Hadiya – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Tue, 09 Jan 2024 12:03:13 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Hadiya – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 पडोसी के हुकूक क़ुरानो हदीस की रौशनी में | Padosiyon ke Huqooq https://ummat-e-nabi.com/padosiyon-ke-bhi-haq-me/ https://ummat-e-nabi.com/padosiyon-ke-bhi-haq-me/#respond Tue, 09 Jan 2024 12:03:08 +0000 https://ummat-e-nabi.com/padosiyon-ke-bhi-haq-me/ Padosiyon ke Huquq Qurano Hadees ki Roshni meपडोसी के हुकूक ✦ क़ुरान: और अच्छा व्यवहार करते रहो निकटतम और दूर के पड़ोसियों के साथ भी। जिसका पडोसी भूखा वो मोमिन नहीं ✦ नबी-ऐ-करीम (सलल्लाहु अलैहि वसल्लम) ने […]

The post पडोसी के हुकूक क़ुरानो हदीस की रौशनी में | Padosiyon ke Huqooq appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

पडोसी के हुकूक

✦ क़ुरान: और अच्छा व्यवहार करते रहो निकटतम और दूर के पड़ोसियों के साथ भी। 1


जिसका पडोसी भूखा वो मोमिन नहीं

✦ नबी-ऐ-करीम (सलल्लाहु अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया : “वोह शख्स मोमिन नहीं जो पेट भर कर खाए और उसका पड़ोसी भूखा रह जाए।” 2


पडोसी को तकलीफ न पोहचाये

✦ अल्लाह के रसूल (ﷺ) ने फ़रमाया : “जो कोई अल्लाह और आख़िरत के दिन पर इमांन रखता है वो अपने पडोसी को तकलीफ ना पहुंचाए।” 3


पडोसी को तकलीफ देने वाला मोमिन नहीं

✦ अल्लाह के रसूल (ﷺ) ने ३ बार अल्लाह की कसम खाते हुए फ़रमाया के “अल्लाह की क़सम वो शख्स मुसलमान नहीं जिसका पडोसी उसकी इजाओं से महफूज़ नहीं।” 4

✦ रसूल अल्लाह (ﷺ) ने फ़रमाया, वो शख्स जन्नत में नहीं जायेगा जिसका पडोसी उसके मक्कार ओ फसाद (ज़ुल्मो सितम) से महफूज़ न हो5


कौनसे पडोसी का हक़ सबसे ज्यादा है ?

✦ उम्महातुल मोमिनीन आयेशा (र.अ.) से रिवायत है की मैंने पूछा ‘या रसूलल्लाह (ﷺ) ! मेरे दो पडोसी है, उनमे से किसके पास मैं हदिया (तोहफा) भेजू?’ तो आप (ﷺ)  ने फ़रमाया: “जिसका दरवाजा तुझसे ज्यादा करीब हो।” 6


पडोसी अच्छे सुलूक पर जन्नत वाजिब

✦ रसूल अल्लाह (ﷺ) फरमाते है के: “जो शख्स इस लिए हलाल कमाई करता है के मांगने से बचे, अहलो अयाल के लिए कुछ हासिल करे और पडोसी के साथ हुस्ने सुलूक करे तो वो क़यामत में इस तरह आएगा के इसका चेहरा चौंधवी के चाँद की तरह चमकता होगा।” 7

  1. सूरह अन निसा 4:36 ↩︎
  2. शोएब उल इमान, हदीस 5660 ↩︎
  3. बुखारी, हदीस 6018 ↩︎
  4. बुखारी, मुस्लिम ↩︎
  5. सहीह मुस्लिम, हदीस 79 ↩︎
  6. सहीह बुखारी 2259 ↩︎
  7. शोएब उल इमांन 10375 ↩︎

और भी देखे :

The post पडोसी के हुकूक क़ुरानो हदीस की रौशनी में | Padosiyon ke Huqooq appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/padosiyon-ke-bhi-haq-me/feed/ 0 16475
Surah Buruj ka ibratnak Wakia | Ashabul Ukhdud | People of the Ditch https://ummat-e-nabi.com/ashabul-ukhdud/ https://ummat-e-nabi.com/ashabul-ukhdud/#respond Thu, 28 Sep 2023 00:39:53 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ashabul-ukhdud/ Surah Buruj ka ibratnak WakiaAshabul Ukhdud (People of the Ditch) Maar Diye Gaye Gaddhe Wale Log | Sabr aur Aazmaish ka Ibratnaak Waqiya “Sabr aur Aazmaish ka ek waqiya jo Bacche, Bhudey, Aurate, Tijaratdaar […]

The post Surah Buruj ka ibratnak Wakia | Ashabul Ukhdud | People of the Ditch appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Ashabul Ukhdud (People of the Ditch)

Maar Diye Gaye Gaddhe Wale Log | Sabr aur Aazmaish ka Ibratnaak Waqiya

“Sabr aur Aazmaish ka ek waqiya jo Bacche, Bhudey, Aurate, Tijaratdaar sabke liye ibrat hai iss waqiye me, yah waqiya bohot bada hai, muslim sharif ki riwayat hai taweel hai, hum in’sha’allah iss waqiye ko ikhtesar se bayan karne ki koshish kar rahe hai.”

Ukhdood ka Waqiya kya hai?

RasoolAllah (ﷺ) farmate hai aur Iss Waqiye ko Allah Rabbul Izzat ne Quraan me Surah-Tul-Buruj (85) ke Ibtedayi Ayato me Bayan kiya hai; “Ashabe Ukhdood” Ka Waqiya.

“Qkhutubil Ashabi Ukhdood”

(Maar Diye Gaye Gaddhe Wale Log)

📕 Surah 85 Al Buruj

Sahaab-e-Kiram ne RasoolAllah se Pucha ke Ukhdood ka Waqiya kya hai? yeh gaddhe wale log koun they?

Aap (ﷺ) ne farmaya: “Tum se pehle Bani-Israyil me ek Qoum thi. Uss Basti me ek Baadshah tha. aur Uss Baadshah ke paas ek Jaadugar tha.

Wo Jaadugar jaise Jaise Zaif (Budha) hone laga waise usne Baadshah se kaha, ke “Aye Badshah ! Mai Ab Budha Ho Chuka Hu aur Mai Anakrib Marr Jaunga. Lihaza Tum Apni Basti se Ek Noujawan Baccha Mukarrar Karo Jisey Mai apna Jaadu Wirasat me Usey sikha du Taaki Mere Baad Wo Aapki Madad Karta Rahe.”

Badshah ne Apni Qoum se ek Baccha chun liya.

Bacche ka Raahib se Ilm sikhna :

Ab wo baccha jab jaadu ka ilm sikhne apni basti se mehal ki taraf jata tab usey raste me ek deendar raahib (tauhid parast) se mulaqat hui. Jo ki badshah ke zulm ke wajah se basti me nahi rehta tha. Kyunki woh badshah (nauzubillah) khudko rab kehlata tha.

Wo raahib uss bacche ko deen ki baate batata khamoshi me. Wo baccha wo baate sikhkar mehal jata, jaadugar se jaadu ka ilm sikhta. Aur wapas ghar jata.

Yunhi har roz hota raha.. Ab baccha jo jo uss raahib ke paas baithkar ilm sikhne laga tou usey der honey lagi. Aur jab wo der se mehal pohochta tou usey jaadugar saza deta aur puchta ke tu der se kyun aaya?

Usney yeh baat Raahib se kahi – “Aye Raahib jab mai tumhare paas baithta hu tau jaadugar ke paas pohchne me deri hoti hai isiliye jaadugar marta hai aur jab ghar der se jata hu tou gharwale marte hai. Mai kya karu ?”

Uss Raahib ne kaha “Dekho jab tum jaadugar ke paas jao tou kaho gharwalo ne der se chorra taaki tum sharayi ilm sikho mujhse, aur jab ghar der se pohcho tou unhe kaho jaadugar ne der kardi. aur mujhse tum ilm sikhte rehna. Wo naujawan bacha jaheen tha dono se ilm sikhta raha.”

Ek martaba hua yun ke jab wo apne basti se nikalke ghar jane laga tou raste me ek badaa sa jaanwar tha jisne basti ka rasta roke rakha aur udhar ke log udhar janib aur idhar ke log idhar janib khade they.

Iss Bacche ne Niyat ki aur aage badha, Jab Jaanwar ko dekho tou Uss bacche ne ek patthar uthaya aur niyat ki – “Aye Allah! Agar Wo Jaadugar Haq per hai tou jab mai yeh Patthar maaru Iss Jaanwar ko tou yeh Janwar na marey. aur agar wo Raahib haq par hai jo Mujhe deen ka Ilm sikhata hai tou jab yeh Patthar mai iss Jaanwar ko maaru tou yeh Raste se hatt Jaye, marr jaye.”

Iss niyat se usne patthar mara aur wo jaanwar marr gaya. Aur raste se hataa diya gaya. Bacche ka charcha charo taraf ho gaya.

Jab yeh baat bacche ne uss raahib ko sunayi tou raahib ne kaha – “Ab tum kaamil ho chuke ho emaan ke aitbar se. Tumne mujhse deen ka ilm sikh liya. Ab tumhare paas ilm aa gaya hai ab ek baat jarur yaad rakhna. (kyunki wo deendar tha usey ilm tha) uss raahib ne kaha mera naam kisiko mat batana ke maine tumhe yeh ilm sikhaya hai. (kyunki usey pata tha ab musibat shuru, aazmaiyish shuru).

Ab huaa yun ke Allah Rabbul izzat ne uski duaao me tasir de di. Koi shakhs uske paas aata tou baccha kehta ke Allah par emaan lao, aur phir uske haq me dua karta, Allah uski dua ko qubool farmata aur wo bimaaro ko shifaa dene laga Allah ke hukm se. Jo bhi aata usey kehta emaan lao Allah par aur wo dua karta aur wo shafaa yaab (kamiyab) hotey.

Bacche ki Dawat par Baadshah ke Wazeer ka Iman laana :

Ek martaba yun hua ke ek Wazeer tha jo uss Badshah ke mahal me tha wo Nabina (Andha/Blind) tha, kisine kaha ke jao uss bache ke paas wo bohot maahir ho chuka hai. (logon ko laga usney jaadugar se yeh llm sikha.) wo jiske liye dua karta hai uski dua qabool hoti hai, tum Nabina(blind) ho uss se jakar nazar (vision) mango. Wo shakhs wazeer bohot sarey tohfo(gifts) ke sath uss bacche ke paas pohoch gaya aur uss bacche se binayi(aankho) ki fariyad karne laga.

Uss bacche ne kaha “Binayi mai nahi deta, woh tou Allah deta hai shaffa.”

Wazeer ne kaha “Yeh Allah koun hai ?”

Bacche ne kaha ke “Allah mera aur tumhara Rab hai lihaza tum uspar pahle emaan lao phir mai dua karunga.”

Wo shakhs wazeer emaan laya. Bacche ne uske haq me dua ki, wazeer ko aankhe aa gayi.

Bacche ke Iman ki Khabar Baadshah ko pata chali :

Ab Wazeer ki aankho ki binayi ka wakiya jab Badshah ko maloom hua tou usne uss noujawan bache ko hirasat me le liya aur uss bacche se pucha ke “Tum mujhse bhi hatkar kisi aur ko Rab mante ho ?”

Bacche ne kaha ke “Haa wo Allah! Jo mera bhi Rab hai aur tumhara bhi.”

Baadshah ne kaha ke “Yeh nahi ho sakta ! Kisne tumhe yeh ilm sikhaya?”

Uss par zulm kiye gaye usey jarb lagaye gaye (maara pita gaya) aur fir mazburan uss noujawan bacche ne apna mooh khol diya aur uss raahib ke bare me bata diya. Baadshah ne Raahib ko giraftar karke apne mehal me hazir kiya.

Ab mehal me wazeer bhi khada hai, Raahib bhi aur Baccha bhi.

Baadshah ne kaha “Kya tum mujh par emaan laatey aur Allah par se emaan chorte ho ?”

Unn teeno ne kaha ke “Nahi! Hum tou sirf Allah hi par emaan laatey hai.”

Phir sabse pahle uss Raahib se pucha gaya “Kya Allah par iman chorte ho ?”

Rahib ne kaha “Nahi !”

Ek Aara mangwaya gaya, uss Raahib ke sir par rakha gaya aur dubara pucha ke “Kya Allah par imaan chorte ho ? Mujhe rab mantey ho ?”

