri alfaz:

Wafat se thodi der pehle sah pahar ka wakt tha ki aapke Sina-e-Akdas me Saans ki ghar-gharahat mehsus hone lagi. itne me Aapke Labe Mubarak hiley aur logo ne ye alfaz suney “Namaz aur Ghulamo ka khayal rakho”

Aap(ﷺ) ke paas me paani ki ek lagan thi isme baar hath daltey aur chehre akdas par malte aur kalma padhte. Apni chadar mubarak ko kabhi muhh par daaltey tou kabhi hata detey. Hazrate Aayisha (RaziAllahi Anhu) Aapke Sir-e-Mubarak ko apne siney se lagaye baithi hui thi itney me Aapne hath uthakat ungli se ishara kiya aur 3 martba farmaya “(Tarjuma: Ab koi nahi! balki wo bada rafik chahiye)”

Yahi alfaz Zubane Mukaddas pe they ki Nagaha Mukaddas hath latak gaye aur aankhe chath ki taraf dekhtey hue khuli ki khuli rahi aur Aap(ﷺ) iss duniya se Rukhsat kar gaye. (Inna lillahi wa inna ialahi rajiun)

📕 Bukhari; Jild:2, Safa:640 & 641

Wafat aur wiladat ki tareekh me aksar Ulmaye Sirat ka ittefaq hai ki Maheena Rabbi-ul-Awwal ka tha aur tarikh 12 thi.

Wafat ka Asar:

Huzure Akdas (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki wafat se Sahaba-e-Karam aur Ahle Baith ko kitna bada Sadma pohcha iski tasvir kashi ke liye hazaro safa’at bhi kafi nahi ho sakti.

Hazrate Usman Ghani (RaziAllahu Anhu) par aisa wakt taari ho gaya ke wo idhar udhar bhage bhage firte they, magar kisi se na kuch kehte aur na kisi se kuch suntey they.

Hazrate Ali (RaziAllahu Anhu) Ranjo Malal me nidhal hokar is tarah baithe rahe ke unme Uthne-Baithne ki sakat hi nahi rahi.

Hazrate Abdullah bin Unais (RaziAllahu Anhu) ke Qalb (heart) par aisa Dhakka laga ke wo iss sadme ko Bardasht na kar sakey aur unhe Dil ka doura pad gaya.

Hazrate Umar (RaziAllahu Anhu) is qadar hosho hawaas kho baithe ki unhone talwar khinch li aur nangi talwar lekar madina ki Galiyo me idhar udhar ghumne lagey aur ye kehte firte ki “Agar kisi ne ye kaha ke mere Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki wafat ho gayi tou mai isi talwar se uski garden uda dunga“


Wafat-e-Rasool par Abu Baqar Siddhiq (R.A.) ka khutba:

Bukhari sharif ki riwayat me hai ke Hazrate Abu Baqar Sidhik (RaziAllahu Anhu) apne ghodey par sawar hokar “sukh” se aaye jo ki masjide nabwi se ek mile ke fasle par tha aur kisi se koi baat na kahi na suni sidhey Hazrte Aayesha (RazAllahu Anhu) ki Hujre Mubaraq me chale gaye.

Aur Huzur-e-paak (ﷺ) ke Rukhe Mubarak se chadar hatakar Aapki dono Aankho ke darmiyan nihayat Garamjoshi ke sath ek bosa diya aur kaha ke “Aap apni hayat aur wafat dono halat me pakiza rahe! mere Maa-Baap aap par fida ho. Hargiz Allah Ta’ala Aap par Do Mouto ko jama nahi farmayega! Aapki jo Mout likhi huyi thi Aap uss Mout ke sath wafat pa chuke.”

Iske baad Hazarte Abu Baqar (RaziAllahu Anhu) masjid me tashrif laye aur logon ko mutawwajo karne ke liye khutba dena shuru kiya ke –

Tum me se Jo Shakhs Muhammad (ﷺ) ki parashtish karta tha wo jaan le ke Muhammad (ﷺ) ki Wafat ho gayi hai aur tum me se jo shakhs Allah ki parastish karta hai tou wo jaan le ke Allah Zinda hai aur wo kabhi Marne wala nahi.

– Khudba Abu Bakr Siddiq(أبو بكر)

Fir Uske baad Hazrate Abu Baqar Siddhik (RaziAllahu Anhu) ne surah Imran ki aayat 144 tilawat farmayi:

Aur Mohammad (ﷺ) tou ek Rasool hai, Unsey Pehle bohot se Rasool ho chukey hai tou kya agar Wo Inteqaal farma jaye ya Shaheed ho jaye tou tum Ultey paanv phir jaogey aur jo ultey paanv phirega Allah ka kuch Nuksan na karega aur Ankarib Allah Shukr ada karne walo ko Sawab dega.

(Al-Quran; Surah Aale Imran 3:144)

Khutbe ka Asar :

Iske baad Hazrate Abdullah bin Abbas (RaziAllahu Anhu) kehte hai ke “Hazrat Abu Baqar (RaziAllahu Anhu) ne ye Aayat tilawat ki tou maloom hota tha ki goya koi iss ayat ko janta hi na tha insey sunkar har shakhs isi Ayat ko padhne laga.

Hazrat Umar (RaziAllahu Anhu) ka bayan hai ki “Maine jab Abu Baqar Siddhiq (RaziAllahu Anhu) ki Zuban se Surah Aale Imran ki ye Aayat suni tou mujhe maloom ho gaya ke wakay Nabi-e-Kareem (ﷺ) inteqaal kar gaye.

Aur inke Sahib jade Hazrate Abdulah bin Umar (RaziAllahu Anhu) kehte hai ke“Goya hum par ek parda pada hua tha, is ayat ki taraf humara dhyan hi nahi gaya. Hazrat Abu Baqar Siddhik (RaziAllahu Anhu) ke khutbe ne is parde ko utha diya.”

📕 Reference: Book Sirat-e-Mustafa by Abdul Mustafa Aazmi Alahi Rehman


Sabaq:

Tou beharhaal ye hai pasemanzar 12 Rabbiul Awwal ka.
ye wo din tha jab Fatima Zehra ke sar se apne Walid ka saya hat gaya,
ye wo din tha jab aapki azwaz-e-mutahara bewa ho gayi,
ye wo din tha jab Sahaba Karam Shiddate gham se gash khakar gir gaye.

Aur ye wohi din tha jab Dushmanane din ko khushiya manane ki sabse badi wjah mil gayi thi ke Allah ke Rasool tou Ab Duniya se rukhsat kar gaye, lihaja Wahih ka silsila band ho gaya aur humara nifaq bhi ab ummat me poshida rahega. Tou jitna ho sakey ab ummat ki safo me dakhil ho kar musalmano me inteshar failaya jaaye.

Yahi wo Munafiq they jinke liye 12 Rabbi-ul-Awwal tou khushiyo ka din tha.

Aur Allah gawah hai aaj se kuch hi Saalo pahle tak iss din ko 12 wafat ke naam se manaya jata tha. lekin jab ummat me shaur aane laga tou naam badal kar Milad-un-Nabi rakh liya gata aur fir ye Eid-Milad-un-Nabi kehlaya. Allah hidayat de in hazrat ko.

Allah reham kare Aaj hum kya kar rahe hai 12 rabbi-ul-awwal ko aur kiski Sunnat par amal kar rahe hai ?

Mere Azeezo ! thoda tou gouro fikr karo, kya Sahaba se badhkar bhi Mohabbat-e-Rasool ka Dawedar ho sakta hai koi?, tou jab unhe iss din Jashn manane ka ilm na hua tou humari kya haisiyat thoda tou andaza lagaiye.

Yakinan Wiladate Rasool ki khushi har momin ko hai lekin humari khushiya Siyasati rang me na rangi ho aur na hi humari khushiya Gair-Muslamaano par fakr jatane wali ho.

Balki humari khushiya Shariyat-e-Islamiya ke tabey hai. Alahmdullahi! jo Allah aur uske Rasool ne kaha, jis par Sahaba ne Amal kiya wohi humare liye hujjat honi chahiye.


Nabi (ﷺ) ke Aamad ki khushi kaisi ho ?

Mere Azeezo! Sahaba (RaziAllahu Anhu) ne Rasool-e-Kareem (ﷺ) ki aamad par Zingadi bhar haqeeki khushiya manayi, yaani Aapki talimaat par Zindagi bhar amal kiya aur dusro tak apne umda Akhlaq ke sabab Deen ki Dawat pohchatey rahe.

jiska natija hai ke aaj Hum aur Aap bhi Ahle iman walo me shumar hai. Warna Allah agar hume hidayat na deta tou hum bhi Gumraho me Shumar hotey. Adana si Adna makhlookh se darne wali qoumo me humara Shumar hota.

Allah ka lakh Shukr hai ke Allah ne Apne Nabi ke jarye, Sahaba Kiram ki jaddo jahad ke jarye hum tak Deen-e-Islam pohchaya aur hume hidayat se sarfaraz kiya.

Lihaja hume bhi chahiye ke hum bhi RasoolAllah (ﷺ) ki talimat ko majbuti se pakad ley. Aap (ﷺ) ki ita’at ko lazim aur farz jane aur Deen me naye Akide ijad karne se ahtiyat kare.

