Reham karne ki Fazilat

Reham karne ki Fazilat

Reham Karne Walo Par Allah ki Rehmat

Abdullah Ibn Amr Ibn Al-As (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –

“Reham Karne Walo par Rehmaan bhi Reham farmata hai, Tum Zameen Walo par Reham Karo, Tum Par Wo (Allah) Reham karega Jo Aasmaan me hai.”

📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 1504


Jo Reham nahi karega, Allah uspar Reham nahi karega

Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,
Al-Aqra-bin-Habis (R.A) ne dekha ki, RasoolAllah (ﷺ) Hazrate Hasan (R.A) ko Pyaar kar rahe they,
tou Wo Bola “Mere 10 Bacchhe Hain aur Maine Unmey se kisi ko Pyaar nahi kiya.”

Tou Aap (ﷺ) ne farmaya –

“Jo Reham Nahi Karega (Apney Bachcho Ya Logon par) tou Allah bhi Uss par Reham nahi karega.”

📕 Sahih Muslim, Hadees 6029


Allah ki Rehmat ke liye Bando par Reham kare

Bando par reham ki fazilat hadees in hindi

Jarer bin (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –

“Jo Shakhs Bando par Reham nahi karega,
Allah Ta’ala Uss par Reham nahi karega”.

📕 Sahih Muslim, Hadees 6030


Agar Allah ne Tumhare Dil se Reham nikal diya:

Hazrate Ayesha (R.A) se riwayat hai ke,
Ek Dehati RasoolAllah (ﷺ) ki Khidmat me Haazir hua aur kaha –

“Aap Log Bacchon Ko Bosa (Kiss) Kartey hain, Lekin Hum tou Inhein Bosa (Kiss) nahi Kartey”,

Tou Aap (ﷺ) ne farmaya –

“Ager Allah ne Tumhare Dil se Reham Nikal diya hai tou Mai Kya kar sakta hoon.”

📕 Sahih Bukhari, Kitab-Ul-Adab, Hadees 5998

Leave a Reply