Raahib ne iss baar bhi uska inkar kiya.

Badshah ne woh aara chalwane ka hukm diya. Aur bhare mehal me uss Raahib ke 2 tukde kar diye gaye.

Phir uss Wazeer se pucha gaya “Kya tum Allah par iman chorte ho, aur mujh par iman latey ho ?”

Wazeer ne bhi Baadshah ka inkar kiya aur wazeer ke bhi 2 tukde kar diye gaye.

Ab uss Bacche se pucha gaya “Kya abhi bhi iman latey ho Allah par ?”

Uss noujawan Bacche ne kaha “Ha !”

Baadshah ne kaha “Tujhe mai ibratnaak saza dunga.”

Bacche ke Rab (Allah) par saari Qoum ka Iman lana :

Badshah ne Sipaiyon ko hukm diya ke “es Bacche ko le jao pahaad se niche phenk do taaki duniya dekhe aur ibrat hasil kare iss se.”

Jab Bacche ko pahaad par le jaya gaya. Bacche ne Allah se dua ki “Aye Allah meri hifazat kar in se.”

Fouran ek zalzala aaya. Aur uske sath tamaam jo fouji they sab halaaq ho gaye, aur baccha sahi salamat mahal pohoch ke Baadshah ke aage hazir hua aur kehne laga “Aye Baadshah ! Tum mujhe nahi maar sakte, mere Rab ne mujhe bacha liya.”

Baadshah ne kaha “Accha ! Ab dusri sazaa deta hu tujhe.”

Apne sipayion se kaha ke “Isey paani me le jao samandar ke bich me duba dena, Lekin yeh jarur puch lena ke, kya baadshah par iman laatey ho yaa nahi. Iman laata hai tou chorr do aur nahi tou paani me dubaa dena.”

Jab usey bich samandar le gaye, uss bacche ne firse Allah se dua ki “Aye Allah! Meri hifazat kar inn zalimo se.”

Allah ke hukm se hawa ne rukh badla aur tufaan ki shakl me unn zalimo ko samadar me duba diya aur uss bacche ko mehfuz satah par le aaya.

Baccha fir wapas mehal lautkar baadshah ke samne pesh hua aur kehne laga “Aye baadshah ! Tum mujhe nahi maar sakte. Bas wk hee tarika hai jis tarike se tum mujhe qatl kar sakte ho.”

Pucha gaya “Wo kya tareeka hai ?”

Bacche ne kaha “Mujhe apne ilaqe ke sabse unche muqaam par le jao aur tamam apne basti walo, shehar waalo ko jama karo uss muqaam par, aur unke samne meri tarkaz se ek teer nikalo jo mai dunga tumhe aur uss teer ko lekar yeh kehna “Bismillahi Rabbil Ghulam (ke Allah ke naam se jo is ghulam ladke ka Rab hai)” aur fir wo teer mere sir par maarna, tou hee mai mar sakta hu.”

Baadshah ne kaha “Mai tou chahta hu tumhe qatl kar du.”

Usne munadi lagayi, log jamaa hue, ek pahaad par uss bacche ko le jaaya gaya jaha par log dekh sakte they.

Phir Baadshah ne uske tarkaz me se ek teer liya aur wohi lafz kahe. “Bismillahi Rabbil ghulam (ke allah ke naam se jo iss gulaam ladke ka rab hai)”

Woh teer jaakar uss bacche ke sir par laga aur wohi wo ladka shaheed ho gaya.

Ab jaise hi wo ladka shaheed ho gaya puri ki puri awaam jo khadi thi wo chilla uthi “Aamantu-bi-Rabbil-ghulam” (hum emaan laye uss ladke ke rab par)

Subhanallah

Allah par Iman laney wali Qaum ko Aag ke Gadhe me zinda Jalane ki saza:

Ladka haq par tha, usney Sabr kiya, usey pata tha agar mai jiunga tou dawat itni lambi nahi de paunga, Usko Allah ne Hikmat bakshi, uski mout ne purey ke purey Mulk ko iman la diya.

Ab Wazeero ne kaha “Yeh tou pahle hi hum 2-3 logon se pareshan they ab tou poori basti emaan le aayi. Ab kya kare ? Kuch na kuch tou hal nikalna hoga.”

Baadshah ne kaha “thik hai!”

Mashwara hua, aur tay kiya gaya ke bade-bade Gaddhe (ukhdood/pit) khodey jayenge, gaddho me aag lagayi jayengi. Basti ke logon ko laya jayega aur har ek se sawal kiya jayega ke kispar emaan latey ho? Allah par ya badshah par?

Jo kahe Allah par tou phenk do jalte hue Aag ke Gaddho me aur jo kahe badshah par tou chorr do.”

Ab basti ke tamaam logon ko jamaa kiya bade-bade Gaddho ke samne, lekin SubhanAllah ! Log aise pukhta emaan laaye they aur unohne sabr kiya emaan laaney ke baad, ke jab unhe laakar gaddho ke aage khada kar ke pucha jaata ke Allah par emaan latey ho ya baadshah par?

Wo kehte Allah par, tou usey uthakar phenk diya jata jalte hue gaddhe me.

Azeez dosto ! Yeh koi mazak nahi jo inn sab ne sabr kiya, Imaan ke khatir Shahadat ko pasand kiya lekin bateel ki pairwi karna hargiz pasand na kiya.

Piche ke insan khade jo dekh rahe hai ke, unke azeez jal kar marr rahe hai phir bhi wo apne iman par jamey rahe. Hatta ke tamaam basti walo ko jalakar shaheed kiya gaya lekin kisi ne bhi kufr ko iman par tarzi naa di.

Dudh peetey Bacche ki Gawaahi:

Aakhir me ek Aurat thi jsike seene se ek doodh piti umr ka baccha laga tha, usne ye socha ke mai apne bacche ke liye jhuth bol deti hu. Ab tou koi dekhne wala bhi nahi meri taraf sabhi tou shaheed ho chuke hai jo emaan laye they. Mai jhuth bolkar iss masoom ki zindagi bacha saku.

Jab yeh Niyat uss Aurat ne ki tou Allah Rabbul izzat ne uss bacche ko zuban di aur uss bacche ne kaha ke – “Aye meri Maa ! Tu haq par hai. Tu bhi kood ja iss aag me.”

