Sahaba-e-Kiram (RaziAllahu Anhu) Ki Shaan ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas Bin Malik (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
*Meri Ummat Me Sabse Zyada Reham Dil Abu Bakr (RaziAllahu Anhu) Hai,
*Aur Unme Se Allah Ke Deen Ke Bare Me Sabse Zyada Sakht Umar (RaziAllahu Anhu) Hai,
*Hayaa Ke Aitbar Se Sabse Sacchhey Usman (RaziAllahu Anhu) Hai,
*Aur Sabse Achcha Faisla Karne Waale Ali Ibne Abu Talib (RaziAllahu Anhu) Hai.

*Allah Ki Kitab Ko Sabse Umdah Padhne Waale Ubai Bin Ka’ab (RaziAllahu Anhu) Hai,
*Aur Sabse Zyada Haraam Aur Halaal Se Waqif Muadh Ibn Jabal (RaziAllahu Anhu) Hai,
*Faraiz Me Sabse Zyada Waqif Zayd Ibn Thabit (RaziAllahu Anhu) Hai,

*Aur Khabardar Har Ummat Ke Liye Ek Ameen Hota Hai,
Aur Iss Ummat Ke Ameen Abu Ubaidah Ibne Al-Jarrah (RaziAllahu Anhu) Hai”.
(Sunan Ibne Majah : Jild-1, Hadith no.154)

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: