♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazarat Abdullah Ibn-e-Abbas (Razi’Aallahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Ek Martaba Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ek Bagh Se Guzre, Waha Par 2 Qabre Thi, Ki Achanak Aawaz Aayi, Tou Huzoor (Sallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya –
“Qabr Waalo Par Azaab Ho Raha Hai, Ye Usi Ki Aawaz Hai”,
Fir Hazarat Ibn-e-Abbas (RaziAllahu Anhu) Ne Pucha Ye Azaab Kyu Ho Raha Hai?
*Aap Ne Farmaya – “Ek Peshaab Ki Cheeto Se Nahi Bachta Tha, Aur Dusra Chugali Karta Tha”,
*Fir Farmaya Ki, “Khajoor Ki Shakh Lekar Aao”,
*Aap Hazarat Ibn-e-Abbas (RaziAllahu Anhu) Khajoor Ki Shakh Le Aaye,
*Aap Huzoor (Sallalahu Alayhi Wasallam) Ne Uss Shak Ke 2 Tukde Kar Diye, Aur Dono Ki Qabron Par Rakh Diya, Aur Farmaya.
Jab Tak Ye Shakh Sukengi Nahi Tab Tak Azaab Me Takfif (Kami) Rahengi.
– (Bukhari Sharif Jild 1, Kitabul Wuzu, Bab Ul Azaab-e-Qabr, Hadees-169)
Related Posts:
Nazar Ki Pairwi Na Karo ..... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Jarir (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Mainey Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Pucha Ki: (Ghair Mahram Par) Achanak Girney Wali Nazar Ka Kya Hukm Hai? Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki, "Tu Apni Nazar Pher Le". - (Sunan Abu Dawud, Vol 2, 381-Sahih) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Buraydah Ibn Al-Hasib (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Hazrat Ali (RaziAllahu Anhu) Se Farmaya - "Nazar Ki Pairwi Na Karo, (Gair Mahram Ki Taraf) Pahli Nazar Tou Muaf Hai Magar Dusri Nigaah Muaf Nahi". - (Sunan Abu Dawud, Vol 2, H-382) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate…
Achchi Baaton Ka Hukm Do Magar Khud Bhi Amal Karo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Usama Bin Zaid (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya "Qayamat Ke Din Ek Shakhs Laya Jayega Phir Wo Jahannum Me Dala Jayega Uske Pait Ki Aantein (Intestine) Bahar Nikal Aayegi, Wo Unko Liye Huye Gadhey Ki Tarah Jo Chakki Peesta Hai Chakkar Lagayega Aur Jahannum Waley Uskey Paas Ekaththey Hongey Uss Sey Puchengey 'Ki Aye Falah! Kya Tu Achchi Baat Ka Hukm Nahi Karta Tha Aur Buri Baat Se Manaa Nahi Karta Tha ?' Wo Kahega Mai Tou Aisa Karta Tha Lekin Dusron Ko Achchi Baat Ka Hukm Karta Tha Aur Khud…
Khane Ke Faraiz : Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao… ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao, Ki Barqat Jamaat Ke Saath Hai, Aur Khadey Hokar Na Khaao Aur Na Piyo.." - (Ibne Maajah, Jild-4, Safa-21, Hadees-3287) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Koi Khaana Khaye Tou Wo Uss Waqt Tak Haath Na Dhoye Jab Tak Wo Ungliyon Ko Chaat Na Le.." - (Bukhari Sharif) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Khana Kha Ke Shukar Ada Karne Wale Ka Darja, Sabr Karne Wale Rozedar Ke Barabar Hota Hai.." - (Tirmizi, Hadees-2021)
Neki Ka Hukm Dena aur Burayi se Rokna Farz hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazarte Abdullaah Bin Mas'ood (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ne farmaaya : "Allah ne mujhse pehle Kisi Ummat mein jitne bhi Nabi bheje, unki Ummat mein se unke kuch Hawaari aur Saathi hote they jo unki Sunnat par chalte aur unke Hukm ki Ittebaa' karte they. Phir aisa hota tha ke unke baad Naalayaq log unke Jaanasheen ban jaate they. Woh Zabaan se aisi baatein kehte jin par khud Amal nahi karte they. Aur aisey kaam karte they jin ka unko Hukm na diya gaya tha. Chunaanche, jis ne un (jaise logon)…
