Nabiyo ke Wakiyat Quran Sunnat ki Roshni mein
Table of Contents
Bismillah Hir Rahman Nir Rahim
Riwayato me hai ki zameen ki takhleeq (banane) ke 50 hazaar saal pehle Allah Ta’ala ne Qalam ko paida kiya. Allah Ta’ala ne Qalam ko hukm diya, “Likh.” To sab se pehle Qalam ne “Bismillah Hir Rahman Nir Rahim” likha, yani ki Allah ke naam se shuru, jo bahut rahim karne wala aur bahut meherban hai.
Allah Ta’ala ne fir hukm diya, “Likh!” Is par Qalam ne arz kiya, “Aye mere Rab! Kya likhoo?” Allah Ta’ala ne hukm diya, “Ab se qayaamat tak jo bhi hone wala hai, woh sab likh de.” Aur Qalam ne tab se lekar qayaamat tak jo bhi hona hai woh sab likh diya jo ki Loh-e-Mahfooz me darz hai.
Fir Allah Ta’ala ne farishto ko noor se paida kiya, jinnaato ko aag se, aur insaan ko mitti se. Farishte din-raat Allah ki ibadat aur hamd-o-sana karte hain. Aur Allah ne unhe jis kaam par ma’amoor kiya hai, farishte uspe amal karte hain aur thakte bhi nahi.
Allah ne ham insaano se pehle jinnaato ko aag se banaya aur unhe zameen ka khalifa (waris) banaya. Iblees jo ki jinnaato me se tha uska naam Azazil tha, aur woh bahut ibaadat guzar tha. Duniya ka koi bhi kona nahi bacha jahaan usne sajda na kiya ho. Isi wajah se woh Allah ke muqarab bando me se tha, yahaan tak ki woh jannat me bhi be rok-tok aaya jaya karta tha.
Allah Ta’ala ne jinnaato ko apni ibaadat ke liye banaya tha, lekin jinnaat sarkash ho gaye aur zameen par fasaad karne lage, qatal-o-gairat karne lage.
Allah Ta’ala ne Azazil ko farishto ka sardaar banakar zameen par bheja. Azazil farishto ka lashkar le kar zameen par aaya aur jinnaato se jung ki aur unhe maidani ilaake chhodkar pahaado, ghatiyo aur waadiyo me bhaagne par majboor kar diya.
Allah ne farishto se kaha, “Main insaan ko zameen ka khalifa (waris) banane wala hoon.” Is par farishto ne khauf zaahir kiya ki insaan bhi zameen par fasaad karega aur qatal-o-gairat karega. Teri ibaadat ke liye hum hi kaafi hain.
Allah Ta’ala ne kaha, “Main jo jaanta hoon wo tum nahi jaante.”
Allah Ta’ala ne mitti ke khameer se Aadam ka putla tayyar kiya. Ek riwayat me hai ki aaj jahaan Khana-e-Kaaba hai, uss jagah se mitti li gayi. Aur ek riwayat me hai ki saat (7) alag-alag jagaho se mitti le kar khameera tayyar kiya gaya aur uss se Aadam ka putla banaya gaya.
Allah Ta’ala ne farishto se kaha, “Jab main iss putle me apni rooh fookoo (daaloo) to tum sab sajde me gir jaana.” Jab Allah Ta’ala ne Aadam ke putle me rooh daali to sab ne sajda kiya siwaaye Iblees ke.
Allah Ta’ala ne Iblees se poocha, “Jab sab ne sajda kiya to tune kyun nahi kiya? Tujhe kis cheez ne roka?”
Iblees ne apni galti nahi maani aur takabbur (ghamand) se kaha, “Main iss se afzal (behtar) hoon, tune mujhe aag se paida kiya aur ise sadi hui mitti (khanakti hui mitti) se paida kiya.”
Allah Ta’ala ne kaha, “Nikal ja yahaan se, aaj se tu raziim (dhutkaara) huwa hai, aur tujhpe laanat hai.”
Iblees ne kaha, “Aye mere Rab, jis ki wajah se tune mujhe dhutkaara aur laanat ki, mujhe qayaamat tak mohlat de ke main ise aur iski aulaado ko gumraah karoon aur inhe teri raah se rokoon. Aur main chahe aage se, peeche se, upar se, neeche se, jahaan se bhi aaoon koi mujhe dekh na sake.”
Allah Ta’ala ne kaha, “Mujhe apne jalal ki kasam, ja tujhe mohlat di, lekin main tujhe aur jo teri pairvi karega un sab ko jahannum me bhar doonga. Aur insaano ki rahnumaayi ke liye main apne nabiyo aur rasoolo ko bhejoonga. Jo bhi muttaqi aur parhezgaar hoga aur nek amal karega main use jannat me jagah doonga.”
Table of Contents
Bismillah Hir Rahman Nir Rahim
Aziz dosto, jab Shaitaan mardood aur laanati ho gaya, to uske Jannat me daakhil hone par pabandi lag gayi.
Ab woh Jannat me daakhil nahi ho sakta tha. Riwayato me hai ki jab Allah Subhanahu Ta’ala ne Hazrat Aadam (Alaihay Salam) ke putle me rooh foonki, to rooh, jism me andhera hone ki wajah se ghabraakar baahar nikal aayi. Fir Allah Subhanahu Ta’ala ne noor se roshan kiya aur tab Hazrat Aadam (Alaihay Salam) ki rooh unke jism me daakhil hui. Lekin rooh abhi aadhe jism tak hi pahunchi thi ke Hazrat Aadam (Alaihay Salam) ne uthne ki koshish ki. Isi wajah se Allah Subhanahu Ta’ala ne irshaad farmaaya, “Insaan bahut jaldbaaz hai.”
Hazrat Aadam (Alaihay Salam) jab uth kar baith gaye, to unhe cheenk aa gayi aur tab Aadam (Alaihay Salam) ne Alhamdulillah ke alfaaz ada kiye. Allah Subhanahu Ta’ala ne Aadam (Alaihay Salam) ko ilm aur hiqmat ki baatein sikhayee, garaz ye ki aaj duniya me jitni bhi zubaane, bhashaye, ya boli boli jaati hain, woh sab aur duniya ke tamaam uloom sikhaye aur tamaam cheezo ke naam bhi sikhaye.
Fir Allah Ta’ala ne tamaam farishto ke saamne Hazrat Aadam (Alaihay Salam) ko hukm diya, “Aye Aadam! Bayaan kar jo bhi baatein aur ilm maine tujhe sikhayee hain, agar tu sacha hai.”
Hazrat Aadam (Alaihay Salam) ne woh saari baatein aur woh saara ilm jo Allah Ta’ala ne unhe sikhaya tha, sab farishto ke saamne bayaan kar diya. Iss par tamaam farishto ne ek saath kaha, “Paak hai tu, aye hamaare Rab! Beshak tu jo jaanta hai, hum woh nahi jaante.” Aur Allah Ta’ala ne Hazrat Aadam ko Jannat me rehne ka hukm diya, aur iss tarah Aadam (Alaihay Salam) Jannat me rehne lage.
Jannat me khaane pine aur ghoomne firne ko bahut kuch tha. Lekin tanhaa aur akele hone ki wajah se Aadam (Alaihay Salam) udaas rahne lage. Fir Allah Ta’ala ne Aadam (Alaihay Salam) ki baayee pasli (chaati ki haddi) se Bibi Hawwa ko banaya. Iss tarah woh dono ek dusre ka saath paa kar khushi khushi Jannat me rehne lage.
Allah Ta’ala ne farmaaya, “Tum dono Jannat me jo chaahe khao piyo aur ghoomo firo, lekin khabardaar uss mamnuwaa sajar (pedh, poudha) ke paas mat jaana aur uska phal mat khaana warna tum log zaalimo me se ho jaawoge.” Ek riwayat me hai ki woh sajar gandoom (gehoo) ka tha ya usse milta julta tha. (Allah-u-aalam)
Ek din Shaitaan ne Jannat me Bibi Hawwa aur Aadam (Alaihay Salam) se mulaqat ki aur kaha, “Main tumhara khairkhwaah hoon, tum dono ne Jannat ke uss sajar ka phal kyun nahi khaya?” Is par woh dono bole, “Hame Allah Ta’ala ne uss sajar se door rehne ke liye kaha hai, isliye hum ne wo phal nahi khaya.” Jab Aadam (Alaihay Salam) so gaye, to Shaitaan ne Bibi Hawwa ko bahekaaya aur kaha, “Allah Ta’ala ne tumhe wo phal khaane se isliye mana kiya hai ki kahi wo phal kha kar tum farishta na ban jaao aur hamesha ke liye Jannat me na rahne lago.”
Bibi Hawwa ne Shaitaan ke bahkaave me aakar wo phal kha liya aur jab Aadam (Alaihay Salam) so kar jaage, to unhe bhi bahut israar kar ke wo phal khila diya. Jaise hi un dono ne wo phal khaya, unka Jannat ka libaas utar gaya aur wo dono sharam ke maare apni apni sharmgaah chhupaane lage.
Tab Allah Ta’ala ne kaha, “Maine tumse nahi kaha tha ki uss sajar ke paas mat jaana aur uska phal mat khaana? Tum dono ne apni jaan par zulm kiya.” Aadam (Alaihay Salam) ko apni galti ka ehsaas hua. Unhone Allah Ta’ala ki baargaah me apne gunaaho ki maafi maangi. Allah Ta’ala ne farmaya,
“Tab Shaitaan ne Aadam aur Hawwa ko dhoka dekar waha se dagmagaaya aur aakhirkaar unko jis (aish wa rahat) me the unse nikal feka aur hum (Allah) ne kaha (Aye Aadam! Wa Hawwa) tum zameen par utar pado. Tum me se ek ka ek dushman hoga aur zameen me tumhare liye ek khas waqt (qayamat) tak thahraaw aur thikana hai.”
Aur is tarah Shaitaan, Hazrat Aadam (Alaihay Salam), aur Bibi Hawwa ko Jannat se bedakhal kar diya gaya. Ye tino (Shaitaan, Hazrat Aadam, Bibi Hawwa) ne gunaah kiya tha aur Allah Ta’ala ke hukm ki nafarmani ki thi, isliye in paancho ko zameen par alag alag fek diya gaya.
Table of Contents
Bismillah Hir Rahman Nir Rahim
Jab un paancho ko Jannat se zameen par bheja gaya, toh Hazrat Aadam (Alaihay Salam) ko Sri Lanka mein, Bibi Hawwa ko Arab mein aur Shaitaan Iblees ko Asfaan mein, jo ki Arab ke aas paas hi koi jazira tha, utara gaya. Sri Lanka mein ek bahut bada insaani qadmon ka nishaan hai. Kitaabon mein likha hai ki shaayad wo nishaan Aadam (Alaihay Salam) ke qadmon ka hi hai (Allah-u-aalam).
Duniya mein aane ke baad, Aadam (Alaihay Salam) aur Bibi Hawwa kayee sau baras alag-alag bhatakte rahe, rote rahe aur apne gunaaho ki maafi maangte rahe aur fir Allah Ta’ala ne Aadam (Alaihay Salam) ki duaa qabool ki. Aadam (Alaihay Salam) aur Bibi Hawwa bhatakte huve Makkah ke paas Mina ke maqaam par pahunche, jahan par ek pahaadi hai jahan unka milan hua. Uss pahaadi ko Jabal-e-Rahemat kehte hain. Kyunki uss par Aadam (Alaihay Salam) aur Bibi Hawwa ka milan hua aur Allah Ta’ala ki rehamat naazil hui thi.
Woh dono ek dusre ko paa kar bahut khush huve aur Allah Ta’ala ka shukr ada kiya. Ab woh dono saath me rahne lage. Uss waqt unhe judwaa aulaade hoti thi, ek ladka aur ek ladki. Uss waqt insaani aabaadi toh thi nahi, isiliye uss waqt ye shariyat (qanoon) tha ki pehle paida hue ladke ka dusri baar paida hui ladki ke saath nikaah aur dusre ladke ka pehli ladki ke saath nikaah hota tha. Pehla jo ladka tha uska naam Qabil tha aur dusra jo ladka tha uska naam Habil tha. Lekin jo ladki Qabil ke saath paida hui thi woh zyada khubsurat thi, aur jo ladki Habil ke saath paida hui thi woh kam khubsurat thi.
Qabil ne apne saath paida hui ladki ke saath nikaah karne ki baat ki. Jabki shariyat ke hisaab se uska nikaah Habil ke saath hona tha. Lekin Qabil na mana. Use Aadam (Alaihay Salam) aur Bibi Hawwa ne bahut samjhaya par woh zid par adha raha. Tab Aadam (Alaihay Salam) ne kaha, "Tum dono Allah Ta’ala ke huzur me qurbaani pesh karo. Jiski qurbaani qabool hogi, wahi pehli ladki se nikaah karega." Jab dono ne apni apni qurbaani ek pahaadi par pesh ki, to Habil ki qurbaani qabool hui aur Qaabil ki qurbaani qabool na hui. Shaitaan Iblees ne Qaabil ko bahkaaya ke, "Tum Habil ka qatal kar do, woh hi na rahega to tumhara nikaah pehli ladki se ho jaayega."
Ab Qabil mauke ki talaash me rahne laga. Ek din usko mauka mil gaya aur usne Habil ka qatal kar diya. Qatal karne ke baad usko samajh na aaya ke Habil ki laash ka kya kare. Usse dar tha ke koi dekh na le, isiliye woh Habil ki laash ko kandhe par uthaaye firta raha. Tab Allah Ta’ala ne do farishto ko bheja jo kawve (crow) ki shakal me aaye aur Qaabil ke saamne ladne lage. Baad me ek kawve ne dusre kawve ko maar daala aur apni choch se mitti khod kar uss me dafna diya.
Qaabil ye sab dekh kar bahut pashemaan hua aur kaha, “Haye re meri bad bakhti, ke mai kawve se bhi gayaa-guzra hoon.” Fir usne bhi gaddha (qabar) khod kar Habil ko uss me dafna diya. Aur yahee se murdo ko dafnaane ka riwaaj shuru hua.
Aziz dosto, ye zameen par kisi insaan ka pahela qatal tha. Isiliye riwaayato me aaya hai ki iske baad zameen par jitne bhi qatal hoge, uska vabaal Qaabil ke sir par bhi hoga. Jo qatal karega, uske sir par to hoga hi hoga.
Table of Contents
Bismillah Hir Rahman Nir Rahim
Aziz dosto, iss tarah duniya mein Hazrat Aadam (Alaihay Salam) aur Bibi Hawwa ke aane ke baad unki aulaade hui aur aulaadon ki aulaade hone lagi. Zameen par insaano ki tadaad badhne lagi, dhire dhire yeh zameen par failne lage aur samaaj, kunbaa, qabile aur qaumon mein bat gaye.
