✴ Hadees: Hazrat Umme Salma (R.A) farmati hai ke ek raat Rasool Kareem (ﷺ) ghabra ke uthey aur farmaya: “SubhanAllah kis qadar Khazaney aur Fitney Allah ki taraf se nazil kiye gaye hain? hujray walion (Azwaaj e Rasool Sallallahu Alaihay Wasallam) ko koun uthayega ta’ake wo Namaz parhien?.”
📕 Sahih Bukhari; Kitab ul Fitan 7069
✴ Hadith: Hazrat Usama (R.A) farmatey hain ke Nabi (ﷺ) Madina ke kisi Unchey maqan per charhey phir farmaya: “Kya tum bhi dekh rahe ho jo Main dekh raha hu?”
(Sahaba (R.A) ne kaha: Nahi Allah ke Rasool!) tou Aap (ﷺ) ne farmaya: “Bila shuba Main barish ke Qatron ki tarah tumhare gharon ke darmayan Fitney girtay huwey dekh raha hon.”