♥ in sha Allah ul Azeez !!
– Allah Rabbul Izzat hume kehne sun’ne se jyda amal ki taufik de,
– Hume ek aur nek banaye ! Sirate Mustakim par chalaye,
– hum tamam ko Rasool-e-Kareem (ﷺ) se sacchi Mohabbat aur ita-at ki taufik ata farmaye.
– jab tak hume zinda rakhey islam aur imaan par zinda rakhye,
– khatma humara imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Ummat-e-Nabi.com
Fb.com/HadiseNabwi

The post 12 Rabi-ul-Awwal (Eid Milad Un Nabi) ki Hakikat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/12-rabi-ul-awwal-milad-un-nabi-ki-haqeeqat/feed/ 3 17386
Apne Amaal ko Barbaad naa karo https://ummat-e-nabi.com/apne-amaal-ko-barbaad-naa-karo/ https://ummat-e-nabi.com/apne-amaal-ko-barbaad-naa-karo/#respond Mon, 30 Aug 2021 23:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?post_type=quotes&p=29990 Apne Amal ko Barbaad na karoAaj ki Aayat | Verse Of The Day Apne Amaal ko Barbaad naa karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ “Aye Imanwalo! Allah ki Ita’at karo aur Uske Rasool (ﷺ) ki Itaat karo, […]

The post Apne Amaal ko Barbaad naa karo appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Aaj ki Aayat | Verse Of The Day

Apne Amaal ko Barbaad naa karo

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“Aye Imanwalo! Allah ki Ita’at karo aur Uske Rasool (ﷺ) ki Itaat karo, aur (Nafarmani kar ke) apne amaal ko barbaad na karo.”

📕 Quran 47:33

The post Apne Amaal ko Barbaad naa karo appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/apne-amaal-ko-barbaad-naa-karo/feed/ 0 29990
Jannat me Jaane se Koun Inkaar Karega ? https://ummat-e-nabi.com/jannat-me-jaane-se-inkaar/ https://ummat-e-nabi.com/jannat-me-jaane-se-inkaar/#respond Mon, 10 Oct 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/jannat-me-jaane-se-inkaar/ ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallaho Alayhe Wasallam) Farmatey Hai – “Meri Saari Ummat Jannat Me Chali Jayegi Siwaye Uske Jisney Jannat Me Jaaney Se Inkaar Kar Diya..” Sahaaba (RaziAllahu Anhu) Ne […]

The post Jannat me Jaane se Koun Inkaar Karega ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallaho Alayhe Wasallam) Farmatey Hai –
“Meri Saari Ummat Jannat Me Chali Jayegi Siwaye Uske Jisney Jannat Me Jaaney Se Inkaar Kar Diya..”
Sahaaba (RaziAllahu Anhu) Ne Pucha – “Aye Allah Ke Rasool! Jannat Me Jaaney Se Tou Koi Bad-Bakht Hi Inkaar Karega”.

Aap (Sallallaho Alayhe Wasallam) Ne Farmaya: “Jisne Meri Ita’at Ki Wo Jannat Me Gaya Aur Jisne Meri Nafarmani Ki Usney Jannat Me Jaaney Se Inkaar Kar Diya..”
(Sahi Bhukhari, Kitaab Ahkam)

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Ta’ala Humey Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Ka Muttabe Banaye,
# Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sacchi Mohabbat Hum’me Daaley…
# Unki Sunnato Ko Samjhna Aur Uspar Chalna Humare Liye Aasan Karey..
# Aur Humari Naslo Me Rasool’Allah Ki Sunnat Ko Baaki Rakhey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Jannat me Jaane se Koun Inkaar Karega ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/jannat-me-jaane-se-inkaar/feed/ 0 15869
Khaliq ki Nafarmaani me Makhlooq ki Ita’at Nahi https://ummat-e-nabi.com/khaliq-ki-nafarmaani-me-makhlooq-ki-itaat-nahi/ https://ummat-e-nabi.com/khaliq-ki-nafarmaani-me-makhlooq-ki-itaat-nahi/#respond Wed, 24 Feb 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/khaliq-ki-nafarmaani-me-makhlooq-ki-itaat-nahi/ Khaliq Ki Nafarmaani me Makhlooq Ki Itaat Nahi✦ Hadith: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai – ❝ Khaliq ki Masiyat (Nafarmaani) me Makhlooq ki Ita’at nahi hoti.❞ – (Sharh-Us-Sunnah, Hadith No. 1455) ✦ Aaj kitni martba […]

The post Khaliq ki Nafarmaani me Makhlooq ki Ita’at Nahi appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

✦ Hadith: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai –

❝ Khaliq ki Masiyat (Nafarmaani) me Makhlooq ki Ita’at nahi hoti.❞

– (Sharh-Us-Sunnah, Hadith No. 1455)


✦ Aaj kitni martba aisa hota hai ke logon ka Dil na tutey isliye hum unki Gairsharayi rusumat me shirkat karte hai, Gairmaboodo ki parastish se bhi Ahtiyaat nahi karte, Kitabo Sunnat ke barkhilaf Apne Aaba-o-Azdaad ke tareeko par chaltey hai. Allah Reham Karey !

Jabki ye hadees wajeh taur se Humari rehnumayi karti hai ke Allah ki Narazgi me Hum kisi ki bhi Ita’at nahi kar saktey aur agar aisa humne kiya tou fir iska wabal bhi humpar hi aaney wala hai.

♥ Allah Rabbul Izzat se Dua hai ke –
# Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ,..
# Hume Tamam Gairsharayi Amal Se Ahtiyaat Karne Karnewala Banaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Khaliq ki Nafarmaani me Makhlooq ki Ita’at Nahi appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/khaliq-ki-nafarmaani-me-makhlooq-ki-itaat-nahi/feed/ 0 17544
Sunnat ki Ahmiyat : Part 15 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-15/ https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-15/#respond Wed, 15 Apr 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-15/ Sunnat Ki Ahmiyat : Part 15Beharhaal Jo Baatey Hum Aapke Samne Sunnat ki Ahmiyat ke Taaluk se Rakh Rahe hai Usey Pura Karenge Ek Wakiye Se,.. Jo Rasool’Allah (ﷺ) Ka Ek Mash’hoor aur Maruf Wakiya […]

The post Sunnat ki Ahmiyat : Part 15 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Beharhaal Jo Baatey Hum Aapke Samne Sunnat ki Ahmiyat ke Taaluk se Rakh Rahe hai Usey Pura Karenge Ek Wakiye Se,.. Jo Rasool’Allah (ﷺ) Ka Ek Mash’hoor aur Maruf Wakiya hai aur Ismey Bhi Ita-ate Rasool (ﷺ) Ke Talluk Se Baat Wajeh Hoti Hai…

♥ Mafhoom-e-Hadees: Aap (ﷺ) Ek Roz Sahaba-e-Kiram Ko Waaz Aur Nasihat Farma Rahe They Aur Umar Ibne Khattab (RaziAllahu Anhu) Ek Taraf Khadey Hokar Tauraat Ka Nuskha Lekar Usmey Se Kuch Padh Rahey They.

Yeh Dekh Kar RasoolAllah (ﷺ) Ka Chehra-e-Mubarak Laal Ho Gaya.
Abu Baqar Siddhiq (RaziAllahu Anhu) Ne Yeh Dekha Aur Kaha – ‘Aye Umar Kya Tum Dekh Nahi Rahe Ke RasoolAllah (ﷺ) Ka Chehra-e-Mubarak Kaisa Ho Gaya Hai Tumhare Iss Amal Par’ ..

Jab Aap Umar (RaziAllahu Anhu) Ne Dekha Tou Fauran Kaha –
“Radheetu Billahi Rabba, Wa Bilislami Deena, Wa Bi Muhammadin Nabiya”
(Tarjuma: Mai Raazi Hu Ke Allah Mera Rabb Hai, Deen Mera Islam Hai aur Mohammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Mere Nabi Hai.)

Aur fir Rasool’Allah (ﷺ) Ne Umar Ibne Khattab Ki Taraf Dekha Aur Kaha –
Aye Umar! Agar Mere Hotey Hue, Musaa (Alaihay Salam) Bhi Aa Jaye, Tou Unko Meri Itteba Ke Siwa Aur Koi Chara Na Hoga! Aur Agar Mere Hotey Hue Tum Unki Baat Maano Tou Tum Gumraah Ho Jaoge” [Bukhari Sharif]

* Andaza Lagaiye, Musaa (Alaihay Salam) Ke Talluk se Baat Ho rahihai, Jinke Talluk Se Khud Rasool’Allah (ﷺ) Farmatey hai ke –
“Mere Aur Musaa Ke Bich Me Mu’azna(Comparison) Na Kiya Karo! Kyun Ke Qayamat Ke Roz! Jab Mai Behoshi Se Uthkar Khada Rahunga Tou Kya Dekhta Hu Ke Musaa Allah Ke Arsh Se Lag Kar Pahle Hi Khadey Hue Hai. Mai Nahi Janta Ke Wo Behosh Hue Ya Na Hue, Ya Mujhse Pahle Uthkar Khadey Ho Gaye”.

Yeh Hai Musaa (Alaihay Salam)! Aur Aap 5 Ulool Azm Paigmabro se Ek hai.

Aur Inhi Ke Talluk Se RasoolAllah Farmatey Hai Ke – Meri Moujudgi Me Musaa Bhi Aa Jaye Tou Meri Itteba Ke Siwa Aur Koi Chara Na Hoga, Aur Tum Unki Itteba Karo Tou Tum Gumraah Ho Jaoge., .

*Tou Jab Musaa (Alaihay Salam) Ki Itteba Rasool’Allah (ﷺ) Ki Moujudi Me Karne Se Gumraahi aati hai.

Tou Andaza Lagayiye, Rasool’Allah Ko Chorrkar Jin Logon Ne Inko Aur Unko, Falah Aur Falah Ko Itteba Ke Layak Bana Liya Hai Unka Kya Hoga Sirf Tasawwur Hi Kiya Ja Sakta Hai..