Jaise ki Allah Ta’ala ne wada kiya tha ki insaaniyat ki rehnumaayee ke liye apne nabiyo aur rasoolo ko bhejega, Allah Ta’ala ne har qaum ke liye nabi aur rasool bheje, taaki insaan apne Rab ko pehchaane aur shariyat ya qanoon ke hisaab se apni zindagi guzaare, jisse uski duniya aur aakhirat dono sanwar jaaye. Aur woh haraam-halaal, neki aur gunaah ko samajh sake.
Ek riwayat mein hai ki Allah Ta’ala ne insaano ki rehnumaayee ke liye qareeban 1,24,000 paigambar bheje. "Qareeban" se muraad kam bhi ho sakte hain aur zyada bhi. Yeh paigambar duniya ke har hisse mein, jahan bhi insaani qaum thi, bheje gaye.
Inmein jo paigambar hue aur jinka zikr Qur’an Shareef mein Allah Ta’ala ne kiya hai, wo is tarah hain:
Yahan par har paigambar ka zikr nahi kar sakte kyonki uske liye kaafi waqt ki darkaar hai aur post bhi bahut lambi ho jaayegi. Isiliye hum yahan par kuch hi paigambar ka zikr kar rahe hain. Hazrat Aadam (Alaihay Salam) ke baare mein aap jaan hi chuke hain. Ab Hazrat Nooh (Alaihay Salam) ka zikr karenge agli post mein.
Table of Contents
Bismillah Hir Rahman Nir Rahim
Aziz dosto, Allah Ta’ala ne jis qoum ki taraf bhi jo paigambar bheja jyaada kar ke uss qoum ko uss paigambar ka hi naam diya. Isiliye jis qoum ki taraf Hazrat Nooh (Alaihay Salam) bheje gaye, uss qoum ko Qoum-e-Nooh kaha gaya.
Hazrat Nooh ki qoum boot-parasti me lagi huyi thi. Nooh (Alaihay Salam) ne taqreeban 900 ya 950 baras unke beech tableegh ki. Allah ke deen ki taraf bulaya. Lekin unki qoum na maani. Yahaa tak ki unki biwi aur ladka sab boot parasti me lage rahe.
Aakhir me thak-haar ke unhone Rab ki baargaah me ye iltijaa ki, “Aye Mere Rab Maine apne qoum me din-raat tablig ki, unhe haq ki daawat di lekin un logon ne mujhe jhuthlaa diya aur kuch logo ke alaawa baakiyo ne Imaan nahi laaya, yahaa tak ki woh apne kuffar aur hathdharmi me hadd se zyada badh gaye, ab ye Imaan nahi lane wale, ab inn ka faisla tu hi kar.”
Allah Ta’ala ne Nooh (Alaihay Salam) ko ek badi si lakdi ki naav (ship) apni nighebaani me tayyar karne ka huqm diya.
Allah Ta’ala kisi qoum par aise hi azaab naazil nahi karta, pehle woh uss qoum ki islaah ke liye nabiyo aur rasoolo ko bhejta hai, taaki woh rasool ya paigamber apni qoum ko daraaye aur khush-khabri bhi de, aur iss par bhi wo qoum na maane aur Imaan na laaye aur apne gunaaho se toubah na kare toh fir azaab naazil karta hai taaki koi huzzat baqi na rahe.
Nooh (Alaihay Salam) peshe se badhayee (carpenter) the. Unhone ek maidaan me Naav banaana shuru kiya. Unki qoum ke log aa kar mazaak karte the aur kahete the ki bade miya paagal ho gaye ho, ret (sand) me naavo chalaavoge kya?
Jab naav banke tayyar ho gayee toh Allah Ta’ala ne huqm diya ki sab jaanwar aur parindo, aur jo log Imaan laaye un sab ko naav me sawaar kar lo.
Hazrat Nooh (Alaihay Salam) pure jee-jaan se aur an-thak tarike se apni qoum ko deen ki daawat dete rahe. Jab qoum ke kuch hi logo ne Imaan laaya, aur baqi hatdharmi, ziddi, aur Nooh (Alaihay Salam) ko takleef dene wale aur unka mazaak udaane wale rah gaye toh Nooh (Alaihay Salam) ne dua ki, “Aye Mere Rab inn logo ne mujhe jhutlaa diya hai, ab Tu hi meri madad farma.”
Tab Allah Ta’ala ne Nooh (Alaihay Salam) ki taraf wahee ki, “Hamari nigraani aur hidaayat ke mutaabiq kashti (naav) banaavo! Fir jab hamaara huqm aa jaaye aur tanoor ubalne lage toh har kisam ke jaanwar aur parindo ke jode se do (nar aur maada) iss me baitha lena aur apne gharwalo ko bhi (Imaan walo ko). Aur jin logo ne zulm kiya (kaafir) in ke baare me mujh se koi sawaal mat karna, kyonki woh sab paani me garq kar diye jaayege. Aur fir tum aur jo tumhaare hamraah ho kashti (naav) me achchi tarha baith jaaye toh kehna “Sab ta’areef Allah Ta’ala ke liye hai, jis ne hame zaalimo se nizaat di” aur ye bhi kehena “Mere Rab hume barqat wali jagaah par utaarna, aur Tu sab se behtar utaarne wala hai”.
Aur fir jab Nooh (Alaihay Salam) ne sab ko kashti par sawar kar liya toh zameen se paani ubalna shuru ho gaya aur tez muslaadhar baarish hone lagi. Chaaro taraf paani hi paani ho gaya. Kaafir apni jaan bachane ke liye unchi jagaho par jaane lage. Ab Nooh (Alaihay Salam) ki kashti (naav) paani me upar uthne lagi. Nooh (Alaihay Salam) ne dekha ki unka kaafir beta pahaadi par ja rahaa hai toh Nooh (Alaihay Salam) ne use aawaaz di, “Beta jaldi se naav me sawaar ho jaa”. Usne jawwab diya, “Mai pahaadi par ja rahaa hoon wahaa mai bach jawooga”. Nooh (Alaihay Salam) ne kahaa, “Aaj koi nahi bachne wala”. Aur unke dekhte hi dekhte ek unchi lahar uthi aur unke bete ko baha le gayee.
Nooh (Alaihay Salam) ne kahaa, “Aye mere Rab mera beta mere apno me se hai”. Allah Ta’ala ne farmaaya, “Tumhe jis baat ka ilm nahi uske baare me sawaal mat karo, wo kaafiro me se tha tumhaare apno me se nahi, tumhaare apne wo hai jo Imaan laaye”.
Kayee dino tak muslaadhar baarish hoti rahi aur zameen se bhi paani nikalta rahaa. jahaa tak bhi nazar jaati thi har taraf paani hi paani tha. sabhi kaafir aur unke boot aur jo kuch bhi zameen par tha sab paani me garq ho gaye. fir Allah ta’ala ne aasmaan ko huqm diya ki paani barsaana rok de, aur zameen ko bhi huqm diya ki apna paani nigal ja.
Kashti kayee dino tak paani me tairti rahi. kashti me chuhe (mouse) ho gaye jo anaaj ke galle ko nuqsaan pahuchaane lage. Nooh (Alaihay Salam) ne allah ta’ala se duwaa ki, allah ta’ala ne kahaa sher (lion) ki pust par haath maaro. nooh (Alaihay Salam) ne sher ki pust pe haath maara toh billi (cat) paida huyee aur usne saare chuho ko khaa liya. isi tarha kashti (naav) me gandagi paida hone lagi toh Nooh (Alaihay salam) ne fir allah ta’ala se duwaa ki, allah ta’ala ne kahaa, “Haathi (elephant) ki pust par haath maaro”. Nooh (Alaihay Salam) ne haathi ki pust par haath maara toh badjaanwar (pig) paida huwaa aur usne saari gandagi saaf kar di.
Ab dhire dhire paani kam hone laga. Nooh (alaihay salam) ki kashti (naav) Judii naam ki ek pahaadi par jaa kar ruki. aap ne ek kabootar (pigeon) ko baahar ki khabar laane bheja. woh pahli bar waapas aaya toh uske pairo me paani laga tha. Nooh (alaihay salam) samjh gaye ki abhi paani puri tarhaa nahi utra. kuch dino ke baad fir use bheja, jab wo waapas aayaa toh uske pairo me kichad lagaa tha. Nooh (alaihay salam) samajh gaye ki abhi zameen khshaq (sukhi) nahi huyee. fir tisri bar use bheja toh uski chonch me eik poudha tha. Nooh (Alaihay salam) samjh gaye ki ab zameen khushq ho chuki hai.
Ess tarhaa Nooh (Alaihay salam) aur unke saathi zameen par fir aabaad huve aur unhi se insaani nasl aage badhi.
Table of Contents
Bismillah Hir Rahman Nir Rahim
Aziz dosto, Hazrat Yunus (Alaihay Salam) ko Allah Ta’ala ne Qoum Ninwaa ki taraf bheja, jo ki qadeem Baabal Shahar ke paas ka ek shahar tha. Yunus (Alaihay Salam) ka zamaana Isaa (Alaihay Salam) se taqreeban 800 saal pahele ka hai. Ye qoum bhi boot parast thi. Aur unhone lagbhag 1,00,000 Bani Israyeel ko qaid kar ke rakha tha. Yunus (Alaihay Salam) ne 7 saal tak haq ki daawat di yaani ki tableegh ki. Lekin jab unki qoum par iss daawate haq ka asar na hua aur wo apni boot parasti me lage rahe toh Yunus (Alaihay Salam) ne aakhir me Allah Ta’ala ke azaab ki dhamki de di, unki qoum ne fir bhi parwaah nahi ki.
Jab azaab ka muqarrarah waqt qareeb aa gaya aur azaab ke aasaar nazar na aaye toh Yunus (Alaihay Salam) Allah Ta’ala ki izaazat ke bagair hi apni qoum ko chhod kar chale gaye. Idhar jaise hi Yunus (Alaihay Salam) apni tashreef le gaye, to unki qoum par azaab ke aasaar nazar aane shuru ho gaye, kaale-kaale baadal chha gaye ghana kaala dhuwaa unki qoum ki taraf badhne lagaa.
Yunus (Alaihay Salam) Ka Safar Machli Ke Pet Me
Qoum ne Yunus (Alaihay Salam) ko talaashna shuru kiya lekin woh nahi mile. To unki qoum khud hi apne biwi, bachcho aur yahaa tak ki apne jaanwaro ke saath ek maidaan me jamaa ho gayee aur Allah Ta’ala ki baargaah me ro ro kar apne gunaaho ki maafi maangne lagii. Allah Ta’ala ne unn par se azaab ko taal diya.
Kisi bhi kaafir qoum ki taareekh me aur Allah Ta’ala ki sunnat jaariya me ye paheli misaal hai ki azaab dekhne ke baad kisi qoum ka Imaan laana faayedemand saabit hua. Nahi toh Allah Ta’ala ki sunnat ya tarika yahi hai ki ek baar azaab ka waqt muqarrar ho jaaye toh fir talta nahi.
Yunus (Alaihay Salam) apni qoum se door chale gaye. Lekin woh aate-jaate musaafir se apni qoum ka haal dariyaaft karte. Jab unhe maaloom hua ki Allah Ta’ala unki qoum par se azaab taal diya hai toh bhi woh waapas nahi gaye. Kyonki unki qoum ne unn ko jhutlaaya tha. Isiliye unki gairat ne ganwaara na kiya ki woh waapas jaaye.
Ab chalte-chalte raaste me ek dariyaa (samundar) aaya. Yunus (Alaihay Salam) ek kashti (naav) me sawaar ho gaye. Kashti (naav) jab majhdhaar me pahunchi toh hichkole khaane lagi. Kashti (naav) me jitne bhi log sawaar the, unme se ek ne kahaa, “Lagta hai ham me se koi ek gunaahgaar iss kashti me sawaar hai. Hame Qurra Andaaji karna chahiye ki woh gunaahgaar koun hai”. Teen bar Qurra Andaji ki gayee aur teeno baar Yunus (Alaihay Salam) ka naam nikla. Kashti (naav) ke musafiro ne Yunus (Alaihay Salam) ko dariya (samundar) me daal diya. Wahaa ek badi machli (whale fish) ne Yunus (Alaihay Salam) ko nigal liya. Is tarhaa Yunus (Alaihay Salam) machli ke pet me pahooch gaye. Kayee dino tak woh machli ke pet me hi rahe. Wallahu Alam.
Wahaa unhone Allah ta’ala se ye duwaa ki, “Aye Allah! koi nahi ma’abood siwaaye tere, tu paak hai, aur maine hi apni jaan par zulm kiya. Aye Allah ta’ala mere Gunaaho ko muaf kar de”.
Allah ta’ala ne Yunus (Alaihay Salam) ki duwaa qabool ki. aur iss tarhaa Machli (fish) ne unko kinaare pe la kar ugal diya. aur woh apni quam ki taraf lout gaye.
Table of Contents
Bismillah Hir Rahman Nir Rahim
Aziz dosto , Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) jo ki phalisteen me rahte the. unke 12 ladke the. un hi me se pahli biwi se Yusuf (Alaihay Salam) aur bin yamin the. aur dusri biwi se 10 ladke the.
Yusuf (Alaihay Salam) bahut khoobsurat aur haseen zamil the. unki khoobsurati ki masaale aaj bhi di jaati hai. Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Yusuf (Alaihay Salam) se bahut mohabbat karte the, aur ye hi baat unke baqi 10 bhaiyo ko khatakti thi nagawaar lagti thi.
ek din Yusuf (Alaihay Salam) ne ek khawaab dekha aur apne abba jaan se kahaa ki maine khawaab me dekha hai 11 sitaare, chaand aur suraj sab mujhe sajda kar rahe hai. Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) iss khawaab ki ta-beer samjh gaye ki Allah ta’ala Yusuf (Alaihay Salam) ko naboowat se sarfaraaz farmaayega aur deen ki khidmat lega.
Kyun ki unhe apne baqi 10 beto ke baare me maaloom tha. isiliye unhone Yusuf (Alaihay Salam) ko nasihat farmaayee ki iss khawaab ka ziqr kisi se mat karna, kyonki shaitaan insaano ka khulaa dushman hai.
Ek deen 10 bhaiyo ne mashwaraa kiya ki abba jaan Yusuf (Alaihay Salam) ko jiyaada chaahte hai. aur hum logo ko nahi chaahete. jab ki ham log tadaad me bhi jiyaada hai aur quwat me bhi.
Ek bhai ne mashwara diya kyon na Yusuf ko qatal kar diya jaaye. jab wo hi na rahege toh abba jaan hum se bhi mohabbat karenge aur ham log baad me sidhe aur sachche ban jaayege. iss par dusre ne kahaa, “nahi hum unka qatal nahi karenge balki unko ek andhe kuwe (well) me daal denge. aur ho sakta hai ki koi kaafilaa aaye aur Yusuf ko apne saath le kar chalaa jaaye. iss baat par sab bhaiyo ki ek rai ban gayee”.
