♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Ibn-e-Umar (RaziAllahu Anhu) Farmate Hai Ki,
Mai Jo Kuch Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Sunta Tou
Yaad Rehne Ki Garaj Se Usey Likh Liya Karta Tha,..
Quraish Ne Mujhe Manaa Kiya Ki Har Baat Jo Tum Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Sunte Ho Likh Lete Ho !!!
Huzoor-e-Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Mooh Mubarak Se Bashariyat Ki Wajah Se Kabhi Gusse Ki Haalat Me Kuchh Nikal Jaata Hai, Yeh Sunkar Me Likhne Se Ruk Gaya, Aur Ye Baat Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Keh Di,..
Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Apne Mooh Mubarak Ki Taraf Ungli Se Ishara Karke Farmaya –
“Beshak Likho Ki !! Iss Mooh Se Har Haal Me Jo Bhi Nikalata Hai Haq Hi Nikalata Hai”.
– ( Abu Dawood, Jild-1, Safaa- 257)
# Sabaq: Afsos ! Ke Aaj Hum Apni Zubaan Se Gandi-Gandi Baatein Nikalatey Hai Aur Phir Apne Aapko Rasool’Allah (Salallaho Alayhe Wasallam) Ka Ummati Hone Ka Daawa Karte Rehte Hai.
♥ Allah Ta’ala Hum Tamaam Ko Raahe-e-Rast Ikhtiyar Karne Ki Toufiq Ata Farmaye. !!! Ameen !!!