Ilzam – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Tue, 26 Sep 2023 10:52:13 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Ilzam – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Kisi Muslman ko Kafir na kaho warna kehne wale par Kufr lout aayega https://ummat-e-nabi.com/kisi-muslman-ko-kafir-na-kaho/ https://ummat-e-nabi.com/kisi-muslman-ko-kafir-na-kaho/#respond Tue, 26 Sep 2023 10:51:41 +0000 https://ummat-e-nabi.com/kisi-muslman-ko-kafir-na-kaho/ Kisi Muslman ko Kafir na kaho warna kehne wale par Kufr lout aayegaKisi Muslman ko Kafir na kaho warna Ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Jo Shakhs apney (Musalman) bhai ko Kafir keh kar pukare tou dono […]

The post Kisi Muslman ko Kafir na kaho warna kehne wale par Kufr lout aayega appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Kisi Muslman ko Kafir na kaho warna

Ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :

“Jo Shakhs apney (Musalman) bhai ko Kafir keh kar pukare tou dono me se Ek par Kufr aa Jayega, Agar wo shakhs jisko usney pukara wo Kafir hai tou khair (Kufr uss par rahega) warna pukarney waley par laut aayega.”

📕 Sahih Muslim, Vol 1, 316


✦ Sabaq:

Yaad rahe ke kisi bhi Muslman ke koi Gairsharayi amal ko dekhkar uske Kufr ka Andesha ho jaye, fir bhi hume unpar Kufr ka ilzam nahi lagana chahiye, siway iske ke wakt ke Ulema-e-Haq ne Qurano Hadees ki rohsni me Muttafiq hokar us Shakhs par Kufr ka Fatwa de diya ho. Jaise ke Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke baad ab koi Naboowat ka dawa kare tou yakinan usne Kitabo Sunnat ki Pakiza talimat ka inkar kiya, yaani Kufr kiya.

is tarha ka koi sangeen mumla zahir ho jaye tou wakt ke Ulamaye Haq puri tehkik ke baad kufr ka fatwa jaari karenge,. warna kisi maslaki ikhtelaf, kisi nawafeel ibadat ke ikhtelaf ki bina par kufr ka fatwa lagana uski apni aakhirat barbad krne ke liye kafi ho jayega, usey chahiye ke allah se taubah kare,..


♥ Allah Rabbul Izzat se Dua hai ke –

Tamam Kism ke Fitno se Humare Iman ki Salamati ata Farmaye,
Hum Tamam ko Hidayat de aur Sirate Mustakim par Chalaye,

Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par Zinda Rakhey,
Khatma Humara Imaan par Ho.

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Kisi Muslman ko Kafir na kaho warna kehne wale par Kufr lout aayega appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kisi-muslman-ko-kafir-na-kaho/feed/ 0 15890
Biddat Ki Haqeeqat: Part-3 https://ummat-e-nabi.com/biddat-ki-haqeeqat-part-3/ https://ummat-e-nabi.com/biddat-ki-haqeeqat-part-3/#respond Wed, 29 Apr 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/biddat-ki-haqeeqat-part-3/ Biddat ki Haqeeqat 3# Sahaba Ne Biddatiyo Se Kya Sulooq Kiya ? Aayiye Abdulah Bin Masud (RaziAllahu Anhu) Ka Ek Wakiya Hai Uspe Gour Karte Hai ,… Aap Kufa Me They ,.. Aur […]

The post Biddat Ki Haqeeqat: Part-3 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

# Sahaba Ne Biddatiyo Se Kya Sulooq Kiya ?
Aayiye Abdulah Bin Masud (RaziAllahu Anhu) Ka Ek Wakiya Hai Uspe Gour Karte Hai ,…
Aap Kufa Me They ,.. Aur Ek Shakhs Daudta Hua Aaya Aur Kehne Laga – “Aye Abdullah ! Ek Ajeeb Cheez Maine Dekhi ,.. Log Fazar Ke Baad Masjid Me Jama Ho Rahe Hai ,.. Aur Halke (Groups) Bana Rahe Hai ,…
Aur Ek Shakhs Usme Kehta Hai Subhan’Allah! Aur Sab Kehte Hai Subhan’Allah!!!
Fir Ek Giroh Kehta Hai Alahmdulillah ! Aur Sab Chillatey Hai Alahmdulillah !!!
Isi Tarha Wo Tasbihaat Padh Rahe Hai !!!”