Aur woh sab milkar apne abba jaan ke paas aaye aur kahne lage, “kya baat hai ki aap Yusuf ke baare me ham par bharosa nahi karte, halaanki ham toh uske khairkhawah hai. kal aap use hamaare saath bhej do taaki wo hamaare saath khaaye aur khele, aur ham uski hifaazat karege. Yaqoob (Alaihay Salam) ne kahaa, “tum agar ise saath le gaye to mujh ko iss ki judaayee ka gam hoga, aur main darta hoon ki kahee tum log khel kood me mast ho jaawo aur iss se gaafil ho jaawo aur koi bhediya use khaa jaaye”.
iss par unke beto ne kahaa, “Hum log ek taqatwar jamaat hai, agar hamaare hote huwe koi bhediya Yusuf ko khaa jaaye toh ye baat hamaare liye nuksaandaayek hogi”.
iss tarhaa woh apne abba jaan se zid kar ke Yusuf (Alaihay Salam) ko apne saath le gaye. aur wahaa par Yusuf (Alaihay Salam) ko ek andhe kuwe (well) me fek diya.
jaise hi unhone Yusuf (Alaihay Salam) ko kuwe me feka vaise hi Jibrayeel (Alaihay Salam) ne Yusuf (Alaihay Salam) ko lapak kar khairiyat ke saath kuwe ke tahe tak pahoocha diya. aur unn se kahaa, “ghabrana (darna) nahi Allah ta’ala tumhara nighebaan hai”.
Baaqi bhaiyo ne Yusuf (Alaihay Salam) ki kameez par ek bhed (sheep) ka jhuta-mutha rang lagaakar rote huwe apne abba jaan ke paas pahoonche aur kahaa ki, “ham log aapas me shart laga kar doud (run) kar rahe the aur Yusuf (Alaihay Salam) samaan ke paas peeche chhoot gaye aur ham logo ko khayaal hi na raha. aur ek bhediye ne aakar Yusuf (Alaihay Salam) ko khaa liya”.
Yaqoob (Alaihay Salam) ne kahaa, “tum log jhoot bol rhe ho, ab Allah ta’ala hi mujhe sabar de, aur iss maamle me mai uss se hi madad chaahta hoon”.
Phir uss kuwe ke paas ek kaafila aaya. unn me se kuch log paani lane ke liye kuwe par gaye, jaise hi un logo ne kuwe me paani ka dol daala, Yusuf (Alaihay Salam) ne uss dol ko pakad liya. aur uss dol ke sahaare upar aa gaye. unn logo ne ek haseen zamil bachche ko dekha to bahut khush huve. aur aapas me kahaa ki, “is ki to baazaar me achchi kimat mil jaayegi. aur ho sakta hai koi aamir iss ko apni aulaad hi banale, iss ko chipa lo ke kisi ko pata na chale”.
Aur iss tarhaa woh log Yusuf (Alaihay Salam) ko apne saath mishr (egypt) ke baazaar me le gaye aur Yusuf (Alaihay Salam) ko bech diya.
jis shakhsh ne Yusuf (Alaihay Salam) ko khareeda woh mishr (egypt) ka amir tha, riwaayato me hai ki woh baadshah mishr ka khajaanchi tha. usse aziz mishar bhi kahaa jata tha. woh shakhsh be-aulaad tha. Yusuf (Alaihay Salam) ko dekhte hi samajh gayaa tha ki ye koi gulaam nahi hai. balki kisi behad izzatdaar aur motaram gharaane ka fard (ladka) hai. jise gardish-e-zamaana yahaa le aayee hai. isiliye usne apni biwi jis ka naam zulekha tha. uss se kahaa, “iss se intehaayee izzat aur waqaar ke saath pesh aana, mumkeen hai ki ham ise apna beta hi bana le”.
Yusuf (Alaihay Salam) taqreeban 3 saal aziz mishr ke ghar rahe. Yusuf (Alaihay Salam) khoobsurat haseen aur zamil the uss waqt unki umar 20 saal thi. aur aziz mishr ki biwi zulekha be-aulaad aur jawaan thi. woh Yusuf (Alaihay Salam) ke ishq me giraftaar ho gayee. uss waqt ka samaaj bhi kuch aazaad khayaalat wala tha. isi liye zulekha ki Yusuf (Alaihay Salam) ko paane ki chaah siddat pakad gayee.
Ek din jab aziz mishr ghar par nahi tha. tab zulekha ki hawas jaag gayee aur usne Yusuf (Alaihay Salam) ko apni taraf wargalaana chaaha. uss ne darwaaze band kar diye aur kahene lagi jaldi se aa jaawo. Yusuf (Alaihay Salam) ne kahaa, “Allah ta’ala ki panaah, mere rab ne mujhe bahut achchi manzilat bakhshi hai, zaalim log yaqinan falaah nahi paate”. ab zulekha unn se zabardasti kar ne par utar aayee.
Woh unko pakadne ke liye unki taraf doudi. Yusuf (Alaihay Salam) uss se bachne ke liye darwaaze ki taraf bhaage. zulekha ne unki kameez piche se pakad kar apni taraf khicna chaaha toh kameez piche se fat gayee. jaise hi Yusuf (Alaihay Salam) ne darwaaza khola, saamne aziz mishr khada tha. usi waqt zulekha ne chaal chali aur aziz mishr se kahaa, “jo tere ghar ki izzat pe haath daale use kya sazaa milni chaahiye? aur fir khud hi sazaa bhi suna di ki isko jel me daal dena chaahiye.”
Yusuf (Alaihay Salam) ne kahaa, “maine koi bhi galat kaam nahi kiya hai, ye hi mujhe wargalaana chaahati thi”.
Ab dono me se Gunahgar koun hai ye kaise sabit hoga, iss par kisi ne kahaa (eik riwaayat me hai ki eik doodh pite bachche ne gawaahi di) agar kameez saamne se fati huyee ho toh Yusuf (Alaihay Salam) gunehgaar aur agar kameez piche se fati huyee ho toh zulekha gunehgaar. isiliye jab aziz mishr ne dekha to kameez piche se fati huyee thi. woh zulekha ka triya-charitra samjh gayaa lekin uske apni izzat ka bhi sawaal tha. isiliye uss ne Yusuf (Alaihay Salam) ko hi jel ki sazaa sunaayi.
Idhar ye baat saare mishr ki aurato me fail gayee ki aziz mishr ki biwi ek gulaam ke ishq me giraftaar ho gayee. is tarhaa ki baate toh aurato me khaas tour pe unchi socaiti (tabke) se taalluk rakhne wali aurato me khoob failti hai. fir isme mirch-masala bhi shaamil ho jaata hai. unhone zulekha ko taane dena shuru kiya. iss ko agar ishq karna tha to iss ke liye ise apna gulaam hi mila!. aur agar gulaam par dil aa bhi gayaa toh usko apni taraf ma’ayel bhi na kar saki!.
Zulekha ne jab mishr ki aurato ke ye taane sune toh unn logo ka muhh band karne ke liye usne ek tarkeeb sochi.
Uss ne tamaam mishar ki aurato ke liye ek daawat ki mahefil ka intezaam kiya. aur sab ke saamne fal (fruite) aur chaaku (nife) rakh diya. aur unn aurato se kahaa jab Yusuf (Alaihay Salam) saamne se guzre toh tum ye fal kaat lena. aur Yusuf (Alaihay Salam) ko unke saamne se guzarne ka huqm diya. Yusuf (Alaihay Salam) jaise hi unke saamne se nichi nigaah kiye guzre. waise hi zulekha ne un aurto ko fal kaatne ke liye kahaa. unn aurato ne zamaal-e-Yusuf (Alaihay Salam) dekha toh apne hosh kho baithi aur fal ki jagah apne apne haath kaat baithi aur bade hairat se kahaa, “ye insaan nahi ho sakta ye to koi farishta hai.”
Aziz dosto ,… Allah Ta’ala Quran-e-kareem me farmaata hai, “uss aurat ne Yusuf (Alaihay Salam) ko apni taraf maayeel karna chaaha, woh bhi uski taraf maayeel ho jaate agar apne rab ki burhaan (nishaniya) na dekh lete. aur iss tarha ham ne inhe buraayee aur behayaayee se bacha liya kyonki woh hamare mukhlish bando me se the”.
Hazrat Abdullah bin umar kahete hai ki Aap (ﷺ) ne farmaaya, “Hazrat Yusuf (Alaihay Salam) izzatdaar, izzatdaar ke bete, izzatdaar ke pote, aur izzatdaar ke par-pote the. woh ishaq (Alaihay Salam) ke pote aur ibraahim (Alaihay Salam) ke par-pote the. jo sab ke sab Ambiya (Alaihay Salam) they”.
Yusuf (Alaihay Salam) ka husn dekh kar woh aurate jinhe zulekha ne daawat di thi, qaaboo me na rah saki, aur falo (fruite) ke bajaaye apne haath kaat liye. ek riwaayat me hai ki woh fal (nimboo) lemon tha. aur un aurto ne apni ungliya kaat li thi.
Hazrat Anas bin Malik (R.A) kahete hai ki Aap (ﷺ) ne farmaaya, “Mai jab meraz par gayaa aur teesre aasmaan par pahooncha toh wahaa Yusuf (Alaihay Salam) se mulaqaat huyee, Allah ta’ala ne husn ka aadhaa hissa unhe ata kiya tha”.
Jab unn aurato ne dekha ki ye noujawaan aankh utha kar iss husn ki mahefil ko dekhta hi nahi, to woh be-akhtiyaar hi pukaar uthi ke ye insaan nahi balki koi moa’az farishta hai.
Zulekha kahene lagi, “ye hai jis ke baare me tum ne mujhe malaamat kiya tha, beshaq maine ise apni taraf rijhaane ki koshish ki thi magar woh bach nikla, agar ab bhi usne mera kahena na maana toh qaid kar diya jaayega aur zalil ho jayega”.
Aziz dosto pahele toh sirf Zulekha hi Hazrat Yusuf (Alaihay Salam) par aashiq thi aur unhe wargalana (bahekaana) chaaheti thi lekin ab toh mishr ki sari badi aur rasookhdaar aurate Hazrat Yusuf (Alaihay Salam) ki aashiq ho gayee aur sab unhe apni taraf maayel (jhukaane) ki koshish karne lagi, toh Yusuf (Alaihay Salam) ne Allah ta’ala se duwwa ki, “aye mere rab, ye jis cheez ki taraf mujhe bulaa rahi hai uss se to mujhe qaid hi jiyaada pasand hai, aur agar tune inke makkar (chaal baziya) ko mujh se door na rakha to mai inki taraf jhuk jawooga aur jaahilo me se ho jawooga”.
Allah ta’ala ne unki dua qabool ki aur unn aurato ke makkar se unhe door (mahefooz) rakha.
Ab Yusuf (Alaihay Salam) ko qaidkhaane me daal diya gaya. uss qaid khane me 2 qaidi aur bhi the unn me se ek baadshah ka naanbaayee (bawarchi), jab ki dusra baadshah ko sharaab pilaane waala tha. woh dono unn ke paas aaye aur kahaa hame to tum bhale aur nek aadmi lagte ho. ham dono ne ek ek khawaab dekha hai. ek ne kahaa maine dekha ki mai sharaab nichod rahaa hoon. dusre ne kahaa, “maine dekha ki mai sir par rotiya uthaaye huwaa hoon aur parinde use noch noch kar khaa rahe hai”. aap inn khawaabo ki hame ta’abeer bataaye.
Yusuf (Alaihay Salam) ne kahaa, “jo khaana tumhe yahaa milaa karta hai uss ke aane ke pahele mai tumhe tumhaare khawaabo ki ta’abeer batlaa dugaa, ye ilm mujhe mere rab ne sikhaaya hai, aur maine unn logo ka deen chod diya hai jo Allah ta’ala par imaan nahi laate, aur aakhirat ke bhi munkeer hai, aur maine apne aaba ibraahim, ishaaq aur yaqqob (Alaihay Salam) ka deen ikhtiyaar kiya hai.”
Phir unse kahaa mere saathi qaidiyo, tum me se ek toh apne malik ko sharaab pilaayega wo reeha (aazaad) ho jayega, aur dusre ko sooli pe chada diya jayega aur parinde uss ke sir ka gost noch noch kar khaayege. jis ke baare me Yusuf (Alaihay Salam) ko yaqeen tha ki woh rihaa ho jayega aap ne uss se kahaa ki jab tum aazaad ho jaawo aur baadshah (malik) ke paas jawo toh mere baare me baate karna. uss shakhsh ne waada toh kiya lekin jab rihaa ho kar baahar gayaa to bhul gayaa. iss tarhaa 7-9 saal Yusuf (Alaihay Salam) ko qaid me bitaane pade.
Ek din baadshah ne ek khawaab dekha ki 7 moti gaaye (cow) hai jinhe 7 dubli gaaye (cow) khaa rahi hai, aur anaaj ki 7 baaliya hari (green) hai aur dusri 7 baliya sukhi huyee hai. baadshah ye khawaab dekh kar bahut pareshaan huwaa aur apne darbaariyo se iss khawaab ki ta’abeer bataane ke liye kahaa.
Aziz dosto! jab mishr ke baadshah ne woh khawaab dekha toh bahut bechain huwaa. usne apni huqumat ke sabhi daanishwar aur khawaabo ki taabeer bataane waalo ko apne darbaar me bulaaya aur apna khawaab suna kar unse apne khawaabo ki taabeer poochi. koi use tasalli bakhsh jawaab na de paaya, kisi ne kahaa ham nahi jaante to kisi ne kahaa ye pareshaan khayaalat hai. usi darbaar me woh shakhsh bhi tha jise Yusuf (Alaihay Salam) ne uske khawaabo ki taabeer batlaayee thi, aur woh aazaad ho gayaa tha. use Yusuf (Alaihay Salam) ki yaad uss waqt aayee.
Usne baadshah se kahaa ki mai aap ke khawaabo ki taabeer batlaa sakta hoon, mujhe qaid khaane bheja jaaye. baadshah ne use qaidkhane jaane ki ijazat dedi. jab woh Yusuf (Alaihay Salam) ke paas pahooncha toh unse kahaa, “Aye mere sachche dost, mujhe muaf kar dena mai apna waada bhul gayaa tha. lekin abhi mai aap ke paas ek khawaab ki taabeer jan’ne aayaa hoon”. usne kahaa , “badshah ne khawaab dekha hai 7 moti gaaye (cow) ko 7 dubli gaaye (cow) khaa rahi hai aur 7 hari (green) baliya hai aur 7 sukhi baliya hai”. Aap mujhe is ki taabeer bata de taki mai waapas ja kar unn logo ko bata sakoo”.