Aur Fir Iske Baad Humara Ye Kehna Ke –
*Inki Aur Unki Baat, *Aisi Aur Waisi Baat,
* Bado Ki Aur Choto Ki Baat, * Ilaqe Aur Rangat Ki Baat

Yaad Rakhiye Ye Tou Bohot Hi Ghatiya Baat Hai !
Yakinan Musaa (Alaihay Salam) Jaisa Muqaam Iss Ummat Ke Kisi Bhi Shaksh Ka Nahi Ho Sakta..
*Puri Insaniyat Bhi Jama Ho Jaye, Tou Ek Nabi Ke Muqaam Tak Nahi Pohoch Sakti..

*Tou Andaza Lagayiye Humne Tou Rasool’Allah (ﷺ) Ko Chorrkar Pata Nahi Kin-Kin Ko Apna Sahara Bana Liya.. Kin-Kin Ke Tareeko Par Hum Chaltey Hai Aur Kya-Kya Amaal Humne Apni Zindagi Me Ijad Kar Liye Hai..

# SABAQ: Iss Aahdees-e-Mubarak Se Maloom Hua Ke Allah Ke Nazdeeq Kisi Shakhs Ka Imaan Kabile Kabool Nahi Jab Tak Ke Wo Rasool’Allah (ﷺ) Ki Iteeba Na Karey..

*Aur Ab Jab Rasool’Allah (ﷺ) Ki Shariyat Allah Ne Tamam Aulaade Adam Par Farz Ki Hui Hai Tou Rasool’Allah Ko Chorrkar Kisi Aur Ke Tareeko Ko Tasleem Karna Bhi Gumraahi Hogi..

– Lihaja Humey Chahiye Ke Shariyat ka Sahi Ilm Hasil Kare, Uss Par Khud bhi Amal Karey aur Auro ko bhi Zamane Jahiliyat Ke Fitno Se Aagah Karne Ki Koshish Karey..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!

Allah ta’ala humey RasoolAllah (ﷺ) ki sunnato ka muttabe banaye,
RasoolAllah (ﷺ) ki sacchi Mohabbat hum me daaley,

Unki sunnato ko samjhna aur uspar chalna humare liye aasan karey,
Aur humari naslo me rasool’allah ki sunnat ko baaki rakhey.

Jab tak hume zinda rakhey islam aur imaan par zinda rakhy,
Khatma humara imaan par ho.

!!! Wa akhiru dawana anilhamdulillahe rabbil a’lameen !!!

The post Sunnat ki Ahmiyat : Part 15 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-15/feed/ 0 17006
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 14 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-14/ https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-14/#respond Tue, 14 Apr 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-14/ Sunnat Ki Ahmiyat : Part 14Sunnat-e-Rasool ko Tark karne Waley ka Duniyawi Anjaam: » Aayiye Aagey aur Kya Nuqsaan Hoga Duniyawi Aitbaar se Agar Sunnat-e-Rasool Ko Hum Chorr Dengey … • Allah Rabbul Izzat Surah […]

The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 14 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Sunnat-e-Rasool ko Tark karne Waley ka Duniyawi Anjaam:

» Aayiye Aagey aur Kya Nuqsaan Hoga Duniyawi Aitbaar se Agar Sunnat-e-Rasool Ko Hum Chorr Dengey …

• Allah Rabbul Izzat Surah Anfal ki Ayat Number 46 me Farmata Hai:


۞ Al-Quran ۞

“Aye Wo Logon Jo Iman Laye Ho! Ita’at Karo Allah ki aur Ita’at karo Uskey Rasool ki aur Aapas me Ikhtelaf Paida na Karna! Agar tum aisa karoge tou Tum Buzdil bana diye jaoge aur Tumhara Iqbaal jata rahega aur Sabr se kaam lo, ke Allah Sabr karne walo ke sath hai.”

Surah Anfal 8:46

– Tou Allah Duniya Me Buzdili Ata Kar Dega Aur Hawa Ko Ukhad Dega Humari ,.. Yaani Humara Dabdaba Aur Roub Khatm Kar Dega Duniya Se… Lihaja Sabr Karte Raho Ke Beshaq Allah Sabr Karne Walo Ke Sath..
Tou Ye Bhi Wo Nuqsaan Hai Jo Duniya Me Hoga.

• Ab Aayiye Gour Karte Hai Ke Aakhirat Me Kya Khassara Uthayenge Hum Sunnate Rasool Ko Chorrkar,..

Sunnat-e-Rasool ko Chorrne ka Aakhirat me Nuqsaan:

Allah Rabuul Izzat Quraan me Farmata Hai Unn Logon Ke Talluk Se Jo Allah aur Uskey Rasool Ki Ita’at Nahi Kartey.

۞ Al-Quran ۞

Jo Allah aur Uskey Rasool Ki Naframani Karey aur Unki Hado Ko Farlang Kar Jata hai, Dakhil kar diya jayega Jahannum ki Aag me, Usmey rahega Humesha Humesha ke liye aur kya hi Sakht Azaab hai.

Surah Nisa 4:13

– Tou Wo Log Jo Allah Aur Uskey Rasool Ki Baat Nahi Mantey ! Aakhirat Me Jahannum Me Jaaney Waley Hai,..

• Aayiye RasoolAllah (ﷺ) ki Ita’at Ke Talluk se Chand Aa-Hadeese Dekh Letey Hai,..

Jisne Meri Sunnat se Mohabbat ki Usney Mujhse Mohabbat ki aur Jisne Mujhse Mohabbat ki Wo Jannat me Mere Saath hoga.

Mishkaat Hadith no.165

– Ye hai Sunnate Rasool!! Jannat me Jaaney ki Zaamin hai ye,…

• Aagey RasoolAllah (ﷺ) farmatey hai:

“Meri Saari Ummat Jannat Me Chali Jayegi Siwaye Uskey Jisney Jannat Me Jaaney Se Inkaar Kar Diya.”

Sahaba ne Pucha – “Aye Allah Ke Rasool! Jannat Me Jaaney Se Tou Koi Bad Bakht Hi Inkaar Karega”

Aap (ﷺ) ne farmaya – Jisne Meri Ita’at Ki Wo Jannat me Gaya aur Jisne Meri Nafarmani Ki Usney Jannat me Jaaney se Inkaar kar diya”. [Sahih Bhukhari, Kitaab Ahkam]

– Tou RasoolAllah (ﷺ) ki Sunnat ka Inkaar kar ke Hum Duniya me Hii Jannat ka Inkaar Kar Dey Rahe Hai, ye hai RasoolAllah (ﷺ) ki Sunnat Ahmiyat.

# In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!

Allah Ta’ala Hume Parhne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq Ata Farmaye!!!


The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 14 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-14/feed/ 0 17004
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 13 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-13/ https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-13/#respond Mon, 13 Apr 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-13/ Sunnat Ki Ahmiyat : Part 13RasoolAllah (ﷺ) ki Mukhalifat karne waley koun? Ek Aayat me Allah Rabbul Izzat farmata hai: ۞ Al-Quran: ۞  “Aye Nabi (ﷺ) ! Agar Ye Log Aap ki Baat na maney! […]

The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 13 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

RasoolAllah (ﷺ) ki Mukhalifat karne waley koun?

Ek Aayat me Allah Rabbul Izzat farmata hai:

۞ Al-Quran: ۞ 

Aye Nabi (ﷺ) ! Agar Ye Log Aap ki Baat na maney! tou Allah aise Kaafiro se mohabbat hi nahi karta.

Surah Imran 3:32

Gour Karna Chahiye Hume, Ke Jo Shakhs RasoolAllah (ﷺ) Ki Baat Na Maney ,.. Aur Muuh Pher Ke Chaley Jaye Tou Allah Aise Kaafiro Se Mohabbat Hi Nahi Rakhta Hai.. Unhe Kaafir Kaha Allah Rabbul Izzat Ne…

– Kufr Bhi Bohot Sangeen Jurm Hai.. Lekin Ek Jurm Iss Se Bhi Jyada Sangeen Hai Aur Uska Tazkeera Aaya Quraan Me Aur Allah Ne Unn Logon Ko Jo Allah Aur Uskey Rasool Ke Faisley Ke Baad Bhi Baat Na Maney Unhey “Munafiq” Kaha.

Aur Munafiqeen Ke Talluk Se Hum Jantey Hai Ke –

Munafeeq Wo hai jo Jahannum ke Sabse Nichley Gadhey me Rahne waley hai.

Al-Quran 4-145

Is sey Jyada Hume Aur Kya Mill Sakta Hai RasoolAllah (ﷺ) Ki Nafarmani Kar ke ,.. (Allah Khair Kare)

Sunnat-e-Rasool ke Munkeer ka Duniya me Hashr:

Ab Aayiye Ye Bhi Jaan Letey Hai Ke RaoolAllah (ﷺ) Ki Sunnat Aur Ita-at Ko Chorrkar Hum Duniyawi Kya Nuqsaan Uthayenge?

Aayiye Chand Baatey Quraan Ki Roshni Me Aapke Saamne Rakhne Ki Koshish Karte Hai ,..

۞ Al-Quran: ۞ 

Keh Do Ke! Allah aur Uskey Rasool ki Ita-at karo! aur Apne Aamaal ko Barbaad na karo.

Surah Mohammad 47:33

– Yaani Allah Aur Uskey Rasool Ki Nafrmaani Karke Apne Amaal Ko Barbad Na Karo..

