07th Ramzan ۞ Hadees: Ibn Abbas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke:❝ Ramzan me Umrah karna RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ke sath Hajj karne ke barabar hai. ❞📚 Sahih Bukhari 1863
06th Ramzan ۞ Hadees: Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi wasallam) ne farmaya:❝ Qayamat ke din Roza aur Qur’an sifarish karenge uspe amal karnewale ke haq me. ❞📚 Musnad Aḥmad 6589
05th Ramzan Hadith : ❝ Ramzan ke Mahine me Jannat ke Darwaze khol diye jatey hai, Jahannum ke darwaze band kar diye jatey hai aur tamam Sirkash Jinn aur Shayateen Qaid kar liye jaatey hai.❞📕 Ṣahih al-Bukhari 1800
04th Ramzan Quote: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ❝ Ramzan ka wo Mahina jis me Quraan ka Nuzool hua saari Insaniyat ki Hidayat aur Rahnumai ke liye.❞ 📕 Surah Baqrah 2:185
3rd Ramadan Quotes: ۞ Hadees: “Islaam ke sutoon paanch (5) hai.” (1). Pehla Ye ke Allah hi ki Ibadat ki jaye aur uske siwa tamaam jhoote khudao ka inkaar kiya jaye, (2). Namaaz parhna, (3). Zakaat dena, (4). Baitullah ka Hajj karna aur (5). Ramzan ke Roze rakhna…
02nd Ramzan Hadith Quote: Abu huraira (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah (Sallallhu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ❝ Jisne Imaan ke saath Sawab ki niyat se Ramzan ke Roze rakhe uske pichle saare Gunaah bakhsh diye jayenge.” Sunan Ibn Majah, 641-Sahih
01st Ramzan Quote: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:“Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye, jaise tumse pichli Ummato par humne farz kiye they ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.”📕 Surah Baqrah 2:183
Astaghfar ki Dua – 1 “Astagfirullah Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih” Jisne ye kaha tou uske Gunah Muaf kar diye jayenge chahe wo Maidan e jung se hi kyu na bhag gaya ho. [Sunan Abu Dawud, 1517-Sahih]