Sab Rozo me Afzal Ramzan ke Baad Muharram ke Roze ki Fazilat

Hadees of the Day

Muharram ke Roze ki Fazilat

Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya

“Sab Rozo me Afzal Ramzan ke baad Muharram ke Roze hain, Jo Allah ka Mahina hai aur Baad Namaz-e-Farz ke Tahajjud ki Namaz hai.”

📕 Sahih Muslim, Vol-3, 2755

Dekhe: Muharram / Ashure Ka Roza aur Uski Fazilat


۞ Ramzan ke baad sabse ziyada fazilat wale Roze

Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,
Ek Sahaabi RasoolAllah (ﷺ) ki khidmat me
hazir hokar Arz karney laga ki:
Ramzan ke baad sabse ziyada fazilat kaun se rozo ki hai?

Tou Aap (ﷺ) ne farmaya
“Allah ka Mahina Jisey tum Muharram kahte ho.”

📕 Sunan Ibn Majah, Vol-1, #1742 (Sahih)

Leave a Reply