Buth – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Tue, 17 Jan 2023 19:59:47 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Buth – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Kya Mushrikeen Bejaan Booto ko Poojte they? https://ummat-e-nabi.com/bejaan-buto-ko-poojte/ https://ummat-e-nabi.com/bejaan-buto-ko-poojte/#respond Tue, 17 Jan 2023 19:58:52 +0000 https://ummat-e-nabi.com/bejaan-buto-ko-poojte/ Kya Mushrikeen Bejaan Booto ko Poojte they?Kya Mushrikeen Bejaan Booto ko Poojte they? Jawaab: Buto ii Haqeeqat Hazrate Ibn-e-Abbaas (R.A) bayaan karte hai. Qaum-e-Nooh (Alaihay Salam) ke Buth (Bad, Suvaa’a, Yagus, Yaooq aur Nasr) Nek Log […]

The post Kya Mushrikeen Bejaan Booto ko Poojte they? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Kya Mushrikeen Bejaan Booto ko Poojte they?

Jawaab: Buto ii Haqeeqat Hazrate Ibn-e-Abbaas (R.A) bayaan karte hai.

Qaum-e-Nooh (Alaihay Salam) ke Buth (Bad, Suvaa’a, Yagus, Yaooq aur Nasr) Nek Log they, Jab Faut ho gaye tou Shaitaan ne Unn ke Qaum ko Gumraah kiya ki ye Nek log jaha baitha karte they waha Batour Yaadgaar Patthar Nasb kar Do aur Unn Pattharo ko Unn ke Naamo se yaad karo.

Chunaanche aisa kiya gaya, Lekin Uss Daur me Unn Pattharo ko Pooja na gaya.

Jab Yeh log marr Ggaye aur baad walo par Jahalat cha gayi, Ilm Jaata raha aur asal baat faramosh ho gayi tou Unn Yaadgaaro ko Poojna shuru kar diya faya.

📕 Bukhaari Sharif, Kitaabut’tafseer

Imaam Ibne Qayyim (R.H) farmaate hai ke,
“Muttad’did Ahle Ilm Aslaaf ka bayaan hai ki, Jab we marr gaye tou pahle ye Log Unn ke Qabro ke Mujaavar baney, phir Un ke Mujassame(Boot) banaaye phir Zamaana-e-Daraaz guzarne par unn ki Ibaadat karne lage.

📕 Fathul Majeed Sharah Kitaabut’tauheed-192

Allaah Ta’ala Mushrikeen ke Maboodo ke baare me Quraan-e-Kareem me farmaata hai,

“Beshaq Tum Allah ke Bajaay Jin ko Pukaarte ho woh tum jaise bande hai.”

📕 Surah Al-A’raaf 7:197

Aur Farmaaya..

“Aur Jab (Qiyaamat ke Din) Log jama kiye Jayenge we (Bandey) Unn ke Dushman ho jayenge aur Unn ke Ibadat ka Inkaar kar denge.”

📕 Surah Al-Ahqaf : 46:6

Allahu Akbar! Allah Taala hume kehne sunne se jyada amal ki toufiq de,

hume tamam kism ke shirk se bachaye,

jabtak hume zinda rakhe islam aur iman par zinda rakhe,

khatma humara iman par ho,

Wa akhiru dawana Alahamdulillahi rabbul aalameen.

Ameen Allahumma Ameen.

The post Kya Mushrikeen Bejaan Booto ko Poojte they? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/bejaan-buto-ko-poojte/feed/ 0 16213
Qasam Sirf Allah Ki Khaye https://ummat-e-nabi.com/qasam-sirf-allah-ki-khaye/ https://ummat-e-nabi.com/qasam-sirf-allah-ki-khaye/#respond Thu, 25 Aug 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/qasam-sirf-allah-ki-khaye/ ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Umar (RaziAllahu Anhu) Ne Bayan Kiya Ki , Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Mere Waalid Umar-Bin-Al-Khattab Ke Paas Aaye Tou Kya Dekha Ki Wo Kuchh Logon Ke […]

The post Qasam Sirf Allah Ki Khaye appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Umar (RaziAllahu Anhu) Ne Bayan Kiya Ki ,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Mere Waalid Umar-Bin-Al-Khattab Ke Paas Aaye Tou Kya Dekha Ki Wo Kuchh Logon Ke Saath Chal Rahe Hain Aur Apne Waalid Ki Qasam Khaate Jaa Rahe Hain.