*Isi Tarha Allah Rabbul Izzat Ek aur Ayat me farmata hai:

۞ Al-Quran: ۞ 

Aye wo Logon jo Imaan laye ho! Gour se suno ke Allah aur uskey Rasool jis taraf tumhe bulatey hai uss taraf jao, jab ki Allah ke Rasool (ﷺ) uss Cheez ki taraf tumhe bulatey hai jo tumhe zindagi deti hai duniya aur aakhirat ki.

Agar tum aisa na karoge tou jaan lo ke Allah Insan aur uskey Dil ke bich me Aad ban jata hai, usko Hidayat se door kar deta hai aur yaad rakho ke palat kar Allah hi ki taraf jana hai tum sab ko.

Surah Anfal: 8:24

– Tou Agar RasoolAllah Ki Ita’at se Baarbaar Gurez(Neglect) Kiya Kisiney tou Allah Haayal (Aad) Ho Jata hai Insan Aur Uskey Dil Ke Bich Me Aur Usey Hidayat Ki Taraf Aaney Nahi Deta.

Is se Pehle ke ye ho jaye Sunnat Ko Chorr Chorr Kar ke Hidayat Se Hum Door Ho Jaye Hume Jaruri hai ke Sunnat Ko Thaam Le Aur Laazim Samjhey.

# In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!

*Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal ki Toufiq ata Farmaye!!!

To be continued …


The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 13 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-13/feed/ 0 17002
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 11 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-11/ https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-11/#respond Tue, 07 Apr 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-11/ Sunnat Ki Ahmiyat : Part 11Allah Raabul Izzat ne Ita-ate Rasool ke Talluk se Quraan-e-Kareem me farmaya: ۞ Al-Quraan ۞ “Jisney RasoolAllah (ﷺ) ki Ita’at ki bus Usney Allah ki Ita-at ki.” Surah An-Nisa 4:80 […]

The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 11 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Allah Raabul Izzat ne Ita-ate Rasool ke Talluk se Quraan-e-Kareem me farmaya:

۞ Al-Quraan ۞

Jisney RasoolAllah (ﷺ) ki Ita’at ki bus Usney Allah ki Ita-at ki.

Surah An-Nisa 4:80

Wajahat: Iss Aayate Mubarak se yeh Baat Wajeh hoti hai ke ,

RasoolAllah (ﷺ) Ki Ita-at Goya Allah Ki Ita-at Hai aur RasoolAllah (ﷺ) Ki Farmabardari Goya Allah ki Farmabardari Hai ,..

Aayiye Jaan Letey Hai Ke RasoolAllah (ﷺ) Kya Shakhsiyat hai ? aur Aapki Zaat-e-Mubarak Kya Hai? Aapka Muqaam Kya Hai ? …

Aap Wo Zaat-e-Mukaddas Hai: Jinki Wajah Se Jannat Ka Darwaza Khola Jayega Roze Qayamat,
Aap (ﷺ) Wo Shakhsiyat Hai Jo Sabse Pahle Jannat Me Dakhil Hongey,
Aap (ﷺ) Wo Shakhsiyat Hai Jinkey Jhandey Taley Roze Qayamat Tamaam Nabi aur Rasool Aur Unkey Ummati Aqwam(Jama/Hajir) Honge.

– Lekin Aaj Humney RasoolAllah (ﷺ) Ki Shakhsiyat Ki Kitni Nafrmani Ki Hai Aayie Jara Muhasba Kar Letey Hai .

*Aaj Humara Yeh Muamla Hai Ke RasoolAllah () Ki Sunnat Humari Zindagi Me Aa Bhi Jaye, phir bhi Hum Apne Man-maani Tareeke Par Zindagi Jeetey Rahenge.
– Kyunki Humarey Tou Bado Ne Yeh Kiya ,..
– Humare Khandan Ka Purana Tareeka Hai Ye ,..
– Humari Qaum, Samaj, Shahero Aur Basti Ka Tareeka Ye Hai …
– Lihaza Sunnat Hum Nahi Maan Saktey.. (Nauzubillah Summa Nauzibillah)

Yaha Allah Ta’ala Hume Uss Nabi Ki Sunnate Mubarak Par Amal Lazim Kar Raha Hai –
* Jo Tamam Aalam Ke Nabi Hai, Jo Imam-Ul-Ambiya Hai ,…
*Yeh Nabi Jab Meraz Me Jatey Hai Tou Tamam Ambiya (Alahi Salam) Ki Imamat Kartey Hai ,..

*Aise Nabi Ki Ita-at Allah Hum Par Lazim Kar Raha Hai,
– Aur Isi Nabi (ﷺ) Ki Baatey Chorrkar Hum Iski-Uski Aur Fala Fala Ki Baate Mantey Hai ..
– Quraan Aur Aahadees Ko Chorrkar Hum Jahilana Aqaid Par Imaan Latey Hai .. (Subhan’Allah) !!

Yaad Rakhiye Kalma La Ilaha IllAllah Muhammadur Rasoolullah” Ka Aadha Zuz Hai “Imaan-Birr-Rasool” Yaani RasoolAllah Par Imaan.

Aur Aaj Hum Kalma Tou Padhtey Hai RasoolAllah (ﷺ) Ka
– Lekin Tareeka Phir Kisi Aur Ka Ikhtiyar Karte Hai ,..

*Kalma Tou Padhtey Hai Rasool’Allah (ﷺ) Ka
– Fir Baat Kisi Aur Ki Mantey Hai ,..

*Kalma Tou Padhtey Hai RasoolAllah (ﷺ) Ka
– Lekin Apne Amaal Aur Ikhtilaf Me Kisi Aur Ke Paas Jaatey Hai ,..

*Kalma Tou Padhtey Hai RasoolAllah (ﷺ) Ka
– Aur Tamaam Zindagi Ke Shobey Aap Ki Sunnat Se Khali Hai ,..

*Aur Fir “La Ilaha IllAllah Muhammadur RasoolAllah” … Subhan’Allah !!!!

*Kya Yahi Mana(Meaning) Hai Is Kalme Ki ?
– Ke Sirf Kalma Padhke Iskey Takaazo Ko Zubaan Par Hi Khatm Kiya Jaaye ? …

*Yaad Rakhiye Agar Humne ‘Muhammadur Rasoolullah’ Kaha
Tou Humari Zindagi Ka Khatma Aur Zindagi Ka Har Pailu
Rasool’Allah (ﷺ) Ke Tareeke Par Hi Hona Chahiye ,..

*Yahi Iss Kalme Ka Sahi Asal Matlab Hota Hai ..
– Tou Goya “Jisney Rasool’Allah Ki Ita-at Ki Usney Allah Ki Ita-at Ki” ..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey!!

To be continued …


The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 11 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-11/feed/ 0 16996
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 9 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-9/ https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-9/#respond Fri, 13 Mar 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-9/ Sunnat Ki Ahmiyat : Part 9Allah Rabbul Izzat Quraan me Ek Jagah Farmata Hai Ke: “Nabi Jo Dey Usey Lelo aur Nabi Jis’se Rokey Uss se Rook Jao” Surah Hashr 59:7 Tou Yaha Baat Wajeh […]

The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 9 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Allah Rabbul Izzat Quraan me Ek Jagah Farmata Hai Ke:

Nabi Jo Dey Usey Lelo aur Nabi Jis’se Rokey Uss se Rook Jao

Surah Hashr 59:7

Tou Yaha Baat Wajeh Hui Ke RasoolAllah (ﷺ) Ki Sunnat Ke Bagair Ab Koi bhi Amal Allah ke Nazdik Kaabile Kabool Na Hoga Yaad Rakhiye,
*Chahey Tawheed Par Chaley Lekin Rasool Ki Ita’at Na Ho,
*Chahey Namaz Padhey Lekin Rasool Ki Ita-at Na Ho,
*Chahey Roza Rakhe Lekin Rasool Ki Ita-at Na Ho,
*Chahey Zakaat Dey Lekin Rasool Ki Ita-at Na Ho,
*Chahey Din Bhar ka Koi Muamla ho, Tijarat Kare, Akhlaq ho Ya Aadab ho Agar Rasool ka Tareeka nahi hai Tou Yaad Rakhiye Wo Amal Kaabile Kabool Nahi Allah ke Paas.

Tou Yaha Allah Rabbul Izzat Ne RasoolAllah (ﷺ) Ki Ita’at Humpar Wajib Aur Farz Ki Gayi Hai Aur Sahaba Ne Bhi Aisa Hi Samjha Iss Baat Ko.

Lekin Kitne Baar Aisa Hota Hai Ke –
Hum Apne Aaba-O-Ajadaad Ke Tareeko Par Amal Ke Liye RasoolAllah Ki Sunnat Ki Mukhalifat Karne Lag Jatey hai phir Chahey Koi Sahi Kitabo Sunnat Se Humari Islah Karne Lag Jaye Fir Bhi Hum Unki Baat Nahi Sun’na Chahtey.

– Yeh Hai Huamara Haal Aaj.. Aur Aesi Gustakhi Karne Ke Baad Bhi Hum Apne-Aap Ko Ahle Imaan Aur Ahle Sunnat Wal Jamat Me Tasawwur Karne Lag Jaatey Hai .. (SubhanAllah!!!)

Aur Kuch Logon Ka Tou Muamla Ye Hai Ke Rab Par aur Uskey Din Par Ilzam Lagatey Hai…
– Yeh Aqwal Aapne Suney Honge Chotey Aur Badon Se ,.. Baaz Paid Ulemao Se ,..

»1). Pahla Aqwal: “Ke Janaab Aap Sunnat Ki Baat Karte Hai! Agar Puri Sunnat RasoolAllah Ki Tumhare Paas Aajaati Tou Tumhara Chalna-Firna, Uthna-Baithna, Khana-Peena Mushkil Ho Jata ,..

