Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai [Hadees Sahih Bukhari 71]

Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai

Hadees of the Day

Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai

Hazrate Muawiya (R.A) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool ( ﷺ) ne farmaya:

“Allah Ta’ala Jis ke Sath Bhalayi ka Irada farmata hai Uss ko Deen ki Samajh de deta hai, Aur Mai to Mehaz Taqseem Karne Wala Hoon.
Deney wala to Allah hi hai

Aur yeh imaan hamesha Allah ke hukm per Qaym rehega
Aur jo shakhs unki Mukhaalifat karega, Unhen Nuqsaan nahi puhancha sakega,
yaha tak ke Allah ka hukm (Qayamat) aa jaye (aur yeh aalam fana ho jaye).”

📕 Sahih Bukhari; Hadees: 71

Read More

5/5 - (6 votes)
Ghusse ki haalat me koi faisla na kare Hadees

Ghusse ki haalat me koi faisla na kare

Hadees of the Day

Ghusse ki haalat me koi faisla na kare

Abd al-Rahman bin Abi Bakrah (R.A) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Faisla karne wala 2 (Aadmiyon ya 2 fareeqon) ke darmiyan gusse ki halat me faisla na kare.”

📕 Abu Dawood 3589

5/5 - (23 votes)
Hadees: Jannat le jane wale amaal

Koun se Amal Hume Jannat Le Jayenge? …

Hadees of the Day

Jannat me le jaane wale Amaal

Abu Ayyub Ansari (R.A) ne bayaan kiya ki,
Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Koi Aisa Amal Bataiye jo Mujhe Jannat me le Jaaye ?

Aap (ﷺ) ne Unn se farmaya –

“Allah Ki Hee Ibadat Karo! aur Uss ke Sath Kisi aur ko Shareek Na karo,
Namaz Qayam karo, Zakaat detey raho,
aur Sila Rehmi karte raho”

Bas Yahi Amaal Tujhe Jannat me le Jayenge..”

📕 Sahih al-Bukhari 5983

Read More

5/5 - (7 votes)
Hadees about Shohrat keliye koi Kaam karne ka Gunaah

Shohrat ke liye koi kaam karne ka Gunaah

Hadees of the Day

Shohrat ke liye koi kaam karne ka Gunaah

Hazrate Jundub (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke:

‟Jo Shakhs Shohrat ke liye koi Kaam karega tou Allah Taala uske Aib Mash’hoor kar dega.”

📕 Bukhari 7152

4.7/5 - (7 votes)
Allah ki Hidayat ko Chupane Wale par Lanat

Allah ki Hidayat ko Chupane Wale par Lanat

Hadees-e-Nabwi (ﷺ)

Allah ki Hidayat ko Chupane Wale par Lanat

Usman (R.A) ne Wuzu kiya tou Ek Shakhs se farmaya,
“Main Tumko Ek Hadees Sunata hu agar Quraan Paak ki Ek Aayat (Nazil) na hoti tou Main ye Hadees Tumko na sunata ke,

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –

“Jab bhi koi Achchi tarah Wuzu karta hai aur Namaz parhta hai tou Uskey Ek Namaz se Dusri Namaz ke parhney tak ke Gunnah muaf kar diye Jaatey hain.”
(Sahih Bukhari; Vol 1, Hadees: 153)

Urwah (R.A) kahtey hain Wo Ye Aayat ye hai –

“Jo Log Allah ki Uss Nazil ki Huyee Hidayat ko Chupatey hain Jo Usney logon ke liye Apni Kitab me bayan ki hai, Un par Allah ki Lanat hai aur (Dusrey) Lanat karney walon ki lanat hai”
(Surah Al-Baqrah 2:159)

5/5 - (4 votes)
Teen (3) Qism ke aadmi aise hain jin ka Zaamin Allah Ta'ala hai Hadees Sunan Abu Dawud-2494-Sahih

3 Tarah ke logo ki Zamanat khud Allah Ta’ala leta hai

Hadees of the Day

Allah ki Zamanat me Rehne Waale log

Hazrate Abu Umamah Al-Bahili (R.A) se riwayat hain ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

Teen (3) Qism ke aadmi aise hain jin ka Zaamin Allah Ta’ala hai:

1. Ek wo jo Allah ke Raaste me Jihaad ke liye nikle,
Allah Uska Zaamin hai ya usey wafaat de kar Jannat me dakhil karega, ya Ajar aur Ganimat ke saath wapas lautayega,

2. Doosra wo Shakhs jo Masjid ki taraf chala,
Allah uska Zaamin hai ya usey wafaat de kar Jannat me dakhil karega, ya Ajar aur Ganimat ke saath wapas lautayega,