Lihaja wo Aurat fouran hi uss bacche ko lekar uss aag me kood gayi.

Aap (ﷺ) farmatey hai –
“Aise char(4) bacche hue jinhone aisi umr me baat ki jis umr me bacche baat nahi karte.
» 1. Isa (Alaihay Salam)
» 2. Yusuf (Alaihay Salam) ke waqaye ke andar jis ne Zulekha ke khilaf gawahi di thi wo baccha.
» 3. Juraiz ke waqiye me ek bacche ne gawahi di thi woh baccha.
» 4. Aur “Asahbe Ukhdood” ka nanha baccha jisne apni maa ko haq par honey ki gawahi dekar usey aag me kudne ko kaha.

📕 Tafseer Surah Al-Buruj; Sahi Muslim Hadees

IBRAT / SABAQ:

Ab gour karte hai iss waqye me sabr ki kya-kya naseehate thi.

1. Sabse pahle uss Raahib ka sabr ! Usey pata tha ke agar me haq ki daawat dunga tou mujh par musibat aaney waali hai. Phir bhi usne apne emaan ko chupaya nahi aur bacche (ladke) ko hikmatan taalim di aur emaan bataya.

2. Dusra uss Wazeer ka emaan dekhiye aur uska sabr dekhiye, ke usne apne wizarat ko balaye taak rakh diya, wazeer ke oundhe(post) ko pairo taley kuchal diya lekin apne emaan se piche na hataa. Chahe maar do ya qatl kardo, aur woh bhi qatl kar diya.

3. Uss Noujawan Bacche ka Sabr dekhiye ke Allah ne ussey hikamt di thi ek usne apni jaan de di deen-e-haq ki daawat ke liye aur khudko Raah-e-haq par Qurbaan kar diya.

4. Uss purey basti waalo ki qurbani dekhiye, bada-chota, Aurat-Mard aur har shakhs ne emaan ke khatir qurbaan hona pasand kiya lekin apne emaan ko na choraa.

5. Aur aakhir me uss Aurat ki aur uss masoom bacche ki qurbani dekhiye ke uss nanhe bacche ne bhi emaan ke liye marna pasand kiya lekin kufr ki zindagi pasand nahi ki.

Tou iss waqaye me har fard ke liye azeem se azeem naseehat hai. Har positions ke liye ibratnaak sabaq tha.

Lihaza Yaad rahe “Musibato par Sabr karna aur Allah ka Shukr ada karte hue Aefiyat ki Dua karna sacche Momin ki sifat hai.”

Allah Ta’ala hume Kehne Sun’ne se jyada Amal ki taufiq de. Ameen !!!

The post Surah Buruj ka ibratnak Wakia | Ashabul Ukhdud | People of the Ditch appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ashabul-ukhdud/feed/ 0 16774
Hadees: Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat https://ummat-e-nabi.com/ashrah-dhul-hijjah-ke-amaal-e-swaaleh-allah-ko-pasand/ https://ummat-e-nabi.com/ashrah-dhul-hijjah-ke-amaal-e-swaaleh-allah-ko-pasand/#respond Mon, 19 Jun 2023 15:06:27 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ashrah-dhul-hijjah-ke-amaal-e-swaaleh-allah-ko-pasand/ Hadees: Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki FazilatHadees of the Day Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat Ibn Abbas (R.A) bayan karte hain ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne irshad farmaya: ❝Ashrah Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh Allah Ta’ala ko […]

The post Hadees: Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat

Ibn Abbas (R.A) bayan karte hain ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:

Ashrah Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh Allah Ta’ala ko Jis Qadar Mahboob wa Pasand hain, Dusre dino ke Aamal iss Qadr mahboob nahi.

Sahaba-e-Kiram (R.A) ne arz kiya: “Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Dusre dino ka jihaad bhi ?”

Aap (ﷺ) ne farmaya:

“Dusre dino ka Jihaad bhi iss Qadr mahboob nahi, haan! Mujaahid apni jaan aur maal Allah Ta’ala ke raastey me Qurbaan kar dey tou aisa Jihaad afzal aur pasandeedah ho sakta hai.”

📕 Bukhari, Tohfatul Ahwazi Jild 2 Pg 58,

📕 Abu Dawood Jild 1 Pg 332, Miftah Al Haja Sharah ,
📕 Ibne Majah Pg 125, Baihaqi Jild 4 Pg 285, Mishkat Jild 1 Pg 127-128

People also Search as:

The post Hadees: Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ashrah-dhul-hijjah-ke-amaal-e-swaaleh-allah-ko-pasand/feed/ 0 15904
♫ Shab-e-Meraj ka Waqia | Download Audio Mp3 https://ummat-e-nabi.com/shabe-meraj-ka-waqia/ https://ummat-e-nabi.com/shabe-meraj-ka-waqia/#respond Sat, 18 Feb 2023 07:23:47 +0000 https://ummat-e-nabi.com/shabe-meraj-ka-waqia/ इसरा और मेराज एक चमत्कार – Isra Aur Meraj Ka SafarShab e Meraj ka hakiki waqia kya hai?, isme Ummate Muslima ko kounsa tohfa mila aur isme Kiye jaane wale amaal kis hadd tak Sunnat se sabit hai? tafseeli jankari […]

The post ♫ Shab-e-Meraj ka Waqia | Download Audio Mp3 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Shab e Meraj ka hakiki waqia kya hai?, isme Ummate Muslima ko kounsa tohfa mila aur isme Kiye jaane wale amaal kis hadd tak Sunnat se sabit hai? tafseeli jankari ke liye is video bayan ka jarur mutala karey aur isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare.

