Raaii Ke Daane Barabar Emaan Wala Bhi Dozakh Se Aazad Kar Dia Jayega

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Said Al-Khudri (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Jab Ahal-e-Jannat Jannat Me Aur Ahal-e-Jahannam Jahannam Me Dakhil Ho Jayengey
Tou Allah Ta’ala Farmayega Ki – ‘Jiskey Dil Me Raaii Ke Daaney Ke Barabar Bhi Emaan Ho Tou Usey Dojakh Se Nikal Lo, Aur Uss Waqt Wo Log Nikaal Liye Jayengey Jo Jalkar Koyele Ki Tarah Ho Gaye Hongey,
– Uskey Baad Unhey Nahar-e-Hayat Me Daala Jayega Jiski Wajah Se Wo Iss Tarah Tar-O-Taaza (Fresh) Ho Jayengey Jaisey Sailab Ki Jagah Par Kachrey Me Se Daana(Seed) Ugg Jata Hai’,

*Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
‘Kya Tumney Dekha Nahi Ki Uss Daaney Ki Jagah Zard Rang Ka Lipta Hua Barounaq
Poudha (Small Plant) Ugg Jata Hai!”.
(Abu Dawud Book 027, Hadith No. 4080.)

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: