Qurbani ki iste’tat (capacity) Naa rakhne walo ke liye Qurbani ka sawab

✦ Mafhum-e-Hadith:

Hazrat Abdullah bin Amr bin al-As (RaziAllahu Anhu) se riwayat hain:

RasoolAllah (ﷺ) ne Ek Shaks se irshad farmaya ‘Mujhe 10 Zhul Hijja ke din Eid manane ka hukm hua hain, Allah Subhanahu ne iss din ko iss Ummat ke liye Eid banaya.’ Usne arz kiya agar mere paas Kuch bhi moujud na ho ( Yaani Qurbani karne ki iste’tat na ho) lekin ek hi Bakri ya Ootni ho tou kya main uski Qurbani karu?

Aap (ﷺ) ne farmaya “Nahi ( isliye ke ek hi Janwar moujud Hain jiski Qurbani karne se mushkil hogi) lekin tum apne Baal aur Nakhun kaat lo aur Munch tarshwa lo bas yehi tumhari Qurbani hain Allah Subhanahu ke Nazdeeq.”

📕 Sunan Nisai, jild 3 , 667-Sahih

✩ Wazhat:

Jo log Qurbani ka Sawab hasil Karna chahate hain aur unki iste’tat ( capacity) Nahi hain Wo log bhi Iss sawab ko hasil kar sakte Hain Zhul Hijja ka Chand dekhne ke baad apne Baal aur Nakhun kaatne se rook Jaye aur Eid ki Namaz padh kar unko kaat le tou unhein bhi Mukamal Qurbani ka Sawab milega.

Leave a Reply