♥ Ramzan-Ul-Mubarak Ka Mahina Allah Ta’ala Ki Rehmaton Ka Khazana Hain, Jitni Bhi Aasmaani Kitaabe Nazil Hui Sab Ki Sab Ramzan-Ul-Mubarak Me Nazil Hui! Tauraat, Zaboor, Injeel, Quraan-e-Kareem Ya Jo Sahife Nazil Hue!
Isliye Yeh Mahina Allah Ta’ala Ki Khaas Rehmato Ka Mahina Hai!
… Uski Rehmaton Ki Inteha Dekhiye Ki Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jo Nabi-e-Rehmat Hai Wo Bhi Iss Mahine Ke Aaney Ka Intezar Farmate They!
♥ Mafhoom-e-Hadees: Issliye Ek Dua Aap (Sallallahu Aalihi WaSallam) Ne Irshad Farmayi –
“Allah Humey Rajjab Aur Shabaan Me Barkat Ata Farma Dey Aur Khairiyat Se Humey Ramzan-ul-Mubarak Tak Pahucha!”
– (Shu’abul-Iman, Hadith: 3534)
*Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jis Mahine Tak Pahuchney Ki Tamanna Farmatey Ho Uss Mahine Ki Barkat Ka Andaza Tou Isi Se Bhi Lagaya Ja Sakta Hain! …
For more Islamic messages kindly download our Mobile App