*Jabki Sawaal Tou Yeh Hai ke Rab Farmata hai ke:
Nabi Jo Dey Usey Lelo Aur Nabi Jis’se Rokey Uss se Rook Jao” [Al-Quran 59:7] Aur
Aye Musalmano ! Allah Ke Rasool (ﷺ) Tumhare Liye Behtareen Namuna (Ideal Aur Role Model) Hai [Al-Quran 33:21]

Lekin Hum Tou Kehtey Hai Ke Ye Ideal Tou Hum Tak Pohcha Hi Nahi ,,.. Subhan’Allah !!! ..

Tou Goya Islam Par, Shariyat Par, Rab Ke Deen Par Hum Ilzam Lagatey Hai Ke Ye Deen Mukammil Nahi Hai, Aur Pura Hum Tak Pohcha Nahi.

Jara Soch Lo Bolney Se Pahle! Kisi Giroh ke Khilaf, Kuch Logon ke Khilaf Jinko Hum Apna Mukhalif Samjhtey Hai Unko Rokney Ke Chakkar me Ye Baatey Muuh Se Hum Keh Baithety Hai aur Samjhtey Bhi Nahi Ke Iska Asar Kaha Tak Hota Hai Ja Kar.

»2). Dusra Aqwal: Yeh Ke: Ye Islam Bohot Mushkil Deen hai, Tabhi tou Kaha Jata hai ke Pura Aajata tou Bohot Mushkil ho Jata, tou Hum Kahte hai ke Chalo Accha hi hai Jo nahi aaya pura aur Jo Baaki Hai Wo Bhi Na Padho! Kyunki Padhogey tou fir Amal Karna Padhega … (Subhan’Allah !!!)

– Yaad Rakhiye Ye Sab Dhakosley hai,.. Fitne Hai! Sirf Hume Haq Se Gaafil Rakhney Ke Liye,.. Kitabo Sunnat Se Hume Door Karne Ke Liye Baaz Logon Ne Iss Tarha Ki Aqwale Gadhi Hai Iss Ummat Me ,.. Taaki Wo Deen Ke Naam Par Apni Dukaney Chalaye.

– Lekin Alahmdulillah!! Allah Rabbul Izzat Inki Poley Khol Raha Hai Din-Ba-Din.

Lihaja Allah Ke Liye Hume Bhi Chahiye Ke Jab Koi Kitaabo Sunnat Ki Baat Karey Tau Bagour Suney aur Samjhe.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!

*Allah Ta’ala Humey Haq Kehne, Sun’ne, Samjhne Aur Uspar Amal Ki Taufiq De ,.. Ameen Allahumma Ameen !!!

To be Continued …


The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 9 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-9/feed/ 0 16992
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 7 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-7/ https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-7/#respond Tue, 10 Mar 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-7/ Sunnat Ki Ahmiyat : Part 7Beharhaal Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Mukhatalif Muqamat Par RasoolAllah (ﷺ) Ki Itteba Ka Hume Hukm Diya,.. Youn Tou Aayate Kayi Hai, Chand Misaaley Sirf Quraan Ke Rakhtey Hue […]

The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 7 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Beharhaal Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Mukhatalif Muqamat Par RasoolAllah (ﷺ) Ki Itteba Ka Hume Hukm Diya,.. Youn Tou Aayate Kayi Hai, Chand Misaaley Sirf Quraan Ke Rakhtey Hue Baat Ko Wajeh Karne Ki Koshish Hum Karte Hai.

Allah Raabul Izzat Surah Huzrat Ki Ayat Number 1 Aur 2 Me Farmata Hai Ke:

Aye Wo Logon Jo Imaan Laye Ho! Apne Kadam Na Badhao Allah Ke Rasool (ﷺ) Se Aagey Aur Allah Se Darte Raho ..

Surah Huzrat 49:1,2

Tou Iss Ayat me Allah Rabbul Izzat Ne Hukm Diya Ke Allah Aur Uske Rasool Ke Hukm Se Aagey Nahi Jana Hai.

Iski Aagey Ki Ayat (2) Me Allah Ne Farmaya:

“Wo Log Jo Allah Ke Rasool (ﷺ) Ke Moujudgi Me Apni Awazo Ko Buland Karte Hai Unhey Khouf Aur Darrna Chahiye Ke Kahi Allah Unkey Tamam Aamal Ko Barbad Na Kardey.”

*Iss Ayat ke Taaluk se riwayato me aata Hai Ke:
Ek Sahaabi They! Wo Rasool’Allah (ﷺ) Ko 2 Din Dikhayi Na Diye,

RasoolAllah ﷺ Ne Kaha – ‘Ke Uski Khabar Laao! Wo Kaha Hai?’
Ek Shakhs Nikley Aur Unke Ghar Gaye Aur Pucha Ke – ‘Wo Kaha Hai ?.’

Tou Unki Biwi ne kaha ke “Wo 2 Din Se Ghodo Ke Astabal Me Rotey Hue Baithey Hai! Aap Jakar Samjhaiye Unhe”

Jab Unke Paas Pohchey Aur Pucha Ke – ‘Tumahara Kya Mu’amla Hai ? Kyu Ro Rahe Ho ?’

Tou Unohne Kaha Ke – ‘Rabbul Izzat Ne Quraan Ki Aayat Nazil Kar Di Ke “Jo Log Rasool’Allah Ki Moujudgi Me Apni Aawazo Ko Buland Karte Hai, Unhe Darna Chahiye Ke Kahi Unke Amaal Gaarat Na Ho Jaye!”  [Surah Huzraat: 49:1-2]

Aur Meri Aawaz Tou Bohot Unchi Hua Karti Thi, Aur Maine Tou Rasool’Allah Se Aisi Tez Awaaz Me Kayi Baar Baat Ki. Lihaja Mere Amal Tou Gaarat Ho Gaye! Ab Tum Chaley Jao! Mai Tou Halaaq Aur Barbaad Ho Gaya, Mujhe Chorr Do Isi Haal Me!

*Yeh Darr Rakhte They Sahaba –
“Ke RasoolAllah Ki Moujudgi Me Awaaz Bhi Buland Ho Jaye Tou Wo Yeh Tasawwur Karte Ke Amaal Gaarat Ho Gaye.”

Haala Ki Yeh Aayat Baad Me Nazil Hui, Lekin Uskey Baad Kabhi Unhone Tez Awaaz Me Baat Na Ki.

Yeh Hai Rasool’Allah (ﷺ) Ka Adab!
– Ke Aapki Aawaz Se Unchi Awaz Nahi Karna Hai,
– Aapke Kadam Se Kadam Aagey Na Badhana Hai,

Lekin Humara Mu’mla Tou Yeh Hai Ke –
– Zindagi Ke Tamam Shobey, Kadam Aur Aawaz Tou Door,
– Har Mua’mle Me Barkhilaf Jaa Kar Usko Apna Aizaaz, Apna Shi’ar, Aur Apna Alam Samjhtey Hai Ke Haa! Yeh Sunnat Ke Khilaaf Amal Karke Hum Sahi Musalman Ho Gaye.

Zindagi Ke Kayi Shobey, Subha Se Lekar Shaam Tak, Shaadi Se Lekar Mout Tak Sab Me Khilafwarji Aur Fir Hum Musalman Ke Musalman Rahey.. Subhaan Allah.

*Lihaja Hume Chahiye Ke Zindagi Ke Tamaam Shobo Me RasoolAllah (ﷺ) Ko Apna Usma-Tul-Hasna (Ideal Aur Role Model) Maaney Aur Aap (ﷺ) Ki Sunnato Par Amal Ko Lazim Aur Farz Jaaney.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!

– Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey …

To be Continued …


The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 7 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-7/feed/ 0 16988
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 6 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-6/ https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-6/#respond Sun, 08 Mar 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-6/ Sunnat Ki Ahmiyat : Part 6Mohabbat Kisko Kahte hai ? Aayiye Ek Misal De Du Mohabbat Ki… Ke Mohabbat Kisi Cheez Ka Sirf Naam Nahi Mohabbat. Balki Mohabbat Ka Matlab Hota Hai Ita’at. Agar Mai […]

The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 6 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Mohabbat Kisko Kahte hai ?

Aayiye Ek Misal De Du Mohabbat Ki… Ke Mohabbat Kisi Cheez Ka Sirf Naam Nahi Mohabbat. Balki Mohabbat Ka Matlab Hota Hai Ita’at.

Agar Mai Ye Kahu Aapse Ke Mai Apne Walidain Se Mohabbat Karta Hu! Tou Kya Tasawwur Karoge Aap Mere Baare Me ?

– Shayad Unki Khidmat Karta Ho, Raato Me Uthkar Pair Dabata Ho, Kabhi Arey-Turey Na Kahta Ho, Uff Bhi Na Karta Ho.

Yahi Saari Baate Khayal Karoge Na Aap Mere Baare Me ?
– Matlab Meri Mohabbat Ko Ita’at Me Aap Tasawwur Karoge.

Lekin Agar Mai Aapse Kahu Ke Mai Apne Walidain Se Mohabbat Karta Hu ! Aur Unko Marta Hu! Tou Kya Aap Isko Mohabbat Kahoge ? Nahi ! Bilkul Bhi Nahi.

Tou Agar Mai Kehta Hu Ke RasoolAllah (ﷺ) se Mujhe Mohabbat Hai Tou Ita-at Lazim Hai Uske Sath, Ita-at Ke Bagair Mohabbat Bekaar Hai.

