Shok Ki Muddat ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Kisi ImanWale Ke Liye Halaal Nahi Ke (3) Teen Din Se Jiyadah Shok (Ghum) Kare,
Sirf Bewa Aurat Ke Siva, Ke Uske Shok (Ghum) Ki Muddat Char (4) Mahine Das (10) Din Hai,..”

(Bukhari Sharif, Tirmizi Sharif, Tohfa-e-Najat Part-11 Page-49)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Abbas (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:
“Jo Mooh Par Tamache Marey, Kapdey Fadey,
Aur Jaahil Logo Ki Tarah Chilla Kar Roye Wo Hum Me Se Nahi..”

(Bukhari Sharif, Muslim Sharif, Tohfa-e-Najat Part-11 Page-50)

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: