Rab Ki Ibadat Me Kisi Dusre Ko Shareek Na Kare ….

♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Beshak Jo Emaan Laaye Aur Nek Kaam Kiye, Firdous Ke Baaghat Unki Mehmaani Ke Liye Honge,
Hamesha Ussi Me Rahenge, Wahan Se Woh Dusri Jagah Jaana Na Chahenge,
Aap (Nabi Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmaa Dijiye Ke Agar Mere Rab Ki Baate Likhne Ke Liye
Samundar Siyaahi Ho Tou Samandar Khatam Ho Jaayega Iss Sey Pehle Ke Mere Rab Ki Baate Khatm Ho,
Agar Uss Samandar Ki Tarah Ek Aur Samandar Uski Madad Ko Hum Le Aayen,
Aap Farma Dijiye Ke Mai Tou Tumhaari Tarha Ek Bashar Hoon.
Meri Taraf Allah Ki Yeh Wahi Aati Hai Ke Tumhaara Mabood Ek Hi Mabood Hai,
Tou Jo Apne Rab Se Milne Ki Khwahish Rakhta Hai Tou Usko Chahiye Ke Nek Aamal Kare,
Aur Apne Rab Ki Ibadat Me Kisi Dusre Ko Shareek Na Kare”.
(Surah Kahf; Aayat No: 107-110)

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: