♥ Mafhoom-e-Hadees: Ibne Abbaas(RaziAllahu Anhu) Riwayat Karte Hain Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Mujhe Farmaya –
“Aye Ibne Abbaas ! Jab Tum Quraan Padho Tou Iss Ko Thehar Thehar Kar
Aur Alfaaz Wa Huroof Ko Khub Wazeh Kar Ke Padha Karo,
Iss Ko Raddi Khajoor Ke Bikherne Ki Tarha Na Bikher Diya Karo
Aur Na Hi Isey Jaldi Se Sha’ar (Shairi Ke Andaz Me) Goee Ki Tarha Padha Karo,
Iss Ke Ajaaibaat Par Tawaqquf Kiya Karo ,
Aur Iss Ke Zarye Apne Dilon Ko Harkat Diya Karo ,
Aur Tum Me Se Kisi Ka Bhi Irada Sirf Aakhri Surat Tak Pahonchne Ka Nahi Hona Chahiye
(Ke Jald Poora Quraan Ho Jaae BalKe Iss Ko Gaur Wa Fikr
Aur Tadbir Ke Saath Padha Karo)”.
– (1-Baihaqi’ Al Sanan Al Kubra’ 3:13, Hadees No 4492)
– (2-Baihaqi’ Shabul Emaan’ 2:360, Hadees No 2042)