Musibat Pareshani se bachne ka Wajifa: Musibat, Mushkil aur… https://www.youtube.com/watch?v=MGffdrQG74E Musibat Pareshani se bachne ka Wajifa Pareshani se Nijat ki Dua in Hindi, Sakht Pareshani Ka Wazifa, Mushkil Door karne ki Dua, Pareshani Door hone ki Dua, Pareshani Dur Karne ki Dua, Pareshani ki Dua, Pareshani Door Karne ka Tareeka, Musibat Mushkil Pareshani Aane Se Pehle Usse Bachne Ke liye Kya Kare By Adv. Faiz Syed
Qurbani Ka Janwar Kharid'te Waqt Kin Baato Ka Khayal Rakhe ? » Qurbani Ka Jaanwar Kharid Te Waqt In 4 Chizo Aur Aankh Kaan Ka Khayal Rakhe !! 1) Mafhoom-e-Hadees: Bara Bin Aazib (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Poocha Gaya, "Kis Jaanwar Ki Qurbani Se Bachna Chaehai?" *Aap Sallallahu Alaihay Wasallam Ne Fermaya - "4 Qism Ke Jaawaro Se Bachna Chahiye, 1) Langra: Jiska Langrapan Zahir Ho, 2) Bhainga: Jiska Bhaingapan Zahir Ho, 3) Beemar: Jiski Beemari Wazeh Ho, Aur 4) Kamzor: Jiski Haddiyo Me Gooda Na Ho." - (Musnad Ahmed, 301/4) 2) Mafhoom-e-Hadees: Huzaifa (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)…
Allah ke Hukm par Humesha Qayam rehna Allah ke Hukm par Humesha Qayam rehna Rasool'Allah (ﷺ) Allah ke Rasool hain aur Aap ke bataye huay tariqay me hamare liye rehnumai hain. Ek aisi baat jo RasoolAllah (ﷺ) ne hum sab se farmayi thi wo hai Allah ke hukm par qayam humesha rahna hai. ۞ Hadees: Hazrate Muawiya (R.A) ne kaha ki, maine RasoolAllah (ﷺ) ko ye farmate hue suna hai ke "Meri Ummat Me Se Ek Aisi Jamaat Hamesha Allah Ke Hukm Par Qayam Rahegi, Jo Inki Madad Nahi Karega Ya Inki Mukhaalifat(Against) Karega Wo Inhe Kuchh Nuqsaan Nahi Pohanchaa Sakega, Yahan Tak Ki Allah Ka Hukam…
Apni Aulaad Ka Naam Behtar Rakha Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Beshaq! Tum Roze Qayamat Apne Naamo Aur Apne Baapo Ke Naamo Se Pukare Jaoge Tou Apne(Baccho Ke) Naam Ache Rakha Karo.." - (Imaam Ahmed, Abu Dawood, Jild 3, Bab 485, Hadees 1513, Safa 550) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Aadat-e-Kareema Thi Ki, Aap Burey Naam Badal Diya Karte They. - (Tirmizi, Jild, Safa 301, Abu Dawood, Jild 3, Hadees 1517, Safa 551) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Ibne Umar (Razi'Allaho Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Allah Ta'ala Ko Tamaam Naamo Me Se…
Allah Ki Lanat Bad-Nigahi Karnewale Par ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - Allah Ki Lanat Bad-Nigahi Karnewale Par Aur Jiski Taraf Bad-Nigahi Ki Jaye,. - (Bayhaqi Sharif, Mishkat Sharif, Jild : 2, Safa : 77) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Jo Kisi Aurat Ki Khubiya Dekh Kar Nigaah Jhuka De Allah Ta'ala Usko Aesi Ibadat Ki Taufiq Bakhshega, Jiski Lizzat Wo Apne Dil Me Mehsoos Karega. - (Al Masanduli Imaam Ahmad Bin Hambal Jild:8 Safa:299 Hadees:22341)
Mayyat Ke Ghar Khaanaa Pakaa Kar Bhijwaana ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah bin Jaafar(RaziAllahu Anhu) farmate hain ke, jab Jaafar ki wafaat ki khabar aai to Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Aale Jaafar ke liye khaana Taiyyar karo in Logo’n par Aisee museebat aai hai Jis me wo khaana nahi pakaa sakenge." - (Abu Dawood: al Janaaez 3132 – Ibne Majja 1210) *Aaj Kitne Afsos Ki Baat hai Ke baaz Ahle Maiyyat Doosro’n ke Liye Khaane ka Intezaam Karte Hain. Jabki Shariyat Ka hukm Tou Ye Hai Ke Unke Liye Padosi aur Ahle Khair hazraat Khane Ka Intezam Kare ,..
Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai .... ♥ Al-Quraan: Allah Ta'ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat Buland Kar Ke Rahega. - [Surat Al-Mujadila(58): Ayat-11] ♥ Isi Tarha Ilm Ki Ahmiyat Aur Fazilat Ke Talluk Se Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai - » Hadees: "Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai". - (Miskat P:24) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Ilm Hasil Karna Har Ek Musalmam (Mard Aur Aurat) par Farz Hai". - (Sunan ibn Majah, Vol-1, Hadith-224) ♥ Mafhoom-e-Hadees: “Har Cheez Ka Ek Raasta Hai Aur Jannat Ka Raasta Ilm Hai”. - (K.Ummal) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Raat Me…
Gharwalo par Kharch Karna bhi Sadqa Karne ke barabar Sawaab ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Mas'ud Al-Ansari (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (ﷺ) Ne Farmaya - "Jab Musalman Apney Gharwalon par Allah ka Hukm Ada Karney ki Niyat se Kharch Karey tou Usmein bhi Usey Sadqey ka Sawaab Milta Hai." - (Sahih Bukhari, 5351) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अबू मसूद अल अंसारी (रजी अल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (ﷺ) ने फ़रमाया - "जब मुसलमान अपने घरवालो पर अल्लाह का हुक्म अदा करने की नियत से खर्च करे तो उसमे भी उसे सदके का सवाब मिलता है" - (सहीह बुखारी, 5351) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Allah Ka Bando Par Kya Haq Hai ? » Jawaab: Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke - ★ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ka Haq Bando Par Ye Hai Ke Sirf Usi Ki Ibadat Karey, Aur Kisiko Uska Shareek Na Thehraye.. Aur Bando Ka Haq Allah Par Ye Hai Ke Jo Koyi Shirk Na Karey Usey Azaab Na Dey. - (Bukhari:2856, Muslim:30) ♥ Al-Quraan: "Jo Log Emaan Laaye Aur Apne Emaan Ko Zulm Se Mahfooj Kiya Unke Liye Aman Hai Aur Wahi Hidayat Paney Wale Log Hain..” – (Surah 6 Al-An’am, Aayat-82)
Allah Ki Neymat Ka Tark Karna Kufr Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke, "Jab Koi Banda Allah Ta'ala Ke Diye Huve Neymat Par Alahmdulillah Kehta Hai Tou Allah Ta'ala Uss Se Afzal Neymat Ata Farmata Hai". - (Ibne Maaja Hadith no.3805) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke, "Jab Tumney Alhamdulillah Kaha Tou Rab Ka Shukr Ada Huwa Aur Tumhari Neymat Me Ezaafa". - (Jameul Bayan 1/90) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Jis Ne Khaleel Chiz Ka Shukr Ada Nahi Kiya Usney Kaseer Chiz Ka Bhi Shukr Ada Na Kiya Aur Allah Ki Neymat Ka…
7 Azeem Nekiyo Ka Hukm ♥ Mafhoom-e-Hadees: Bara bin Azib (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, unhone kaha ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne humey saat cheezon ka hukm diya: 1. Janazon ke saath jaana. 2. Mareez ki Beemar pursi karna. 3. Chheenkne waale ko Dua dena (yaani Yarhamuk Allah kehna). 4. Daawat dene waale ki Daawat kubool karna. 5. Mazloom ki Madad karna. 6. Kasam khaane waale ki kasam ko poora karna. 7. Salam ka Jawab dena. - (Sunan An-Nasayi, Hadith no. 3809) # Takhreej: 'Kasam poori karna' yaani agar kisi shakhs ne kisi doosre shakhs ke baare me koi kasam khaa li hai…