Lekin Jis tarha se Aaj Mohabbat ke Naare Lagtey Hai. (Subhan’Allah!)
– Ita-at Kaha Hai mere Bhayiyo? Waha tou Sab Manmani chal rahi hai …
– Fir RasoolAllah ﷺ Se Mohabbat Ke Dawey Hai ,..

Jabki Mohabbat Ka Lazmi Zuz Ita-at hai, Farmabardari hai, Itteba hai.
Uss Tareeke Par Chalna Hai, Uske Pasand Ko Pasand Karna Hai,

Uski Napasand Ko Napasand Karna Hai,
Uski Acchayi Ko Acchayi Samjhna Hai,

Usney Jisko Bura Samjah Usko Bura Samjhna Hai,
Usney Jo Kiya Wo Karna Hai,

Usney Jo Na Kiya Wo Nahi Karna Hai,
Ye Hai Mohabbat, Aur Yahi Hai Ita-at.

Tou Beharhaal! Humare Liye Ye Jaruri Hai ke RasoolAllah (ﷺ) Ko Har Mu’amlo Me Ideal Aur Role Model Banaye Jaisa Ke Quraan Ne Hume Hukm Diya.

Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Mukhtalif Muqamat Par, Itney Muqamat Hai Ke Humare Liye Ginana Mushkil Hai Jaha RasoolAllah (ﷺ) Ki Itteba Ka Hukm Diya Hume.. Itne Muqamat Jiski Koi Inteha Nahi.

Lekin Iske Bawajud Aaj Ita-at aur farmabardari Ke Muamle Me Kya Humara Haal Hai ?
– Ke Aaj Humari Zindagi Ka Koi Bhi Shoba Utha Lijiye Wo Sunnat Se Khaali Hai,
– Agar Sahaba Iss Dour Me Aa Jatey Tou Shayad Wo Humko Musalman Bhi Na Mantey !!
– Ke Kaisa Aajka Musalman Hai Ye: Ke Rasool Ki Sunnato Par Unhoney Jaan Di Aur Ye Aaj Ka Musalman Rasool Ko Rasool Maankar Jaan Dena Tou Door Sunnat Par Amal Bhi Nahi Karta ,..

Sahaba ki Mohabbat Kaisi thi Rasool’Allah se ?

Rasool’Allah (ﷺ) Ki Sunnat Aur Aapki Ita-at Aur Aapki Itteba Aur Mohabbat Sahaba Ke Zindagi Me Kaisi Thi Aayiye Ek Hi Wakiye Ke Jarye Bataney Ki Koshish Karte Hai Hum,

Ye Wakiya Aapne Sirat Me Padha Hai:
Ek Sahabi Ko Mushrikaan-e-Makka ne Giraftaar Kiya aur Faansi Deney Ka Irada Kiya!!

Kaha Ke: “Imaan Chorr Do Warna Faansi De Di Jayegi!!”

Uss Sahabi Ne Kaha: “Imaan Tou Nahi Chorr Sakta! Faansi Chaho Tou De Do!”
Wo Kahne Lage Ke: “Accha Chalo Tumko Muaf Kar Dete Hai, Sirf Tum Apne Rasool Ko Gaali De Do…”

Tou Uss Sahabi Ne Jawaab Diya Ke: “Mere RasoolAllah (ﷺ) Ko Bura Bhala Kehna Tou Door, RasoolAllah Ko Kaanta bhi Chubh Jaye Wo Tasawwur bhi Nahi Kar Sakta Mai, Tumko Jo Chahey Mere Sath Karna Hai Karo..” Aur Unko Faansi De Di Gayi Aur Shaheed Kar Diya Gaya.

Tou RasoolAllah (ﷺ) Ki Itteba Aur Mohabbat Kaisi Thi Sahaba Ke Zindagi Me! Ke Rasool’Allah Ko Kaanta Bhi Chubh Jana Mohal Tha Unke Liye.

– Lekin Aaj Itteba-e-Rasool, Kalma-e-Rasool Padhkar Aaj Tamam Zindagi Ke Shobey Hum Uske Bar Khilaaf Jaatey hai. (Allah Khair Karey)

Aur Sahaba Ka Wo Jasba Tha Ke Unki Jindagi Ka Koi Shoba Sunnat Se Khaali Na Tha,
– Haa! Agar Koi Baat Maloom Na Thi Tou Wo Tehqeek Kar Letey, Dusro Se Puch Letey Aur Apni Islah Kar Letey …

Lihaja Hume bhi Chahiye ke Apne Zindagi ke Tamam Shobo me RasoolAllah (ﷺ) Ki Itteba, farmabardari ko Lazim aur Farz Jaaney.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!

– Allah Ta’ala hume Kehne Sun ne se Jyada Amal Ki Taufiq Dey.

To be continued …


The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 6 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-6/feed/ 0 16986
Sunnat Ki Ahmiyat: Part 5 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-5/ https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-5/#respond Fri, 06 Mar 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-5/ Sunnat Ki Ahmiyat: Part 5♥ Mafhoom-e-Hadees: Farman-e-Mustafa (ﷺ) Hai Ke – “Jo Shakhs Meri Ummat Tak Koi Islami Baat Pohchaye Ta’aki Uss Se Sunnat Qaayam Ki Jaye Ya Uss Se Bad’Mazhabi Door Ki Jaaye […]

The post Sunnat Ki Ahmiyat: Part 5 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Mafhoom-e-Hadees: Farman-e-Mustafa (ﷺ) Hai Ke –

“Jo Shakhs Meri Ummat Tak Koi Islami Baat Pohchaye Ta’aki Uss Se Sunnat Qaayam Ki Jaye Ya Uss Se Bad’Mazhabi Door Ki Jaaye Tou Woh Jannati Hai.”

Tirmizi Sharif

Gour Karne Waali Baat Hai Ke RasoolAllah (ﷺ) Uss Shakhs Ko Jannat Ki Basharat Dey Rahe Hai Jiska Tou Hum Mazak Udatey Hai!.. Jabki Hum Sochtey Tak Nahi Ke Hakikat Me Hum Kiska Mazaq Udatey Hai ,..

# Sunnat Ka Mazak Udaney Se Ahtiyat Kare:
Aaj Agar Koi Sunnato Par Amal Ki Baat Karta Hai Tou Log Uska Mazak Udatey Hai !!
– Allah Ke Liye, Jab Koi Shakhs Koi Baat Kahe Tou Kum-Se-Kum Kaan Dhar Dijiye, Koshish Kijiye Ke Usney Kaha Se Ki Wo Baat, Puch Lijiye,
– Kahi Aisa Na Ho Ke La-Ilmi Me Mai Uski Baat Ka Mazak Uda Du Aur Baad Me Pata Chaley Ke RasoolAllah (ﷺ) Ki Sunnat Thi,
– Fir Baadme Mujhe Zindagi Bhar Pachtana Padey, Ke Kyu Maine Mazak Udaya Mere RasoolAllah (ﷺ) Ki Sunnat Ka.

Beharhaal Nabiyon Ki Ba’asat Ka Maksad Unki Ita-at Hai,.. Aur Rasool (ﷺ) Ki Ba’asat Ka Maksad Bhi Yahi Hai, Aapko Allah Rabbul Izzat Ne “Ideal Aur Role” Model Banaya Hai, Lekin Aaj RasoolAllah Ki Taalimat Ko Humne Chorr Diya Aur Uska Natija Kya Hua Hum Sabhi Dekh Hi Rahe Hai.

Jisne Sunnat Se Mohabbat ki Wo Rasool’Allah Ke Sath Hai:
– Rasool’Allah (ﷺ) Ke Paas Ek Ansari Sahabi Aaye ,.. Wo Ghumjada They Bohot.

RasoolAllah ﷺ Ne Unki Pareshani Ka Sabab Pucha ,..
Tou Unhone Kaha – “Aye Allah Ke Rasool (ﷺ)! Ek Gham Mujhe Khaye Ja Raha Hai, Ke Mai Yeh Sochta Hu Ke Aaj Dunia Me Aapka Chehra Mubarak Dekhey Bagair Hum Reh Nahi Patey, Chalte Aur Firtey, Uthtey Aur Baithtey Jab Bhi Aapki Yaad Aati, Aapse Aakar Hum Mil Letey Aapka Didaar Karte Aur Hume Sukun Milta Hai.

Lekin Mai Yeh Soch Kar Gham Kha Raha Hu Ke Roze Qayamat Tou Aap Ambiya (Alaihi Salato Salaam) Ke Sath Hongey, Waha Tou Hum Aapka Didaar Nahi Kar Payenge.

Aap (ﷺ) Khamosh Rahey.

Phir Aap (ﷺ) Par Yeh Aayat Nazil Hoti Hai:

“Jo Koi Allah Aur Rasool Ki Farmabardari Kerega Woh (Roze Qayamat) Unn Logon Ke Sath Hoga Jin Per Allah Ta’ala Ne Inaam Kiya Hai! Jaisey Nabi Aur Siddique Aur Shaheed Aur Nek Log; Yeh Kya Hi Behtareen Rafiq Hai.”

Surah 4 Nisa: Ayat 69

Aur Phir RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya –

Al-Maru Ma’ Man Ahab”

“Insan (Qayamat Ke Din) Uskey Saath Jis Sey Wo Mohabbat Karta Hai.”

Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 189

Aur Anas Bin Malik (R.A) Kehte hai ke: “Iss Hadees Ko Sun’ne Se Jyada Hume Kabhi Kisi Aur Hadees Par Itni Khushi Nahi Hui. Ke Insan Uske Sath Jis’se Wo Mohabbat Karta Hai.

