Gibat Karne ka Gunah aur Azab

♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas Bin Malik (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaaya:
“Jab Mujhe Meraaj Karaayi Gayi tou Mera Guzar Ek Aisi Qaum Par Hua Jin Ke Naakhoon Taambey (Nails of Copper) Ke They Jo Apne Chehron aur Seenon (faces & chests) Ko Chhil (Scratch) Rahey They…”

*Mai Ne Poocha : Aye Jibreel ! Yeh Kaun Hain ?

*Unho Ne Kaha : “Yeh Woh Hai Jo Doosrey Logon Ka Gosht Khaatey (Yaani Gheebat/Back Biting) Aur Unki Izzaton se Kheltey Hain.”
– [Sunan Abu Daawood, Kitaab UL-Adab, Hadees (Saheeh) : 4878]

# Sabaq: Musalmaan Ki Gheebat Karna Ya Choti Satah (level) Ke Musalmano Ki Izzat wa Tauqeer (Sammaan) ko Malhooz (Dhyaan) Naa Rakhna, Sakht Khatarnaak Hai.

Leave a Reply