Ye Cheez Rasool’Allah ﷺ Ke Zamane Me Tou Humne Nahi Paayi Aur Wo Log Kar Rahe Hai ,..
Abdullah Bin Masud Ne Uska Girebaan Pakda Aur Kaha – “Tuney Unhe Roka Kyu Nahi ?”
Usney Kaha Ke – “Wo Log Bohot Jyada They! Tum Chalo, Tum Sahabi-e-Rasool Ho, Tum Kuch Kaho Unhe,..”

*Abdullah Bin Masud Aaye Aur Tamam Ko Masjid Se Hakaal Diya Aur Kaha Ke – “Tum Wo Amal Karte Ho Jo Rasool’Allah ﷺ Ke Daur Me Humne Na Kiya Aur Rasool’Allah Ne Hume Na Bataya ,…”
Aur Rasool’Allah Ke Daur Me Aisa Humne Nahi Kiya Kabhi ,.. Ya Rasool’Allah ﷺ Ne Humko Ijajat Nahi Di Ke Halke Aur Giroh Banakar Tasbeehat Padha Karo ,…
Ha! Jitni Tasbihat Padhna Hai Apni Padho Alag Alag,… Lekin Rasool’Allah Ke Daur Me Halke Banakar Jamat Se Kaam Humne Nahi Kiya Kabhi,…

Tou Tum Rasool’Allah ﷺ Ke Jaane Ka Baad Humari Zindagi Me Ye Amal Karte Ho … Ye Keh Kar Masjid Se Tamam Ko Hakaal Diya .. [Ref: – Related by Ad-Daremie (204) and Abu Na`eim with an authentic chain. Authenticated by Al-Haithamee (Al-Majma, 1/181, 189), Al-Haitamee (Az-Zawaajir, Al-Kabeerah #51 ), Al-Albaanee (As-Saheehah, 2005; Ar-Radd alal-Habashee, p.45-47), Abdul-Muhsin Al-Abbaad (Al-Hathth alat-tibaa-is-Sunnah, p.49), Bakr Aboo Zaid (Tas-heeh-ud-Duaa’, p.149, 153, 154), Husayn Asad (Musnad-ud-Daarimee, 210), Amr Saleem (Al-Bida libn Waddaah, 27), Al-Hilaalee (Al-Bidah, p.44-47), Al-Halabee (Ihkaam-ul-Mabaanee, p.55-58), Al-Huwainee (Al-Bidah wa Aathaaruhaa (1), 03:45), Mashhoor Salmaan (Al-Amr bil-Ittibaa, p.83-84), Zakariyyaa Al-Baakistaanee (Taudeeh-ul-Usool ) and others.]

Tou Sahaba Jara Si Bhi Aisi Cheez Ko Bardasht Nahi Karte Jo Deen Me Nayi Hoti Aur Rasool’Allah Se Sabit Na Hoti,…
Fir Goya Wo Subhan’Allah Hi Kyu Na Padh Rahe They ,.. Goya Alahmdulillah Hi Kyu Na Padh Rahe They ,..
Lekin Tareeka Rasool’Allah Ka Ikhteyar Nahi Kiya ,… Tou Fir Wo Amal Durust Nahi ,… – @[156344474474186:]
= = = = = = = = =

# Biddat Kar Liye Tou Kya Hua ?
Ab Jo Biddat Karte Hai, Unka Ek Ajeeb Mu’amla Hota Hai Ke – “Kar Liye Tou Kya Hua?”
Aayiye Hum Batane Ki Koshish Karte Hai Ke Kya Hua ?

