♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
*Roza Dozakh (Hell) Se Bachne Ke Liye Ek Dhaal Hai ,Isliye (Jo Rozedar Ho) Wo Na Tou Biwi Se Humbistari Karey Aur Na Fahash (Buri) Aur Jahalat Ki Batein Kare
*Aur Agar Koi Shakhs Uss Se Ladey Ya Usey Gaali De Tou Uske Jawaab Me Sirf Ye Kehna Chaahiye Ki Mai Rozedar Hun, Do (2) Baar (Kahey).”
*Uss Zaat Ki Qasam Jiske Haath Me Meri Jaan Hai,
Rozedar Ke Munh Ki Bu Allah Ke Nazdeek
Mushk Ki Khushbu Se Bhi Zyada Pasandeeda Aur Pakeeza Hai.
*(Allah Farmata Hai) Banda Apna Khana Peena Aur Apni Shahwat
Meri Liye Chorrta Hai, Roza Mere Liye Hai Aur Mai Hi Iska Badla Dunga
Aur Nekiyon Ka Sawaab Bhi Asal Neki Ke 10 Gunaa Hota Hai”
(Dusri Hadeeso Me 70 Guna Bhi Aaya Hai).
– (Sahih Bukhari, Vol 3, Hadith no. 1894)
# Sabaq: Roze Ki Fazilat Beshumar Hai, Lihaja Hum Par Laazim Hai ke Wo Buri Aadato Se Apne Rozo Ki Hifazat Kare, Aur Allah Rabbul Izzat Ki Khushnudi Ke Saath Ramzan-Ul-Mubarak Ke Roze Ke Faraiz Par Amal Kare.