♫ Shab-e-Meraj Ka Waqia

यह भी देखे:

Keywords:

27 rajab isra miraj, al isra wal miraj full story, al isra wal miraj greetings, al isra wal miraj journey, al isra wal miraj quotes, al isra wal miraj year, fasting on isra miraj, greetings for isra miraj, isra al miraj 2020, isra al miraj fasting, isra al miraj holiday, isra al miraj meaning, isra and miraj 2020 date, isra and miraj event, isra and miraj facts, isra and miraj hadith, isra and miraj islamqa, isra and miraj meaning, isra and miraj physical or spiritual,

isra and miraj quiz, isra and miraj story in detail, isra and mi’raj story summary, isra and miraj story youtube, isra miraj 2020, isra miraj 2021, isra miraj 27 rajab, isra miraj al quran, isra miraj and science, isra miraj buraq, isra miraj celebration, isra miraj dua, isra miraj fasting 2020, isra miraj full story, isra miraj hadith, isra miraj heaven, isra miraj hijriah, isra miraj history, isra miraj holiday 2020, isra miraj horse, isra miraj in english, isra miraj in quran, isra miraj in science, isra miraj islam, isra miraj jibril, isra miraj journey, isra miraj kalender islam, isra miraj makalah,

isra miraj nabi muhammad saw, isra miraj night, isra miraj pdf, isra mi’raj quotes, isra miraj quran, isra miraj rajab, isra miraj salafi, isra mi’raj science, isra mi’raj story, isra miraj sunnah, isra miraj surah, isra miraj video, isra miraj wikipedia, isra miraj wishes, isra miraj year, isra’ mi’raj youtube, isra wal miraj 27 rajab, isra wal miraj celebration, isra wal miraj explained, isra wal miraj facts, isra wal miraj fasting, isra wal miraj full hadith, isra wal miraj full story pdf, isra wal miraj hadith, isra wal miraj in english, isra wal miraj in quran, isra wal miraj journey, isra wal miraj meaning, isra wal miraj night journey, isra wal miraj quiz, isra wal miraj quotes, isra wal miraj quran verses, isra wal miraj rajab, isra wal miraj story, isra wal miraj video, isra’a wal mi’raj, meaning of isra miraj, quotes isra miraj 2020, story of isra miraj, video isra mi’raj,

The post ♫ Shab-e-Meraj ka Waqia | Download Audio Mp3 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/shabe-meraj-ka-waqia/feed/ 0 17599
Shab e Meraj ka Waqia aur Humari Bidatein by Adv. Faiz Syed https://ummat-e-nabi.com/shab-e-meraj-ka-waqia-aur-hamari-bidatein-by-adv-faiz-syed/ https://ummat-e-nabi.com/shab-e-meraj-ka-waqia-aur-hamari-bidatein-by-adv-faiz-syed/#respond Sat, 18 Feb 2023 07:21:32 +0000 https://ummat-e-nabi.com/shab-e-meraj-ka-waqia-aur-hamari-bidatein-by-adv-faiz-syed/ Shab e Meraj Ka Waqia Aur Hamari BidateinShab e Meraj Ka hakiki Waqia kya hai?, isme Ummate Muslima ko kounsa tohfa mila , aur isme Kiye jaane wale amaal kis hadd tak Sunnat se sabit hai? tafseeli […]

The post Shab e Meraj ka Waqia aur Humari Bidatein by Adv. Faiz Syed appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Shab e Meraj Ka hakiki Waqia kya hai?, isme Ummate Muslima ko kounsa tohfa mila , aur isme Kiye jaane wale amaal kis hadd tak Sunnat se sabit hai? tafseeli jankari ke liye is video bayan ka jarur mutala karey, aur isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare. jazakAllahu khairan kaseera.

History Shab e Meraj, Shab e Meraj in Urdu, Shab e Meraj In Quran, Shab e Meraj Namaz, Shab e Meraj Ka Waqia

The post Shab e Meraj ka Waqia aur Humari Bidatein by Adv. Faiz Syed appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/shab-e-meraj-ka-waqia-aur-hamari-bidatein-by-adv-faiz-syed/feed/ 0 17621
21. मुहर्रम | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा  https://ummat-e-nabi.com/21-muharram/ https://ummat-e-nabi.com/21-muharram/#respond Fri, 19 Aug 2022 12:12:59 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=40242 21 Muharram | Sirf Paanch Minute ka Madarsaहजरत इब्राहीम (अ.स) को सज़ा देने की तजवीज़, अल्लाह की कुदरत : मोती की
पैदाइश, एक फर्ज : माँ बाप के साथ अच्छ सुलूक करना, ईमान वालों को तकलीफ देने का गुनाह, आख़िरत: अहले जहन्नम की फरियाद ...

The post 21. मुहर्रम | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा  appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

21. मुहर्रम | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा 
21 Muharram | Sirf Paanch Minute ka Madarsa

1. इस्लामी तारीख

हजरत इब्राहीम (अ.स) को सज़ा देने की तजवीज़

हजरत इब्राहीम (अ.स) की दावते तौहीद की खबर आहिस्ता आहिस्ता बादशाह नमरूद को भी पहुँच गई, जिसने खुदाई का दावा कर रखा था। बादशाह ने हजरत इब्राहीम (अ.स) को तलब किया। मगर इस अजीम पैगम्बर ने वहाँ भी अल्लाह तआला की वहदानियत और उसकी सिफात को खूब अच्छी तरह वाजेह किया, जिस से बादशाह लाजवाब हो गया और दुश्मनी पर उतर आया। 

अब वालिद, कौम और बादशाहे वक़्त ने मिलकर उन्हें सजा देने की तदबीर की और बादशाह के मश्वरे पर कौम के लोगों ने एक खास जगह में कई रोज़ तक आग दहकाई जिसके शोलों से आसपास की चीजें झुलसने लगीं। जब लोगों को यकीन हो गया के हजरत इब्राहीम (अ.स) इस आग से जिन्दा बच कर हरगिज नहीं निकल सकेंगे तो उन को उस आग में डाल दिया। 

मगर अल्लाह रब्बुल आलमीन की मदद और उस की जबरदस्त ताकत के सामने उन कम अक्लों की तदबीरें कहाँ चल सकती थीं। अल्लाह तआला ने आग को हुक्म दिया के ऐ आग! तू इब्राहीम पर सलामती के साथ ठंडी हो जा। 

आग शोलों और अंगारों के बावजूद उसी वक्त उन के हक में ठंडी हो गई और हजरत इब्राहीम (अ.स) उस में सही व सालिम रहे। इस कुदरते खुदावन्दी और मुअजिजे को देखने के बाद भी लोगों ने ईमान कुबूल नहीं किया, तो हज़रत इब्राहीम (अ.स) ने हिजरत का इरादा फ़र्मा लिया और हज़रत सारा और अपने भतीजे हजरत लूत को लेकर फलस्तीन, नायलस और मिन्न वगैरह की तरफ हिजरत कर गए, इस दौरान दीन की दावत का फरीजा भी अन्जाम देते रहे।

तफ्सील में बढे :
हज़रत इब्राहीम अलैहि सलाम | कसक उल अम्बिया 

📕 इस्लामी तारीख


2. अल्लाह की कुदरत

मोती की पैदाइश

मोती बहुत ही क्रीमती पत्थर होता है, जो सीप के अन्दर बनता है।
जब सीप के अन्दर मोती बनने वाला मादा पहुँचता है, तो उस पर चमकदार रंगों वाले केलशियम कारबोनेट की तह चढ़ना शुरू हो जाती है, यह माददा मोती बनाने में अहम किरदार अदा करता है, इसकी मदद से चंदमाह में चमकदार कीमती और खुबसूरत मोती बन जाता है, आखिर समन्दर की गहरी तहों में बंद सीप के अंदर इतना कीमती मोती कौन बनाता है? 