*Azan Ke Aakhri Alfaz Kya Hai ?
“La Ilaha Ilallah” Yahi Aakhri Alfaz Hai Na Azan Ke…
Lekin Kal Hum Aapke Mohalley Ke Masjid Me Aakar Azan Detey Hai .. Aur “La-Ilaha Illah Mohammadur Rasool’Allah” Par Azan Puri Karte Hai ,.. Aap Aa Kar Humey Kya Karoge Aur Kyu Karoge ?

*Kya Galat Kiya Humne? Kalme Ko Mukammil Hi Kiya Jo Nahi Karte They Azan Me… Koi Galati Hai Iske Andar ?
*Aap Kahoge Ke – Rasool’Allah ﷺ Ke Zamane Me Aesi Azan Nahi Di Gayi ,.. Lihaja Ye Biddat Hai Aur Masjid Se Hume Hakaal Diya Jayega ,..

Mera Yahi Sawal Hai – “Yahi Hua,… “
Tumne Wo Amal Kiya! Shareeyat Pe Ilzam Lagaya Ke – “Ye Amal, Iski Neki, Iska Sawab Rasool’Allah ﷺ Ko Na Maloom Hua, Na Sahaba Ko Maloom Hua Lekin Humko Aur Aapko Maloom Ho Gaya..” Maz’Allah !!!

*Lihaja Allah Ke Liye Deen Ke Mu’amlo Me Hume Aise Amal Se Bachna Chahiye Jo Na Shareeyat Se Sabit Hai Aur Naa Hi Sahaba Ki Zindagi Me Kabhi Paya Gaya Ho ,…
= = = = = = = = =

# Biddato Ke Aqsaam ?
Ab Biddat Karne Walo Ne Badey Acche Tareeke Ikhteyar Kiye,.. Aur Deen Me Biddat Ke Aksam Bana Diye ,..
Ke Biddat 2 Kismo Ki Hoti Hai … Ek “Biddate Hasna” Aur Dusuri “Biddate Sayya” ,.
1) Biddate Hasna – Yaani Achi Biddat ,.. Aur
2) Biddate Sayya – Yaani Buri Biddat ,.. (Subhan’Allah!!)

*Sawaal Tou Ye Hai Ke Rasool’Allah ﷺ Ne Tou Apne Kayi Khutbey Me Yahi Farmaya Ke – “Kullu Biddatun Zalala” Yaani Deen Me Tamam Ki Tamam Biddate Gumrahi Hai ,..
Tou Batayiye Hume Ke – “Kaha-Kaha Biddate Hasna Gumraahi Nahi Hai ? ..”
Kullu Me Sab Aa Gaya ,.. Mukammil Taur Se Deen me Biddate Gumraahi Hai,..

Ab Jo Log Fark Karte Hai Biddate Sayya Aur Biddate Hasna! Unki Misaal Aisi Hai – Jaise Ki Koi Kahe – “Kadwa Karela Aur Mitha Karela,..”

Subhan’Allah!! ,… Karela Keh Diya Tou Samajh Jayiye Ke Kadwa Hi Hoga,.. Mitha Nahi Ho Sakta ,..
Biddat-Biddat Hoti Hai Mere Bhaiyo Aur Behno! Isko Hasna Aur Sayya Kehkar Apne Aamal Ko Gaarat Na Karey ,…

♥ Mafhoom-e-Hadees: Maayi Ayesha (Razi’Allahu Anha) Riwayat Karti Hai Ki – Rasool’Allah ﷺ Ne Farmaya –
Jisne Koi Aisa Amal Kiya Iss Deen Me Jo Humne Na Kiya Ho Wo Radd Kiya Jayega,.. Wo Mardud Hai.”
– (Sahih Muslim)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Isi Tarha Maayi Aayesha (Razi’Allahu Anha) Aagey Farmati Hai –
Jisne Humare Iss Deen Me Koi Nayi Cheez Ijad Ki Jo Humne Na Ki Thi ,.. Wo Mardud Hai, Wo Dhutkar Diya Jayega”
– (Sahi Muslim)

Insha’Allah! Agley Part me Biddat Ke Talluk Se Rasool’Allah ﷺ Ki Aakhri Wasiyat Ka Zikr Karenge ,..

