Hadees of the Day
Qurbani ke Chamde ko Bechna Jaiz Nahi hai
۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya,
“Jis Shakhs ne apni Qurbani ka Chamda
baich diya to uski koi Qurbani nahi hai.”
Daily Beautiful Hadith of the day in the light of Authentic Sources | Daily Hadees notification
Hadees of the Day
۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya,
“Jis Shakhs ne apni Qurbani ka Chamda
baich diya to uski koi Qurbani nahi hai.”
Hadees of the Day
۞ Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmate Hai:
“Jisme Shaq wa Shuba ho, usko chorkar uss cheez ko ikhtiyaar karo jis me shaq wa shuba naa ho.”
Hadees of the Day
۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :
“Sadqe ne maal me kabhi koi kami nahi ki aur Muaf Karne se Allah Subhanahu Bande ko Izzat hi me badhata hai aur jo shakhs sirf Allah Subhanahu ki khatir Aajizi ikhtiyar karta hai to Allah Subhanahu uska Maqam buland Kar deta hai.”
Hadees of the Day
Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Hazrat Musaa (Alaihi Salam) ne Allah Taala se daryaft kiya ke Aap ke nazdik sabse jyada Izzat wala banda koun hai?“
Allah Taala ne farmaya ke:
“Jo badla lene ki Quwwat ke bawajud bhi muaf kar de.”
Hadees of the Day
۞ Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmate Hai:
“Tumhaare Kamzoron ki wajah se hi tum ko Rozi di jaati hai aur tumhaari madad ki jaati hai.”
Hadees of the Day
۞ Hadees: Hazrate Samrah (R.A.) ne farmaya,
Hum Darbaar-e-Nabuwat (ﷺ) me haazir they ke, Ek Shakhs haazir hua aur arz kiya
“Ya Rasool’Allah (ﷺ) ! Allah Ta’ala ke Qareeb tar Aamal kya hain? ”
Aap (ﷺ) ne farmaya “Sach Bolna aur Amanat ka Aada karna.”
Arz kiya gaya “Huzoor (ﷺ) Kuch aur Irshad farmaiye! ”
Aap (ﷺ) ne farmaya :
“Tahajjud ki Namaz aur Garmiyon ke Roze.”
Phir Maine arz kiya “Huzoor (ﷺ) Kuch aur Irshad farmaiye!”
Aap (ﷺ) ne farmaya:
“Zikr-e-Elahi ki Qasrat karna aur Mujh par Durood-e-Paak Padhna tangdasti ko door karta hai.”
Mai ne arz kiya “Kuch aur Irshaad farmaiye.”
Aap (ﷺ) ne farmaya
“Jo kisi Qoam ka Imaam baney tou Halki Namaz parhaye, Kyun ki Muqtadion me Burhay(Oldage) bhi hotey hai, Bimaar bhi, Bacche bhi aur Kaam kaaj wale bhi.”
📕 Al-Qawl Al-Bade’e, Pg 129
📕 Sa’adat Al-Daarain, Pg-714
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day
۞ Hadees: Anas (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya
“Jo shaksh kisi Maa ko uske bachche se juda karega to Allah subhanahu Qaymat ke din usko uske mehboob logo se juda kar dega.”
Hadees Of The Day
۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke –
“Nikah Meri Sunnat hai, aur jo koi meri Sunnat par amal na kare uska mujhse koi talluq nahi. “
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day
Abu Darda (R.A) farmate hai ke,
Maine Allah ke Rasool (ﷺ) ko ye farmatey huye suna,
“Walid (Baap) Jannat ka Markazi Darwaza hai, Ab ye Tumhari Marzi hai ke Tum Iss Darwazey ko Zaya Karo (Yaani Iss Ko Naraaz kar ke Jannat se Mehroom bano) ya Iski Hifazat karo (Yaani Iss ki Khidmat ke Raste se Jannat me Dakhil ho jao.)”
📕 Jameh Tirmazi: 1900,
📕 Sunan Ibne Majah: 2089,
📕 Musnad Ahmed: 4456
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day
❖ Hadees: Abdullah (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya:
❝ Jo shakhs museebat mein pareshaan aadmi ko tasalli deta hai
to us ko bhi pareshaan aadmi ki tarah sawaab milta hai.
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day
۞ Hadees: Abu Huraitah (R.A.) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Dusro ki Aurton se door raho, Tumhari Auratein bhi Paak Daaman rahengi.”
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day
۞ Hadees: Abu Huraitah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
‟Apne Walidain ke sath accha sulook karna, tumhari aulaad bhi tumhare sath accha sulook karengi.
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day
۞ Hadees: Ka’b bin Ujrah (R.A.) se riwayat hai ke Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
❝ Sadqa Gunaahon ko iss tarha khatam kar deta hai jis tarah paani Aag ko bujha deti hai. ❞
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day
۞ Hadees: Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
‟Agar kisi se milne jao tou andar dakhil hone se pehle 3 martaba ijazat maang lo, agar ijaazat mil jaye tou thik hai, warna wapas laut jao
Hadees of the Day
✦ Hadees: Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
Allah Ta’ala Zaalim ko chand roz duniya me muhlat deta rehta hai lekin jab pakadta hai toh phir nahi chodta. Rawi ne bayan kiya ke phir Aap (ﷺ) ne is aayat ki tilawat ki:
{ وَكَذَلِكَ أَخْذُ رَبِّكَ إِذَا أَخَذَ الْقُرَى وَهْىَ ظَالِمَةٌ إِنَّ أَخْذَهُ أَلِيمٌ شَدِيدٌ }
“Aur tere Parwardigar ki pakad issi tarha hai, jab wo basti walo ko pakadta hai Jo zulm karte rehte hain, beshak iski pakad badi takleef dene waali aur badi hi sakht hai.” (Surah Hud 11:102)
📕 Sahih al-Bukhari; © www.ummat-e-nabi.com/home | Arabic ref: Book 65, Hadith 4686
Hadees of the Day
۞ Hadees: Rasool-e-Kareem (ﷺ) farmate hai:
“Momin ka Muamla bhi Ajeeb Hai ke! jab ALLAH usey Neymat bakshta hai tou wo Shukr karta hai aur ispe isko Sawab milta hai aur jab Allah usey Aazmata hai aur uspe Taklif dalta hai tab wo Sabr karta hai aur ispe bhi isko Sawab milta hai.”
Hadees of the Day
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
‟ Tanhaai bure saathi se behtar hai
aur nek saathi behtar hai tanhaai se.
۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya,
“7 tarah ke log hain jinhe Allah Subhanahu Ta’ala Apne (Arsh ke) saaye me panaah dega, unmein se ek wo bhi hai jisne Tanhayi me ALLAH Subhanahu Ta’ala ko yaad kiya aur uski Aankhon se Aansoo jaari ho gaye.”
۞ Hadees: Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Jab tumhe koi shakhs tumhari (kisi kamzor amal) ko buniyad banakar bura bhala kahe, jiska usey ilm hai, tou tum usey us ki aisi baat par bura bhala na kaho jo tumhe maloom hai (lekin logon ko maloom nahi).
pas iska ajar tumhe milega, aur uska wabaal usi shakhs par hoga.”
3 din se Zyada Narazgi Hadees in Roman Urdu | Hadees: “Kisi Musalman ke liye ye Jayez Nahi ki Apne Bhai se 3 Din se Zyada Narazgi ki Wazah se Baat Chit Karna Chhor de.” [Sunan Abu Dawood, Hadith 1483]
Aaj ki Aayat | Verse Of The Day
Allah Ta’ala Farmata Hai:
“Jo Shakhs Allah se Darta hai Allah Uske liye Chhutkare ki Raah Nikaal deta hai.”
Nawwaas (R.A) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Gunaah wo hai jo Tere dil me khatke aur tujhe accha na lage ke logon ko us ki khabar ho”
Hadees Of The Day Hadees: Bhai ke samne Muskura dena bhi Sadqa hai Abu’zar (R.A.) ne kaha ke,Rasool’Allah (ﷺ) ne … Read More
Hadees Of The Day Bechte aur Khareedte wakt Narmi Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: “Allah Ta’ala us Shakhs … Read More
Hadees Of The Day Har Shakhs Khataa karne wala hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya : “Har Shakhs … Read More
Padosi ka Haq Jab Tum Shorba (Salan) PakaoTou Padosiyon ko bhi do ۞ Hadees : Allah ke Rasool (ﷺ) ne … Read More
Meezan me Sabse Bhaari acche Akhlaq Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : Meezan me Sabse Bhaari Cheez Acche Akhlaq … Read More
Usne Iman ki Mithaas ko paa liya Anas (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya : Teen (3) … Read More
✦ Roman Urdu ✦ Hazrate Abu Baqar Siddhik (R.A) farmate hai ke, Maine RasoolAllah (ﷺ) ko yeh irshaad farmate huye … Read More
Jab tumhari Nekiyan Tumhe Khush kare Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Jab tumhari Nekiyan Tumhe Khush kare aur Tumhare … Read More
Quran aur Namaz se Gaflat ka Anjam ۞ HADEES ۞ Aap (ﷺ) ne Khawb bayan karte hue farmaya: “Jis ka … Read More
Jab koi khana khaye to Ungliya Chaat le Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya – “Tum me se koi Shakhs … Read More
Hadees Of The Day Insan ka Pait to Qabr ki Mitti hi bhar sakti hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne … Read More
Hadees Of The Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke –
“Jo Shakhs Acchi Tarah Wuzu kare tou Uske Gunaah Badan se Nikal Jaate hai Yahan tak ki Naakhuno ke Neeche se bhi Nikal Jaate hai.”
Hadees Of The Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke –
“Tum Khana khilao aur har shakhs ko Salaam karo chahe tum usey jante ho ya nahi jante ho.”
Hadees Of The Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke:
“Main Tumhe Aurto ke Baare me Acche Soulook ki Wasiyat karta hu.”
Hadees Of The Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke:
“Koi momin Shohar apni kisi Momina Biwi se Nafrat na kare. Agar Usey Biwi ki Ek Baat Napasand hogi tou Dusri Zaroor Pasand Aayegi.”
Hadees Of The Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke:
“Allah ke Nazdeek (insani) Aabadiyon ka sabse Napasand Hissa unke Bazaar hai.“
Hadees Of The Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke:
“Jism me ek tukda hai jab wo thik rahega tou pura jism thik rahega aur jab wo kharab ho jayega tou pura jism kharab ho jayega.
Soon lo! wo tukda aadmi ka Dil hai.“
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
Allah Taala farmata hai:
“Beshak Jisne Allah ke Saath Shirk kiya Allah Ta’ala ne us par Jannat Haraam Kar di hai aur Uska Thikaana Jahannam hi hai.”