Sana’ati Aalaat Ke Kin Baaton Par Zakat …..

» Mas’la : Sana’ati Aalaat (Kaam Karne Ke Machine) Aur Machinery Ki Asal Qeemat Par Zakaat Nahi Aati.
Lekin Unki Aamdani (Income) Agar Zakaat Ke Nisaab Ko Puhnch Jaaye Aur Uss Par Saal Guzar Jaaye Tou Uss Se Zakaat Nikaalna Zaroori Hoga
Aur Yahi Hukm Kiraaye (Rent) Par Diye Gaye Makaan (House), Dukaan (Shops) Aur Car/Taxi (Vehicles) Wagerah Ka Hai Ke Unki Asal Qeemat Par Zakaat Nahi Aati, Lekin Kiraaye Par Zakaat Aayegi.
Iss Shart Ke Sath Ke Ye Nisaab Ko Pohnoch Jaaye Aur Uss Par Saal Guzar Jaaye Tou Uska 2.5% Yaani 40wa Hissa Ada Karna Hoga.
(Jadid Masail)

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: