Islamic Quiz 233 : Ek Janwar Kitne logon ki taraf se Qurban kiya ja sakta hai?

Islamic Quiz 233

Ek Janwar Kitne logon ki taraf se Qurban kiya ja sakta hai?

Options Are 👇

A. Ek insan ki taraf se

B. Shohar aur Biwi ki taraf

C. Purey Gharwalo ki taraf se

D. Sahih Jawab Ka Intezar

Get Answer

Sahih jawab hai : Option ( C )

✅ Purey Gharwalo ki taraf se

Ek Janwar Purey Gharwalo ki taraf se Qurban kiya ja sakta hai.

Daleel :

Qurbani ka ek janwar chaahe bakra/bakri hi kiun na ho ek gharaane ke poore afraad (logon) ki taraf se kaafi hai. Ek gharaane ka matlab yeh hai ke ghar ke poore afraad Qurbani karne waale ke saath hi rehte hon aur Qurbani dene waala un sab ke kharch ka zimmedaar ho neez woh saare rishtedaar hon. Jis ka chulha alag ho woh alag Qurbani karega.

Ata bin Yasar kehte hain ke main ne Abu Ayyub Ansari (R.A) se poocha:

Rasoolullah (ﷺ) ke zamaane mein Qurbaniyan kaise hoti thien?
Unhon ne kaha: Ek aadmi apni aur apne ghar waalon ki taraf se ek bakri Qurbani karta tha, woh log khud khaate the aur doosron ko khilaate the yahan tak ke log (kasrat e Qurbani par) fakhr karne lage, aur ab yeh soorat e haal ho gayi jo dekh rahe ho.

📕 Tirmizi: 1505; Qurbani ke Ahkam aur masail

Install Islamic Quiz App

Read More: