♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Ayesha Siddiqa (R.A) fatmaati hain –
“Ek (1) Shakhs ne Nabi-e-Kareem (ﷺ) se Milna Chaha, Tou Aapne farmaya ke Isko Aaney Do Ye Logon me bahut buraa hai.
*Jab Wo Aaya tou Rasool’Allah (ﷺ) ne Uss se Bahut Khush Akhlaaqi se (Bahut Acchi Tarah) Baat Ki ,..
*Jab Wo Chala Gaya Tou Hazrate Ayesha (Razi’Allahnu Anha) ne farmaya Ke –
“Aap Tou Uske Baare Me Aesa-Aesa Bata Rahe They, Tou Phir Aap Uss Se Khush Akhlaaqi Se Kyo Mile ?”.
*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke –
“Aapne Mujhe Kab Kisi Ko Bura Bhala Kehte Suna Hai ? …
Beshaq Qayamat Ke Din Logon Me Sab Se Burey Wo Log Hongey
Jo Logon Se Milna Chhod De Unki Burayi Ki Wajah Se”.
– (Muttafaq Alaih, Mishkat#412 : @[156344474474186:])
# Sabaq: Tou Beharhaal ! Hum Par Lazim hai Ke Insan Ki Buraai Se Nafrat Karey! Uss Insan Se Nahi Jo Buraa Hai Aur Koshish Karte Rahe Ke Usey Acchaai Ki Daawat De Sakey..
Kyunki Agar Hum Kisi Burey Insan Se Mahaj Isliye Kinara Kar Ley Ke Wo Bura Hai Tou Usey Deen Ki Daawat Dena Humhare Liye Mushkil Hai ,..
Lihaza Apne Kirdar Ko Hukooq-Allah Aur Sunnat-e-Nabwi Par Amal Karte Hue Itna Buland Kare Ke Kisike Burayi Ka Hum Par Jarra Barabar Bhi Asar Na Ho Balki Humhari Acchiyion Ko Dekh Wo Log Bhi Kitabo Sunnat Ki Pakiza Shairayat Ki Taraf Raghbat Paye Jo Log Deen Se Bekhabar Aur Gumrahi Me Hai..
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
!!! Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq De !!!