Allah Rabbul Izzat Quraan Me Farmata Hai –
♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Kya Insan Yeh Khayal Karta Hai Ki Hum Uski Haddiyon Ko Hargiz Ikhat’ta Nahi Karenge’ Kiyon Nahi ! Ham Tou Uss Baat Par Bhi Qaadir Hain Ke Uski Ungliyon Ke Poron(Finger Print) Tak Ko Durust Kar Denge”
– (Surah: Al’qayamah : Ayat 3/4).
• Sabak: Quraan Me Allah Ne Por (Finger Prints) Ki Kiyon Baat Ki ?
1980 Me Sir France Golt Ne Tahqeeq Sar Anjaam Di Aur Us Tahqeeq Ki Raushni Me Finger Prints Ko Shanaakht(Identity) Ka Ek Ek Science Tareqa Qarar Diya Gaya Tha.
Duniya Bhar Me Koi Bhi Do Shakhs Ke Ek Jaise Finger Print Nahi Hote, Yahan Tak Ki Judhwan Paida Hone Wale Bachche Bhi Ek Jase Finger Prints Ke Hamil Nahi Hote. Yahi Wajah Hai Ki Duniya Bhar Ki Police Mujrimo Ki Identity Ke Liye Finger Print Ko Ahmiyat Deti Hai.
1400, Saal Pahle Insani Finger Print Ki Iss Alag Haisiyat Ko Kaun Janta Tha ? Saaf Zahir Hai Ke Iss Haqeeqat Ko Duniya Ko Banane Wale Ke Siwa Aur Kaun Ho Sakta Hai. Sirf Allah Rabbul Aalameen Hi Iss Haqeeqat Se Waqif Tha, Aur Ussi Parwardigar ne Hamare Pyare Nabi-e-Paak ke Jarye Iss Duniya tak yeh Azim Paigaam Pohchayi