Darguzar – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Sun, 20 Aug 2023 21:52:41 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Darguzar – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Logo Par Reham Karne ke Fayde https://ummat-e-nabi.com/logo-par-reham-karne-ke-fayde/ https://ummat-e-nabi.com/logo-par-reham-karne-ke-fayde/#respond Thu, 05 Dec 2013 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/logo-par-reham-karne-ke-fayde/ Muaf karo Logon Ko♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! “Jo Ghusse Ko Pee Jaate Hai Aur Doosro’n Ke Kasoor Muaf Kar Dete Hain, Aise Log Allah Ko Bohat Pasand Hain.” – (Surah-Al-Imran 3:134) ♥ Mafhoom-e-Hadees: […]

The post Logo Par Reham Karne ke Fayde appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Jo Ghusse Ko Pee Jaate Hai Aur Doosro’n Ke Kasoor Muaf Kar Dete Hain, Aise Log Allah Ko Bohat Pasand Hain.”
(Surah-Al-Imran 3:134)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Jo Shakhs Kisi Ko Muaf Kar Deta Hai, Usse Allah Ta’ala Izzat se Sarfaraz Karta Hai.
(Muslim Sharif)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Wo Shakhs Jannati Hai Jo Raat Ko Soney Se Pehle Sab Ko Mua’af Ker Ke Soye.

♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Roz Sayyiduna Musaa (Kalimullah Alaihi Salam) Ne Arz Kiya Ke, “Aey Rab! Tere Nazdeek Kaun Sa Banda Zyada Izzat Wala Hai?”
Allah Ta’ala Ne Farmaya – “Wo Jo Badla Lene Ki Kuwwat Ke Ba’wajud (Dushman Ko) Muaf Karde”.
(Sho’abul Iman, Jild-6, Page No.319, Hadith no. 8327)

♥ Qaul-e-Mubarak: Logon Ko Itni Jaldi Muaf Kar Diya Karo Jitni Jaldi Tum Allah Se Muafi Ki Ummid Rakhte Ho.
Hazrate Umar-e-Farooq (RaziAllahu Anhu)

♥ Qaul-e-Mubarak: Agar Tum Badla Lena Chahte Ho Tou Aisa Badla Lo Ke, Saamne Wala Zindagi Bhar Yaad Rakhe, Aur Aisa BADLA ! Muaf Kar Dena Hain.
Hazrate Ali (Razi Allahu Anho)

♥ Qaul-e-Mubarak: Bhookey Ko Khana Kheelana, Hajat-Ravayi Karna, Dushman Ko Muaf Kar Dena Acche Nafs Ki Zeenat Hai.
Hazrate Khwaja Moin-Ud-Din Chitsti (Rahmatullah Alayh)

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Ta’ala hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufk De
Ameen ! Alahumma Ameen

The post Logo Par Reham Karne ke Fayde appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/logo-par-reham-karne-ke-fayde/feed/ 0 15726