Yusuf (Alaihay Salam) ne kahaa, “Tum 7 saal lagaatar kheti baadi karoge, jo kheti tum kaato, iss me khaane ke liye thoda bahut anaaj chod kar baaqi anaaj baaliyo me hi lagaa rahne dena. fir iske baad 7 saal sakht sukha padega, aur jo anaaj tum ne in saalo ke liye pahle se bachaa kar rakha hoga wo sab khaa liya jayega. thode se anaaj ke siwaa jo tum log bachaa kar rakhoge. is ke baad ke saal me khoob kheti baadi hogi aur sab cheezo ki paidawaar bahoot hogi yahaa tak ke tum log uss saal fal (fruite) nichodoge.
Baadshah ne jab apne khawaab ki ye taabeer suni toh bahut mutasir huwa aur kahaa ki, “Yusuf ko mere paas laao”. magar jab qaseed (khabar denewala) Yusuf (Alaihay Salam) ke paas pahooncha toh unhone kahaa, “Apne baadshah ke paas waapas jaawo aur poocho ke un Aurato wala mumlaa kya hai, jinhone apne haath kaat daale they. mera Rab toh unke charitro ko jaanne wala hai”.
Yusuf (Alaihay Salam) ne jo jawaab diya iss se unke be-panaah sabr aur waqaar ka andaaza hota hai. aapne apni begunaahi saabit hone se pahele, apni aazaadi ko qabool karne se inqaar kar diya. baadshah ne un saari aurato ko bulaaya aur poochaa, “kya mamlaa tha. jab tum ne Yusuf (Alaihay Salam) ko wargalaana chaaha tha?”. woh sab bol uthi, “masha Allah ham ne unme koi buraayee nahi dekhi” usi waqt zulekha bhi bol uthi, “Ab toh haq baat zaahir ho chuki hai, maine hi use wargalaaya tha, aur woh sachcha hai”.
Yusuf (Alaihay Salam) ne kahaa, “Mai toh bas itna chaahta tha ke aziz mishr ye jaan le ke maine uski peeth ke piche uski khayaanat nahi ki, aur Allah ta’ala kabhi khayaanat karne walo ko raah nahi dikhata”. iss tarhaa bhari mahefil me Yusuf (Alaihay Salam) ki begunaahi saabit ho gayee aur asal muzreem ne apna gunaah qabool kiya.”
Ab baadshah ne Yusuf (Alaihay Salam) se kahaa, “Aapne jo in khawaabo ki taabeer bataayee hai, toh usse nipatne ki tarqeeb kya hogi. Yusuf (Alaihay Salam) ne kahaa, “mujhe zameen ke khazaane par muqarrar kar dijiye, main inki hifaazat karne wala hoon aur ye kaam bhi janta hoon”. tab baadshah ne unhe wazaarat maliyaat ya wazaarat khuraaq (agriculture ministry) ke mansab (ohde) par faayez kiya.
Aziz dosto ,.. Allah ta’ala farmaate hai ki, “iss tarhaa hum ne Yusuf (Alaihay Salam) ko is sir-zameen me iqtedaar ata kiya, woh jahaa chaahte rahte, ham jise chaahte hai nawaazte hai aur nek logo ka ajar zaayaa (bekaar) nahi karte”.
Yusuf (Alaihay Salam) ne apna iqtedaar sambhaala aur apne kaam ki tarteeb dene lage. anaajo ko mahefooz rakhne ke liye bade-bade godaam (godown) banaaye gaye. ye aap ke iqtedaar sambhalne ke baad aathva (8) saal hai, jab kahat (sukhaa) ka dour-doura tha. aas paas ke ilaako me galla (anaaj) dastyaab na tha. chaaro taraf sookhaa padaa huwaa tha, kya insaan kya jaanwar sab pareshaan ho rahe the. usi waqt baadshah ne apni tamam awaam (public) me munaadi karaayee. ke huqumat ke paas galla (anaaj) moujood hai aur har awamoonnaas ko anaaj waajib daamo par diya jaayega.
Ye khabar Yusuf (Alaihay Salam) ke bhaiyo ko bhi pahoochi. to woh log anaaj laane mishr pahooche. Yusuf (Alaihay Salam) apne bhaiyo ko dekhkar pahechaan gaye. lekin unke bhaiyo ne unko na pahechaana, kyonki jab un logo ne unhe kuwe me fekaa tha uss waqt Yusuf (Alaihay Salam) bachche the aur ab woh ek khoob surat jawaan the. Yusuf (Alaihay Salam) apne bhaiyo ko apne saath apne mehmaan khaane me le gaye aur unki mehmaan nawaazi ki. aur unse ghar walo ka haal dariyaaft (poocha) kiya. lekin apni pahechaan chupaaye rakhi.
Yusuf (Alaihay Salam) ne unki waapsi ka samaan tayyar kiya aur kahaa, “ab dubaara aawo toh apne soutele bhai (bin yamin) ko saath zaroor lete aana, tum dekhte nahi ki main kitna mehmaan nawaaz hoon, aur anaaj ka wazan bhi pura deta hoon. aur agar tum use mere paas nahi laaye to fir mere paas na tumhaare liye koi galla (anaaj) hai, aur na hi tum log mere paas aana”.
Woh kehne lage ki, “Hum iss baat ke liye apne abba jaan ko aamaada karege aur ye kaam kar ke hi rahege”. Yusuf (Alaihay Salam) ne apne khaadimo (noukaro) se kahaa, “inki poonji (rupyaa) inke samaan me chup ke se rakh do, taaki kisi ko pataa na chal sake aur jab woh apne gharo me pahooche toh ise dekh kar pahechaan le, aur shaayad dubaara waapas aaye”.
Aur jab unke bhai apne ghar pahoonche toh apne abba jaan se kahaa, “hame galla dene se inqaar kar diya gayaa hai, aap hamaare saath bin yamin ko bhej de taaki hame galla mil sake, aur ham yaqinan iss ki hifaazat karege”, Yaqoob (Alaihay Salam) ke saamne 20 saal pahele ka manzar aa gaya jab inhone hile-bahaane kar ke Yusuf (Alaihay Salam) ko apne saath le kar gaye the.
Yaqoob (Alaihay Salam) ne kahaa, “kya main aise hi tum par aitbaar karoo?. jaisa iss se pahele iss ke bhai ke baare me kiya tha, Allah ta’ala hi behtar hifaazat kar ne waala aur rahem karne wala hai”. jab unke bhaiyo ne apna samaan khola toh dekha ki unki poonji (rupyaa) bhi unhe waapas kar di gayee hai toh kahne lage, “abba jaan hame ab aur kya chaahiye, hamaari poonji bhi louta di gayee hai, ab ham apne ghar walo ke liye aur anaaj layege aur apne bhai ki hifaazat bhi karege, ab ki baar jiyaada anaaj laayege. ab to ye anaaj laana bhi aasaan hai”.
Yaqoob (Alaihay Salam) ne kahaa, “jab tak tum mujhe Allah ta’ala par pukhtaa ahad na doge ke tum ise mere paas laawoge, mai ise tumhaare saath na bhejooga. tum iski jee jaan se hifaazat karoge.”
Phir jab inhone pukhtaa ahad kiya to Yaqoob (Alaihay Salam) ne kahaa, “hamaari iss baat ka Allah ta’ala gawaah hai”. fir kahne lage, “mere beto uss shahar me ek hi darwaaze se daakheel na hona, balki alag-alag darwaazo se daakheel hona, main tumhe Allah ta’ala ki maishiyat se nahi bachaa sakta, huqm toh sirf usi ka chaltaa hai, main usi par bharosaa karta hoon, aur jise bhi bharosaa karna ho usi par karna chaahiye”.
Phir sab bhai milkar Yusuf (Alaihay Salam) ke paas pahooche. Yusuf (Alaihay Salam) ne apne bhai bin yamin ko apne paas bithaaya, aur us se kahaa ki mai tumhaara bichda huwa bhai Yusuf (Alaihay Salam) hoon. aur unhone use apni aap biti bin yamin ko bataayee aur unse bhi apne ahle khaana (ghar walo) ka haal hawaal liya. bin yamin ne kahaa, ”aap ki judaayee me ro rokar abba jaan ki aankho ki roshni bhi jaati rahi. Yusuf (Alaihay Salam) ne kaha, “ab sab theek ho jayega, tum abhi inhe mere baare me kuch na bataana, ye baat apne dil me rakhna”.
Phir jab Yusuf (Alaihay Salam) ne inn logo ka samaan tayyar kiya toh apne `bhai bin yamin ke thaile me apne paani pine ka piyaala rakh diya. Yusuf (Alaihay Salam) ke khaadimo (noukaro) ne unke bhai bin yamin ke thaile me baadshah ka paani pine ka piyaala jo ki heere jawaaharaat se jadaa huwaa tha, daal diya. jab unke bhai shahar ke baahar nikle toh piche se baadshah ke sipaahiyo ne aawaaz lagaayee, “Aye kaafilo walo tum chor ho, tum ne baadshah ka piyaala churaaya hai, aur baadshah ne uss piyaale ko dhoondh kar laane wale ko ek uoont (camel) anaaj dene ka ailaan kiya hai”.
Yusuf (Alaihay Salam) ke bhaiyo ne kahaa, “Hum iss mulq me fasaad karne nahi aaye hai aur na hi ham chor hai, ham to izzatdaar log hai”.
Sipaahiyo me se ek ne kahaa, “Agar chori ka maal tum me se kisi ke paas baraamad huwaa to uski sazaa kya hogi? ”
Bhaiyo ne kahaa, “jis ke paas se pyaala niklega uski saza ye hi hogi ke usey yahi rakh liya jaaye”. ye Yaqoob (Alaihay Salam) ki shariyat thi ke jo bhi chori kare usey jiski chori huyee ho, ek saal tak gulaami karni padegi. jab ki mishr ka qanoon ye tha ki chor ko jail ki sazaa hoti thi.
Sab se pahle baqi bhaiyo ke samaan ki talaashi li gayee, fir aakhir me bin yamin ke samaan ki talaashi me woh piyaala nikal aaya. sab bhaiyo ko Yusuf (Alaihay Salam) ke saamne pesh kiya gaya.
Bhaiyo ne kahaa, “jis tarhaa Bin Yamin ne chori ki hai usi tarhaa bahut arsaa pahele inke bhai Yusuf (Alaihay Salam) ne bhi chori ki thi”.
Ye sab baate sunkar bhi Yusuf (Alaihay Salam) ne sabr kiya aur apne aap ko zaahir na kiya aur kahaa, “tum log jo baate kah rahe ho wo bahut buri hai aur Allah ta’ala hi sab baato ko janne wala hai”.
Bhaiyo ko apne abba jaan se kiya huwaa waada yaad aa gayaa, bade bhai ne kahaa mai mishr se bin yamin ko liye bina waapas nahi jawwonga yahaa tak ki mere abba jaan huqm de ya Allah ta’ala ki taraf se koi faislaa aaye. unhone Yusuf (Alaihay Salam) se guzaarish ki ke, “Humare abba jaan bahut zayeef hai aur woh iss baat ko bardast na kar paayege”. aap bin yamin ke badle ham me se kisi ek ko rakh le.
Ess par Yusuf (Alaihay Salam) ne kahaa, “ Allah ta’ala ki panaah aise kaise ho sakta hai. agar maine aisa kiya toh zaalimo me se ho jawooga”. ye tadbeer Allah ta’ala ne isiliye ki thi ke bin yamin ko ek saal tak Yusuf (Alaihay Salam) ke saath rahne ka mouka mil jaaye.
Bhai log rote huwe apne ghar pahooche aur apne abba jaan ko saari baate bataayee, aur kahaa ki agar aap ko ham pe yaqeen nahi hai to kaafile walo se pooch lo. hamne aap se wada zaroor kiya tha par iss baat par waada nahi kiya tha.
Yaqoob (Alaihay Salam) ne ye baate suni to unhe bada sadma laga aur woh nidhaal ho gaye. unhone apne ladko se muhh fer liya. aur kahaa mai jo baate Allah ta’ala ki taraf se jaantaa hoon, tum nahi jaante, jaawo mere dono beto ko dhoondh kar mere paas lawo. woh log fir mishr gaye aur Yusuf (Alaihay Salam) ke samne pesh huve aur kahaa ki hamaare paas thodi hi si poonji (rupya) hai, aap iss ke badle hume anaj de dijiye, ham aap ko bahut rahem karne walaa paate hai. hame galla de de ki ham apne ghar walo ke paas le ja sake”.
Ye baate unhone badi aazizi aur inqesaari se kahee thi. Yusuf (Alaihay Salam) ko unn par rahem aa gayaa, unhone kahaa, “tum logo ne Yusuf (Alaihay Salam) aur uske bhai ke saath achcha nahi kiya, jab tum nadaan the, tum logo ne jo chaale chali Allah ta’ala ne tumhaari chaalo se unki hifaazat ki aur unhe izzat bakhshi. “Yusuf (Alaihay Salam) ke muhh se ye baate sunkar bhaiyo ko bada ta-ajjub huwaa, bhaiyo ne kahaa, “kya Aap Yusuf ho ?” Yusuf (Alaihay Salam) ne kahaa, “haan mai hi Yusuf hoon”.
Bhaiyo ne unse apne gunaaho ki muafi maangi, Yusuf (Alaihay Salam) ne kahaa, “Alllah ta’ala hi sab gunaaho ko muaf karne walaa hai, ye sab shaitan hi ka kiya huwaa hai ki usne ham bhaiyo ke beech me nafrate paida ki”. fir unhone bhaiyo ko apni kameez di aur kahaa, “ise Abba jaan ke chehre par daal dena, inshah Allah unki aankho ki roshni waapas aa jayegi, fir tum sab gharwalo ko lekar yahaa aa jaana”.
Idhar ghar par Yaqoob (Alaihay Salam) apne gharwalo se kahe rahe the ki, “Agar tum ye na samjho ki mai umar ki wazah se bahek gayaa hoon, toh mujhe Yusuf ki khushboo aa rahi hai”. gharwaalo ne kahaa, “Aap toh abhi bhi Yusuf ke gham me padey huve ho”.
Phir jab Yaqoob (Alaihay Salam) ke bade bete jinka naam yaqqob bin yahooda tha. usne Yusuf (Alaihay Salam) ki kameez apne abba jaan ke chehre par daali toh unke aankho ki roshni waapas aa gayee. ye wahi Yaqoob bin yahooda tha jis ne aaj se kayee baras pahele Yusuf (Alaihay Salam) ki kameez me bakri ke bachche ka khoon lagaa kar apne abbajaan ko Yusuf (Alaihay Salam) ki mout ki khabar di thi. aur apne abba jaan ko dukh aur ranj-o-gham bhar diya tha. Aur aaj wo hi Yusuf (Alaihay Salam) ki kameez dubaara le kar aaya tha. lekin aaj wo apne Abba jaan ke chehre par khushi dekhkar khush tha.
Yaqoob (Alaihay Salam) ne kahaa, “Mai ne kahaa tha ki mai Allah ta’ala ki taraf se wo baate jaanta hoon jo ki tum nahi jaante, aur insaan ko maayoos nahi hona chahiye kyonki maayoosi shirq hai.”
