✦ Mafhum-e-Hadith:
Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –
“Ramzan ke Mahine me Umrah karna Hajj ke barabar hai.”
– Sunan Nasaii, Vol2, 21 – Sahih
Subhan’Allah ! Gour karne wali baat hai ke Ramzan ka Umraah Hajj ke barabar sawab deta hai. Lekin yaad rahe ye Hajj ko saaket nahi karta, Hajj ko exceptional nahi kar deta ke Hajj ke badle ab hum Umrah hi karenge. Aisa bilkul bhi nahi hai. Lekin uske barabar Azar aur Sawab deta hai.
Tou Allah ne jisko Maalo Daulat ke fazl se nawaza ho wo jarur is Mahine me umrah ki koshish karey.