Hamesha Allah ki Neymato ka Shukr Ada karte rehna (Waqia Ibrahim & Ismail Alahi Salam)

Hajra (Alaihay Salam) ke Inteqal ke baad jab Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) apne bete Ismayil (Alaihay Salam) se mulaqat ke liye aaye tab Unhe maloom hua ke Ismayeel (Alaihay Salam) Ka Nikaah, Makkah Me Hi Rahne Wali Ek Khatoon (Aurat) Se Ho Gaya. Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Jab Ghar Par Ja Kar Dastak Di Tou UnKi Bahu Se Mulaaqat Huyee. Unki Bahu Ne Unhe Pahechana Nahi Ke Ye Mere Sasur (Father In Law) Hai. KyonKi Woh Unhe Paheli Baar Dekh Rahi Thi. Ibrahim (Alaihay Salam) ne apne bete Ismayeel (Alaihay Salam) Ke Baare Me Pochaa Tou Unki Bahu Ne Jawaab Diya Ki, “Woh Ghar Par Nahi Hai, Jungle Gaye Huve Hai Kisi Kaam Se”.

*Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Poocha, “Aap Log Khair Khairiyat Se To Ho? Aur Aap Logo Ka Guzar-Basar Tou Achchi Tarhaa Se Ho Raha Hai?”
Is Par Unki Bahu Ne Shiqwaa Aur Shiqaayat Bhare Laheze Me Kahaa, “Ham Logo Ke Ghar Me Bahut Tangi Hai, Aur Guzaara Bhi Badi Mushkil Se Hota Hai”.

Apni Bahu Ke Muhh Se Ye Baate Sun Kar Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Abhi Tou Main Waapas Ja Rahaa Hoon. Aur Jab Bhi Ismayeel (Alaihay Salam) Aaye Toh Unse Kehana Ki, “Aap Ke Waalid (Father) Aaye They Aur Aap Ke Liye Ek Paigaam (Message) De Gaye Hai Ki, Tumhaare Ghar Ki Chaukhat (Door Frame) Achchi Nahi Hai, Isey Badal Dalo!,..”
Jab Ismayeel (Alaihay Salam) Jungle Se Waapas Aaye Tou Unki Biwi (Wife) Ne Unhe Unke Waalid (Father) Ka Paigaam (Message) Suna Diya, Aur Fir Khud Hi Kahaa Ki, “Aap Ke Waalid Ne Ghar Ki Chaukhat (Door Frame) Badalne Ke Liye Kyon Kahaa ? ,. Hamaare Ghar Ki Chaukhat Tou Achchi Hai”.

*Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) Jo Ki Apne Waalid Ke Paigaam Ka Matlab Samajh Gaye They, Apni Biwi Se Kahaa Ki, “Mere Waalid Ne Tumhe Badalne (Talaak Dene) Ke Liye Kahaa Hai, Ghar Ki Chaukhat Se Muraad Tum Ho”.
Aur Ismayeel (Alaihay Salam) Ne Apni Paheli Biwi Ko Talaak De Diya. Aur Kuch Arshe Ke Baad Duri Khatoon (Aurat) Se Nikaah (Shaadi) Kar Liya. Fir Kuch Arshe Ke Baad Dubaara Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam), Apne Bete Ismayeel (Alaihay Salam) Se Milne Makkah Shareef Aaye. Is Baar Bhi Jab Ghar Ke Darwaaze Par Dastak Di Toh, Unki Dusri Bahu Se Mulaaqat Huyee. Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Un Se Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) Ke Baare Me Poocha. Woh Dusri Bahu Bhi Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Nahi Pahechaanti Thi, Kyon Ki Woh Bhi Unhe Paheli Baar Dekh Rahi Thi, Uss Ne Jawaab Diya Ki Ismayeel (Alaihay Salam) Tou Kuch Kaam Se Jungle Gaye Huve Hai.

*Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Apni Bahu Se Poocha, “Aap Log Khair Khairiyat Se Tou Ho? Aur Aap Logo Ka Guzar-Basar Achchi Tarhaa Se To Ho Rahaa Hai ?”.

Is Par Dusri Bahu Ne Jawaab Diya, “Alham-Du-Lillah. Allah Ta’ala Ka Shukr aur Ahesaan Hai”.
Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Jab Apni Bahu Ke Muhh Se Ye Baate Suni To Kahaa, “Abhi To Main Waapas Ja Rahaa Hoon, Jab Bhi Ismaayeel Ghar Wapas Aaye Tou Unse Kehna Ki, “Aap Ke Waalid (Father) Aaye They Aur Aap Ke Liye Ek Paigaam De Gaye Hai Ki, “Aap Ke Ghar Ki Chaukhat (Door Frame) Achchi Hai, Ise Sambhal Kar Hifaazat Se Rakhna”.

*Jab Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) Jungle Se Waapas Aaye Tou Unki Dusri Biwi Ne Unhe Unke Waalid Ka Paigaam Suna Diya. Apne Waalid Ka Paigaam Sunkar Ismayeel (Alaihay Salam) Ne Apni Dusri Biwi Se Kahaa, “Mere Waalid Tum Se Khush They, Aur Tumhe Izzat, Ahetaraam Aur Mohabbat Se Rakhne Ke Liye Kahaa Hai”.
Ref: You can read about Ismail (alayhis salam) and his father in Sahih al-Bukhari IV: 583-584 and in the Qur’an 2:125-129.

Aziz Dosto, Hame Har Haal Me Allah Ka Shukar Adaa Karna Chahiye. Uski Neymato Ki Na-Shukri Nahi Karna Chahiye. Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ki Paheli Bahu Ne Allah Ta’ala Ki Na-Shukri Ki Thi, Isi Liye Aap Ne Apne Bete Ko Usey Talaak Dene Ke Liye Kahaa Tha. Jab Ki Dusri Bahu Ne Allah Ta’ala Ka Shukar Adaa Kiya Tou Aap Ne Apne Bete Ko Uss Se Pyar Mohabbat Aur Ahetraam Se Pesh Aane Ke Liye Kahaa.

*Dosto Na Shukri Karne Wale Ko Allah Ta’ala Pasand Nahi Farmaata, Isiliye Apne Rab Ke Shukr Guzaar Bande Bano, Aur Uss Ki Neymato Ka Har Waqt Shukriya Adaa Karte Raho, Jis Se Tumhaari Rozi Roti, Kaam-Dhande, Aulaad Aur Maal-O-Zaar Me Barqat Rahegi. Allah Ta’ala Ham Sab Ko Apna Shukr Guzaar Banda Banaaye. !!!!! Aameen !!!!! Ya Rabbul Alameen !!

Leave a Reply