♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Mai Momeeno Ka Khud Unse Ziyada Haqdar Hu, Unme Se Jo Koi Qarzdaar Marega Aur Adayeegi Ke Liye Kuch Na Chorhega Tou Hum Par Uski Adayeegi Ki Zimmedari Hai Aur Jisne Koi Maal Chorha Hoga Tou Wo Uske Warison Ka Hissa Hai”.
– (Sahih Bukhari Volume 008, Book 080, Hadith no. 723.)
♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Nabi Momino Par Unki Jaano Se Bhi Ziyada Haq Rakhte Hai
Aur Nabi Ki Biwiyan Unki (Ummat Ki) Maa Hai”.
– (Surah Al-Ahzab, Ayat#6)