Rashk Kin Insano Par Hona Chahiye ? ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
Rashk Do Hi Insano Par Hona Chahiye –
∗ (1). Jise Allah Ne Quraan Ka Ilm Diya Aur Wo Iss Ke Sath Raat Ki Gehrayion Me Khada Ho Kar Namaz Parhta Raha.
∗ (2). Jise Allah Ne Maal Diya Aur Wo Mohtajon Par Din Raat Khairat Karta Raha.
(Bukhari : Hadees-5025, Kitab-Fazaile Quran : Bab-Quran Parhne Wale Par Rashk Karna Jayaz Hai)

• Note : Koi Neymat Dekh Kar Ye Khayal Paida Ho Ke Ye Neymat Uss Ke Paas Bhi Rahe Magar Mujhe Bhi Mil Jaaye! Isey Rashk Kehte Hai. Aur Ye Jaiz Hai.

5/5 - (1 vote)

Leave a Comment