♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Saadagi Yakinan Emaan Ka Hissa Hai.”
– (Abu Dawood P:573)
» Khuraak, Poshaak, Samaan Zindagi, Rahen Sahen Har Cheez Me Bejaa Taklefaat Se Bachna
– Aur Zindagi Ke Har Shobe Me Sadagi Rakhna Ye Bahut Hi Pyaari Aadat Aur Nihat Hi Nafees Khaslat Hai.
– Sadaa Zindagi Me Ameer Ho Ya Faqeer Har Jage Har Haal Me Rahat Hi Rahat Hai,
– Yehi Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Aur Aap Ki Muqaddas Biwiyao Ka Wo Mubarak Tariqa Hai Jo Tamaam Duniya Ke Mardao Aur Aurtao Ke Liye Misaal Raha Hai,
– Har Musalman Mard Wa Aurat Ko Chahiye Ke Saadgi Ki Zindagi Basar Kar Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Iss Sunnat (Saadgi) Karima Per Amal Kare ..
– Aur Duniya Wa Aakhirat Ki Rahatao Ki Sa’adatao Se Sarfaraz Ho.
– (Jannati Zewar – Safa 97)