♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
“Uss Waqt Tumhara Kya Haal Hoga ?
Jab Tumhare Naujawan Bad’kaar (Characterless) Ho Jayenge ,..
Aur Tumhari Ladkiyan Aur Aurtein Tamaam Hadood Phallaang (Limit Cross) Kar Jayeingy ,..
*Sahaba Karaam Ne Arz Kiya:
‘Ya Rasool’Allah (ﷺ)! Kya Aesa Bhi Hoga?’
*Aap (ﷺ) Ne Farmaya:
‘Haan! Aur Uss Se Barh Ker, Uss Waqt Tumhara Kya Haal Hoga,
Jab Na Tum Bhalayi Ka Hukm Karoge, Na Burayi Par Aitraaz Karoge!,
*Sahaba-e-Kiraam Ne Arz Kiya:
‘Ya Rasool’Allah (ﷺ)! Kya Aesa Bhi Hoga?’
*Aap (ﷺ) Ne Farmaya:
‘Haan!, Aur Uss Se Bhi Bad’tar, Uss Waqt Tum Per Kya Guzregi?
Jab Tum Burayi Ko Bhalayi Aur Bhalayi Ko Burayi Samajhne Lagoge.’
– (Kitab Al Raqaiq, Ibne Mubarak: 484)
# SABAQ: Lihaza Is Se Pahle Ke Ilm Ko Utha Liya Jaye Aur Jahalat Ka Agaz Ho, Hume Taqwa (Allah Ka Khouf) Ikhtiyar Karna Chahiye,
– Apni Aur Apne Nafs Ko Haq-Hidayat Ki Taraf Ruzu Karne Ki Koshish Karni Chahiye,
Taaki Hum Bhi Rehmate Allahwandi Ke Mustahiq Ho Sakey ,..
♥ In’sha Allah-ul-Azeez !!
Allah Ta’ala Hame Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq De…
Amr Bil Maroof Wa Nahi Anil Munkar