Jab pure ghar wale Mishr pahoonche to Yusuf (Alaihay Salam) ne unka shahar ke baahar hi istaqbaal kiya, pura shahar saath me tha, khushiya aur jashn manaya ja raha tha. Yusuf (Alaihay Salam) ne kahaa mere saath shahar chalo, insha Allah wahaa chain aur sukoon rahega. ghar walo ne jab Yusuf (Alaihay Salam) ka ye rutbaa ye maqaam dekha toh sab ke sab sajde me gir gaye. ye sajdaa taziman tha. ye wo hi khawaab ki taabeer thi jo Yusuf (Alaihay Salam) ne barso pahele dekha tha. lekin uss khawaab ko taabeer ho ne me pure 40 saal lag gaye. fir Yusuf (Alaihay Salam) apne gharwalo ko apne saath le gaye. apne maa-baap ko apne takht (raaj sihaasan) par baithaya. aur Allah ta’ala ka shukr adaa kiya ki ek dehaati ko Allah ta’ala ne ek sirzameen ka baadshah bana diya.
Aziz Dosto …. Allah ta’ala apne nek bando ka ajar zaayaa (barbaad) nahi karta. Allah ta’ala ke ikhtiyaar me hi sab kuch hai woh chaahe toh gadaawo ko nawaaz de, woh chaahe toh faqiro ko baadshah kar de aur woh chaahe toh yatimo ko payembar kar de. isiliye Allah ta’ala par hi bharosaa rakho.
Table of Contents
Bismillah Hir Rahman Nir Rahim
Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) ke Bhatije (Loot Alaihay Salam) ki Qaum ko Dardnak Azaab Jise Aaj Dead Sea bhi kaha jata hai.
Aziz dosto ,… Allah Ta’ala ne insaano ko aur jaanwaro ko jode me paida kiya, jaise nar aur maada, insaano me mard aur aurat banaayee, taaki woh dono ek dusre ko jayaz tarike se khushi de sake. ham yahaa par aaj Hazrat Loot (Alaihay Salam) ka ziqr karege.
Loot (Alaihay Salam) Ibrahim (Alaihay Salam) ke zamaane ke nabi hai, Hazrat Loot (Alaihay Salam), Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) ke bhatije the. aur un par imaan laane walo me se the. Hazrat Loot (Alaihay Salam) ko Allah Ta’ala ne ek aisi qaum ki taraf bheja jo falisteen (baitul muqaddas) ya jordan ke aas paas basi huyee thi. jise sadoom kahaa jaata tha.ye sirzameen sirsabaj (green, hariyaali) aur shadaab thi. aur yahaa par har tarhaa ka anaaj (galla) aur phalo (fruits) ki qasrat thi.
Ess qoum ke liye Loot (Alaihay Salam) ko nabi banakar bheja gayaa isiliye iss qoum ko qoum-e-Loot kahaa jaata hai. is qoum me us waqt aisi buraayee paayee jaati thi jo unse pahele duniya ki kisi bhi qoum me nahi paayee gayee. uss qoum ke mard (aadmi) apni nafsiyaati (jismaani) khawaahish ko pui karne ke liye mardo (aadmi yo) ke paas jaate the. aur ye be-hayaayee aur buraayee itni aam ho gayee thi ke wo apne is bure kaam ko bura nahi samjhte the, balki uss par fakhar kiya karte the.
Riwaayato me hai ki is be-hayaayee ke kaam ki shuruwaat shaitaan ne ki, woh ek khoobsurat noujawaan bankar aaya aur apne saath wahaa ke mardo ko bura kaam karne ke liye bahekaaya. aur is tarha qoum-e-Loot me ye buraayee paida ho gayee woh log aurato ko chorr kar mardo se apni hawas puri karne lage. ruye duniya me ye bura kaam Loot (Alaihay Salam) ki qoum se shuru huwaa tha isiliye aaj bhi iss bure kaam ko lawatist (lawaatat) ke naam se jaana jata hai.
Loot (Alaihay Salam) ne apni qoum ki islaah ki bahut koshish ki, kayee baras unke beech me rahkar deen ki daawat dete rahe. nasihat karte rahe, Allah Ta’ala ke azaab ki dhamki dete rahe. lekin un ki qoum par koi asar na huwaa. Loot (Alaihay Salam) ne kahaa, “aye meri qoum tum log aisa buraa aur behayaayee ka kaam kar rahe ho jo aaj tak duniya me kisi ne na kiya, ye bahut gunaah ka kaam hai, tum apni aurato ko chorr kar mardo ke paas jaate ho, agar tum apne is bure kaam se baaz na aaye to mujhe darr hai ek din tumhe Allah Ta’ala ka azaab aa ghere ga. main tumse apne ajar (daawate haq dene) ki koi kimat nahi maangta mera ajar to mere rab ke paas hai, jo saare aalam ka malik hai”.
Ess par unki qoum ke jo doulatmand bigdail ya amir sardaar the unhone kahaa, “hame nasihat mat karo, bade paak saaf bante ho, agar tumne nasihat dena band na kiya to ham tumhe shahar se baahar nikaal dege”.
Loot (Alaihay Salam) ki nasihato ka jab unki qoum par asar na huwa siwaaye thode se logo ke jo imaan laaye, to Loot (Alaihay Salam) ne Allah Ta’ala ki baargaah me dua ki, “Aye mere Rab maine apni qoum me din raat tableeg ki aur unhe tere azaab se daraya, lekin wo apne kufar me aur aage badh gaye, ab mere rab. ab ye imaan nahi laane wale, ab inka faislaa tu hi kar.”
Allah Ta’ala ne Qoum-e-Loot ko azaab dene ke liye 2 farishte bheje. dono farishte jab naazil huwe to pahele ibraahim (Alaihay Salam) ke paas pahoonche. Ibrahim (Alaihay Salam) ne socha ki ye koi musaafir hai, isiliye unhe apne mehmaankhaane me le gaye.Ibrahim (Alaihay Salam) ki ek aadat (sunnat) thi ke jab tak unke dastarkhaan par koi mehmaan na ho to wo khana nahi khaate the. apne mehmaano ke liye unhone jaldi se ek bhuna huwa bakraa layaa aur unke saamne pesh kiya, lekin jab farishto ne khaane ki taraf haath na badhaaya to Ibrahim (Alaihay Salam) ko kuch khouf huwaa, kahee ye dushman to nahi ya koi bura iraada le kar to nahi aaye.
Tab faristo ne kahaa, “hum azab ke farishte hai aur qoum-e-Loot ki taraf bheje gaye hai, ham se mat daro, ham to tumhe khush khabri dene aaye hai, ham tumhe aulaad (beto) ki basharat dene aaye hai. tumhe do (2) aulaade hogi, ishaq (Alaihay Salam) aur ismaayeel (Alaihay Salam).”
Ibrahim (Alaihay Salam) ko ta-ajjub huwaa unhone kahaa, “mujhe bhala kis tarhaa aulaade hogi main budhha ho gaya hoon, mere sir ke saare baal safed ho chuke hai aur meri biwi budhhi aur baanjh hai”.
Faristo ne kahaa, “Allah Ta’ala jise chaahte hai aulaade dete hai. aur ye Allah Ta’ala ke liye aasaan hai. Allah Ta’ala har cheez par qaadeer hai”
Jab farishto ne Ibrahim (Alaihay Salam) ko aulaad ki khush khabri di. aur kahaa ke, “ham Loot (Alaihay Salam) ki qoum par azaab dene ke liye bheje gaye hai toh Ibrahim (Alaihay Salam) unse jhagadne lage, kyonki Ibrahim (Alaihay Salam) bade rahemdil aur nek insaan the. unhone kahaa, “uss qoum me to Loot (Alaihay Salam) bhi moujood hai, aur woh to bade nek muttaqi aur parhezgaar aur Allah Ta’ala ke ibaadat guzaar bande hai”.
Ess par farishto ne kahaa, “ham unhe aur jo unke saath imaan laaya hai use bachaa lege. siwaaye unki biwi ke jo ki kaafir hai aur piche rah jaane wale logo me se hogi”.
Farishte shaam hone se pahele Loot (Alaihay Salam) ke paas do (2) kamsin khoobsurat noujawaan ki shaqal me pahunche. woh unke yahaa mehmaan ban kar aaye. Loot (Alaihay Salam) ko apni qoum ke logo ki khabaasat ka pata tha. isiliye jab unhone jab apne kamsin khoobsurat noujawaan mehmaano ko dekha toh gamgeen ho gaye aur dil hi dil me kudhne lage aur kahehe lage aaj ka din badi musibat ka din hai. unhe unki fiqar la-haq huyee. ke kahee unki qoum ke log unke mehmaano ke sath koi buraa kaaam na kare. isiliye woh jaldi se apne mehmaano ko apne ghar ke andar le gaye. lekin unki biwi doudti huyee gayee aur apne qoum ke bigdail amir sardaaro aur badkaaro ko apne ghar me aaye huve mehmaano ki khabar dedi. qoum ke badkaar log Loot (Alaihay Salam) ke ghar aa pahooche. aur Loot (Alaihay Salam) se kahaa, “un ladko ko humaare hawaale kar do.”
Loot (Alaihay Salam) ne kahaa, “ye mere mehmaan hai main inko hargeez tum logo ke hawaale nahi karooga, tumhe Allah Ta’ala ka waasta hai, mere mehmaano ke saamne mujhe zalil (be-izzat) aur ruswaa na karo, kya tum me se koi bhi bhalaa aadmi nahi hai? aur (qaum ki aurto ki taraf ishara karte hue kaha) ye meri betiyaa (ya qoum ki betiyaa) hai tum inse nikaah kar lo aur apni nafsiyaati (jismani) khawaahisaat ko in se puraa kar lo”.
Lekin unki qoum ke log nahi maane, aur kahaa, “tum achchi tarhaa jaante ho ki ham kya chaahte hai, ham tumhe kal subah tak ki mohlat dete hai, kal subah ke baad tum hame rok na paawoge”. ye kahekar woh log chale gaye.
Apni bebasi par Loot (Alaihay Salam) ki aankho me aansoo aa gaye, woh chaahkar bhi apne mehmaano ki hifaazat nahi kar sakte the kyonki unki qoum ke badkaar log taadad me jiyaada aur taaqatwar the. Hazrat Loot (Alaihay Salam) ne kahaa, “aye kaash , mujh me tum se muqaable ki quwat hoti ya main kisi zabardast ka aasraa pakad paata”.
Tab farishto ne kahaa, “hum azaab ke farishte hai, aye Loot (Alaihay Salam) ! ghabraane ki zaroorat nahi hai, ham tak to kya, ab woh tum tak bhi nahi pahooch sakege, Allah Ta’ala ne hame aapki qoum ko azab dene ke liye bheja hai, aap aur aap ke saath jo log bhi imaan laaye hai subah saadiq se pahele is basti ko chod kar door chale jaaye, aur khabardaar koi mud kar piche na dekhe, ab in gunahgaron me se koi nahi bachne wala”.
Loot (Alaihay Salam) aur jo log unke saath imaan laaye the subah hone se pahele basti chodkar door jaa chuke the, sirf Loot (Alaihay Salam) ki biwi piche rah gayee kyonki woh bhi kaafir thi. ab farishto ne zameen ko jadh se ukhaadkar palat diya aur kayee kilometer (taqreeban 40 kilometer) tak gahre zameen me dhasaa diya, phir unpar paththar aur tezaab ki baarish ki is tarhaa un gunaahgaaro ka namo-nishaan mita diya koi bhi na bach saka.
Jahaa azaab huwaa tha woh jagaah aaj bhi moujood hai, use dead sea ya maraa huwaa samundar ya marat saagar, bahar-e-murdaar ya bahar-e-Loot (Alaihay Salam) ke naam se jaana jaata hai. aur aaj bhi uspar jo azaab huwaa tha uski wajaah se us samundar me machli (fish) to kya koi kidaa makodaa bhi nahi paidaa hota. aur uska paani itna namkeen hai ki usko muhh se laga lo to ulti ho jaaye.
Gunaahgaaro aur nafarmaano ko Allah Ta’ala is tarhaa azaab deta hai zindagi me bhi aur marne ke baad bhi. lekin afsos ki baat hai ki insaan aisi baato se koi sabak nahi leta. aaj kuch modern kisam ke log aur yahood aur nasaara is bure kaam ko buraa nahi jaante aur aise bure kaam karne waalo ko qanooni maannayata (darzaa) de rahe hai. Allah Ta’ala hum sab logo ko aise bure kaam aur aise bure khayaalat se bachaaye …ameen
Table of Contents
Bismillah Hir Rahman Nir Rahim
Ibrahim (Alaihay Salam) ne boot parasti se inkar karte hue allah ki raah me apna ghar-bar, aur rishte tak chorr diye.
Aziz dosto ,… Yaha Hum Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) ka ziqr karege. Ibrahim (Alaihay Salam) Allah Ta’ala ke khalil (dost) the. Aap ko yahoodi, isaayi (nasara) aur yahaa tak ki makkah ke Mushriq (kaafir) bhi apna peshwa (imam) mante the. lekin Allah Ta’ala ne quran me irshaad farmaaya ke, “Ibrahim (Alaihay Salam), na yahood the, na nasara the aur na hi Mushriq the woh to muslim the aur ek soo hokar ek akele Allah Ta’ala ki ibadat karne wale they.”
Islaam ya Deen-e-Mohammedi asal me deen-e-ibrahim hai.
Ibrahim (Alaihay Salam) iraq me paida huwe, unke walid ka naam aazar tha. dosto yahaa par thoda sa ikhtilaafat hai, ke Aazar, Ibrahim (Alaihay Salam) ke waleed the ya chacha (uncle). khair, woh shaahi boot khaano ka muhaafiz (hifaazat karne wala) aur booto ko banaa kar becha karta tha. Ibrahim (Alaihay Salam) ko ibtidaa (shuru) hi se boot parasti se nafrat thi. ek din andheri raat me unhone ek sitaara (star) dekha to kahaa, “kya ye mera Rab hai ?”.
Phir jab woh sitaara doob gaya to kahaa, “main doobne wale ko pasand nahi karta. “fir jab unhone chaand (moon) ko dekha to kahene lage, “ye mera Rab hai ?” , fir jab woh bhi doob gayaa to kahene lage, “Agar mere Rab ne meri renumaayee na ki to main gumraaho me se ho jaawooga”.
Phir jab suraj (sun) ko jagmagaata huwaa dekha to kahaa, “ye mera Rab hai ?, ye bahut bada hai”.
Ess tarah Allah subhanahu ta’ala unhe apni nishaaniyo ka mushaahidaa karwa raha tha ya dikha raha tha, fir jab woh suraj bhi doob gayaa to kehne lage, “aye meri qoum bila subha mai tumhaare tamaam shariko se bezaar hoon, main to bas uss hi Rab ki ibadat karta hoon, jisne zameen aur aasmaan ko paidaa kiya aur jo saare jahaan ka Rab hai”.