To Be Continue …

☼ Biddat Ki Haqeeqat All Parts:

1 2 3 4 5 6

The post Biddat Ki Haqeeqat: Part-3 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/biddat-ki-haqeeqat-part-3/feed/ 0 17014
Afwah Ka Kya Kare (What about Rumours) ? https://ummat-e-nabi.com/afwah-rumour-ka-kya-kare/ https://ummat-e-nabi.com/afwah-rumour-ka-kya-kare/#respond Tue, 31 Mar 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/afwah-rumour-ka-kya-kare/ Al Quran 49 61Aksar Dekha Jata Hai Ke Log Choti-Choti Baato Ki Badi Afwaye(Rumour) Failaney Lag Jaatey Hai,.. Jo Ki Bohot Hi Galat Baat Hai. Chotey-Chotey Wakiyat, Chotey-Chotey Halaat Ko Lekar Itni Afwaye […]

The post Afwah Ka Kya Kare (What about Rumours) ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Aksar Dekha Jata Hai Ke Log Choti-Choti Baato Ki Badi Afwaye(Rumour) Failaney Lag Jaatey Hai,.. Jo Ki Bohot Hi Galat Baat Hai. Chotey-Chotey Wakiyat, Chotey-Chotey Halaat Ko Lekar Itni Afwaye Failayi Jaati Hai Ke Uski Koi Inteha Nahi …
Aur Tamam Mu’ashre Me Bus Wahi Aag Failti Jaati Hai.
♥ Aur Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Iss Se Manaa Kiya – “Jab Koi Fasiq (Untrusted Person) Koi Khabar Lekar Aaye Tou Khoob Tehqeeq Kar Liya Karo Ke Khabar Kitni Sacchi Hai..”(Surah 49 Al-Hujraat: Aayat-6) – @[156344474474186:]

– Aur Baaz Logon Ko Dekha Gaya Ke Thodi Koi Baat Untak Pohoch Jaye Tou Bina Sochey Samjhey Muashre Me Faila Dete Hai, Aur Khabre Aisi Hi Failti Hai, Shaitan Ke Kamo Me Se Ek Kaam Hai – “Afwaho Ko Failana”

• Jaise Ke Misaal Ke Taor Pe
Ek School Ke Class Room Me Jaha 100-200 Tak Bacche Padh Rahe Ho ,.. Aur Ustaad(Teacher) Ke Table Ke Nichey Se Koi Sanp Ka Baccha Nikal Aaye ,..
Tou Wo Pehle (Bencher’s) Se Aakhri Bencher’s Tak Baat Pohchtey Pohctey Wo Na Jaane Kitne Kissey Bantey Rehte Hai …
* Pahle Bencher’s (Saff) Ki Line Tak Baat Pohchi – “Saanp Ka Baccha Nikla Teacher Ke Table Ke Niche Se ..”
* Wo Baat Uske Piche Waley Benchers Tak Pohchti Hai – “Ek Bohot Bada Saanp Nikla Teacher Ke Table Ke Niche Se …”
* Aakhri Benchers Tak Baat Pohchte Pohochety – “Bohot Bada Ajdaha Nikla, Aagaya Tha Teacher Ke Table Ke Nichey Se,.. Teacher Ko Nigaleny Hi Wala Tha..”
Bus Kissey Ban Rahe Hai Ek Se Dusrey Tak, Dusrey Se Tisrey Tak …
* Baat School Ke Bahar Tak Jati Hai – “Bohot Bada Ajdaha Nikla, Pet Me Se Bakri Nikli, Toley 70 Kilo Ka Vajan Bhara Uska …”
Subhan’Allah …..
* Aur Jab Koi Uss Teachers Se Jakar Puchey Tou Pata Chala “Ek Mamuli Chotasa Saanp Ka Baccha Nikla” …

