Sunnat Ki Ahmiyat : Part 12

RasoolAllah (ﷺ) ka Muqaam:

Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka Muqaam kya hai Iss baarey me Quraan me Allah Rabbul Izzat Ek aur Jagah farmata hai ke –

۞ Al-Quraan ۞

Tou Qasam hai tere Rab ki! (Allah Apni Qasam kha kar kehta hai) Yeh Log Imaanwale Nahi ho Saktey Jab tak ke Apne Tamam Ikhtelaaf me Aap (ﷺ) Ko Haaqim Na bana ley. aur Jo Faisla Aap (ﷺ) suna dey usko tasleem (qabool) na karey tab tak ye log Imaanwale nahi ho saktey.

Surah Nisa 4:65

Tou Koi Shakhs Apne Aapko Imaanwala Kahe Aur RasoolAllah (ﷺ) ke Tareeke pe Naa chaley tou Fir Yaad Rakhiye ke Allah ne Apni Qasam kha ker farmaya Ke Wo Shakhs Imaanwala Nahi Ho Sakta.

Phir Wo Shakhs Chahey Kitna Hi Dawa Kare Musalman Hone Ka, Lekin Rab ke Nazdeek Wo Imanwala Nahi Ho Sakta Jo Apne Tamaam Ikhtelafat Me RasoolAllah (ﷺ) Ko Haakim Na Manta Ho..

RasoolAllah(ﷺ) Ki Nafarmani ka Anzaam:

Aayiye Gour Karte Hai Ispar Ke Rabuul Izzat Iss Talluk Se Kya Bayan Fermata Hai?

۞ Al-Quraan ۞

Ke kisi Momin Mard aur momin Aurat ke liye Jayaz nahi hai ke Jab Allah aur Uskey Rasool koi baat ka faisla kar de Unmey tou wo kisi kism ki Apni raay rakhe uss faisley me. Agar jisne aisa kiya ke Allah aur uske Rasool ka faisla aaney ke baad apni raay rakhi wo khuli gumraahi me jaa fansa.

Surah Ahzab 33:36

Tou Iss Aayat me Allah Rabbul Izzat Ne Wajahat farma di ke Allah aur Uskey Rasool ki Baat ko Chorna, Sunnat ko tark karna jayaz nahi hai. aur jo aisa kare wo khuli Gumraahi me ja fansa.

Aagey Dekhte hai ke: Jo Log Ita-ate Rasool Ko Chorr Detey Hai Unko Allah Rabbul Izzat ne Fasiq kaha aur Youn Farmaya:

۞ Al-Quraan ۞

“Aye Nabi (ﷺ) Aap keh do Insey, ke kya tumhare Baap-Dada, tumhare bhai, tumhari Biwiya, tumhare kunbey aur kabiley wale aur jo Maal tumne kama rakha hai aur wo tijarat jiske girne (nuqsaan) se tum darte ho, wo ghar jo tumne acche achhey bana rakhe hai, ye sab kya tumhe Allah aur uske Rasool se jyada mehboob hai?
Agar aisa hai tou fir intezaar karo Allah ke Azaab ka. Allah jab tak apna Azab na laa dey.
aur Allah fasiq qoum ko Hidayat nahi deta.”

Surah Tauba 9:24

Tou Rabbul Izzat ne Fasiq Kaha Unn Logon Ko! Jo RasoolAllah (ﷺ) ki Baat na Maney.

To be continued …


Leave a Reply