Ek din Ibrahim (Alaihay Salam) ne apne walid se kahaa, “Abba jaan, aap aisi cheezo ki ibaadat kyon karte ho jo na sun sakti hai na dekh sakti hai aur na tumhaare kisi kaam aa sakti hai, abba jaan mere paas aisa ilm aaya hai jo aap ke paas nahi aaya, lihaaza aap mere piche chaliye main aap ko seerat-e-mustaqeem batlaawooga. abba jaan shaitan ki ibadat na kijiye woh to Allah Ta’ala ka naafarmaan hai. Mujhe darr hai ki Allah Ta’ala se aap ko saza milegi aur aap Shaitan ke saathi ban jaayege”.
Ess par unke walid ne kahaa, “main to tujhe hi gumraahi me paata hoon, kya ham apne itne saare mabudo (booto) ko chodkar, tere ek mabood (Rab) ki ibaadat kare? agar tune humaare maabudo ki touheen ya bura bhala kahena band na kiya to, main tujhe razim (dhutkarna ya sazza dena) kar doonga. ja nikal ja mere ghar se”.
Ibrahim (Alaihay Salam) ne Allah Ta’ala ki raah me apne ghar se nikalna bhi gawaara kar liya. lekin jaate-jaate apne walid se kahaa, “main apne Rab se tumhaari bakhshish ki duwaa karooga, mera Rab bahut bakhashne wala aur rahim hai”. itna kahekar Ibrahim (Alaihay Salam) apne walid ka ghar chodkar chale gaye.
Ibrahim (Alaihay Salam) apne walid ka ghar chodkar Allah Ta’ala ke deen ki tableeg ke liye apni qoum ke paas gaye. unhone apni qoum ko haq ki daawat di. aur unhe ek khuda “Wahdahu la sharika lahu” ki taraf bulaaya, lekin unki qoum apni jahiliyat pe adi rahi.
Ibrahim (Alaihay Salam) ne apni qoum se poocha, “ye tum kisi ki ibadat karte ho ?”, Woh kahene lage, “hum booto ki ibadat karte hai, aur unhi ke paas baithe hai."
Ibrahim (Alaihay Salam) ne kahaa, “jab tum inhe pukaarte ho to ye tumhaari pukaar ka jawaab dete hai. ya tumhe koi faayeda ya nuksan pahucha sakte hai”.
Unhone kahaa, “Humne apne baap-dada ko inki pooja karte huve dekha hai, isiliye ham bhi inki ibaadat karte hai”.
Ibrahim (Alaihay Salam) ne kahaa, “Tum aur tumhare baap-dada sab khuli gumraahi me ho. main tumse aur tumhare baap-dada se aur tum jis ki ibadat karte ho sab se bezaar hoon. ye sab tumhe jehnnum ki tarahf le jaayege. aur Allah Ta’ala ke siwaaye tumhe jehannum se bachane wala koi na milega. mera Rab saare jahaan ka malik hai, jis ne mujhe paidaa kiya, wo hi meri rahenumaayee karta hai, wo hi mujhe khilaata aur pilaata hai, aur jab main bemaar padhta hoon to wo hi mujhe shifaa deta hai, yahaa tak ki wo hi mujhe marega aur fir zinda karega, aur jis se main ummeed rakhta hoon ki qayaamat ke din woh meri khataye muaf karega.”
Unn kafiro ne kahaa. “agar tum hamaare maboodo ki touheen karoge aur inhe bura bhala kehna band na karoge to ye tumhe saza denge, aur tum par koi bhi musibat daal denge”.
Ibrahim (Alaihay Salam) ne kahaa, “ye tumhaare maabood bechaaare apne upar baithi makhkhi to bhagaa nahi sakte, yahan tak ki woh makhkhi agar inse koi saamaan chhin kar le jaaye to use wapas nahi la sakte, mera kya bigad lega. main to sirf apne Rab se darta hoon jis ke qabza-e-qudrat me meri jaan hai, aur jo mera khaaliq hai."
Ibrahim (Alaihay Salam) ki tableegh ka asar unki qaum par na huwaa, chand logo ko chodkar baaqi log imaan na laaye.
Ek din unki qaum shahi jashan mein shamil hone ke liye gayee. Ibrahim (Alaihay Salam) nahi gaye unhone kahaa, “meri tabiyat thodi na-saaj (kharaab) hai, isliye main jashan me nahi jawooga, tum log jaawo”.
Unki qoum ne unhe piche chhorr diya. Ibrahim (Alaihay Salam) chupke se unke boot khane (mandir) me jaa ghuse. aur ek thaali me khana lekar un booto se kaha, “lo khana khao”, Phir kahaa, “tum khaate kyon nahi, kya ho gaya hai tumhe, tum bolte kyon nahi ?”.
jab booto ki taraf se koi jawaab na aaya to Ibrahim (Alaihay Salam) ne ek kulhadi (axe) se us bootkhaane me jitne bhi boot rakhe the unko tod diya siwaaye ek bade boot ke, aur wo kulhadi (axe) ko us bade boot ke gale me daal diya aur wahaa se chale gaye. jab unki qoum ke kafir log jashan se waapas aaye to apne booto ka ye haal dekhkar bahut gusse (angry) me aa gaye. aur kehne lage, “hamaare booto ka ye haal kisne kiya, ham use sakht se sakht sazaa dege”.
Ess par unme se ek ne kahaa, “maine ibrahim ko apne booto ke baare me bhala-bura kehte suna hai. ho sakta hai usi ne hamaare booto ka ye haal kiya ho”.
Ibrahim (Alaihay Salam) ko wahan par laaya gaya, unki qoum ne unse poocha, “Humare booto ka ye haal tumne kiya ?” is par Ibrahim (Alaihay Salam) bole, “uss bade boot se kyon nahi poochte, shaayad usi ne baaqi booto ko toda hai, agar ye jawab dete ho toh in hi se pooch lo”. aise me unki qoum ke paas koi jawaab na tha. unki qoum ke logo ne kahaa, “ye hamare boot jawaab nahi dete”.
Ess par Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) ne kahaa, “fir tum in ki ibaadat (pooja) kyon karte ho?”. un ki qaum ke logo ne kahaa, “ye kaam tum ne hi kiya hai isiliye hum tumhe iski sazaa dege”. hum tumhare haath pair mukhalif simt se katwaa dege ya tumhe sooli par chadha dege”.
Aziz dosto ,…. jab Ibrahim (Alaihay Salam) ki qoum ne Ibrahim (Alaihay Salam) ko booto ki touheen karne ki jurm me qaid kiya aur unhe baadshah e waqt Namrood ki darbar me pesh kiya. baadshah Namrood jo ki khud ko khuda kahelwata tha. aur apne khuda hone ka dawa karta tha. uski saari awaam (public) use khuda ki tarha maanti thi. jab Ibrahim (Alaihay Salam) ko Namrood ke darbaar me pesh kiya gayaa to Ibrahim (Alaihay Salam) ki qaum ne Namrood se kahaa, “Ye shakhs humare ma’aboodo ko bura-bhala kehta hai aur hame kehta hai ki sirf ek ma'bud Allah Ta’ala ki ibadat karo”.
Namrood Ibrahim (Alaihay Salam) se mukhaatib huwaa aur kahaa, “tu kis ki ibadat karta hai?”.
Ibrahim (Alaihay Salam) ne kahaa, “Main uss Rab ki ibaadat karta hoon jo saare jahaan ka malik hai”.
Namrood ne kahaa, “tera Rab kya kar sakta hai?”.
Ibrahim (Alaihay Salam) ne kahaa, “Mera Rab zindagi deta hai aur woh hi mout deta hai !”. is par Namrood ne kahaa, “ye to main bhi kar sakta hoon”. uss waqt uske darbar me do (2) aadmi laaye gaye unme se ek begunaah tha aur ek muzrim jise maut ki sazaa huyee thi. Namrood ne jo begunaah tha use qatal karne ka huqm diya. use usi waqt qatal kar diya gayaa, aur jo muzrim tha jise mout ki sazaa huyee thi use aazaad kar diya. aur Ibrahim (Alaihay Salam) se kahaa, “dekha main jise chaahoo zindagi doo aur jise chaahoo mout doo”.
Ess par Ibrahim (Alaihay Salam) ne kahaa, “Mera Rab purab (east) se suraj (sun) ko nikalta hai aur paschim (west) me doobota hai, tu suraj (sun) ko paschim (west) se nikaal kar bataa”.
Ess tarhaa Ibrahim (Alaihay Salam) ne Namrood ko lajawaab kar diya. Allah Ta’ala zalimo ko hidaayat nahi deta. Namrood koi jawaab na de saka aur apne khudaayee daawe par banaa raha. aur Ibrahim (Alaihay Salam) se kahaa, “tu jiski ibaadat karta hai us se baaz aa ja, nahi to main tujhe maut ki sazaa dooga”.
Ibrahim (Alaihay Salam) ne kahaa, “mere Rab ne mujhe haq ki raah dikhayee hai, main agar use chorr doo to mujhe apne Rab ke azaab se koi nahi bachaa sakta, aur main bhi zaalimo me shumaar kiya jawooga, main raah-e-mustaqeem se hargiz na hatooga”.
Ess par Namrood ne unhe mout ki sazaa sunaayee aur unhe pahaadi ke upar se dhakka dekar niche giraane ki sazaa di. jab Ibrahim (Alaihay Salam) ko pahadi ke upar se dhakka diya gaya to Allah Ta’ala ne jibraayeel amin ko bheja, unhone Ibrahim (Alaihay Salam) ko sahi salaamat zameen tak pahoocha diya. aur iss tarhaa Ibrahim (Alaihay Salam) bacha liye gaye.
Namrood ke sipaahiyo ne fir unhe qaid kar ke Namrood ke saamne pesh kiya is baar unhe ek bada sa paththar baandhkar pahaadi se niche giraane ka huqum diya gaya. jab dubaara Ibrahim (Alaihay Salam) ko bada sa paththar baandh kar pahaadi se niche feka gaya to jibrayeel amin ne unhe dobara Allah Ta’ala ke huqm se bachakar sahi salaamat zameen par pahoocha diya.
Namrood ke sipaahiyo ne fir Ibrahim (Alaihay Salam) ko qaid kar Namrood ke darbaar me pesh kiya. Namrood ne kahaa, “ek bahut badi aag ka alaaw tayyar kiya jaaye aur jalti huyee aag me Ibrahim (Alaihay Salam) ko daal kar jalaa kar maar diya jaye”.
Ab aag ka alaaw tayyar kiya gayaa aur usme kayee dino tak aag ko dahekaaya gaya aur us jalti huyee aag me Ibrahim (Alaihay Salam) ko dala gaya. usi waqt Allah Ta’ala ki rahemat josh me aayee aur Allah Ta’ala ne aag ko huqm diya, “aye aag tu Ibrahim (Alaihay Salam) par salamati waali ho ja, thandi ho ja”.
Aur wo aag bhi Ibrahim (Alaihay Salam) ko jalaa na saki aur iss tarhaa Allah Ta’ala ne unhe aag se bacha liya. uss waqt wahaa par loot (Alaihay Salam) bhi maujood the, jab unhone ye mozza (karaamat) dekhi to fouran Ibrahim (Alaihay Salam) par imaan le aaye. Ibrahim (Alaihay Salam) aur loot (Alaihay Salam) Namrood se bachkar siriya (shaam) ki taraf chale gaye.
aziz dosto ,…. Namrood jo ki khud ke khuda hone ka dawaa karta tha, ek din woh so rahaa tha ki eik langdaa (lamb) machchar (mosquito) uski naak (nose) ke raaste se uske dimaag (mind) me ghus gayaa, uska natizaa ye huwa ki Namrood cheeq pe cheeq marne lagaa.
Jab huqumat ke haqeemo ko bataya gaya to unhone uska bahut ilaaj kiya lekin uska koi faayedaa nahi huwaa, aakhir me huqumato ke haqeemo ne use salaah di ke aapke sir par jooto se maara jaaye to ho sakta hai ki woh machar bahar nikal aaye aur aap ko aaram aa jaaye. ab Namrood ke darbar me jo bhi aata jo us adab se jhuk kar salaam aur sajdaa karte to Namrood kaheta pahele mere sir par joota maaro. uske darbar me jo bhi aata woh uske sir par joota maarta. is tarhaa khudai dawaa karne waala ek chote se machchar ki wajaah se zalil ho gayaa. aur cheeq marte-marte wo halaakaan ho gayaa, aur isi wajah se uski mout (death) ho gayi.
Arab ki Sunsaan Waadi aur Biwi Hazra (R.a)
Ibrahim (Alaihay Salam) ka bibi Hazra aur bete ismaayeel (Alaihay Salam) ko sunsaan waadi me tanha chor jaana.
Aziz dosto ,….. Ibrahim (Alaihay Salam) aur loot (Alaihay Salam) siriya (shaam) ki taraf chale gaye.uske baad loot (Alaihay Salam) ek qaum sadoom ki taraf bheje gaye. aur Allah Ta’ala ne do (2) frishto ko bheja jinhone Ibrahim (Alaihay Salam) ko aulaad ki khush khabri di, aur qoum loot (Alaihay Salam) ko azaab diya. aap log yahaa tak hiqayat (part 10) me padh chuke hai. ab aage.
Ibrahim (Alaihay Salam) ki do (2) biwiya thi jinme se paheli biwi Hazrat bibi saayera thi aur dusri biwi Hazrat bibi Hazra. Bibi Hazra, Ibrahim (Alaihay Salam) ki gulaam (bandi) thi. lekin Ibrahim (Alaihay Salam) ne unse nikah kiyaa tha. jaisa ki farishto ne Ibrahim (Alaihay Salam) ko aulad ki khush khabri di thi, to bibi saayera se ishaaq (Alaihay Salam) paida huve aur bibi Hazra se ismaayeel (Alaihay Salam) paida huve. ab kyonki bibi saayera paheli biwi thi, isiliye unhone Ibrahim (Alaihay Salam) par dabav dala ki, aap bibi Hazra ko chorr de.
Aur ye hi Allah subhanahu ta’ala ki razaa thi. isiliye Ibrahim (Alaihay Salam) ne bibi Hazra aur ismaayeel (Alaihay Salam) ko saath me liya, us waqt ismaaeel (Alaihay Salam) sheer khawar (doodh pite) bachche the. un maa-beto ko ek sunsaan waadi me le gaye, jahan aaj makkah shareef aabaad hai, uss waqt wo ek biyaban sehara tha, na koi aadam aur na koi aadam ki zaat. wahaa pahoonch kar Ibrahim (Alaihay Salam) ne unhe ek khajoor ke darakht (tree) ke niche bithaaya aur kuch khaane ka saamaan aur ek maskeeza paani ka diya. mashkeeza jaanwaro ke chamde se bani huyi ek taili (bag) hota hai. aur wahaa se akele jaane lage.
Bibi Hazra unke piche doudi ki, “Hume is sunsaan waadi me chorr kar kyun ja rahe ho ?” . Ibrahim (Alaihay Salam) ne koi jawaab na diya. Bibi Hazra ne fir poocha, “kya ye Allah Ta’ala ka huqm hai ?” Ibrahim (Alaihay Salam) ne sir hilakar khamoshi me ishare me jawab diya, “haan!”
Aur fir woh jis raaste se aaye the usi raste se wapas chale gaye aur jaate jaate apne kadmo ke nishan bhi mitaate chale gaye. unhe ye andesha tha kahee unke qadmo ke nishaan ka pichaa karte karte bibi saayera, bibi Hazra tak na pahoonch jaaye.
Ab bibi Hazra aur ismaayeel (Alaihay Salam) uss tapte huve ret (sand) ke sehra me tanhaa rah gaye. Bibi Hazra ke paas jo khaana aur paani tha wo sab khatam ho gayaa. paani na milne ki wajah se unki chaati ka doodh bhi suookh gayaa. aur jab bachche keliye bhi doodh na utra chaati se to bachcha bhi bhook ki wajaah se rone laga. to bibi Hazra ne bachche ko khazoor ke jhaad ki chaavo me lita diya aur saamne do (2) pahaadiya thi jise aaj safaa marwaah ke naam se jaana jaata hai. uss pahadi par chadh gayi ki dekhe shayad koi kaafila ya koi insaan dikh jaaye to kam se kam uss se paani to maang le ki jism me paani jaaye to bachche ke liye doodh bane. aur bacche ki bhook mite.
Jab woh ek pahaadi par chadti to bachcha aankho se oojhal ho jaata, bachche ki mohabbat me woh jaldi se niche utar aati. lekin bachche ko rota dekh jaldi se bhaag kar dusri pahaadi par chadh jaati, ki shaayad koi nazar aa jaaye aur kuch madad mil jaye. is tarhaa aap ne un dono pahaadi ke saat (7) chakkar lagaaye. kabhi pahadi chadti aur kabhi aulaad ki mohabbat me niche utar aati.
Allah Ta’ala ko Bibi Hazra ki ye apni aulad ke liye mushaqqat (mehnat) itni pasand aayee ki, Allah Ta’ala ne har musalmaan mard aur aurat par jo bhi makkah shareef me haj ya umraah ke liye aata hai unke liye safaa marwaah ki in dono pahaadiyo ke saat (7) chakkar lagana farz kar diya hai, aur ye bhi hajj aur umrah ke arkaano me shaamil hai.
Jab bibi Hazra un dono pahadiyo par doud kar chadti aur aulad ki mohabbat aur bekaraari me niche utar aati. idhar bachcha bhook se ro rahaa tha aur apni ediyaa zameen par ragad rahaa tha. usi waqt rahmat-e-khuda wandi josh me aayeee aur ismaayeel (Alaihay Salam) jahaa apni ediyaa ragad rahe the uss jagaah se paani ka chashma foot pada. jab bibi Hazra ne pani dekhaa to doud kar apne bachche ke paas pahoonchi aur uss paani ko jo bahe rahaa tha rokne ke liye uske charo taraf ret ki deewar (medh) bana di aur kahete jaati thi zam-zam (yaani ki ruk ja ya thaher ja) isi liye uss paani ka naam “Aab-e-zam-zam” padh gaya.
Yeh Allah Ta’ala ki rehmat thi jo usne apne bando par ki. ab bibi Hazra ne paani piya aur apni pyaas bujhaayee. aur apne bache ko bhi doodh pilaaya. dosto aap log samajh hi sakte ho ki ek biyaaban sunsaan registaan me pani ki kya keemat hoti hai. ab jaise jaise logo ko wahaa paani milne ki khabar huyee log uss jagah par aane lage aur bibi Hazra ki izaazat(permission) lekar uss paani ke chasme ke aas paas rahne lage, aur is tarhaa wahaa basti abaad hone lagi. aur jo tijaarati kaafile ek mulq se dusre mulq jate the wo bhi wahaa rukne lage. is tarah woh basti tijaarat ka markaz (business center) ban gayee.
Ibrahim (Alaihay Salam) waqt-waqt par apne biwi aur bachche se milne aate the. jab ismaaeel (Alaihay Salam) kuch samajhdaar huwe to Ibrahim (Alaihay Salam) ne ek khwab dekha ki jaise koi unse kahe rahaa ho apni sabse keemti aur maheboob cheez ki qurbaani karo. ye hi khawaab unhe teen baar dikhaayee diya. paigambaro ke khawaab ham aam insaano ki tarhaa nahi hote aur wo ek haqiqat hote hai. Ibrahim (Alaihay Salam) samajh gaye ki Allah subhanahu ta’ala unhe apni maheboob, jaan se pyaari cheez ki qurbani ke liye kahe rahe hai.
Ibrahim (Alaihay Salam) apne bete ismaaeel (Alaihay Salam) ko bahut jiyaada chaahte the, woh hi unhe sabse jiyaada maheboob the. Ibrahim (Alaihay Salam) ne ismaayeel (Alaihay Salam) se kahaa, “aye mere bete maine khwab dekha hai ki main apni sab se maheboob cheez ki qurbaani kar rahaa hoon, tumhaara is baare me kya khayaal hai?” ismaaeel (Alaihay Salam) ne kahaa, “agar ye Allah Ta’ala ka huqm hai to aap kar guzariye, insha Allah aap mujhe sabr karne walo me paayenge.
Ab Ibrahim (Alaihay Salam) ismaayeel (Alaihay Salam) ko lekar uss basti se door mina ki waadi me le gaye. wahaa Shaitan insaan ke bhes me aaya aur Ibrahim (Alaihay Salam) ko is amal se rokne ki koshish ki aur kahaa, “Tumne to bas ek khawaab hi dekha hai, kya tum uski wajah se apni aulad ki qurbani de doge!”.
Ibrahim (Alaihay Salam) samajh gaye ki ye Shaitan hai jo unhe unke is amal se rokna chahta hai. Ibrahim (Alaihay Salam) ne saat (7) kankariya (chote patthar) uthai aur shaitan ko maari. toh Shaitan gayab ho gayaa. fir dono baap-bete kuch door chale to shaitan phir haazir hua aur kahaa, “tumse apni koi maheboob cheez ki qurbaani ke liye kaha gaya hai to apni aulad ko chod kar kisi aur cheez ki qurbani kar do!”.
Ibrahim (Alaihay Salam) fir saat (7) kankariya (chote patthar) uthaayee aur shaitan ko maari woh fir gayab ho gayaa. ab fir dono baap-bete kuch aur aage badhe to shaitan phir haazir huwaa aur Ibrahim (Alaihay Salam) ko fir rokne ki koshish ki, is baar bhi Ibrahim (Alaihay Salam) ne saat (7) kankariya uthakar Shaitan ko maari to Shaitan fir gayab ho gaya. is tarah Shaitan ne Ibrahim (Alaihay Salam) ko teen baar roka aur teeno hi baar Ibrahim (Alaihay Salam) ne use saat-saat kankariya maari.
Allah Ta’ala ko Ibrahim (Alaihay Salam) ki ye sunnat (tarika) itna pasand aaya ki, Allah Ta’ala ne har musalman mard aur aurat par ye farz kar diya ki jo bhi log haj kare, woh log Ibrahim (Alaihay Salam) ki is sunnat ko zaroor adaa kare. aur ye bhi haj ke arkaano me se ek arkan hai. aur jis jis jagah par Shaitan hazir huwaa tha uss jagah par aaj bhi cement ka pillar (khambaa) (ya zamrooq) maujood hai, aur jo bhi haji hajj karne jate hai, woh wahaa par uss Shaitan ko saat-saat kankariya zaroor maarte hai. kyon ki is amal ke bina qurbaani nahi hoti aur haj bhi qabool nahi hota.
Aziz dosto! Ibrahim (Alaihay Salam) ko Shaitan iblees ne apni aulaad ki qurbaani dene se teen baar rokna chaaha aur teeno baar Ibrahim (Alaihay Salam) ne us mardood ko saat-saat kankariya maari, aur Shaitan mayoos ho kar gayab ho gaya. ab dono baap-bete aage badhe, ek maqam par pahoonch kar ismaayeel (Alaihay Salam) ne kahaa, “Abba jaan Aap mere haath pair bandh dijiye aur mere aankho par patti bhi baandh dijiye taaki jab aap mere gale par churi chalaaye to main aap ko na dekh sakoo”.
Ibrahim (Alaihay Salam) ne aisa hi kiya apne bete ke haath pair baandhe aur aankho par patti baandhi aur apne lakhte jigar ko peshaani ke bal leta diya aur apni aankho par bhi patti baandh li, ke kahee aisa na ho ki jab apne lakhte jigar ke gale par churi chalao aur bete ka chehraa aankho ke samne ho to ek baap ki mohabbat Allah Ta’ala ka hukm ke aage rukawat na ban jaye.
Aaj tak sari kayenaat me Ibrahim (Alaihay Salam) aur ismaayeel (Alaihay Salam) ki aisi bemisaal qurbaani ki misaal nahi milti, waise to kayee misaale hai ki baap ne apni aulad ko Allah Ta’ala ki raah me ya jihaad me qurbaan kiya, lekin yahaa maamla hi alag hai ek baap apne dil ke tukde ko khud apne haatho se sirf aur sirf apne Rab ki raza ke liye qurban kar rahaa hai, aur qurban jawoo ismaayeel (Alaihay Salam) par jo ki apne Rab ki raza ke liye apne hi baap ke hatho qurbaan hone ke liye tayyar hai.
Aaj kal ki aulaad apne maa-baap ki kitni nafarmaan, choti-choti baato par bhi apne maa-baap ko bura-bhala kehne se baaz nahi aati. Allah Ta’ala hum sab ko apne walidain ka farmabardar banaaye, ameen !
Kyonki Allah Ta’ala ne quran me jis jagaah apni ibaadat ki baat kahee hai uske baad waaldain ki farmabardaari , adab aur ehtram ki baat bhi kahi hai. yahaa tak kahaa hai ki apne waaldain ko uff tak na kaho.
Ibrahim (Alaihay Salam) ko khalil-ul-llah ka khitab ata kiya gaya. Ab Ibrahim (Alaihay Salam) ne jaise hi apne lakhte jigar ke gardan par churi rakhi aur bismilaahe allah-u-akbar keh kar churi (knife) chalaayee, usi waqt Allah Ta’ala ke huqm se jibraeel (Alaihay Salam) jannat se ek mendha (bhed, sheep) lekar aaye aur ismaaeel (Alaihay Salam) ko hata kar unki jagaah uss mendhe (sheep) ko litaa diya, aur is tarah ismaaeel (Alaihay Salam) ki jagah uss mendhe ki qurbaani ho gayee.
Jab Ibrahim (Alaihay Salam) ne apne aankho se patti hatayee to kya dekhte hai ki ismaaeel (Alaihay Salam) door khade ho kar muskura rahe hai aur unki jagah mendha (dumbaa) ki qurbani ho gayee hai. usi waqt Allah Ta’ala ne gaib se puakaara aur kahaa, “Ibrahim (Alaihay Salam) tum ne apne khwab ko such kar dikhaya, main tumhari qurbani se raazi huwaa aur aaj se tum mere khaleel (dost) ho”. aur is tarah Allah Ta’ala ne Ibrahim (Alaihay Salam) ko khalil-ul-llah aur ismaayeel (Alaihay Salam) ko zabi-ul-laah ka khitaab (laqab) diya.
Dosto ye bahut bada eajaaz (izzat afzaayee) hai jo Ibrahim (Alaihay Salam) ko mila. Allah Ta’ala ne Ibrahim (Alaihay Salam) ko tamaam insaniyat ka imam banaya. yahood, easaayee. makkah ke kafir aur musalman sab inhe apna imam tasleem karte hai. ye maqam inhe aise hi nahi mil gaya balki aap ki puri zindagi hosh sambhale se lekar marte dam tak qurbani se hi bharpur hai.
Duniya me insaan jin cheezo se mohabbat karta hai, in me se koi bhi cheez aisi nahi thi jise Ibrahim (Alaihay Salam) ne Allah Ta’ala ki raah me qurbaan na kiya ho. jaise waldain, watan aur ghar baar chhorrna, baadshah Namrood ko haq ki daawat dena aur iske nateeze me aag me koodna, biwi Hazra aur doodh pite bachche ko Allah Ta’ala ke huqm ke mutaabiq sunsaan biyaabaan registaan me chorrna, aur budhaape ki umar me apne noujawaan bete ismaayeel (Alaihay Salam) ko Allah Ta’ala ki raah mein qurbani karne par amli tour par aamaada hona, aur apne waqt ki har taghooti ya Shaitani taqato se muqaabla karna chaahe wo badshah ho ya unki apni kaafir qoum.
Bhaiyon aur behno ,…. Allah Ta’ala ne Ibrahim (Alaihay Salam) ki qurbaani qabool ki aur unhe apna khalil (dost) banaya. Allah Ta’ala ko Ibrahim (Alaihay Salam) ki ye adaa (tarika ya sunnat) itni pasand aayee ke Allah Ta’ala ne unke is amal ko tamam ummat-e-mohammedi par farz qarar diya. lekin mera Rab bada reham karne wala hai aur apne bando se bepanah mohabbat karne wala hai.
Isliye ye amal sirf un par farz kiya gayaa jo saahibe istita’at ho ya iski quwat rakhta ho. aur iss din ko hum musalman eid-ul-azha ya badi eid ya bakra eid ya qurbani eid ki shakal me manate hai. darasal ham Ibrahim (Alaihay Salam) ki sunnat hi adaa karte hai.
Ab Allah Ta’ala ne Ibrahim (Alaihay Salam) ko khana-e-kaba ki tameer karne ka huqum diya . riwaayato me hai ki khana kaabaa das (10) baar tameer kiya (banaya) gaya. 1) sabse pahle ise farishton ne tameer kiya. 2) dusri baar aadam (Alaihay Salam) ne tameer kiya. 3) teesri baar shees (Alaihay Salam) jo ki aadam (Alaihay Salam) ke bete the, unhone taameer kiya. 4) chouthi baar Ibrahim (Alaihay Salam) ne. 5) paanchvi baar qaum aamalqah ne. 6) chatvi baar qabeela jarham ne. 7) saatvi baar qasa bin kalaab (jo ki aap Hazrat mohammed ﷺ ke aaba-o-ajdaad (purkhe ya purvaz the). 8) aathvi baar Kabeela Quraish ne Aap Mohammed ﷺ ki hayaate tayeyaba me aap ke naboowat ke ailaan ke pahle. 9) navvi baar abdullah ibn zubair (apni dour-e-khilafat me). aur 10) dasvi baar hajjaj ibn yusuf ne.
Ibrahim (Alaihay Salam) aur unke baad ki taameeer taarikh (itihaas, history) me mahefooz hai. lekin Ibrahim (Alaihay Salam) se pahle ki tameer ki koi dalil ya record maujood nahi hai. nooh (Alaihay Salam) ke zamaane me jo toofan ya sailaab aaya tha, uss se khaana-e-kaabaa ko bhi nuksaan pahooncha tha. gaalban ye us toofan ke baad Ibrahim (Alaihay Salam) ke haatho paheli baar taameer thi. kyonki Allah Ta’ala quran majeed me farmata hai ki, “Jab Ibrahim (Alaihay Salam) khana-e-kaaba ki neev (foundation, buniyaad) utha rahe the aur apne Rab se duwaa kar rahe the.”
Ess ka matlab ye hi hai ki khaana-e-kaabaa ki neev (foundation) wahaa pehle hi se hi maujood thi. riwaayato me hai ki ek patthar jannat se aaya tha jis par khade ho kar Ibrahim (Alaihay Salam) ne ismaaeel (Alaihay Salam) ke saath khaana-e-kaaba ki taameer ki, us pathar ki khasiyat ye thi ki wo Ibrahim (Alaihay Salam) ki zarurat ke hisab se khud chota ya bada ho jaata tha, yahaa tak ki uss paththar ko huqm dene ki zaroorat bhi nahi padhti thi.
Ibrahim (Alaihay Salam) aur ismaayeel (Alaihay Salam) Bait-ul-Allah (khaana kaaba) ki buniyaade uthaa rahe the aur saath hi ye dua kar rahe the, “Aye hamare Rab hamaari is khidmat ko qabool farma, beshaq tu hi sab ki sunne wala aur sab kuch janne wala hai. Aye humaare Rab ham dono ko apna farmaabardaar bana, aur hamari aulad me se apni ek muslim jamaat bana, Hume apni ibaadat ke tarike bataa aur hamaari toubaa qabool farmaa, beshaq tu bada toubaa qabool karne wala aur nihaayat rahem karne wala hai. aye hamare Rab inme woh aakhiri rasool bhi bhej, jo inhi me se ho, woh in par teri aayat ki tilawat kare, inhe kitaab aur hiqmat ki ta’alim de, aur inko pakeezah banaye, beshak tu galeeb aur hikmat wala hai”.
Aziz dosto! Aap Rehmat e-do-Aalam janaab Muhammed Mustafa (ﷺ) ne farmaaya ki, “Main Ibrahim (Alaihay Salam) ki duwaa hoon”. aur Allah Ta’ala ne Ibrahim (Alaihay Salam) ki ye duwaa qabool farmaayee aur aulaad ismaayeel (Alaihay Salam) se nabi aakhir-uz-zamaa mabwoos (paida) huye.
Bete Hazrat ismaayeel (Alaihay Salam) ki pehli bivi ke na-shukri par waalid Ibrahim (Alaihay Salam) ne ghar ki chokhat badalne ka (yaani pehli na-shukr bivi ko talaaq dene ka) hukm diya.
Aziz dosto …… Ibrahim (Alaihay Salam) ne khana-e-kaaba ki tameer ka waqt ye dua ki ke meri aulaad me aakhiri nabi ko mabwoos (paida kar ya bhej).
Aur Humaare Pyaare Aaqa Mohammed (ﷺ) ki ye hadees, “Main Ibrahim (Alaihay Salam) ki duwaa hoon”.
Dosto gour karne wali baat hai ki Ibrahim (Alaihay Salam) ka zamana humaare pyaare aaqa ke zamaane se kayee hazaaro saal pahele ka, aur Allah Ta’ala ne sabhi nabiyo, rasoolo, aur ambiya (Alaihay Salam) se ye pukhta ahad liya tha ki, “agar tum log aakhiri nabi mohammed (ﷺ) ka zamaana paavo to unki pairvi aur unki ittibaa karna aur unki shariyat par imaan laana”.
Har Nabi aur Rasool ki ye dili khawaahish thi ke woh aap Rehmate do Aalam Sardar-e-Ambiya ka zamaana paaye. lekin sabhi ambiyavo ki dili khawaahish yeh hasrat puri na huyee siwaaye Hazrat isa (Alaihay Salam) ke, kyon ki jab qayamat ke kareeb Hazrat isa (Alaihay Salam) dubaara aasmaani duniya se is zameen par tashreef laayege to hamaare pyaare aaqa Hazrat mohammed mustafa (ﷺ) ke ummati ban kar hi aayenge.
Hamare pyare Aaqa Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka martaba aur azmat itna buland hai ki aadam (Alaihay Salam) ne aap ke waseele se dua ki, yahan tak ki aap (ﷺ) ka ziqr touurat, injeel aur hinduvo ke mazhabi kitabon me hai. aur yahoodi aur eesaayee bhi aap (ﷺ) ki aamad ki raah dekh rahe the.
Aur yahaa tak ki aap (ﷺ) ki aamad se pahele yahoodi aap (ﷺ) ka waseela lekar jung (ladhaayee) karte aur kamyab bhi hote. dosto ye iss baat ki daleel hai ki hamare aaqa mohammed mustafa (ﷺ) aadam (Alaihay Salam) se pahele bhi moujood they aur aaj bhi maujood hai.
Jab Ibrahim (Alaihay Salam) ne baitullah ki tameer kar li to unke dil me khayaal aaya ki kahee kisi cheez ki kami to nahi reh gayee. isiliye unhone ek kone (corner) se (tawaaf) chakkar lagaya aur baitullah ke charo taraf ghoom kar waapas usi kone par pahoonche. lekin unka dil mutmayeen na huwa, fir dusra chakkar lagaya fir usi kone par waapas pahoonche, fir bhi unko dili tasalli na huyee fir teesra chakkar lagaaya, isi tarha Ibrahim (Alaihay Salam) ne saat (7) chakkar khana-e-kaaba ke lagaye. unki ye adaa Allah Ta’ala ko itni pasand aaye ke tamam ummate musalmaa ko jo bhi Allah Ta’ala ke ghar ki jiyaarat ke liye aaye chaahe wo hajj karne aaye ya umrah karne, uske liye apne ghar (baitullah) ka tawaaf karna farz kar diya.
Aziz dosto ,.. Riwaayato me hai ki jab khanaa-e-kaaba ban kar tayyar ho gaya toh Allah Ta’ala ne Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) ko huqm diya ki, “Aye Ibrahim ! logo ko mere ghar ka tawaaf aur jiyaarat (Hajj aur Umrah) kar ne ke liye daawat do ya logo ko mere ghar ka tawaf aur jiyaarat ke liye pukaaro”. iss par Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) ne arz kiya, “aye mere Rab ! yahan par toh koi nahi hai, na aadam hai na aadam ki jaat, meri pukaar (daawat) kaun sunega ?”.
Allah Ta’ala ne irshaad farmaaya, “Aye Ibrahim ! logo ko pukarna (daawat dena) tumhara kaam hai, aur use logo tak pahuchana mera kaam hai. to bas tum pukaaro”.
Riwaayat me hai ki uss waqt jitni bhi roohe Aalam-e-arwaah me thi jo ki qayaamat tak paida hone wali thi, un me se jis jis ne bhi Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) ki pukaar (daawat) par labbaik (yani ki hazir hai) kahaa un hi rooho ya un hi logo ko hajj aur umraah ki sa’adat naseeb hoti hai.
Allah Ta’ala ne baitullah ko logo ke liye sawaab aur aman ki jagaah qaraar diya, aur huqm diya ki maqaam-e-Ibrahim (Alaihay Salam) ko salaat (namaz ya ibadat) ki jagah banaavo, aur Ibrahim (Alaihay Salam) aur ismaayeel (Alaihay Salam) ko huqm diya ki, “tum mere ghar (baitullah) ka tawaf karne walo, aitkaaf, ruku aur sajda karne walo ke liye saaf suthra rakho”.
Ibrahim (Alaihay Salam) ne Allah Ta’ala se duwaa ki, “aye mere rab, is shahar ko aman ka shaher banaa de, aur is ke rahne walo me jo koi Allah Ta’ala par aur aakhirat par imaan laaye unhe falo (fruits) ka rizq ataa kar”.
Allah Ta’ala ne farmaya, “Mera wada kaafiron ke liye nahi hai, jo kufr karega use thoda fayeda doonga, fir jahannum ke azaab me daal dooga, aur ye bahut bura thikaana hai.”
Aur is tarhaa Allah Ta’ala ne Ibrahim (Alaihay Salam) ko aazmaaya bhi aur un par rahem bhi kiya unhe apna khalil banaaya aur unki aulaado me se paigambar, nabi aur rasool banaaye.
Ek baar Ibrahim (Alaihay Salam) ne Allah Ta’ala se sawal kiya, “aye mere Rab tu mout ke baad zinda kis tarha karega ?”.
Allah Ta’ala ne farmaya ki, “kya tujhe yaqeen nahi hai? ”.
Ibrahim (Alaihay Salam) ne kahaa, “mere Rab mujhe pura yaqeen hai bas mai dil ki tasalli ke liye dekhna chahta hoon”.
Allah Ta’ala ne farmaya, “Chaar (4) parinde (birds) le aur unhe apne saath hilaa le (paaltu bana le) aur un charo ko jibaah karke unka ghost (meat) aapas me milaa le aur unko pahad ki choti par rakh kar awaaz de. woh doude (bhagte) chale aayenge.”
Ibrahim (Alaihay Salam) ne aisa hi kiya aur woh parinde unki aawaaz par zinda ho kar doudte huye unke paas chale aaye.
Aziz dosto ,.. Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) jyadatar apni paheli biwi, bibi saayera aur apne bete Hazrat ishaq (Alaihay Salam) ke saath shaam (siria) me hi rahte the aur kabhi-kabhi apni dusri biwi, bibi hazraa aur apne bete Hazrat ismaayeel (Alaihay Salam) se milne makkah shareef aaya karte the.
Ek baar Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) kaafi arshe (bahut dino) ke baad apne gharwalo se milne makkah shareef aaye aur is beech Hazrat ismayeel (Alaihay Salam) ka nikaah (shaadi), makkah me hi rahne wali ek khatoon (aurat) se ho gayee. Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) jab ghar par ja kar dastak di to un ki bahoo se mulaaqat huyee. unki bahoo ne unhe pahechana nahi ke ye mere sasur (father in law) hai. kyon ki woh unhe paheli baar dekh rahi thi.
Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Hazrat ismayeel (Alaihay Salam) ke baare me pucha toh unki bahu ne jawab diya ki, “woh ghar par nahi hai, jungle gaye huye hai kisi kaam se”.
Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) ne poocha, “Aap log khair khairiyat se to ho? aur aap logo ka guzar-basar to achi tarhaa se ho raha hai?”
Ess par unki bahu ne shikwa aur shikayat bhare laheze me kahaa, “Hum logo ke ghar me bahut tangi hai, aur guzaara bhi badi mushkil se hota hai."
Apni bahoo ke muhh se ye baate sun kar Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) ne kahaa, “abhi to main wapas ja raha hoon. aur jab bhi ismayeel (Alaihay Salam) aaye toh unse kehana ki, “Aap ke Waalid (father) aaye the aur aap ke liye ek paigaam (message) de gaye hai ki, tumhaare ghar ki chaukhat (door frame) achchi nahi hai, ise badal dalo!”.
Jab Hazrat ismayeel (Alaihay Salam) jungle se waapas aaye to unki biwi (wife) ne unhe unke waalid (father) ka paigaam (message) suna diya, aur fir khud hi kahaa ki, “aap ke waalid ne ghar ki chaukhat (door frame) badalne ke liye kyun kahaa?, hamaare ghar ki chaukhat to achchi hai”.
Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) jo ki apne waalid ka paigaam ka matlab samajh gaye the, apni biwi se kaha ki, “Mere waalid ne tumhe badalne (talaq dene) ke liye kaha hai, ghar ki chaukhat se muraad tum ho”.
Aur Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) ne apni paheli biwi ko talaak de diya. aur kuch arshe ke baad duri khatoon (aurat) se nikaah (shaadi) kar liya. fir kuch arshe ke baad dubaara Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam), apne bete Hazrat ismayeel (Alaihay Salam) se milne makkah shareef aaye. is baar bhi jab ghar ke darwaaze par dastak di toh, unki dusri bahoo se mulaaqat huyee.
Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) ne un se Hazrat ismayeel (Alaihay Salam) ke baare me poocha. woh dusri bahoo bhi Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) ko nahi pahechaanti thi, kyon ki woh bhi unhe paheli baar dekh rahi thi, uss ne jawaab diya ki Hazrat ismayeel (Alaihay Salam) to kuch kaam se jungle gaye huye hai.
Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) ne apni bahoo se poocha, “Aap log khair khairiyat se to ho? aur aap logo ka guzar-basar achchi tarhaa se to ho rahaa hai ?”.
Ess par dusri bahoo ne jawaab diya, “Alham-du-lillah. Allah Ta’ala ka shukr aur ahesaan hai”.
Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) ne jab apni bahoo ke muhh se ye baate suni to kahaa, “abhi to main wapas ja raha hoon, jab bhi ismaaeel (Alaihay Salam) ghar wapas aaye to unse kehna ki, “aap ke waalid (father) aaye the aur aap ke liye ek paigaam (message) de gaye hai ki, “Aap ke ghar ki chaukhat (door frame) achchi hai, ise sambhal kar hifazat se rakhna.”
Jab Hazrat ismayeel (Alaihay Salam) jungle se waapas aaye to unki dusri biwi ne unhe unke waalid ka paigaam suna diya. apne waalid ka paigaam sunkar Hazrat ismayeel (Alaihay Salam) ne apni dusri biwi se kahaa, “mere waalid tum se khush the, aur tumhe izzat, ehtaraam aur mohabbat se rakhne ke liye kahaa hai”.
Aziz dosto, hume har haal me khuda ka shukar ada karna chahiye. us ke nemato ki na-shukri nahi karna chahiye. Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) ki paheli bahoo ne Allah Ta’ala ki na-shukri ki thi, isi liye aap ne apne bete ko use talaq dene ke liye kaha tha. jab ki dusri bahoo ne Allah Ta’ala ka shukar adaa kiya to aap ne apne bete ko uss se pyar mohabbat aur ehtram se pesh aane ke liye kahaa.
Dosto na shukri kar ne wale ko Allah Ta’ala pasand nahi farmaata, isiliye apne Rab ke shukr guzaar bande bano, aur uss ki neymato ka har waqt shukriya ada karte raho, jis se tumhari rozi roti, kaam-dhande, aulaad aur maal-o-zaar me barqat rahegi. Allah Ta’ala ham sab ko apna shukr guzaar banda banaaye. Aameen ya Rabbul alameen.
"In sha Allah! The rest of the hiqayat are coming very soon."