– Tou Aisa Hi Hota Hai, Afwah Kabhi Rukti Nahi, Wo Sanp Ki Misaal Ki Tarha Badhti Hi Jaati Hai …
Lihaja Meharbaani Karke Aisi Afwahe Na Failaye, Iss Se Mahoul Kharaab Hota Hai ,
Aur Ismey Kabhi Kabaar Youn Hota Hai Ke Kisi Shakhs Ki Badd’naami, Beizzati Ya Uspar Tohmat Lagti Hai,

Aur Agar Ismey Jhut Raha Tou Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
“Agar Koi Shakhs Kisi Par Ilzam Lagaye, Tou Roze Qayamat Usko Allah Aag Ke Pinjrey Me Band Karega, Jab Tak Ke Ilzam Sabit Nahi Karega Usey Waha Se Nikala Nahi Jayega,..” – (Mafhoom-e-Hadees: Riwayat: Musnade Ahmad)

» Sabaq: Lihaja Hume Chahiye Ke Kisi Bhi Khabar Par Aitbaar Karne Se Pahle Usey Thik Se Jaanch Liya Kare, Aur Bina Tehkik Kisi Baat Ko Aagey Pohchaney Se Pahle Soch Liya Karey Ke Ismey Kita Shar Hai Aur Kitna Khair ..
Haa! Koi Baat Tasdik Shuda Lagey Usey Man’ne Me Koi Harz Nahi Lekin Fir Bhi Hum Yahi Kahenge Bila Tahkik Kisi Fasiq Ki Baat Par Aitbaar Na Karey ,…

♥ Aakhir Me Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke –
# Allah Ta’ala Hume Tamam Kism Ke Shaitani Fitno Se Bachney Ki Taufiq Dey,
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Afwah Ka Kya Kare (What about Rumours) ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/afwah-rumour-ka-kya-kare/feed/ 0 16931
Agar Kisi Muamle Me Ikhtelaaf Ho Jaye …. https://ummat-e-nabi.com/agar-kisi-muamle-me-ikhtelaaf-ho-jaye/ https://ummat-e-nabi.com/agar-kisi-muamle-me-ikhtelaaf-ho-jaye/#respond Sat, 08 Nov 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/agar-kisi-muamle-me-ikhtelaaf-ho-jaye/ Al Quraan 4 59☆ Paltaado Apni Baato Ko Allah Aur Rasool Ki Taraf .. Momino Me Agar kisi Baat Par Ikhtelaaf ho Jaye Tou Unhe Chahiye Ke Apni Baato Ko Allah aur Uske […]

The post Agar Kisi Muamle Me Ikhtelaaf Ho Jaye …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

☆ Paltaado Apni Baato Ko Allah Aur Rasool Ki Taraf ..
Momino Me Agar kisi Baat Par Ikhtelaaf ho Jaye Tou Unhe Chahiye Ke Apni Baato Ko Allah aur Uske Rasool Ki Taraf Palta Dey ,.. Yaani Quraano-Hadees ko Insaf Ka Mayar Banaye ,..