Aur Hum Jantey Hai Ke Hum RasoolAllah ﷺ se Mohabbat Karte Hai, Lihaja Humara Hisaab Bhi RasoolAllah Ke Sath Hoga.”

* Tou Jisney RasoolAllah ﷺ se Mohabbat Ki Yaani RasoolAllah Ki Ita-at Ki, Wo RasoolAllah Ke Sath Hai,
* Jisney Filmstaro Ki Itteba Ki, Unsey Mohabbat Ki, Unkey Tareeko Ko Apnaya, Wo Unke Sath Hoga,
* Jisney Sportstars Ko Pasand Kiya, Unkey Tareeke Par Chala, Wo Unke Sath Hai,
* Jisney Kuffaro Ko Pasand Kiya, Unkey Tarsh Ko Apnaya Aur Unkey Tareeko Par Chala Wo Unkey Sath Hai.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!

Allah Ta’ala Hume Har Mu’amle me RasoolAllah (ﷺ) ki Sunnato ka Muttabe banaye.

To be Continued …


The post Sunnat Ki Ahmiyat: Part 5 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-5/feed/ 0 16984
Sunnat ki Ahmiyat : Part 1 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-1/ https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-1/#respond Sat, 21 Feb 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-1/ Sunnat Ki Ahmiyat part 1۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah ke Naam se shuru jo nihayat Maherbaan aur Rahem wala hai. is Series me hum “Sunnat ki Ahmiyat” ke taaluk se kuch aham tazkira karenge. Maksad […]

The post Sunnat ki Ahmiyat : Part 1 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Allah ke Naam se shuru jo nihayat Maherbaan aur Rahem wala hai.

is Series me hum “Sunnat ki Ahmiyat” ke taaluk se kuch aham tazkira karenge. Maksad yahi hai ke aaj mu’ashre me jis Deen par hum chal rahe hai wo kis hadd tak Kitabo Sunnat se sabit hai aur Sunnat-e-Rasool ko chorrne ka jo anjaam hum bhugat rahe hai Us’se apne aqidey ka muhasba karey.

Ambiya (Alaihi Salam) ka bheje jaane ka Maqsad:

Allah Rabbul Izzat Quraan me Surah Nisa (4) Aayat 63 me farmata hai ke:

Hum ne har Qaum ke paas Nabi aur Rasool bheje sirf iss liye ke Allah Ta’alaa ke hukm se uss ki farmabardari ki jaye.

Quran 4:63

Yaani Ke Allah Rabbul Izzat jab bhi Ambiya (Alaihi Salam) ko mabus karta hai, bhejta hai aur unko jo iss mansab par fayej karta hai tou maksad yahi hota hai ke Allah ke hukm se unki ita’at ki jaye. tou goya Anbiya (Alaihi Salam) ke ba’asat ka maksad yeh hai ke unki ita’at ki jaye. Mukammil taur se jo wo kahe usko mana jaye, mukkamil taur se jis’se wo rokey uss se ruka jaye, ye hai Ambiyao ki ita’at.

Ab Ambiya (Alaihi Salato Salam) ke aaney ka maksad kya hota hai ye baat hum sab jaantey hai ke Allah Rabbul Izzat humse kya chahta hai wo bataney ke liye Allah insano me se ek insan ko chunta hai jis tak wo bajarye wahi baat pohchata hai jo Allah chahta hai ke uski Makhlooq tak wo paigam pohchaye
taaki “ins aur jins” (Insan aur Jinn) uspar amal karey.

Tou Allah Rabbul Izzat Isliye bhejta hai ke Ambiya ek Mu’allim(Representative) hotey hai aur Allah jo chahta hai inko batata hai ke insan kya kare aur kya na kare aur ye insano tak wo baatey laakar pohcha detey hai.

Aur isi maksad ke tahat Ambiya (Alaihi Salam) ko bheja gaya aur humara fariza ye tha ke hum unki ita’at karey aur Hadees me aata hai ke Allah Rabbul Izzat ne iss Roo-e-Zameen par kamobesh Sawa Laakh Nabi aur Rasoolo ko mabus kiya, taaki log Allah ke hukm se unki ita’at kare.

RasoolAllah (ﷺ) tamam Aalam ke Nabi hai:

Digar Ambiya aur Rasool jo RasoolAllah (ﷺ) se pehle mabus hue, pehle aaye, yeh khusoos hotey, makhsus hotey kisi Qoum ki taraf, inka paigaam ek wakt tak hota, aur ye Nabi ek makhsus hissey ke liye aatey ek mehdud(limited) waqt ke liye.

lekin RasoolAllah (ﷺ) ka muamla dusrey Ambiyao se mukhtalif hai aur yeh baat Aap aur Hum jantey hai ke Allah Rabbul Izzat ne faramaya:

Wama Arsalnaka Illa Rahmatan Lil Aalameen.

Quran 21:107

(Aye Nabi! Humne Aapko tamam insaniyat ke liye Rehmat banakar bheja)

Tou lihaja RasoolAllah (ﷺ) insano ke liye bhi Nabi-e-Rehmat hai, RasoolAllah Jinno ke bhi Nabi hai, Charind aur Parindo ke bhi Nabi hai, tamam Makhlukat jo bhi Aalam me hai un tamam ke Aap Nabi hai.

Aur iski wajahat Aahadeese Sharifa se bhi hoti hai ke RasoolAllah (ﷺ) ki kayi Aahadees hum suntey hai ke aapke Mojzat ke baare me:

✦ WAQIA: 1

Ek Mimber tha, jo ek khajur ki darakht par banaya gaya tha, RasoolAllah (ﷺ) uspar khadey ho kar khutba diya karte aur ek baar yun hua ke RasoolAllah ne apne mimber ki jagah badal di, tou Umar bin Khattab aur Abu Baqar Siddhiq (R.A) farmatey hai ke wo jhaad roney laga aur uski siskiya hum sunn rahey they. fir RasoolAllah (ﷺ) ne hukm diya ke isey wapas yaha laakar laga do. tou goya Aap ek jhaad ke bhi Nabi hai.

✦ WAQIA: 2

Yeh Wakiya bhi humne suna ke Muslim ki riwayat me aata hai ke RasoolAllah (ﷺ) ke paas ek shakhs ne aakar kaha ke ‘Ya Rasool’Allah ! mera ye Uoonth baat nahi manta meri, nafarman hai yeh!‘

RasoolAllah (ﷺ) Uskey paas gaye aur uss Uoonth ne RasoolAllah ke Kaan-e-Mubarak tak apna muuh laya aur kuch baat kahi.

Aap (ﷺ) ne uss Shakhs se farmaya Ke “Isney Mujhse tumhari ek shikayat ki hai ke tum Fazar ki Namaz me kotahi kartey ho isiliye ye tumhari baat nahi manta. lihaja tum wo chorr do kotahi yeh tumhari baat manega.

Tou goya RasoolAllah (ﷺ) Janwaro ke bhi Nabi hai, Charind aur Parind ke bhi Nabi hai, aur Jhaad aur Pahaad jo kuch moujud hai “Wama Arsalnaka Illa Rahmatan Lil Aalameen” Aalam me jo kuch moujud hai, RasoolAllah (ﷺ) unn tamam ke Nabi hai aur tamam ko aapki ita’at farz aur wajib hai.

To be Continued…


The post Sunnat ki Ahmiyat : Part 1 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-1/feed/ 0 16974
Jisney RasoolAllah Ki Ita-At Ki Usney Allah Ki Ita-At Ki …. https://ummat-e-nabi.com/jisne-rasoolallah-ki-ita-at-ki-usne-allah-ki-ita-at-ki/ https://ummat-e-nabi.com/jisne-rasoolallah-ki-ita-at-ki-usne-allah-ki-ita-at-ki/#respond Mon, 08 Dec 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/jisne-rasoolallah-ki-ita-at-ki-usne-allah-ki-ita-at-ki/ Al Quran4 80♥ Al-Quraan: Jisney RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Ita’at Ki Bus Usney Allah Ki Ita-At Ki” – [An-Nisa(4): Ayat-80] » Wajahat: Iss Aayte Mubarak Se Yeh Baat Wajeh Hoti Hai […]

The post Jisney RasoolAllah Ki Ita-At Ki Usney Allah Ki Ita-At Ki …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Al-Quraan: Jisney RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Ita’at Ki Bus Usney Allah Ki Ita-At Ki”
[An-Nisa(4): Ayat-80]
» Wajahat: Iss Aayte Mubarak Se Yeh Baat Wajeh Hoti Hai Ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Ita-at Karna Goya Allah Ki Ita-At Karna Hai, Aur RasoolAllah Ki Farmabardari Goya Allah Ki Farmabardari Hai..
Aayiye Jaan Letey Hai Ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Kya Shakhsiyat Hai, Aapki Zaat-e-Mubarak Kya Hai? Aapka Muqaam Kya Hai ? …
Aap Wo Zaat-e-Mubarak Hai Jinki Wajah Se Jannat Ka Darwaza Khola Jayega Roze Qayamat ,…
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Wo Shakhsiyat Hai Jo Sabse Pahle Jannat Me Dakhil Hongey ,…
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Wo Shakhsiyat Hai Jinke Zande Taley Roze Qayamat Tamaam Nabi Aur Rasool Aur Unke Ummati Aqwam(Jama/Hajir) Honge ,…

Lekin Aaj Humne RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Shakhsiyat Ki Kitni Nafrmani Ki Hai Aayie Jara Muhasba Kar Letey Hai ..
Aaj Humara Yeh Muamla Hai Ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnat Humari Zindagi Me Aa Bhi Jaye, Fir Bhi Hum Apne Man-maani Tareeke Par Zindagi Jeetey Rahenge ….
Kyunki Humarey Tou Bado Ne Yeh Kiya ,
Humare Khandan Ka Purana Tareeka Hai Ye ,
Humari Qaum, Samaj, Shahero Aur Basti Ka Tareeka Ye Hai ..
Lihaza Sunnat Hum Nahi Maan Sakte.. (Nauzubillah)

Yaha Allah Ta’ala Hume Uss Nabi Ki Sunnate Mubarak Par Amal Lazim Kar Raha Hai Jo Tamam Aalam Ke Nabi Hai, Jo Imam-Ul-Ambiya Hai…
Yeh Nabi Jab Meraz Me Jatey Hai Tou Tamam Ambiya (Alahi Salam) Ki Imamat Kartey Hai, Aise Nabi Ki Ita-At Allah Hum Par Lazim Kar Raha Hai, Aur Inhi Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Baate Hum Chodkar Hum Iski-Uski Aur Fala Fala Ki Baate Mantey Hai .. Quraan Aur Aahadees Ko Chodkar Hum Jahilana Aqaid Par Imaan Latey Hai ..