बिला शुबा गहरे समन्दर में सीप के अंदर मोती का पैदा करना अल्लाह तआला की जबरदस्त कुदरत है।

📕 अल्लाह की कुदरत


3. एक फर्ज के बारे में

माँ बाप के साथ अच्छ सुलूक करना

कुरआन में अल्लाह तआला फर्माता है:

“हम ने इन्सान को अपने माँ बाप के साथ अच्छा सुलूक करने का हुक्म दिया है, उस की माँ ने बड़ी मशक्कत के साथ पेट में रखा और बड़ी तकलीफ के साथ उसको जना है।”

📕 सूरह अहकाफ: १५


4. एक सुन्नत के बारे में

हदिया कबूल करना

हजरत आयशा (र.अ) बयान करती है:

रसूलुल्लाह (ﷺ) हदिया कबूल फर्माते थे और उसका बदला भी इनायत फर्माते थे।

📕 बूखारी: २५८५


5. एक अहेम अमल की फजीलत

जिक्र करने वाला जिन्दा है

रसूलल्लाह (ﷺ) ने फर्माया :

“जो शख्स अपने रब का जिक्र करे और जो अल्लाह का जिक्र न करे। उसकी मिसाल जिन्दा और मुर्दे की तरह है (यानी जिक्र करने वाला जिन्दा है और जिक्र न करने वाला मुर्दे की तरह है)।”

📕 बुखारी: ६४०७, अन अबी मूसा (र.अ)


6. एक गुनाह के बारे में

ईमान वालों को तकलीफ देने का गुनाह

रसूलुल्लाह (ﷺ) ने फर्माया :

“जिस शख्स ने किसी मुसलमान को तकलीफ दी, उस ने मुझे तकलीफ पहुँचाई और जिसने मुझे तकलीफ पहुँचाई उसने अल्लाह को तकलीफ पहुँचाई।”

📕 मोअजमे औसत लित्तबरानी : ३७४५


7. दुनिया के बारे में

इस्तिग्ना इन्सान को महबूब बना देता है

एक शख्स ने रसूलुल्लाह (ﷺ) से अर्ज किया :
ऐ अल्लाह के रसूल ! मुझे कोई ऐसा अमल बंता दीजिये जिसको मैं करूं
ताके अल्लाह तआला और लोग मुझसे मुहब्बत करने लगें।

रसूलुल्लाह (ﷺ) ने फर्माया :

“दुनिया से मुँह मोड़ लो, तो अल्लाह तुम से मुहब्बत करने लगेगा और जो लोगों के पास है। (यानी माल व दौलत) उससे बेरूखी इख्तियार कर लो, तो लोग तुमसे मुहब्बत करने लगेंगे।”

📕 इब्ने माजा : ४१०२, अन सहल बिन सअद (र.अ)


8. आख़िरत के बारे में

अहले जहन्नम की फरियाद

कुरआन में अल्लाह तआला फर्माता है :

दोज़ख़ी फरियाद करते हुए कहेंगे:
“ऐ हमारे परवरदिगार! हमें इस जहन्नम से निकाल कर (दुनिया में भेज दीजिये) फिर अगर दोबारा हम ऐसे गुनाह करें, तो हम कुसूरवार और सजा के मुस्तहिक होंगे।”

अल्लाह तआला फर्माएगा:
“तुम इसी जहन्नम में फिटकारे हुए पड़े रहो मुझसे बात मत करो।”

📕 सूरह मोमिनून: १०७ ता १०८


9. तिब्बे नबवी से इलाज

जुकाम का इलाज

रसूलुल्लाह (ﷺ) ने फर्माया :

“तुम लोग मरजन्जूश को सूंघा करो, क्यों कि यह जुकाम के लिए मुफीद है।”

📕 कन्जुल उम्माल: १७३४१सुनन कुब्रा लिल बैहकी:३४६/९

नोट: अल्लामा इब्ने कय्यिम फर्माते हैं के इस की खुश्बू जुकाम की बंदिश को खोल देती है। इस से जमा हुआ नज्ला पतला हो कर बह जाता है और फेफड़ों पर जमा हुआ बल्गम निकल जाता है, नीज़ इस में दुसरे भी बहुत से फवाइद हैं।


10. कुरआन की नसीहत

सब मिल कर अल्लाह की रस्सी को मजबूत पकड़े रहो

कुरआन में अल्लाह तआला फर्माता है :

“तुम सब मिल कर अल्लाह की रस्सी को मजबूत पकड़े रहो (यानी कुरआन करीम के बताए हए तरीके और रास्ते पर चलो) और आपस में नाइत्तेफाक्री मत करो (अगर तुम नाइत्तेफाक्री की वजह से आपस में बिखर गए तो दुश्मन के मुकाबले में तुम नाकाम हो जाआगे और तुम्हारी कुव्वत व ताकत खत्म हो जाएगी)।”

📕 सूरह आले इमरान: १०३

The post 21. मुहर्रम | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा  appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/21-muharram/feed/ 0 40242
Tohfa de kar waapas lene wala Uss Kutte ki tarha hai jo Ulti kar ke fir se Chaat leta hai https://ummat-e-nabi.com/hadiya-de-kar-waapas/ https://ummat-e-nabi.com/hadiya-de-kar-waapas/#respond Wed, 27 Mar 2019 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/hadiya-de-kar-waapas/ Tohfa de kar waapas lene wala Uss Kutte ki tarha hai jo Ulti kar ke fir se Chaat leta hai[bs-heading title=”Roman Urdu” show_title=”1″ title_link=”#RomanUrdu” heading_color=”#ef4e56″ heading_style=”t6-s9″ heading_tag=”h4″ custom-css-class=”_h_lang”][/bs-heading] ۞ Hadees: Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: ❝Hadiya (Tohfa) de kar waapas lene […]