Jiske Talluk Se Allah Rabbul Izzat Farmata Hai –
♥ Al-Quraan: “Aye Emaanwalo !
Ita’at Karo Allah Ki Aur Uske Rasool Ki,
Aur Ita’at Karo Unki Jo Ulool Amr Hai
(Isme Khalifa-e-Wakt Aur Ulma Isme Shamil Hai),
Lekin Agar Kisi Muamle Me Ikhtelaaf Ho Jaye
Tou Paltaado Apni Baato Ko Allah Aur Uske Rasool Ki Taraf
Agar Allah Aur Roze Aakhirat Par Iman Rakhte Ho”.
– [Surah Nisa(4); Ayat(59)] – @[156344474474186:]

* Aaj Kitni Baar Aisa Hua Ke Jis Baat Me Humne Ikhtelaaf Paya Aur Usko Allah Aur Uske Rasool Ki Taraf Paltaya ?
Afsos Ki Baat Hai Ke – Aaj Tou Humara Yeh Mu’amla Hai Ke Jis Ikhtelaaf Me Hum Log Mulawwis Hai Usme Aur Gehrayi Tak Pohochkar Aur Ikhtelaaf Karna Chahte Hai Ummat Me.,. Islah Ke Bajay Mu’ashre Ko Bigad Dena Chahte Hai. Yehi Tou Humari Halat Hai Aaj.

* Aur Ikhtelaaf Hota Hai,.. Kyu Na Ho ?
Insan Hai! Humari Samajh, Akl Me Ikhtelaaf Hona Mumkin Hai..
Lekin Allah Aur Uske Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Baat Aaney Ke Baad Sir Kham Kar Dijiye, Ke Bus Mu’amla Khatm Hua…

*Sababao (RaziAllahu Anhu) Ka Bhi Yahi Usool Tha ….
Jab Tak Koi Baat Na Hoti Tou Ikhtelaaf Hota ..
– Lekin Jab Allah Aur Uske Rasool Ki Baat Rakh Di Jaati Tou Fouran Pichey Hatt Jatey Aur Jaan Letey Hai Ke – Haa! Mujhsey Khata Ho Gayi, Ab Mai Apni Islah Kar Leta Hu …

* Lekin Aaj Humara Muamla Yeh Hai Ke
Bus!!! Humne Keh Diya Na Ab Hum Adey Rahenge !
Fir Chahey Yeh Allah Ke Khilaf Ho,
Uske Rasool Ke Khilaf Ho,
Shariyat Aur Deen Behar’haal Wo Cheez Jane Dijiye ,
Humne Keh Diya Muamla Tay Ho Gaya ….. (Nauzubillah)

* Jara Soch Lo Bolne Se Pahle! Kisi Giroh Ke Khilaf, Kuch Logon Ke Khilaf Jinhe Hum Apna Mukhalif Samjhte Rehte Hai, Unko Rokne Ke Chakkar Me Hum Log Yeh Baatey Muhh Se Keh Detey Hai Aur Samjhtey Bhi Nahi Ke Iska Asar Kaha Tak Hota Hai,…
* Shariyat Par, Allah Ke Deen Par, Rasool’Allah Ki Taalimat Par Kitna Gehra Ilzam Lagate Hai Hum…
Allah Ke Liye Aisa Mu’amla Naa Ikhtiyar Kijiyega…

* Tou Behrhaal Jab Bhi Koi Ikhtilaaf Ho,, Allah Aur Uske Rasool Ki Taraf Uss Cheez Ko Fauran Palta Dijiye,..

– Sahi Daleel Kitabo Sunnat Se Hasil Karey
– Agar Unme Bhi Na miley Tou Fir Imaamo Ke Qoul,
Ya fir Ulemaa-e-Haq Ke Fatwo ki Taraf Ruzu Kare,..
– Aur Apni Aur Apne Momin Bhaiyo Ki Islah Karey.
– yahi Allah Aur Uski Hidayat Se Kareeb Hai…

# In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Ta’ala Hume Haq Sun’ne, Samjhne Aur Uss Par Amal Ki Taufiq Dey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Firqa

The post Agar Kisi Muamle Me Ikhtelaaf Ho Jaye …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/agar-kisi-muamle-me-ikhtelaaf-ho-jaye/feed/ 0 16898