Qurbani Ka Janwar Kharid’te Waqt Kin Baato Ka Khayal Rakhe ?

» Qurbani Ka Jaanwar Kharid Te Waqt In 4 Chizo Aur Aankh Kaan Ka Khayal Rakhe !!

1) Mafhoom-e-Hadees: Bara Bin Aazib (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Poocha Gaya,
“Kis Jaanwar Ki Qurbani Se Bachna Chaehai?”
*Aap Sallallahu Alaihay Wasallam Ne Fermaya – “4 Qism Ke Jaawaro Se Bachna Chahiye,
1) Langra: Jiska Langrapan Zahir Ho, 2) Bhainga: Jiska Bhaingapan Zahir Ho,
3) Beemar: Jiski Beemari Wazeh Ho, Aur 4) Kamzor: Jiski Haddiyo Me Gooda Na Ho.”
– (Musnad Ahmed, 301/4)

2) Mafhoom-e-Hadees: Huzaifa (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Humain Hukm Diya Ke –
“Hum (Qurbani Ka Jaanwar) Kharidtey Waqt Iski Aankhain
Aur Kaan Achi Terha Daikh Lain.”
– (Ibn Khuzaima, Hadith no. 2914, 2915 Mustadrik Hakim, Hadith no. 467/1, 220/4)

*Note: Iska Khas Khayal Rakhe Hum Tehqeeq Tou Karte Hee Hai
Par Shayad Iss Lihaz Se Ke Kahi Hamara Nuqsaan Na Ho Jaye,..
Balki Isey Rasool’Allah Ki Sunnat Samaj Kar Kare ,..
Insha’Allah Hume Iska Sawab Bhi Milega ,…

Leave a Reply