The post Tohfa de kar waapas lene wala Uss Kutte ki tarha hai jo Ulti kar ke fir se Chaat leta hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

[bs-heading title=”Roman Urdu” show_title=”1″ title_link=”#RomanUrdu” heading_color=”#ef4e56″ heading_style=”t6-s9″ heading_tag=”h4″ custom-css-class=”_h_lang”][/bs-heading]

۞ Hadees: Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:

❝Hadiya (Tohfa) de kar waapas lene wala Uss Kutte ki tarha hai jo Qai (Vomit) kar ke fir se Chaat leta hai.❞

📕 Sahih al-Bukhari 2589
📕 Sunan Ibn Majah 2476

[bs-heading title=”हिंदी” show_title=”1″ title_link=”https://ummat-e-nabi.com/category/hadith/hadees-in-hindi/” heading_color=”#eea534″ heading_style=”t6-s9″ heading_tag=”h4″ custom-css-class=”_h_lang”][/bs-heading]

۞ हदिस: अब्दुल्लाह इब्ने अब्बास (रज़ि अल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, अल्लाह के रसूल (सलल्लाहु अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया :

❝तोहफा दे कर वापस लेने वाला उस कुत्ते की तरह है जो उलटी कर के फिर से चाट लेता है।❞

📕 सहीह अल बुखारी 2589
📕 सुनन इब्ने माजाह 2476

[bs-heading title=”English” show_title=”1″ title_link=”https://ummat-e-nabi.com/category/hadith/english-hadith/” heading_color=”#9777b6″ heading_style=”t6-s9″ heading_tag=”h4″ custom-css-class=”_h_lang”][/bs-heading]

۞ Hadith: Narrated Ibn `Abbas: The Prophet (ﷺ) said,

❝One who takes back his gift (which he has already given) is like a dog that swallows its vomit.❞

📕 Sahih al-Bukhari 2589
📕 Sunan Ibn Majah 2476

The post Tohfa de kar waapas lene wala Uss Kutte ki tarha hai jo Ulti kar ke fir se Chaat leta hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/hadiya-de-kar-waapas/feed/ 0 16253
Nikah ki Mubarakbaad dene ki Dua – Dua for blessings in marriage https://ummat-e-nabi.com/shadi-ki-mubarak-baad-dene-ki-dua/ https://ummat-e-nabi.com/shadi-ki-mubarak-baad-dene-ki-dua/#respond Tue, 11 Dec 2018 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/shadi-ki-mubarak-baad-dene-ki-dua/ Dua for blessings in marriageNikah karne wale ke liye Dua ۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) jab kisi ko Nikah ki Mubarak-Baad detey tou ye Dua kehte: بَارَكَ اللّهُ […]

The post Nikah ki Mubarakbaad dene ki Dua – Dua for blessings in marriage appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Nikah karne wale ke liye Dua

۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) jab kisi ko Nikah ki Mubarak-Baad detey tou ye Dua kehte: بَارَكَ اللّهُ لَكَ وَبَارَكَ عَلَيكَ وَجَمَعَ بَينَكُمَا فِى خَيرٍ

Barak’Allahu Laka Wa Barak Alaik Wa Jama’aa Baynakuma Fi Khairin.

[ Allah tumko barqat de aur tum par barkat nazil kare aur tum dono ko bhalayi ki taufiq dey | (अल्लाह तुमको बरकत दे और तुम पर बरकत नाज़िल करे और तुम दोनों को भलाई की तौफीक दे | May Allah bless for you, and may He bless on you, and combine both of you in good (works). ]

📕 Sunan Abu Dawood 2130, Hadith 85


Shadi karne aur Sawari kharidne wale ke liye Dua

۞ Hadees: Nabi kareem (ﷺ) ne farmaya:
jab tum mein se koi shakhs shaadi kare ya khaadimah khareede to woh yeh kahe:

Allaahumma innee as a’luka khyrahaa wa khayra maa jabaltahaa alayhi wa a’oozu bika min sharrihaa wa sharri ntaa iabaltahaa alayhi.

Aye Allah! main tujh se iski bhalayi aur jis par ise paidah kiya gaya uski bhalayi ka sawaal karta hoon, aur main iske sharr aur jis par isey paida kiya gaya hai uske sharr se teri panaah maangta hoon. jab koi ount khareede to uski kohaan ko pakad yahi kahe.

📕 Sunan Abu Dawood:2160-Hasan,
📕 Sunan Ibne Majah:1918, 2252,
📕 Mustadrak Hakim:2/185.


Biwi se Humbistari ki Dua

Bismil-lah, allahumma jannibnash-shaytan, wajannibish-shaytana ma razaqtana.

Allah ke naam ke saath, Aye Allah! humen shaitaan se bachaa aur
jo tu humein ataa kare usey bhi shaitaan se bacha.

📕 Sahih Bukhari.6115,
📕 Sahih Muslim, Kitabui Bir Wasilah: 2610

۞ Dua list ۞

Wazu se pahle aur baad ke azkaar


Namaz ki Duaien

  • Dua-e-lstaftaah
  • Qunoot-e-witr ki duayein
  • Namaaz-e-witr se salaam pherne ke baad azkaar
  • Qunoot-e-Naazilah
  • Suratul Faatiha
  • Ruku1 ki duayein
  • Ruku1 se uthhne ki dua
  • Ruku1 ke baad qiyaam ke azkaar
  • Sajdah ki Fazeelat
  • Sajde ki duayein
  • Jalsaye istarahat (do sajdon ke darmiyaan) ki duayen
  • Tashahhud
  • Nabi kareem par darood padhna
  • Durood Shareef padhne ki fazeelat
  • Salaam pherne se pahle Aakhir Tashahud ke baad ki Dua
  • Salaam pherne ke baad ke Azkaar
  • Fajr aur Maghrib ki namaaz ke baad ki duayein


  • Shaam ke Azkaar
  • Sote waqt ke Azkaar
  • Raat pahlu badalte waqt ki dua
  • Bura khwab dekhne wala kya kahe?


