♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Amra Binte Aburrahman Wa Hazrate Ali (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Raja’at Yaani Doodh Ke Rishte Se Bhi Wohi Rishte Haraam Ho Jaatey Hai
Jo Wiladat Se Haraam Ho Jate Hai”.
– (Bukhari Sharif : Jild-3, Page-62; Tirmizi Sharif : Jild-1,Page-587)
• Note: Yaani Jisney Bachpan Me Kisi Aurat(Daayi Maa) Ka Doodh Piya
Tou Uss Se Maa Ka Rishta Ho Jata Hai Ab Uski Beti, Bahen Hai Tou Uss Se Nikah Haraam Hai.
» Hazrate Abdullah Ibne Abbas (RaziAllahu Anhu) Ne Imaam Bukhari (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Kiya Ki,
“Chaar (4) Se Zyada Biwiya Issi Tarah Haraam Hai Jaise Aadmi Ki Apni Beti Aur Bahen Se Nikah”
– (Bukhari Sharif: Jild-3, Page-64)
♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
» “Haraam Huyi(Nikah Ke Liye) Tum Par Tumhari Maa, Betiya, Behne Aur Fufiya,
Khalaye, Bhatijiya, Bhanjiya Aur Tumhari Maa Jinhone Dudh Pilaya Aur Dudh Ki Behne, Aurato Ki Maaye”.
– (Surah Nisa: Aayat-23)
» “Aur Mushriko Ke Nikah Me (Apne Bete Ya Beti Ko) Na Do Jab Tak Woh Emaan Na Laye.”
– (Surah Bakar: Aayat-221)
» “Aur Shirk Waali Aurato Se Nikah Na Karo Jab Tak Woh Musalman Na Ho Jaye”.
– (Surah Bakar: Aayat-221)