Yaad Rakhiye Kalma “La Ilaha IllAllah Muhammadur Rasoolullah” Ka Aadha Zuz Hai “Imaan-Birr-Rasool” Yaani RasoolAllah Par Imaan Rakhna….
Aaj Hum Kalma Tou Padhtey Hai RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Lekin Tareeka Fir Kisi Aur Ka Ikhtiyar Karte Hai ,
Kalma Tou Padhtey Hai RasoolAllah Ka Fir Baat Kisi Aur Ki Mantey Hai,
Kalma Tou Padhtey Hai RasoolAllah Ka Lekin Apne Amaal Aur Ikhtilaf Me Kisi Aur Ke Paas Jaatey Hai,
Kalma Tou Padhtey Hai RasoolAllah Ka Aur Tamaam Zindagi Ke Shobey Aap Ki Sunnat Se Khali Hai,
Aur Fir Hum Apne Aap Ko Jannat Ke Mustahik, Aashike Rasool, Ahle Sunnat Wal Jamat, Aur Haq Par Samjhne Lag Jatey Hai ,.. Subhanallah … – @[156344474474186:]

Kya Yahi Pahchan Hai Ek Aashike Rasool Ki ? Ke Sirf Kalma Padhke Iske Takazo Ko Zubaan Par Hi Khatm Kar Diya Jaaye…
Nahi !! Hargiz Nahi …
Yaad Rakhiye Agar Humne ‘Muhammadur Rasoolullah’ Kaha Tou Humari Zindagi Ka Khatma Aur Zindagi Ka Har Pailu RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Tareeke Par Hi Hona Chahiye..
Yahi Iss Kalme Ka Sahi Asal Matlab Hota Hai ..
Tou Goya “Jisney Rasool’Allah Ki Ita-At Ki Usney Allah Ki Ita-At Ki” ..

Aur RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Muqaam Kya Hai Iss Barey Me Quraan Me Allah Ta’ala Ek Aur Jagah Farmata Hai Ke –
♥ Al-Quraan: Tou Qasam Hai Tere Rab Ki! Yeh Log Imanwale Nahi Ho Sakte Jab Tak Ke Apne Tamam Ikhtelaaf Me Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Haaqim Na Bana Ley. Aur Jo Faisla Aap Suna Dey Tou Usko Taslim (Kabool) Na Karey Tab Tak Ye Log Imaanwale Nahi Ho Sakte..
[Surah (4) Nisa: Ayat-65]
★ Follow our Official Page » www.facebook.com/HadiseNabwi « for huge Hidayat post collection ★

Kya Wakay Me Hum Aaj Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Faisle Mubarak Ke Jarye Aapas Me Huey Ikhtelaaf Ko Door Karne Ki Koshish Kar Rahe Hai ?
Think About It ….

# InshaAllah-Ul-Azeez !!
Allah Ta’ala Hume Parhne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq Ata Farmaye!!!
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Firqa

The post Jisney RasoolAllah Ki Ita-At Ki Usney Allah Ki Ita-At Ki …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/jisne-rasoolallah-ki-ita-at-ki-usne-allah-ki-ita-at-ki/feed/ 0 16858
Agar Kisi Muamle Me Ikhtelaaf Ho Jaye …. https://ummat-e-nabi.com/agar-kisi-muamle-me-ikhtelaaf-ho-jaye/ https://ummat-e-nabi.com/agar-kisi-muamle-me-ikhtelaaf-ho-jaye/#respond Sat, 08 Nov 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/agar-kisi-muamle-me-ikhtelaaf-ho-jaye/ Al Quraan 4 59☆ Paltaado Apni Baato Ko Allah Aur Rasool Ki Taraf .. Momino Me Agar kisi Baat Par Ikhtelaaf ho Jaye Tou Unhe Chahiye Ke Apni Baato Ko Allah aur Uske […]

The post Agar Kisi Muamle Me Ikhtelaaf Ho Jaye …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

☆ Paltaado Apni Baato Ko Allah Aur Rasool Ki Taraf ..
Momino Me Agar kisi Baat Par Ikhtelaaf ho Jaye Tou Unhe Chahiye Ke Apni Baato Ko Allah aur Uske Rasool Ki Taraf Palta Dey ,.. Yaani Quraano-Hadees ko Insaf Ka Mayar Banaye ,..

Jiske Talluk Se Allah Rabbul Izzat Farmata Hai –
♥ Al-Quraan: “Aye Emaanwalo !
Ita’at Karo Allah Ki Aur Uske Rasool Ki,
Aur Ita’at Karo Unki Jo Ulool Amr Hai
(Isme Khalifa-e-Wakt Aur Ulma Isme Shamil Hai),
Lekin Agar Kisi Muamle Me Ikhtelaaf Ho Jaye
Tou Paltaado Apni Baato Ko Allah Aur Uske Rasool Ki Taraf
Agar Allah Aur Roze Aakhirat Par Iman Rakhte Ho”.
– [Surah Nisa(4); Ayat(59)] – @[156344474474186:]

* Aaj Kitni Baar Aisa Hua Ke Jis Baat Me Humne Ikhtelaaf Paya Aur Usko Allah Aur Uske Rasool Ki Taraf Paltaya ?
Afsos Ki Baat Hai Ke – Aaj Tou Humara Yeh Mu’amla Hai Ke Jis Ikhtelaaf Me Hum Log Mulawwis Hai Usme Aur Gehrayi Tak Pohochkar Aur Ikhtelaaf Karna Chahte Hai Ummat Me.,. Islah Ke Bajay Mu’ashre Ko Bigad Dena Chahte Hai. Yehi Tou Humari Halat Hai Aaj.

* Aur Ikhtelaaf Hota Hai,.. Kyu Na Ho ?
Insan Hai! Humari Samajh, Akl Me Ikhtelaaf Hona Mumkin Hai..
Lekin Allah Aur Uske Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Baat Aaney Ke Baad Sir Kham Kar Dijiye, Ke Bus Mu’amla Khatm Hua…

*Sababao (RaziAllahu Anhu) Ka Bhi Yahi Usool Tha ….
Jab Tak Koi Baat Na Hoti Tou Ikhtelaaf Hota ..
– Lekin Jab Allah Aur Uske Rasool Ki Baat Rakh Di Jaati Tou Fouran Pichey Hatt Jatey Aur Jaan Letey Hai Ke – Haa! Mujhsey Khata Ho Gayi, Ab Mai Apni Islah Kar Leta Hu …

* Lekin Aaj Humara Muamla Yeh Hai Ke
Bus!!! Humne Keh Diya Na Ab Hum Adey Rahenge !
Fir Chahey Yeh Allah Ke Khilaf Ho,
Uske Rasool Ke Khilaf Ho,
Shariyat Aur Deen Behar’haal Wo Cheez Jane Dijiye ,
Humne Keh Diya Muamla Tay Ho Gaya ….. (Nauzubillah)

* Jara Soch Lo Bolne Se Pahle! Kisi Giroh Ke Khilaf, Kuch Logon Ke Khilaf Jinhe Hum Apna Mukhalif Samjhte Rehte Hai, Unko Rokne Ke Chakkar Me Hum Log Yeh Baatey Muhh Se Keh Detey Hai Aur Samjhtey Bhi Nahi Ke Iska Asar Kaha Tak Hota Hai,…
* Shariyat Par, Allah Ke Deen Par, Rasool’Allah Ki Taalimat Par Kitna Gehra Ilzam Lagate Hai Hum…
Allah Ke Liye Aisa Mu’amla Naa Ikhtiyar Kijiyega…

* Tou Behrhaal Jab Bhi Koi Ikhtilaaf Ho,, Allah Aur Uske Rasool Ki Taraf Uss Cheez Ko Fauran Palta Dijiye,..

– Sahi Daleel Kitabo Sunnat Se Hasil Karey
– Agar Unme Bhi Na miley Tou Fir Imaamo Ke Qoul,
Ya fir Ulemaa-e-Haq Ke Fatwo ki Taraf Ruzu Kare,..
– Aur Apni Aur Apne Momin Bhaiyo Ki Islah Karey.
– yahi Allah Aur Uski Hidayat Se Kareeb Hai…

# In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Ta’ala Hume Haq Sun’ne, Samjhne Aur Uss Par Amal Ki Taufiq Dey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Firqa

The post Agar Kisi Muamle Me Ikhtelaaf Ho Jaye …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/agar-kisi-muamle-me-ikhtelaaf-ho-jaye/feed/ 0 16898