Khane peene ke waqt ki Duayein

  • Khana khate waqt ki dua
  • Khana khane se faarigh hone ki duayein
  • Khaaa khilaane wale ke liye dua
  • Jo shakhs kuchh khilaye pilaye uske liye dua


Safar ki duayein


Masaayib-o-Mushkilaat se Najaat Paane ke Azkaar

  • Namaze-lstekharah
  • Jise Museebat pahunche uski dua
  • Jis par koi mushkil aan pade uske liye dua
  • Kasrat-e-Durood ki Barkat-o-taaseer
  • Shaitani yalghar se bachne ke Azkaar
  • Qalbi wasawis ke tod ki dua
  • Dushman se bachao aur Dauran-e-Jung ke Azkar
  • Dushman ke liye bad dua
  • Dushman par ghalbah pane bughz-o-keenah se bachne ki dua


Qarz ke talluk se Dua



Munasibat par Masnoon duayein


Mutafarriq Duayein


Qur’ani duayein

  • Aadam (A.S) ki dua
  • Ibraheem (A.S.) ki duayein
  • Sulaimaan (A.S.) ka Izhaar-e-Tashakkur
  • Yunus (A.S.) ki dua
  • Ayyub (A.S.) ki dua
  • Yaqoob (A.S.) ki dua
  • Yusuf (A.S.) ki dua
  • Moosa (A.S.) ki dua
  • Ashab-e-kahf ki dua
  • Nabi Kareem(ﷺ) ki Zubaan-e-aqdas par kasrat se rahne wali dua
  • Surah Baqrah ki aakhri ayat ki duayein
  • Eman par sabit qadam rahne ki dua
  • Ibaadur Rehmaan ki duayein
  • Guzishta Musalmano ke liye momineen ki dua
  • Ahl-e-Taqwa ki dua
  • Ahl-e-Emaan ki dua
  • Istaghfaar ki fazeelat

The post Nikah ki Mubarakbaad dene ki Dua – Dua for blessings in marriage appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/shadi-ki-mubarak-baad-dene-ki-dua/feed/ 0 16728
Diye huye Tohfe Waapas Na Le https://ummat-e-nabi.com/diye-huye-tohfe-waapas-na-le/ https://ummat-e-nabi.com/diye-huye-tohfe-waapas-na-le/#respond Thu, 30 Mar 2017 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/diye-huye-tohfe-waapas-na-le/ ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah bin Amr bin Aas (RaziAllau Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Tum me se koyi bhi apne diye huye Tohfe ko waapas […]

The post Diye huye Tohfe Waapas Na Le appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah bin Amr bin Aas (RaziAllau Anhu) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
“Tum me se koyi bhi apne diye huye Tohfe ko waapas na le !
siwaye ek baap ke (Jo diya hua tohfa waapas le sakta hai) apni Aulad se.”

– (Sunan Ibn Majah, Hadith no. 2378)

# Takhreej: 1. Kisi ko tohfa dekar wapas lena sahi nahi hai bhale tohfa mamooli ho ya mehenga.
2. Ek Baap apni aulad ko diya hua tohfa wapas le sakta hai.
3. Yahi Qanun Maa ke liye bhi hai apni aulad ko diye huye tohfe ke taal’luq se

The post Diye huye Tohfe Waapas Na Le appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/diye-huye-tohfe-waapas-na-le/feed/ 0 18276
Do Padosiyo me se kiska pehla Haq ? https://ummat-e-nabi.com/do-padosiyo-me-se-kiska-pehla-haq/ https://ummat-e-nabi.com/do-padosiyo-me-se-kiska-pehla-haq/#respond Sun, 20 Nov 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/do-padosiyo-me-se-kiska-pehla-haq/ padosike hukuk♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummaha-tul-Momineen Aayesha (RaziAllahu Anha) se rivayat hai ki mainey pucha: “Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Mere Do Padosi hai, Unmein se kiskey paas mai Hadiya (Tohfa) bheju […]

The post Do Padosiyo me se kiska pehla Haq ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummaha-tul-Momineen Aayesha (RaziAllahu Anha) se rivayat hai ki mainey pucha:
“Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Mere Do Padosi hai, Unmein se kiskey paas mai Hadiya (Tohfa) bheju ?”

Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya

“Jiska Darwaza tujhse jyada Qareeb hai..”

– (Sahih Bukhari, Vol 3, Hadith no.2259)

The post Do Padosiyo me se kiska pehla Haq ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/do-padosiyo-me-se-kiska-pehla-haq/feed/ 0 18070
Kisi ko diyaa hua tohfa waapas na lo https://ummat-e-nabi.com/kisi-ko-diyaa-hua-tohfa-waapas-na-le/ https://ummat-e-nabi.com/kisi-ko-diyaa-hua-tohfa-waapas-na-le/#respond Sat, 31 May 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/kisi-ko-diyaa-hua-tohfa-waapas-na-le/ ✦ Hadith about Hadiya/Tohfa: 1). Hadith: Hazrate Ibn Abbas aur Ibn Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: ❝Kisi Shakhs ke liye ye jayaz […]

The post Kisi ko diyaa hua tohfa waapas na lo appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
✦ Hadith about Hadiya/Tohfa:

1). Hadith: Hazrate Ibn Abbas aur Ibn Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: ❝Kisi Shakhs ke liye ye jayaz nahi ki woh kisi ko diya hua tohfa waapas le siwaaye Baap ke jo apne bete ko diya hua tohfa waapas le sakta hai.❞

Sunan Ibn Majah Hadith no. 2377

2). Hadith: Ek riwayat me Aap (Sallallahu Aalihi Wasallam) farmate hai: ❝Hadiya (Tohfa) de kar waapas lene wala uss kutte ki tarha hai jo qai (vomit) karke chaat keta hai.❞

Sahih Muslim Book 012, Hadith 3957


✦ Tohfa dena kis ko Jayaz (allow) nahi ?

❝Aashiq wa Mashuq ka ek dusre ko tohfa dena (Zinaa ki) rishwat hai aur uska wapas karna wajib hai.❞

Al Bahr Ur Raiq, Jild#6, Page No.441

The post Kisi ko diyaa hua tohfa waapas na lo appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kisi-ko-diyaa-hua-tohfa-waapas-na-le/feed/ 0 16776