3. Teesra wo Shakhs jo apne Ghar me Salam kar ke dakhil hua,
Allah uska bhi Zaamin hai.

📕 Sunan Abu Dawud-2494-Sahih

♥ Subhan’Allah! Allah Ta’ala hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki taufik dey,. Ameen

5/5 - (8 votes)
Hidayat aur Gumraahi ki Dawat ka Silaah

Hidayat aur Gumraahi ki Dawat ka Silaah …

Hadees of the Day

Hidayat aur Gumraahi ki Dawat ka Silaah

Anas Bin Malik (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –

“Jis Daawat dene waale ne bhi Gumrahi ki Daawat di aur Uski Pairwi ki gayee tou Usko Pairwi karne Waalo ke Barabar Gunaah milega aur Pairwi karne waalo ke Gunaah me koi kami nahi hogi.

Aur Jis Daawat dene Waalo ne Hidayat ki taraf Bulaya phir uski Pairwi ki gayi
tou
Usko Pairwi karne Waalo ke Barabar Ajar milega aur Pairwi karne Waalo ke Ajar me kuch Kami Nahi ki jayegi.”

📕 Sunan Ibne Majah; Hadees: 205

4.4/5 - (7 votes)
Gareebo se Muhabbat karo aur un ke saath baitho

Gareebo se Muhabbat karo aur un ke saath …

Hadees of the Day

Gareebo se Muhabbat karo aur un ke saath baitho

Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

“Gareebo se Muhabbat karo aur un ke saath baitha karo.”

📕 Mustadrak 7947

4.9/5 - (71 votes)
Hadees: Lalach aur Buzdili Insan ki sabse buri aadatein hai

Lalach aur Buzdili Insan ki sabse buri aadatein hai

Hadees of the Day

Lalach aur Buzdili Insan ki sabse buri aadatein hai

Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

‟Insan me paayi jaani waali sabse buri aadatein;
intehayi darje ka lalach aur buzdili hai.

📕 Abu Dawood 2511

5/5 - (7 votes)
Ilm ke wapas liye jaane aur utha liye jane se pehle ilm hasil kar lo Hadees

ilm ke utha liye jane se pehle haasil kar lo

Hadees of the Day

ilm ke utha liye jane se pehle haasil kar lo

Abu Umamah (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya:

❝Logo! Ilm ke wapas liye jaane aur utha liye jane se pehle ilm hasil kar lo.❞

📕 Sunan Ibn Majah 228

4.8/5 - (26 votes)
Emanwale Ki Pareshani Door Karne Ka Silaah Hadees

Emanwale ki Pareshani Door Karne ka Silaah

Hadees of the Day

Emanwale ki Pareshani Door karne ka Silaah

Abu Hurayrah (R.A.) riwayat karte hai ki,
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ki –

“Jo Koi Shakhs kisi Imanwale ki Pareshani ko Door karta hai, Allah Qayamat ke Roz Uss Shakhs ki Ghabrahat ko Door farmayega.

Aur Jo koi bhi Shakhs kisi Dusre ki Musibat hal karta hai, Allah Uss Shakhs ke liye Duniya aur Aakhirat ki Mushkeele’n Aasaan bana deta hai.

Aur Allah Apne Bande ki Madad karta Rahta hai Jab tak Wo Banda Apne Bhai ki Madad Karta rehta hai”

📕 Sahih Muslim 6853

Read More

5/5 - (3 votes)
Hadees: Har Nasha Waali Cheez Haraam hai

Har Nasha Waali Cheez Haraam hai

Hadees of the Day

Har Nasha Waali Cheez Haraam hai

۞ Hadees: Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta’ala Tinatah-al-khabaal peelayega

Jabir (R.A.) se riwayat hai ke,

Jaishaan se ek Aadmi Aaya aur Jaishaan Ek Shahar (Town) hai Yeman me, Uss Aadmi ne RasoolAllah (ﷺ) se Uss Sharaab ke Baarey me Puchha ke Jo Unn Elaqon me Pee jati hai aur wo Sharaab jo Taiyaar hoti hai Uss Sharaab ko Mizr kaha jata tha.

Tou RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya “Wo Sharaab Nasha (Intoxicating) waali hai?”

Uss ne Arz Kiya, “Ji Haan!”

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :

“Har Nasha Wali Cheez Haraam hai, Kyon ke Allah Ta’ala ka uss Aadmi ke liye Waada hai ke Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta’ala Tinatah-al-khabaal peelayega.”

Sahaba ne arz kiya: “Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Tinatah-al-Khabaal kya cheez hai ?

Read More

4.9/5 - (7 votes)
Halaal Aur Haraam Sahih Bukhari, Iman Ka Bayan, Hadees 52

Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain …

Hadees of the Day

Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain

Numan Bin Bashir (R.A) se riwayat hai ki,
Mai ne Rasool’Allah (ﷺ) se suna ki –

“Halaal aur Haraam Khula hua hai aur Inn Dono ke Darmiyan kuch Cheezein Shuba (Doubtful) waali hain Jinko bahut se Log nahi jantey.”

