♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Umar (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
“Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Azad Ghulaam, Mard, Aurat aur Har Chotey Badey Musalman Per 1 Saa Khajoor Ya 1 Saa Jo’bator Sadqa Fitr Ada Kerna Farz Kia hai aur Isey Logon ke Namaz-e-Eid Ke Liye Nikalne Se Qabl Adaa Kerne ka Hukm Diya.”
– (Sahih Bukhari, Hadith no. 1503)
# Note: (1 Saa) 2.5kg Banta Hai. Maujudah Dour me Aata, Makai, Chawal Istimal Hotey hai, Lihaza Inn me se Sadqa Fitr Ada Kiya Ja Sakta hai.
♥ Mafhoom-e-Hadees: Ibn-e-Abbas (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
“Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne “Sadqa-e-Fitra” Farz Kiya Hai (Jiska Ek Maqsad) Rozeydar Ke Rozey Ko Behoodgi Aur Fahash Kalami Se Paak Kerna Hai, Aur (Doosra Maqsad) Gurba-O-Masakeen Ki Khoraak Aur Deegar Zaroriat Ka Intizaam Hai.”
– (Abu Dauod, Hadith no. 1609)
For more Islamic messages kindly download our Mobile App