*Ye Sunkar Aap Ne Farmaya –

“Suno! Allah Paak Ne Tum Logon Ko Apne Baap-Dada Ki Qasmein Khaane Se Manaa Kiya Hai,.. Jisko Qasam Khani Hii Hai Wo Sirf Allah Hii Ki Khaaye Warna Chup Rahe…”

(Sahih Al-Bukhari, Hadith no.6646)

The post Qasam Sirf Allah Ki Khaye appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/qasam-sirf-allah-ki-khaye/feed/ 0 15586
Kiski Itteba Barhaq ? Kitabo-Sunnat ya Aaba-o-Azdad Ki Taqleed ? … https://ummat-e-nabi.com/kiski-itteba-barhaq/ https://ummat-e-nabi.com/kiski-itteba-barhaq/#respond Mon, 14 Mar 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/kiski-itteba-barhaq/ kiski itteba barhaqAksar Jab Logon Se Unke Gairsharayi Amal Ke Talluk Se Pucha Jata Hai tou Wo Kehte Hai ke – “Bhai Hum Tou Falah-Falah Amal, Kunde Ki Niyaz, Qabr-Parasti Aur Digar […]

The post Kiski Itteba Barhaq ? Kitabo-Sunnat ya Aaba-o-Azdad Ki Taqleed ? … appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Aksar Jab Logon Se Unke Gairsharayi Amal Ke Talluk Se Pucha Jata Hai tou Wo Kehte Hai ke –
“Bhai Hum Tou Falah-Falah Amal, Kunde Ki Niyaz, Qabr-Parasti Aur Digar Bebuniyadi Eidey Kayi Saalo Se Karte Aa Rahe Hai, Tou Kya Humare Aaba-o-Azdad Ka Itna Purana Riwaz Galat Ho Sakta Hai ? …

*Yaad Rakhiye Kisi Cheez Ka Puraana Hona Uskey Haq Hone Ki Hujjat Nahi Hoti ,..
– Agar Aisa Hota Tou Hum Sabko “Buthparast” Ban Jana Chahiye ,..
– Kyunki Buthparasti Tou Hazaro Saalo Se Chalti Aa Rahi Hai …

*Balki Humare Liye Haq Tou Wo Hai
Jo Allah Ki Kitaab Aur Uske Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnat Se Sabit Hai ,.. Fir Chahe Koi Ispey Amal Kare Ya Naa Kare,.. Wo Baatey Qayamat Tak Haq Hogi ,.. – @[156344474474186:]

*Agar Ek Fard Bhi Iss Duniya Me Sacche Islam Par Amal Kare Tou Wo Haq Par Hai,.. Aksariyat Aur Aqaliyat Ka Islam Me Koi Taqaza Nahi ,..

*Kyunki Jab Islam Duniya Me Aaya –
– Sirf Ek Shaksh Ke Jehan Me Wo Baat Thi,.. Yaani Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Aur Puri Duniya Aapke Khilaf Khadi Thi ! Majud, Yahud, Nassara Aur Mushrikan-e-Makka Tamam Ke Tamam Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Ajnabiyat Se Dekh Rahe They! Ke Isney Kya Baat Layi Hai ? ,.. Yeh Tou Humare Aaba-o-Azdad Ke Deen Ke Khilaf Ja Raha Hai ,..

*Tou Ek Fard-e-Wahid Ke Jehan Me Wo Cheez Hai Jisko Islam Hum Samjhtey Hai, Waha Se Deen-e-Tawheed Ka Parcham Rabbul Izzat Lehrata Hai ,.. Tou Agar Aqaliyat Aur Aksariyat Ka Koi Taqaza Hota Tou Usi Wakt Islam Khatm Kar Dena Chahiye Tha Allah Ne,.. “Kyunki Duniya Ki Aksariyat Tou Puri Shirk Me Mulawwis Thi …”

*Tou Shairyat Me Koi Aksariyat Aur Akliyat Ka Taqaza Nahi ,
– Naahi Kisi Cheez Ka Purana Hona Uski Haq Hone Ki Daleel Hai ,..

*Balki Shariyat Me Tou Yeh Hai Ke ? “Daleel Kis Cheez Ki Hai ?”
– Allah Ki Kitaab Aur Uske Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnat Se Sabit Hai Tou Bus Wo Baat Durust Hai, Aur Agar Sabit Nahi Tou Uss Baat Ko Chorr Dijiye Allah Ke Liye ,.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
*Allah Taala Hume Haq Sun’ne Samjhne Aur Uspey Amal Karne Ki Taufiq Dey …
*Hume Kitabo-Sunnat Ka Muttabey Banaye ,..
*Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
*Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Mohammad Salim

The post Kiski Itteba Barhaq ? Kitabo-Sunnat ya Aaba-o-Azdad Ki Taqleed ? … appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kiski-itteba-barhaq/feed/ 0 17565