*Phir Jisney Apne Aapko Inn Shuba ki Cheezon se bacha liya Usney Apney Deen aur Izzat ko bacha liya.

Aur jo koi In Shuba ki Cheezon me parh gaya uski missal Uss Charwahey ki hai Jo kisi ki Charagah ke Aas-Paas apney Janwaron ko charaye aur Kareeb hai ki Uskey Jaanwar Usmein chale jaye,

*Sun Lo! har Baadshah ki Ek Charagah hoti hai, Allah ki Chaaragah Uski Zameen par Haraam Cheezain hain.

Sun Lo! Badan me Ek Ghosht ka tukda hai Jab Wo Durast Hoga tou Sara Badan Durast Hoga
Aur Agar wo Bigad haya tou Sara Badan bigad gaya aur Wo Tumhara Dil hai.”

📕 Sahih Bukhari, Iman Ka Bayan, Hadees: 52

3.4/5 - (10 votes)
Hadees : Agar tumhare paas 4 Cheezein ho tou

Agar tumhare paas 4 Cheezein ho tou

Hadees of the Day

Agar tumhare paas 4 Cheezein ho tou

Abdullah bin Amr (R.A) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

❝ Agar Tumhare paas 4 Cheezein ho tou duniya ki kisi cheez ke na hone ka afsos nahi hoga: 1) Amanat ki Hifazat, 2) Baat me Sachhai, 3) Achchi Aadate, 4) Pakeeza Rozi.

📕 Shoaib Ul Iman, 5258

4.7/5 - (12 votes)
Allah Taala ne tumpar Maa Ki Nafarmani Tum Par Haraam Ki - Sahih Bukhari; Hadees: 5975

Maa ki Nafarmani Tum Par Haraam ki

Hadees of the Day

Allah Taala ne Tumpar Maa ki Nafarmani Tum Par Haraam ki

Al-Mughira (R.A) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya –

“Allah Ta’ala ne tum par Maa ki Nafarmani Haraam Qarar di hai aur ( walidain ke haqooq ) na dena aur na-haq un se mutalibaat karna bhi haraam Qarar diya hai, aur Ladkiyon ko Zindah dafan karna ( bhi haraam qarar diya hai ) aur Kil wa qail ( fuzool bateen ) kasrat se sawal (Unnecessary Demand) aur maal ki barbadi ko bhi napasand kya hai.”

📕 Sahih Bukhari; Hadees: 5975

: WAJAHAT :

Yaani Allah Ta’ala ne Maa ki Nafrmani aur Betiyonko Zinda Dafnana bhi Haraam Karar kar diya,

– Aur Kisiko na dena Matlab Sadqa-Khairaat na karna aur beja Sawal (Mangna) karna bhi Haraam thehraya,

– Aur Fizul baate karna, Zaroorat se jyada mangna, Maal ko barbad karna Inn Saari baton ko bhi Haraam me Shumar kiya hai.

Ameen ! Allahumma Ameen

5/5 - (3 votes)
Hadees: Bagair Majboori Qarz lene se bacho

Bagair Majboori Qarz lene se bacho

Hadees of the Day

Bagair Majboori Qarz lene se bacho

۞ Hadees: Anas (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke

“(Bagair majboori ke) Qarz lene se bacho, is liye ke Qarz raat mein ranj wa Gham aur din mein Zillat wa Ruswaayi ka Sabab hai.”

📕 Shoaib Ul Iman; Hadees: 5554

Read More

4.9/5 - (8 votes)
Shohar ki Nashukri karna ek tarha ka Kufr hai Hadees

Shohar ki Nashukri karna ek tarha ka Kufr hai

Hadees of the Day

Shohar ki Nashukri karna ek tarha ka Kufr hai

Abdullah Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:

“Mujhe Dozakh dikhai gayi, Maine waha Aurato ko jyada paya, wajah ye hai ki woh kufr karti hai.”

Sahaba-e-Kiram ne Arz kiya –

‘Kya wo Allah ke sath kufr(Shirk) karti hai?’

Aap ﷺ ne farmaya :
‘Nahi! Wo Shohar ki Nashukri karti hai! Jo ke ek tarah ka Kufr hai aur Ahsaan nahi manti,
agar tu kisi aurat se Umar bhar Ahsaan aur Neki ka sulook kare lekin 1 baat bhi Khilafe Tabiyat ho jaye tou jhath se keh dengi ‘Maine tuzse kabhi aaram aur sukoon nahi paya.’

📕  Bukhari Sharif Jild 1, Baab 21, Hadees 28, Safa 109

Read More

4.9/5 - (7 votes)