# Nikah Ambiya (Alaihi Salaam) Ki Behtarin Sunnat Hai
Nabi-e-Paak Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai,
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Nikah Gunaaho Se Bache Rehne Ka Behtarin Amal Hai Islie Nikah Karo”.
– (Muslim Sharif)
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Noujavano! Tum Me Se Jo Nikah Ki Isteta’at Rakhta Hai, Wo Nikah Jarur Kare..”
– (Muslim 1/P-449)
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Jisme Nikah Karne Ki Isteta’at Na Ho Wo Roze Rakhe Isliye Ki Roza Shahoot(Shehwat) Ko Todta Hai”.
– (Muslim Vol-1 Page-449)
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Nikah Karo! Ye Nigaho Ko Jhukaata Hai Aur Sharmgah Ki Hifazat Karta Hai
Aur Jise Iski Taqat Nahi Tou Wo Roze Rakhe”
– (Bukhari Sharif)