♥ Mafhoom-e-Hadees: Farman-e-Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Hai Ke –
‘Jo Shakhs Logon Se Sawaal Kare (Bila Jarurat Mange),
Halaaki Na Usey Faaka(Gareebi) Pahucha, Na Itne Baal-Baache Hai Jin Ki Taqat Nahi Rakhta Tou
Qayamat Ke Din Iss Tarah Aayega Ki Uss Ke Muhh Par Ghost Na Hoga’.
– (Shoebul Emaan, Jild: 3, Saafa: 274, Hadees-3526)
# Note: Mehnat Ki Quwwat Rakhne Walo Ke Liye Jayaz Nahi Ke –
Wo Bila Jarurat Logon Ke Aagey Hath Failaye.
Balki Sawal Karna Sirf Unn Logon Ke Liye Jayaz Hai –
Jo Umr Ki Darayiz Paar Kar Chuke Ho Aur Jinki Jismani Qawwat Mehnat Ke Qabil Na Ho.